submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 6:45am |
|
|
Opinion Required: About Books Publishing
Salaam Friends may aap sab ki ec mamlay may ray lena chahta ho. Mujay kitabay jama karnay ka janoon ki had tak shouq hay aur meray paas ec poori library hay jis may me kitabay jama karta hoo aur un kitabo ki list banata ho. May tariban 2 saal say kiotabo ko URDU may tarjoma karnay ki koshis kar rha ho is waqat tak may 3 kitabo ka urdu may tarjoma kar chukka ho jin kay name ye hay. - Fundamentals Of Geology,( information about earth)
- World Tour( Information about Countries)
- Bermuda Triangle ( ye wo jaga hay jis kay baray may abhi tak israr pay jaya hay)
Mene PAKISTAN may is bat ki shiddat say kami mehsso ki hay kay (hmray molaq ki kehnay ko to qomi zaban urdu hay lekin hmari sari talim English may hay) urdu may kitabay nhi publish ho rhi is liye may nay soch hay kay WESTERNS ki books ko urdu may tarjuma karo takay hmari youth malomat hasil karay. Mene ye bhi decha hay kay hmari ziyada tar youth malomati kitabo ko parnay kay bijay Novels aur Digest parti hay lekin aesi books nhi parti jis say molaq aur qoom ko faiday ho. Jis ki waja achi kitabo ka URDU zaban may na hona hay. WEST nay muslims scientist ki books ko Urdu ENGLISH may tarjoma kar kay taraqqi hasil ki jis say WESST agay nikal giya. Aur hum pichay reh gay. Mene apni tarjoma ki hoi kitabo ko apnay waldane Azizo waqarib aur dosto may paraya hay, un sab logo nay undazay biya aur tarze tehrir ki tariff ki hay un ka kehna hay kay meri tehriro may ec rawani pai jati hay, Ab aap ray day kay may kiya karo. Aap btay aap kiya sochtay hay kiya aap kitabay partay hay ya nhi agar partay hay , to konsi kitabay partay hay ziyada tar, Aur wo log jo SCIENCE books partay hay wo bhi mujay replay day. Aap kay jwabat ka muntazir, Sub-Engineeer Yahya Arshad Pakistan Navy Dockyard
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 6:57am |
|
|
yahya bahi bohat acha shok hai app ka well bari khushi hoi k ap ka talouk b armed froces say hai |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 8:49am |
|
|
submarine i do read books,right now i m readin one book the name of the book is( NO EXCUSE I M DOING IT) BY JEFF RIEFENBERRY.Yeah basicly 1 motivetional book hey.Or i want to ask u something app books read kartey haien to app ko 1 book key barey maien pata ho ga uss ka nam hey QURANI AYAT OR SCIENCE TEHQEEK yeah book i think kisi turkish Dr ney likhi hey i have that book in urdu mujhey wo book english maien chyea kiya Pakistan may avalible hey?Ku key may wo book appney kuch co-workers jo key non muslims hey ko dena chati hoon ku key wo book bhoot hi achi hey uss mey qurani ayat key barey maien bataya gaya hey key jo kuch quran hummey 1400 sal pahley bata chuka hey wo science ajj bata rahi hey bhoot detailed book hey app plzz mujhey batien key may wo book english maien kaha sey ley sakti hoon?Plz reply zaror kijea ga |
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 8:59am |
|
|
saima arif aap nay jis book kay baray may kha hay us book k shayad kuch topic Ummat Akhbar aur Hamdard Nonehal may publishh huway hay
aur jha tak aap ka ye swal hay kay is book ka english version ka to mere khiyal me kay Pakistan may mushkil hi hay k milay lekin aap search kar lay Basically me jo books parta ho wo Sciency, Discovery , aur Science fiction ki kisam ki hoti hay.
