Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:22nd Dec 2007, 7:12pm |
|
|
Illness: Why Pepole Become Ill
mai aik hospital ke children ward gayee. waha par beshumar chote chote bachcho ko bimar dekha. baaz bachche bahut ziadah sick the, kuch paidaishi maazoor bhi the. baaz bachcho ki age 1 or 2 days bhi thi.
mera sawal yeh hai keh allah taala ne in bachcho ko kio bimar kia? ya kio maazoor paida kia? mai ne waha par logo se bhi yahi sawal kia tu kuch logo ne kaha keh allah taala ki aazmaish hai, kuch ne kaha keh yeh bure emal ki saza hai.
aap ke khial mai allah tala logo ko especially bachcho ko kio bimar karte hai aur kio mazoor paida karta hai? in bachco ko kin gunaho ki saza di jaati hai?
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Dec 2007, 7:38pm |
|
|
Kali zuban main bhi kabhi esa sochta hon lekin kya keh sakte hain sab se pehle to main yeh kahon ga ke humhe Allah ka bhut bhut shukar ada karna chahein jo Allah na apne sehi paida kiya ager humhare pass aak hath bhi na ho to kitna mushkil hota ager aak pao na hota to kya hota main jab yeh sochta hon to qasam se aak baar meri rooh kaap jati hai
kehte hain ke maa baap ki saza ulaad ko melti hai i think esa he hai insaan se kuch esi bhut bari galtiya ho jati hai jin ki saza on bacho ko melti hai..lekin yeh saza in bacho ko nehin balke os se zaida on ke maa baap ko bhi hai
aur main esi baat pe yaqeen rakhta hon ke yeh galtiya maa baap se he hoi hoti hai kuch apne maa baap ka dil dukhate hain jin ke ghar phir esi ulad paida hoti hai kuch loog jaante huye bhi ghuna pe ghuna karte chale jate hain jab ke on ko pata hai ke yeh ghuna hai lekin phir bhi Allah se nehin darte
to phir Allah in bacho ki shakal mein esi saza deta hai yeh baat bhi kafi had tak such ke achey logo ko Allah azmata hai aur on pe he azmiysh ati hai lekin jo bhi hai in bacho ke sath esa kyun Allah karta hai woh koi bhi nehin jaanta
aap zaida bather jaanta hai aur on bacho ke bare mein bhi onho ne kuch na kuch socha hai to hum kuch nehin kar sakte main Allah se dua karta hon ke insaan ko jis ki woh har cheez do jis ki ose zaroorat hai kisi ki saza kisi ko mat do bhut dard hota hai reham kar Allah aap he sab se bade reham karne wale ho...yeh bhi tere he bandey hai in ko jism ke har hisey se complete paida kar Ameen. |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:23rd Dec 2007, 4:54am |
|
|
re As simple as that,
..............because we have so much GANNDAGI in Pakistan. |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Dec 2007, 10:09am |
|
|
Bachcho ko bimar karne ki peeche alla ki kia maslehat hai? Usa aur Uk ke children ward mai jo bachche hai woh kaha ki gandagi se bimar huye hai. Pakistan etna ganda nahi hai jetna ke USA aur UK mai baith kar log samajhte hai.
Pakistan mai bhi baaz area etna develop aur saf suthra hai keh Usa aur Uk ka muqabla kar sakta hai, aur iss area ke log etne maldar hai keh woh apne bachche ko har qisim ki gandagi se bacha kar rakhte hai; lekin in logo ke bhi bachche bimar hote hai aur hospitalize hote hai.
mera sawal yeh nahi hai keh woh kis bacteria se bimar huye hai. balkeh mera sawal yeh hai keh Allah tala ne in bachcho ko kio bimar kia? in bachcho ko bimar karne aur takleef dene ke peeche allah tala ki kia maslehat hai?
mai iss ka jawab doo gi keh logo ki bimari ke peeche allah tala ki kia maslehat hai. lekin mai doosro ka jawab sunna chahti hoo, mai yeh janna chahti hoo keh doosre kis angle se soch rahe hai. |
masooma
|
Group: Members Joined: 23rd Dec, 2007 Topic: 0 Post: 3 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Dec 2007, 9:54pm |
|
|
mazoor bachay asalamoalaikum
i was a silent visiter of this website for the last few months it is very informative website. thanks to all management of this website.
