josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:27th Dec 2007, 10:17pm |
|
|
Time Of Marriage: Is It Fixed?
mera personal ye man-na hai k shadi ka aik time fix hai or wo us time say pehlay nai ho sakti chahay jitna koi zor laga lay lekin koi na koi waja ho jati hai or shadi nahi hoti..or jab honi hoti hai to pata bi nai chalta or foran say pehlay ho jati hai. question ye hai k kia wakaee aisee baat hai ya phir ham logo nay khud hi shadi ko mushkil bana lia hai or ajkal aik shadi kay itnay expenses hotay hain k ghareeb admi apnay bacho ki shadi k liye kaee saal paisay jama karta reh jata hai or bacho ki age barhti jati hai.. kuch log is waja say shadi nai kartay k abi education complete kar lain ya thori or education hasil kar lain..
kuch professional log ye soch kar shadi nai kartay k abi job naee hai saal 2 saal laga lon phir shadi karonga. puranay zamanay k logo say puchhain to kisi ki 14 sal ki age mai shadi hui hoti hai kisi ki 16 to kisi ki 18 lekin ajkal 35-36 sal k banday bi hain jinki shadi nai hui hoti or bohat si girls ki 27-30 sal umar ho jati hai lekin shadi nahi hoti.
saray samajhdar members apnay apnay comments dain..
|
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:28th Dec 2007, 2:18am |
|
|
As-salama_O_Alaikum
mujhe yeh toh nahin pata kay shadi ka time fix hai yaa
nahin.
lekin mujhe yeh pata hai kay humaray muhasharay mein kuch shadiyan aisi bhi
hoti hain
aur kuch log aise bhi hain.
mulaizaa farmaye:
larkay ki aamma, phoophee, behney, khala , bhaabi waghaira aisa rishta talash karti hain . in logo ki
wajay seh pata nahin kitne
log puray month ka kharcha aik din mein
aisi urton ki khatar karne mein kharach kar dhatay hain . sab kuch kha kar woh
log wapas hee nahin aatay.aur ghareeb admi karzaa le kar guzara karta hai.
Rishtay kay liye Larki ki khoobiyan:
larki achi ho ,khoobsurat ho ,pari likhi ho, apne saath ziayda jahez
laye. shadi se pehle larki muskarati, ziayda bolti, aur sharmati hui
larki ko pasand karti hain.
lekin shadi kay baad chahti hain. larki nah ziayda bolay, nah sharmaye, nah
ziayda batein karay, balkay sehemi sehemi , dari dari rehe , hum se hunchi awaz
mein baat nah karay .
un seh yeh baat hazam nahin hoti kay dhulan sahiba dhulaha seh baat kar liyen
jab dhulah dhulan apne kamray mein jatay hain toh . dhulay mian ki aammmmaa
jaan ki neend haram ho jati hai . sari raat is wajah se nahin soti kay dhulan
dhulay ko apni cheekri chupri baaton mein phans le gi . mera masoom bacha us
churail ki baaton mein aa jaye gaa.
Aaye mera bacha aaye mera bachaa. Aur jab subhah hoti hai
toh aamma jan ki tabiat kharab hoti hai. Shaam ko dhula
Seedha
aamma kay paas aaye ga. ( achi baat hain
aisa karna chaye ) lekin jab raat dhula aamma kay saath khana kha kar raat kay
10, 11 baje apne room mein jaye ga to
aamma jaan milk ka glass le kar us kay
pass chali jayen gi. Phir kya hota hai ????? aap log mujh seh ziayda samajhdaar ho .isliye aap ko
batane ki zaroorat nahin hai .
NOTE: yeh
sub kuch main ne sub kay barein mein nahin likha. Kuch log aise hain so main ne
un kay barein mein aisa likha hai.
Allah Hafiz
|
Aag
|
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
35
|
|
Posted on:28th Dec 2007, 6:44am |
|
|
there is a fixed time for every thing Not only marriage time is fixed but time for every thing is fixed. |
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:28th Dec 2007, 8:16am |
|
|
Alveena and josh Alveena: waisa apna to topic ko bilkul hi kahi aur divert kardiya. Josh na jo bat ki thee woh aur thee aur ap pata nahi kah nikal gai.
Josh: Mera bhai yah bat to Quran mai jaga jaga hai ka jo bhi kuch hota hai woh ALLAH ka hukum sai hota hai aur har chez ka waqt already decided hai. Ab woh chahai shadi ho yah koi aur chez.
