Web Designing: Make Money At Home Step - I
aap ne aksar suna aur parha ho ga keh bazaria internet ghar baithe dollar kamai, aksar log yeh samajhte hai keh iss qisim ki baatai dhoka aur fraud hoti hai, aur ghar baithe dollar kamaya nahi jaa sakta. lekin yeh haqeeqat hai keh ghar baithe bazaria internet dollar kamaya jaa sakta hai. Internet ke zaria dollar kamane ke beshumar tareeqe hai, lekin sab se ziadah reliable aur popular tareeqa yeh hai keh aap website banaye, aur os per google ad laga ker dollar kamai. ham yaha per iss poore process ko step by step batai ge takeh aap bhi asani se ghar baithe dollar kamane ke qabil ho jaaye. bazaria website dollar kamane ka step by step tareeqa yeh hai: - Step - 1: Website banana (web designing)
- Step - 2: Domain Registration and Hosting
- Step - 3: Website chalana (Web marketing)
- Step - 2: Website se kamana (Google Adsense)
iss article mai pehla step bataya jaaye ga, baqya step comming article mai bataya jaaye ga. Web Designing Types of website: Web site two qisim ke hote hai Static website ka matlab yeh hai keh aise pages banane jo constant rahe, tabdeel na ho, jab keh dynamic pages ose kehte hai jo change hota rehta hai. noorclinic per jo books mojood hai os ke pages static hai, yeh khood bakhood tabdeel nahi hote, jabkeh forum ke pages dynamic hai, kisi bhi member ke reply per page mai tabdeeli ho jaati hai. static website banana bahut hi asan hai, iss ke liye bahut ziadah qabliat ki zaroorat nahi hoti. jabkeh dynamic website banane ke liye aap ko professional computer programer banna perta hai, zahir hai keh har koi professional programmer nahi ban sakta. agar aap static website banana chahte hai tu aap kisi bhi computer institute se Front Page ya Dreamweaver ka course ker sakte hai, yeh course aasani se 2 months mai kia jaa sakta hai, iss course ke saath saath basic HTML bhi seekhna perta hai, lekin agar aap simple si website banana chahte hai tu HTML seekhe beghair bhi aap Front Page ya Dream weaver per website bana sakte hai. static website coding seekhe beghair bhi banaya jaa sakta hai. Dynamic website ke liye aap ko coding seekni perti hai PHP ya ASP seekhna perta hai, aaj kal log ASP.Net seekh rahe hai, dynamic website ke liye aap ko darj zail courses kerne pare ge: -
ASP ya PHP ya ASP.Net -
Java Script -
MY SQL ya SQL Server yeh courses general people ke liye kafi mushkil hote hai, albatta computer student ise aasani se seekh lete hai. lehaza agar aap computer professional nahi hai tu phir aap ko baqaida computer ki taleem leni pare gi, iss per aboor hasil kerne ke liye kam az kam 3 years ki mehnat zaroori hai. aap ko thora bahut graphic ka bhi kaam aana chahiye, graphic ke liye aap ko thora bahut Photoshop bhi aana chahiye. agar aap urdu per kaam kerna chahte hai tu phir Inpage bhi aana chahiye. Inpage aur Photoshop bhi 2 month mai seekha jaa sakta hai. agar aap computer professional hai tu mera mashwarah hai keh aap dynamic website banaye, jabkeh jo log computer professional nahi hai on ko mashwarah hai keh woh log static website banaye. Web Site Kis Topic Per Banani Chahiye? Website sirf aur sirf os topic per banani chahiye jis topic per aap ko aboor haasil ho, jis topic per aboor haasil na ho os topic per website nahi banani chahiye. matlab yeh keh aik wakeel ko law ke oopar website banani chahiye tu doctor ko medical website. isi tarah agar aap ko urdu adab o shairi se lagao hai tu aap ko urdu adab aur shiri per website banani chaiye. agar aap ko politics se lagao hai tu politics per aur religion se lagao hai tu relious topic per website bnani chahiye. aap website se tab hi kama sakte hai jab aap ose taraqqi de, taraqqi aap osi website ko de sakte hai jis per aap ko aboor haasil ho. website darasal aik magazine hai, zahir hai keh magazine mai likhne parhne ka kaam hota hai, lehaza jis topic per aap ki knowledge na ho os topic per aap magazine kaise nikal sakte hai. mojooda Article ko yahi per close ker rahe hai, takeh yeh bahut ziadah lamba na ho jaaye. albatta iss article (web designing) se related jo bhi sawal ho aap mujh se pooch sakte hai. Comming Articles Step - 2: Domain Registration and Hosting Step - 3: Website chalana (Web marketing) Step - 2: Website se kamana (Google Adsense)
|