aap ki matloba book aap ko Pakistan may bohat mushkil say hi milay gi lekin net par aap GOOGLE may SEARCH kar lay zror mil jay gi lekin us kay liye wo CREDIT CARD mangtay hay
may bhi aap ki book search karta ho aap bhi search karay shayad mil jay GOOGLE par ja kar BOOKS kay option may ye type kar kay search karay
" Quran Verses and Science Experiments"
ya phir
"Quran Verses and science"
wese aap kis kisam ki books parti hay |
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 9:05am |
|
|
Saima may aap ko search kar kay dobaray reply karta ho agar milti hay
|
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 9:07am |
|
|
thanx thanx for ur reply,may ziyada ter motivetional books parhti hoon 1 book ka nam app ko batati hoon app wo zaror read karien or agar uss ko app urdu may likh kar logo ko dey saktey haien to zaror dien
RICH DAD POOR DAD
BY
ROBERT KIOSAKI
kiosaki marey khyal sey mispell hey app searh karien gey to sahi pata chal jaiee ga |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 9:08am |
|
|
sab app ko jo maien ney book ka name pahley bataya tha wo search ki?mili app ko? |
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 11:27pm |
|
|
saim aap nay jo book ka name btaya hay us k miltay jultay name say bohat si books arhi hay ab us may aap ki btai hoi book konsi hay ye nhi pta chal rha
may apni acedmic education complete karnay k baad shi tor par book conversion ki field may jao ga aur wese motivational book ka idea bhi acha hay is say pakistani qoum ka morale high hoga aur encourage hongay
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:17pm |
|
|
Sub-Marine Engineer (Yahya Arshad) MashaALLAH buhat hi acha shauq hai app ka... Maiyn Books kam hi read karta hoon zayadah tar Articles hi read karta hoon woh bhi abb sirf Internet per... ALLAH hum sab k ilm ma izafa karey (Ameen)
Hamzi-Brother... app bhi Armed Forces ma hain.....? Joo app ne "Bhi" ka lafz istemaal kiya hai...? well bari khushi hoi k ap ka talouk b armed froces say hai
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:19pm |
|
|
Beautystar aap books read kyun nahi karte, agar main aap ko books send karoon to read karo gay????ya bech ke pakorray kha lo gay??? |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:29pm |
|
|
bs yar its great tu c u bak on the board well hows ur mother now? |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:32pm |
|
|
BS kya howa aap ki mother ko??? Allah un ko salamat rakhe , meri duain aap ke sath hain |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:35pm |
|
|
Topic Diversion (Hamzi & Babar) http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=8087
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:39pm |
|
|
Babar-Bahi Maiyn Books read nahi karta hoon abb... kyun k mujhey Internet per reading zayadah aasan lagte hai... maiyn Internet per 10 hours bhi reading kar sakta hoon magar Books sirf 1 hours...
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:42pm |
|
|
internet pe 10 hours yar lahta hai tum apnay college k zamany main phir mery jaisay student ho jaykitab aik hour:P |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:45pm |
|
|
(lol) Exactly.. app ne sahi pechana (Hamzi)
|
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 5:46am |
|
|
B.S Wese may aap say ec bat kho jitni bhi taraqqi ho jay aap Purani chizo ki ehmiyat say inkaar nhi kar saktay for example:
aap nay kha kay may internet par books read karta ho
aap internet har jaga nhi use kar saktay jab kay aap ec book har jaga parh saktay ho jesa kay. Bistar may, chair par, khana khatay howe, Safar kartay howe, lete howe, yha tak kay aap TOILET may bhi book par saktay ho,
Ye sab kehnay ka maqsad ye hay kay Book reading kay jo maza ec book parnay may hay wo na hi net par parnay par hay aur nay hi computer par parnay may he |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 7:12am |
|
|
subm app ko book ka nam or author ka nam dobara batai hoon
NO EXCUSE I M DOING IT
WRITTEN BY
JAY RIFENBARY |
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
26
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 10:01am |
|
|
Saim Thanx for it.
I will try my best to find it and to translate it |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 12:16pm |
|
|
Submarine-Engineer Ap ki baat bilkul durust hai Engineer Sahab..... but mujhey Computer per read karna zayadah aasan lagta hai... yahan tak k kabhi kabhi maiyn apne PC ki troley khench kar bed k kareeb laey aatah hoon aur bardey aram se lait kar reply kar raha hota hoon iss forum per.
|
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|