Yah toi aik bahana hota hai ka studies ki wajha sai shadi abhi nahi kari gai yah kisi aur wajha sai... Joo log es bat per yaqeen rakhtai hai woh maina dekha hai tension ka shekar nahi hotai laikin jo log aik dusra ko es bat ka blam daitain hai ka eski wajha sai meri shadi nahi howi, yah agar aisa na hota yah aisa hota to meri shadi hojatai aisa log sirf aur sirf tension mai hi rahtai hai jabka har kam ka liya waqt pahla sai hi decided hota hai. |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:29th Dec 2007, 1:58pm |
|
|
dulhay ki ammma: Aaye mera bacha aaye mera bachaa! very very nice reply by Alveena bohat interesting reply kia apnay. jo muje samajh lagi wo yehi hai k larkay walay best larki dhondtay hain or larki walay best llarka dhondtay rehtey hain or time guzarta jata hai to iska matlab k Alveena ka khayal hai k ham log khud shadi late kartay hain.
aag or hangama k khayal say time fix hai.
waisay hangama pehlay daur k jitnay log they unki shadi par itnay expenses bi nahi hotay they or shadian bi bari jaldi ho jati thin Lekin ab Allah tala nay shadi ka time late fix karna shuru kar dia hai..
mukhtalif ahadees say ye pata chalta hai k shadi jaldi karni chahiye or kuchh wakeat bi aisay hain jin mai Muhammad (SAW) nay logo ko jaldi shadi karnay ka mashwara dia or kuchh k financial halaat kharab they unko bi aap (saw) nay shadi ka mashwara dia balkay kuch logo ki 2 shadian bi karaeein, phir un logo nay shadi ki or unkay masael bi solve ho gaey.
ajkal shadi na karnay ki waja say bohat logo say shadi say kabal galat kaam ho jatay hain or kuch nai to kuch log ghar baith kar masturbation hi kartay rehtay hain or apni khuahish puri kartay hain... lekin agar inhi logo ki shadi ho jaey to wo bohat say galat kaam or bad habbits say bach saktay hain. |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 2:40am |
|
|
In my opinion , 21-25 years is the best age for marriage every thing is pre-planned .... Time for everything is fixed ... Time of Individual to the time of World is fixed .... Shadi ka bhi time fix hi hoota hai lekin Duaoon se kismat badal bhi jatey hai ...... Issliyah shadi jald se jald karney ki koshish karney chahey aur hamarey Nabi(S.A.W) ne bhi iss ka hukum diya hai aur iss ko amley Jamah bhi pehnayah hai Hazrat Ali (21 years old) & Fatima (Cross the puberty age) ki shadi best example hai ..... Jiss ka pass resources bhi hoon or koi maslah bhi na hoo uss ko tou foran hi shadi karlene chahiyah kyun kah haqeeqat baad yah hai kah Insaan jab levish style ma rehney lagta hia tou Shaitan behkana surooh kardeta hai tou Zina k imkaam bardh jatey hai .... So do marriage as quickly as possible !
Josh Bahi app purani zamaney ki kiya baat kar rahey hain merey dadi ki shadi 14 years ki age ma howey thee merey mother ki shadi 18 years ki age ma howey thee or merey eak cousin ki shadi 18 years ma howey hai .... So I think ajj kal bhi kuch loog shadiyaan jaldey kar detey hain specially interior sindh or pujab ma jo kah buhat hi achi baat hai.
Well Alveena app ne buhat hi himmat kar k hamarey mashrey ka Saach likha .... mujhaey app ki post buhat pasand aye ....... jo kah bilkul saach baat hai ....... Lekin eak baat kehta chaloo Eak Mard per sab se zayadah haq uss ki Maan ka hai aur Eak Aurat per sab se zayadah haq uss ka Shohar ka hai .
|
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 4:36am |
|
|
BeautyStar jee As-salama_O_Alaikum
eh tussi ki keh rehe ho? tussi meri gal nahin samjay aap ki baat bilkul theek hai main is se inkaar nahin karti (Eak Mard per sab se zayadah haq uss ki Maan ka hai aur Eak Aurat per sab se zayadah haq uss ka Shohar ka hai ) . lekin kuch gharon mein sachi much aisa he hota hai. isliye main neh aisa he likha hai. aab main aur kuch nahin likhon gi likhne ka koi faida hee nahin hai. itni mehnaat se likhti hoon sab kuch ghaib ho jata haiis forum mein jin aa gaye hain. josh main bhi yeh manti hoon shadi ka time fix hota hai. aap sab logo ne abhi tak yeh nahin socha kay pehle zamane mein jin ki shadiya jaldi hoti thi . un kay bachay bhi 7 se 10 tak hotay the. pehle zamane mein ziayda bachoo ka reewajh tha. aab sab kay 1 ,2, 4 bachay hotay hain. Allah Hafiz
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 2:33pm |
|
|
Re: Alveena20Jee Walaikum Salam ,
Oye mainu sab samajh aagaey hai kurdiyah ....... Maiyn samajh gaya app
ne kiya message dene ki koshish ki hai , Waisey Bacha jitna barda bhi
ho jaey Maan Baap k liyah woh bacha hi rehta hai ...... Iss liyah buhat
zarey maaiyn samajhtey hain kah uss ki Bivi Dain / Churail se kam nahi
hai aur woh uss ki Aulaad ko haradp kar jaey gee ...... Uss ko yah darr
nahi hota kah beta maan se dour ho jaey ga kyun kah Maan apne bachoon
ko khush dekhna chahtey hai chahaey woh kitney hi doour kyun na hoo uss
maan ko yah darr hota hai kah Mere bacha kaisey rahey ga kiya uss ki
BIVI uss k khayal rakh paey gee ... ya Bivi uss ki sare dolat apne ghar
waloon per tounahi luta dey gee .... ya uss ki bivi kahein jaedad ka
batwara na karwadey .............. blah ... blah .. blah ......
