Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Valentines Day In Islam: Should We Celebrate It?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
* Noor Clinic *
k_shumail Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 2  Post: 85  Age:  29  
Posted on:3rd Aug 2007, 10:19pm
 

Valentines Day In Islam: Should We Celebrate It?

Salam to all members

                kia humain velantine's day manana chaheyye?

loog kehte hain ke jab hum apni jang larne ke din manate hain tu year main ek din mohabbat ka bhi mana sakte hain

lekin as a muslim hum ko ye suit kerta hay ke hum       st .velantine kee yaad ko taza karain  

aur us din jo Rs.  flowers , gifts  cards aur dinners pe zaya hote hain us se kisi ghareeb aur mohtaaz kee madad karin (balke ek din hum ager ye mana lein (Zakaat fitra ke alawa) ke aaj k din hum ne kisi besahara  mohtaaj ghareeb kee madad kerni hay tu ye ziyada accha na hoga?

kion ke manane ko Allah tala ne humain buhat acchay tehwaar diye hain jin main hum gifts ka tabadla ker sakte hain

                

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:3rd Aug 2007, 11:02pm
 

Valentine Day In Islam


  1. Pehlay tu ham yeh baat samajh lain kai islam koi badge ya sticker nahin kai jis nai laga lia woh muslim ho gaya. muslim apni marzi sai, islami taleemat per amal karta hai, tabhi woh muslim kehlata hai, yeh nahin kai jis baat ka mood hua kar li, jo baat buri lagi chor di. sirf muslim kehlanay sai jannat alot nahin ho gi.
  2. islamic way of life main, un-necessarily na-mehram sai milna, us sai baat karna, us ko choona, ya us ki awaz sunna bhi mana hai (aur jo baat mana hai agar woh karain tu guna hai, sawab nahin).
  3. necessities main kuch exceptions a jatee hain jo aap log behter samjtay hain, but gf, bf is not necessity balkay zana ka aik darja hai. (because this relation is established based on sexual basis, aur na mehram ko galat nazar sai dekhna hi ankhon ka zana hai.niyaton ka hal Allah behter janta hai.
  4. based on above, islam main is din ki koi importance nahin balkay is ko aik LANAT samjhna chahiye jo kai western society ki paidawar hai.
  5. is din ko mananay kai liye hamari young generation LAME EXCUSES banatee hai kai muhabbat ka din hona chahiye, piar ka paigam phailna chahiye, nafratain mitnee chahien. tu bhai yeh sab aap na-mehram kai liye hi kion makhsoos kar rahay hain?? aur sirf opposite gender tak hi makhsoos kion??mera khayal hai agar aap is tarah ka paigam-e-muhabat nahin phailain gai tu aap ko sawab hi milay ga gunah nahin.
  6. agar muhabbat ka paigam phailana hai, aur koi din manana hai tu phir apnay parents sai kion nahin, bhai behan, rishtay dar, dost ahbab, gareeb logon sai muhabbat ka izhar karain. ghar main tu baat tak karna pasand nahin kartay aur bahir opposite sex sai ishq farmnay ko muhabbat ka paigam kah rahay hain, very nice.
  7. aur wiasay bhi Allah taalah nai jaiz muhabbat ki feelings ko sab kai saath share karnay kai liye hamain 2 Eids ka gift dia hai. jab aap gifts bhi dain, flowers bhi dain, cards bhi dain aur jaiz tareeqay sai khushi bhi manaen. yeh din Allah nai as "Love and care showing" day kai taur per hi diye hain agar aap samjhain tu.
  8. hamain khushian mananay aur piyar kay izhar kai liye kisi st valentine ki zaroorat nahin. haan western society nai illegal sex kai liye aik din waqf kar dia hai, ham bhi chahtay hain kai woh hamaray liye bhi ho jaye. un kai han tu yeh cheez normal dinon main bhi mana nahin, aap bhi kion aik din per paband hain.
  9. hamari generation (woh jo is ki favor main hain) ka problem hai kai ham hain tu muslim, lekin islam main illegal sex allow nahin.agar aaj koi keh dai kai yeh allow hai (astagfirullah), tu in logon kai sab maslay hi khatam ho jaen. (Allah maaf karay)
  10. laikin aisa kabhi nahin ho ga, tu behter hai keh jo log is ki favor main hain, woh aik din kai liye christian ho jaya karain. kion kai as muslim, yeh buhut bara gunah hai. is din  mostly expression of love jis method sai hota hai usay ILLEGAL SEX kehtay hain.
  11. my muslim brothers, dont forget your identity and your base, Allah ka laakh laakh shukar ada karain kai aap by birth muslim hain, aur aap ko aqal di gayee hai. is baat ko galay ka phanda mat samjhain.

