khangi61
|
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 103 Age:
53
|
|
Posted on:13th Aug 2007, 11:13pm |
|
|
Vision Of Quaid: Do We Deserve 60th Birth Day Of Pakistan
aaj pakistan ki 60th birthday hay' tamam ahley pakistan ko AAZADI MUBARAK ho. lamhae= fiqarya hay. Do we deserve the 60th birthday of pakistan pakistan main jo b politically ho raha hay.kia Pakistan issi maqsad k liyey banaya gia tha. kahin mum apnay maqasad say phir to nahi gaye hain.Pakistan ka mulab ki la a la ha illulah kia hum la ki lam tuk b pohnch pae hain. dostoon ko dahwat hay keh apnay khayalat ka izhar karain.
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:14th Aug 2007, 9:30am |
|
|
Very Sorry To Say! Khair Mubarak (agar ap samajhty ho k aj ka Pakistani azad hai). mai nahi samajhta k koi azadi kay jashan manany chahiye, bcoz jab k gen.mushrf sab aye hain inho nay mulk ka baira gark kar dia hai, apny hi muslim brothers ko muslims k hatho marva rahay hain, kabi wo wakt tha jab kisi masjid ki behurmati hoti thi to muslims ka khon khol uthhta tha, or aj ye wakt hai k hamari apni Army msajid ki be-hurmati kar rahi hai.. jis Army ki kabi tamam Pakistanio mai be-panah izzat thi, aj usi army k khilaf pura pakistan hai (chand logo k ilava). wo mushraf sab jo kabi benazir sahiba ko chor kehtay thay, suray mahal or pata nai Gaddari k kitnay cases un par chalaye aj wohi unkay kadmo mai giray paray hain or bheek mang rahay hai k mujsey dosti kar lo.. chor ka sathi bi chor. |
shahje2008
|
Group: Members Joined: 15th Aug, 2007 Topic: 8 Post: 37 Age:
30
|
|
Posted on:15th Aug 2007, 9:59am |
|
|
Vision Of Quaid
bilkul dost josh tum sahi kah rahay ho. |
khangi61
|
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 103 Age:
53
|
|
Posted on:15th Aug 2007, 9:44pm |
|
|
josh
josh saab azadi ka to inkar nahi hay. laikin main nay neechay kuch aur baatain b likhee theen.azadi ki baat kartay ho to phir azadi ki qeemat palestinians say poocho, azadi ka mutlad aaj iraqis say poocho. azadi k mahni kosovans say poocho.
main to kehta hoon keh khuda ka laakh laakh shukr ada karain.
mistakes hain un ko theek kia ja sakta hay. yeh to hum sub ki responsibility bunti hai keh apnay rulers ko theek karain. magr after 5 years jab yeh log hamaray paas aatay hain to hum sub bhool jaatay hain aurunhain agai elect kar k phir bhaij daitay hain.qasoor un ka b nahi. jaisay humray aml hain waisay hi humaray rulers b rahain gay. apnay amal achay nah karain gay to yeh aisa hi chalta rahay ga.
khuda nay aaj tuk us qaum ki halat nahi badli, nah ho jis ko kayal aap apni haalat k badalnay ka. hamain apnay garaibaan main munh daal kar dekhna chaheyey keh hum nay apnay aap ko kitna sudhara hay. wagarna maataum kartay rahyey. |
| |
khangi61
|
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 103 Age:
53
|
|
Posted on:15th Aug 2007, 9:50pm |
|
|
shahje 2008
shahje saab aap apnay comments b to dain keh aap kia samajhtay hain. aap to city of politics main rehtay hain. kia yeh log chehray badal badal kar nahi aa rahay, to is ka zimmadar kaun hay, hum kud na. jo log kal tuk benazir aur nawaz sharif ki tareef kartay nah thuktay they wo aaj mushrraf k geet ga rahay hain. to yeh log yahan tuk kaisay pohnchay hain. hum nay hi to un ko elect kia hay.
so how can we think thatPakista's fate will be changed. this may be our destiny. so lets promise to change our destiny, change the fate of Pakistan, togerher we can do that. |
|
josh saab azadi ka to inkar nahi hay. laikin main nay neechay kuch aur baatain b likhee theen.azadi ki baat kartay ho to phir azadi ki qeemat palestinians say poocho, azadi ka mutlad aaj iraqis say poocho. azadi k mahni kosovans say poocho.
main to kehta hoon keh khuda ka laakh laakh shukr ada karain.
mistakes hain un ko theek kia ja sakta hay. yeh to hum sub ki responsibility bunti hai keh apnay rulers ko theek karain. magr after 5 years jab yeh log hamaray paas aatay hain to hum sub bhool jaatay hain aurunhain agai elect kar k phir bhaij daitay hain.qasoor un ka b nahi. jaisay humray aml hain waisay hi humaray rulers b rahain gay. apnay amal achay nah karain gay to yeh aisa hi chalta rahay ga.
khuda nay aaj tuk us qaum ki halat nahi badli, nah ho jis ko kayal aap apni haalat k badalnay ka. hamain apnay garaibaan main munh daal kar dekhna chaheyey keh hum nay apnay aap ko kitna sudhara hay. wagarna maataum kartay rahyey. |
| |
khangi61
|
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 103 Age:
53
|
|
Posted on:15th Aug 2007, 9:53pm |
|
|
mistake I think two parts of communication posted together as I didn't delete the previous one. Please accept my appologies for that. |
shahje2008
|
Group: Members Joined: 15th Aug, 2007 Topic: 8 Post: 37 Age:
30
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 5:07am |
|
|
Khangi61
dost may kaya comments doon jo kuch ho raha app sub logoo k samanay hay.
hum log kaya ker saktay hain ker b tu appnay he bahno bhyoon ki janay jati nazer ati hain jasa lal masjed may howa or buhat say assy waqya huway hain jo hum sup jantay hain.ya sub kuch kon kerwa raha hy kis ka hat hy ya politics hy ya kuch or.
i dont no but i pray to ALLAH k hamray pakistan ko mahfooz rakhay or pakistan k logo ko shaad abad rakhy (ameen) |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|