Merey sab samajh agaya tha issi liyah maine app ki post ko appreciate
kiya hai bilah wajah maiyn kyun kisi ki jhooti tareefein karoonga yaar
.. hoon ???
ALLAH Hafiz.
|
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:30th Dec 2007, 6:13pm |
|
|
Josh and Alveena Dear jab aik bat Quran mai likhi howi hai ka har chez ka waqt pahla sai hi tai hai to ham es bat ko kaisa jhutla saktai hain. Yah sab aik bahana hai ka larka ki ama ko larki pasand nahi aii, larka ki khala ko larki pasand nahi ai yah sab aik bahana hai shadi na hona ka laikin jab waqt ata hai shadi ka to shadi aisa hojati hai ka sab hairan rahjatain hain.
Agar ap ghor karain jaisa ka josh na kaha ka shadi jaldi karna ko kaha gaya hai to eska pechai bhi koi na koi logic zaror hai, Aik big wajha insan ko ghalat kamo sai rokna bhi hai.
Mera to yah paka yaqeen hai ka jo bhi hota hai woh ALLAH ki marzi sai hota hai, har kam ka aik waqt muqarar hai woh usi waqt hota hai. Hamai lagta hai ka hamnai apni mahnat sai apni kismat badaldi actually to woh bhi pahla sai hi decide hota hai. ab yah nahi kahna ka jab pahla sai decide hai har chez to ham mehnat kiyu karain jo hamara naseeb mai hai woh hona hai, yah bilkul sahi hai jo hamara naseeb mai hai woh hona hai laikin ap yah bhi sochlain ka mehnat karna bhi apka naseeb mai hi hai. 2nd bohot si batain hamara mazhab mai aisi hai jinka pechai hamai bhagna nahi chahiya. |
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 1:15am |
|
|
Hangama AND BeautyStar
As-salama_O_Alaikum
BeautyStar . ha ha hahaah
shukar hai aap ko sab kuch samajh aa gaya hai.warnah Yeh Hangama
ki tara aap ko bhi
Tafseel se batana parta.
Hangama aap kay liye.
Main neh
kuch nahin kaha sab kuch josh neh kaha hai.
Hangama pehle
aap ko meri baat samajh aa gayi thi. Aap ne kaha tha kay
(Alveena:
waisa apna to topic ko bilkul hi kahi aur divert kardiya.
Josh na jo
bat ki thee woh aur thee aur ap pata nahi kah nikal gai.))aap ne bilkul sahi
samjha tha.
Aab josh ne aisa kaha hai :
((jo muje samajh lagi wo yehi hai k larkay walay best
larki dhondtay hain or larki walay best llarka dhondtay rehtey hain or time
guzarta jata hai to iska matlab k Alveena ka khayal hai k ham log khud shadi
late kartay hain.)) is mein meri kya ghalti hai?
Aap neh
mujhe yeh kaha hai. (Dear jab aik bat Quran mai likhi howi hai ka har chez ka
waqt pahla sai hi tai hai to ham es bat ko kaisa jhutla saktai hain. Yah sab
aik bahana hai ka larka ki ama ko larki pasand nahi aii, larka ki khala ko
larki pasand nahi ai yah sab aik bahana hai shadi na hona ka laikin jab waqt
ata hai shadi ka to shadi aisa hojati hai ka sab hairan rahjatain hain.)
Main ne
aisi koi baat nahin likhi jis mein main ne Quran mein likhi gayi kisi baat ko
jhutlaya ho .
Hangama
main ne
30 dec 2007
9:36 ko JOSH se yeh kaha tha kay(josh main bhi yeh manti hoon shadi ka
time fix hota hai.) upar aap phir se par lo . sab ki tarah mera bhi ye imaan
hai kay har kaam har cheez ka time pehle se teh hai.
Allah Hafiz
|
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 6:01am |
|
|
Alveena Aisa lag raha hai ka mai court mai agaya hon. Apna to wakalat shuru kardii. Aray JUDGE kon hai jo mujhai saza sunaiga. JUDGE plz plz mera khayal karna aur kam sai kam saza sunana.