aj ma is sangdil pinky ka mail par kar majboor ho gai k kuch likho or muje itna bura laga k pata nai kia kuch likhna chati hon. ma bi pakistani hon lekin abi pakistan ma nahi ho. pinky tum kia samajti ho k mazoor olad sirf buray logo ki hoti hai ? ma bas itna kahongi k Allah say daro kahin aisa na ho k tumhari koi apahaj bachi /bacha paida ho jaey to phir roti rehna sari umar. phir logo say kehna simple as that ye gand ka nateeja ha or sath hasna bi. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:23rd Dec 2007, 10:15pm |
|
|
welcome masooma in this forum masooma: ham aap ko iss forum par khoosh aamded kahte hai. aap ne pinkey ke liye bahut hi khoobsoorat bian dia hai. ab allah ne chaha tu pinkey aur aap ke darmian dam dama dam ho ga aur ham sab bare shoq se dono ke post read kare ge.
hamai tu larti huyee khawateen bahut hi achchi lagti hai, ghussa mai pink ho jaati hai. mera khial hai keh pinkey ka kuch aur name hoga, chukeh ghar par har waqt larti hogi aur ghussa mai pink ho jaati hogi iss liye ghar walo ne on ka name pinkey rakh dia hoga. umeed hai keh aap ki post par aik bili bhi miau miau karti aaye gi.
kali ji ne pinkey ko math ka sabaq parhaya, woh pinkey ko etna mushkil laga keh woh kai din tak ghaib ho gai, majbooran kali ji ko sorry karni pari; pinky ne wapis aa kar farmaya keh onho ne math ke baqia lesson read nahi kiya. waise miau miau karti bili ki bhi math kamzor hai. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:23rd Dec 2007, 10:30pm |
|
|
log doctor ki kamai ke liye bimar hote hai allah tala ki koi bhi cheez maslehat aur faida se khali nahi hai. lehaza bacho ka bimar hona bhi faida mand hoga. aap ghor kare keh bachcho ke bimar hone se kis ko faida hota hai.
zahir si baat hai keh bachcho ke bimar hone se medical field se taluq rakhne wale log maslan doctor, nurse, medical store, pharmaceutical company ko faida hota hai. lehaza allah ki maslehat samajh mai aagai keh allah tala medical se taluq rakhne walo ki rozi chalane ke liye bachcho ko balkeh sab ko bimar karta hai.
aap aik lamha ko tasawar kare keh agar allah tala yeh faisla kar de keh ab dunia mai koi bimar nahi hoga tu lakho nahi balke karoro afrad jo ke medical ke shoba se taluq rakhte hai woh berozgar ho jai ge. bare bare consultant bechare kia kare ge, bacho ko tution parhana shuru kar de ge, tutor ka bhi rate gir jai ga. balke purane tutor bhi berozgar ho jai ge.
jis tarah ham log aur hamari bivia nimaz parhne ke baad allah se rozi mai barkat ki dua mangti hai isi tarah medical se taluq rakhne wale afrad aur on ki bivia bhi nimaz ke baad allah se rozi mai barkat ki dua karti hai. allah tala un ki dua qabool karta hai aur on ki rozi mai barkat karne ke liye logo ko bimar karta hai.
aur jis doctor se allah naraz hota hai os ke clinic se barkat khatam ho jati hai, aur doctor bekar baitha makhkhi marta hai, ghar par bivi poochti hai keh aaj ketni kamai huye tu kahta hai keh mareez hi nahi aaye, kamai kia khak hogi.
lehaza yeh baat sabit ho gai ke allah tala ne har aik ko rozgar provide karne ki zimmadari uthai huyee hai. aur medical se taluq rakhne wale logo ki rozgar ki khatir dunia mai bimari phailai hui hai. |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 3:48am |
|
|
Masooma jee App nay yah jo itni bakwas ker dali hay mairay bachoun kay baray main tu main pooch sakti hoon kay itna jazbaati honay kay pichay aap ko asal takleef kia hoi hay??? Main nay sirf aik jumla likha hay jis ko main nay abhi explain bhi nahi kia kayounkay mujay time nahi mila tha, tu bagair kisi ki baat sunay samjay aap kisi ko itni beri baat kaisay kah sakti hain?? App ager aik hamoash reader hain tu pahlay kisi mail main daikha hay mujay kisi baykas ka gareeboun ka mazak uratay houay????