Alveena maina to apna aik ezhar-e-khayal kara tha mai kab apko kuch kah raha hon. |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:31st Dec 2007, 6:12am |
|
|
B.Star - Alveena - Hangama (time of marriage)! beautyStar: meri phupho ka bi yehi kehna tha k unki shadi 14 ya 15 sal ki age mai hui thi or apkay parents ki tara meray parents ki bi luckily kafi jaldi shadi ho gaee thi.. punjab mai to jaldi shadi nai hoti, girls ko parhnay ka kafi shok hai or boys career bananay k chakkar mai lagay rehtay hain. or kuch log khoob say khoob tar ki talash mai lagay rehtay hain.. koi na koi dunyavi waja ban jati hai or
Alveena: u are right pehlay 6 to 10-12 hotay they lekin ajkal usually 2-3 hi hotay hain. puranay zamanay k logo nay pakistan ki population barhanay mai aham kirdar ada kia hai..
Hangama: u are right.
Alveena: ap kuchh na keh kar bi phas gaee hahaaa. ham nahi mantay k apnay 30 dec ko kuch kaha tha .. |
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:1st Jan 2008, 4:26am |
|
|
As-salama_O_Alaikum Hangama meri baatein aap ko buri lagi hain is kay liye sorry. aap ka koi kasoor nahin aap ko koi saza nahin sunaye ga. sari ghalti meri hai. asal mein aap ne jab baat shiron ki thi to mujhe aur josh ki aap ne dear bola tha. main jab bhi kissi se larai karti hoon to taanz mein kehti hon dear tum aisi ho, dear tum waisi ho, dear tum ne yeh kiya hai dear tum ne wo kiya hai etc . mujhe aisa laga aap tanz mein ye baatein keh rehe ho. jab bhi mujhe koi dear keh kar baat karta hain nah to mujhe aisa lagta hai kay taanz kar raha hai. aik baar phir se sorry. josh aap kyun nahin mantay aap kya chatay hain kay main phir se wakalat shiroon karon. mujhe wakalat ki aalif bai ka bhi nahin pata. aab main kya karon? Allah Hafiz
|
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:1st Jan 2008, 4:48am |
|
|
Alveena No no no dear. its ok. mujhai apki koi bat buri nahi lagi. Apna etna socha yahi bohot bari bat hai warna yaha to aik at member aisa b hi hai jo bohot hi ------ khair chorain. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 8:39am |
|
|
my comments ye to bilkul sahi bat hai k pehle zamaney mein shadian bht jaldi ho jaya kerti thin...meri ammi ki shadi bi just 17 age mein ho gaye thi....aur aj kal log shadian late honey ki ek waja ye bi hai k rishta dhonndnay k chkar mein shadian late hop jati hain...baki bi bht se factors hain shadi late honey k liye jese k josh pehle explain ker chukey hain apni pehli post mein...
lekin ye bat bi sahi hai k ye sub ek bahana hai...her cheez ka ek time muqarar hai aur usi fix time per sub kam hotey hain....ye sub Allah ka kanoon hai.... main ne to bazurgon se ye bi suna hai k jub bacha paida hota hai to apne sath apni shadi aur apni maut k timings fix ho jatey hain...aur Allah ta'allah apne farishton se keh detey hain k is bachay ki falaan waqt mein shadi ho gi aur falaan waqt mein maut.... agey to sub Allah hi behter janta hai
lekin main ne Quran mein bi ye perha hai k her cheez ka waqt muqarar hai aur her kisi ko us k naseeb k mutabik hi sub kuch milta hai....isi liye to kaha gaya hai k bus logon ko mehnat kerni chahiye koshish kerni chahiye aur bus apne achey naseeb k liye dua kerni chahiye |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 4:28pm |
|
|
time of marriage! thanks everybody for sharing your views and ur participation in this topic.
Conclusion: shadi ka time fix hai or us say pehlay nahi ho sakti par koshish kartay rehna chahiye jab ho jaey to samjhain k time aa gaya tha... |
seriously
|
Group: Members Joined: 12th Dec, 2007 Topic: 24 Post: 313 Age:
57
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 4:41pm |
|
|
Her chaeez ka aik time fixed hay laikin Choon ka hum ko ilm ghaib nahi hay aur hum kisi cheez kay sahi time kay baray main nahi jaan saktay lihaza key-a jao koshish meray dosto. aik na aik din shadi bhi ho hey jai gey.
urdu main kehtay hain:
Shadi na karna kabhi bool kay
Biwi rah ja-a gey galay main jhool kay
Khatmal jab kateen gay palang key chool kay
Tarap kay rah jao gay meray bhai before dakhool kay |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Jan 2008, 6:11pm |
|
|
Conclusion Time of Marriage & Wife is FIXED ....... !
|
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|