Aur mujay aallah say deranay ka theka aap ko lainay ki koi zaroorat nahi hay. Maira apna taluq hay allah say aur iss main aap ki rahnumai ki mujay koi zaroorat nahi hay. Sharam tu aap ko iss baat ki aani chahyay kay aap bagair kisi ki baat sunnay aur samjay aisi bakwas ker rahi hain. App ko kia patta hay kay mairay dil main allah ka kitna hoaf hay aur main uss per kaisay imaan rakhti hoon. Mujay afsoas hay kay aap ka damag kitna choata hay aur soch kitni gandi aur ghatya jo bagair sochay samjay kisi per aap aisay ilzam laga rahi hain. SHAME ON U
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 4:26am |
|
|
Pinky7861 Jis country main baith ke aap ko Pakistan main gandgi nazar aa rahi hae woh kitna saaf suthra hae sari dunya janti hae , Iraq aor Afghanistan main kai lakh children USA ki gandgi ki waja se mazoor howe , kabhi aap ko pakistan main gandgi nazar aati hae to kabhi aap dekhti hain ke Pakistan main Islam ka berra gharaq ho chuka hae ?????Islam ka berra kabhi gharaq howa hae na ho ga , dunya ke sare kafir aor Islam ke naam pe jitnay bhi fitnay(shiat, dadiyanit, etc) Islam ka kuch bhi nahi bigarr sakte . pehle aap soche samjhe beghar bolti hain phir explain karne baith jati hain ?????? |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 1:27pm |
|
|
People will get reward for every Pain
ALLAH Ta'lah apney bandoon se buhat zayadah pyar karta hai eak Maan
apney bachey se jitna pyar kartey hai uss se 70 to 80 hunah zayada pyar
karta hai ALLAH .... ALLAH har takleef or Bimari k badley hamaiyn
akhirat ma reward dey ga so agar koi takleef mili tou ALLAH se jagdrah
mat karein kyun takleef tou thordey dair ki hotey hai magar ALLAh ka
uss k badley reward forever hoga .
aap ghor kare keh bachcho ke bimar hone se kis ko faida hota hai.
zahir si baat hai keh bachcho ke bimar hone se medical field se
taluq rakhne wale log maslan doctor, nurse, medical store,
pharmaceutical company ko faida hota hai
yah eak ill-logical baat hai kyun kah ALLAH jiss ko chahey jaisey
chahey rizik deta hai uss ko eak k rizik k liyah dosrey ko bemar karney
ki zaroorat nahi hai and ALLAH does whatever HE wants
Zarori nahi kah gandagi se hi bemari hoo Anbiyaan Karam se zayadah paak kaun hoga ??? Lekin woh bhi beemar pardhtey thee ....
For Example , Eak Afgani Pathan Kachrey k dhair ma pora din kaam karta
hai or wahein se cheezein khata peeta hai lekin woh beemar nahi pardta
hai jabkah eak bacha paak-o-saaf rehney k bawajood bhi beemar pard jata
hai ..... lekin iss ka matlab yah nahi kah app gandagi se ahtiyaat na
karein app ko phir bhi ahteyaat karni chahiyah .
Purity is a 1/2 of Imaan(Faith)
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 7:21pm |
|
|
Allah Ki Maslehat: Pareshani ke Peeche Rozgar Hai Allah taala ke hukum ke beghair kuch nahi ho sakta, lehaza dunia mai jo bhi pareshani dukh aur takleef hai yeh sab Allah tala ki taraf se hai aur iss ka sirf aur sirf aik maqsad hai, logo ko rozgar fraham karna.
aap ki car puncture hoti hai, takeh pucture wale ki rozgar chalti rahe. Allah tala ne chor aur dakoo ko iss liye paida kia ke Police department ki rozgar chalti rahe. aap ke electornic alat iss liye kharab hoti hai takeh electronics se wabasta logo ki rozgar chalti rahe.
yeh nafrat aur dushmani jo allah tala ne logo aur qomo ke dil mai dali hai iss ka taluq bhi rozgar se hai. India aur Pakistan ko aik doosre ka dushman iss liye banaya ke dono mulko ki army ka rozgar chalta rahe, logo ke dilo mai nafrat paida kar ke aapas mai iss liye laraya keh muqadma bazi ho aur wakil aur judge ka rozgar chalta rahe.
matlab yeh hua keh har dukh, takleef, pareshani, museebat ke peeche logo ka rozgar wabista hai. aur jab log apne rozgar mai barkat ke liye dua karte hai aur woh dua qabool hoti hai tu museebat barh jaati hai.
maslan agar puncture wale ki bivi apne shohar ke rozgar mai barkat ki dua karti hai tu allah tala car punture mai izafa kar deta hai. agar police wale ki bivi apne shohar ke rozgar mai taraqqi ki dua karti hai tu chori aur daka mai izafa ho jaata hai.
agar India aur Pakistan mai muhabbat paida ho jai aur dono aik doosre se kabhi na larne ka ahad kar le tu pakistan aur india ki fouj berozgar ho jai gi, isi tarah agar log aik doosre se muhabbat karne lage aur kisi ka koi haqooq na cheene tu tamam wakil aur judge berozgar ho jai ge. agar shahar mai aman o aman ho jai, chori daka khatam ho jai tu tamam police wale be rozgar ho jai ge.
lehaza ab sab ko yeh baat samajh aajani chahiye keh log sirf aur sirf iss liye bimar hote hai keh medical se taluq rakhne wale logo maslan doctors, nurses, medical store, pharmaceutical company ke logo ka rozgar chalta rahe. agar iss dunia se bimari khatam ho jai tu yeh tamam log berozgar ho jai ge.
|
masooma
|
Group: Members Joined: 23rd Dec, 2007 Topic: 0 Post: 3 Age:
40
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 11:03pm |
|
|
illness bewakoof thanks ap achay insan ho. pinky mai tumsay larna nai chahti tum bakwas ka word ainda na kehna baat karnay ka saleeka sikh kar ao pehlay phir mujsay bat karna. mai tumhe samjhati hon tumharay parents or relatives pakistan mai hongay to kia wo gandgi hain ? gandagi mukhtalif kisam ki hoti hai . buray kaam karnay walon k liye bi log ye gandagi ka lafaz istemal kartay hain. agar aludgee k baray mai kehna ha to proper word pollution hai.
islam kay dushmano ka baira gark ho ga or islam k khilaf bat karny walonka baira gark hoga.
bimari un logo ko bi ho sakti hai jo bohat saf suthray rehtey hain. kuch bachey nabeena paida hotey hein. ab ismai konsi gandagi aa gae. america mai bi beshumar bachey or barey mazoor hain kia tumnay kabi koi mazoor nai dekha U.S.A. mai ? koi insan saf suthrey environment mai reh kar ye nai soch sakta kay ab wo kabi mazoor nahi ho sakta ya uskay bachay mazoor nahi ho saktay.
bewakoof ki batain logical hain jaisay chotay baray animals jungle mai hotay hain chotay animals baray animals ki khoorak bantay hain or yehi Allah ka nizam hai.
hen fish bakray waghaira ham log baray mazay say khatay hain lekin us fish hen bakray cow ko to apni jaan say hath dhona parta hai. or wo hamari khoorak ban jatay hain. or ham unko kha kar Allah ka shukar ada kartay hain.
isi tara doctors k liye mareez unkay rizq ka zariya hain or sara din logo ko medicines day kar doctor bi Allah ka shukar ada kartay hain.
ameer aur gareeb log hain us mai bi Allah ki maslehat hai. ameer factories chala kar Allah ka shukar ada karta hai or gareebo say kaam laita hai while gareeb sara din dehaari laga kar Allah ka shukr ada karta ha.
ALLAH does whatever HE wants lekin Allah nay ghar aa kar roti to nai day jani koi na koi waseela banaeyga koi source of income bana dayga or rizk ataa farmaey ga.
ye dunia ka nizam bara complicated hai or mukhtalif cheezain apas mai interlinked hain. |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 11:38pm |
|
|
Somethings are.. Lots of things cant be understand as our mind cant think the thing which is not been graphed..Kuch batain insaan kee samj main nahee atee hain, tu kiya kerain ab??? |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|