Regards.

Note:

Point 10 main yeh sentence tanzia likha gaya hai:

" laikin aisa kabhi nahin ho ga, tu behter hai keh jo log is ki favor main hain, woh aik din kai liye christian ho jaya karain." because islam main ijazat nahi.

aur islam sai nikalnay walay ki duniya aur akhirat main saza aap ko pata hi ho gi.

Clarification was needed because hamari young generation ka kuch pata bhi nahin hai. Allah sab ko sirat-e-mustaqeem per chalaye. ameen

k_shumail Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 2  Post: 85  Age:  29  
Posted on:4th Aug 2007, 11:26pm
 

Re faisee

wonderful reply faisee tum ne buhat zaberdast aur tafseeli reply kia  mayray insist kerne pe thanx a lot

tumhara point #6 and 7 really loog ye soochain ager tu aesi fazoliyaat main na parain ke un kee muhabbat pe jin ka pehla haq hay un ko tu dein pehle

brother main point #10 samajh  gaya thaa lekin ye bhi sahi likha tum ne ke aaj kal ke teen's apne faide ko dekhte hoye aesa likha hoa dekhain tu amal bhi ker lein ke wahan likha hoa tu thaa

yaar tumhare replies ka jo style hay use dekh ke mujhay apnay big bro. yaad aate hain jo pak . main nahi rehte   :(  aur tum ne bhi un kee trah word valentine pe alag se ghalti nikalne ke bajaye khud hee sahi ker ke likh dia hehhehe (sorry )

Allah bless u

thanx again

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  34  
Posted on:4th Aug 2007, 12:15pm
 

Re VALENTINE'S DAY

Assalm o Alikum

                         faisee aap ne buhat acchi tarah se valentine's day k liya likha jin countries se ye start hoa hay aap yaqeen karain wahan ab itna nahi manaya jata jab k pakistan main loog apne tehwaar chour k is ko ziyada importance dene lagain hain

angrezoo k naqsh e qadam pe patanahi loog kion chal k apnay aap ko buhat bara samjhne lagte hain un ko ager ager  follow kerna hay tu un main jo "kuch" acchai hay as a good citizen us ko follw karain rules and reguletions ka khayaal rakhna kisi ka haq nahi marna helpfull hona  country kee taraqqi k liye din raat kaam kerna

lekin humare haan ye haal hay k sirf angrez kee behayai ko follow ker k loog kush hain  jo haal valentine's day kee maqbooliyate ka chal raha hay  tu us ko dekhte  hoye wo din door nahi (Allah na karay) k loog x.mas easter goodfriday victoria day aur halloween bhi manane lgin gay

Allah hum san ko aese waqt se bachaye aur aqal de Aameen

 

khoobsurat Group: Members  Joined: 06th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 325  Age:  29  
Posted on:4th Aug 2007, 12:40pm
 

valentine's day

koi kuch bhi kahe, khoobsurat to apne dil ki baat kahegi.

valentine's day celebrate karna chahiye.

Hamari zindagi mai itne problems, tensions aur worries hain ke un se nikalne ka koi rasta hi nahi hai. aese mai agar ek din ham mohabbat ke naam karden to kiya hamara islam khatrey mai par jaega(allah na kare). jab har roz sham ko sari family beth kar neighbour country ke tv channels aur un mai mojood hinduism ki pubilicity dekhte hain aur apne bacchon ko bhi dekhate hain, tab  hamara islam khatrey mai nahi parta??? aur im sure ke faisee aur shumail ke ghar mai bhi yahi sab hota hoga, m i right???

jab shadi ki rasmoon mai hazaron hinduana rasmain, fashion aur riwayat ke naam par ki jati hain(mayion, dholki, mehndi, etc etc) woh sab ghalat nahi hai??? woh paisa bhi to ghareeb logon mai banta jaa sakta hai. aur im again sure ke faisee aur shumail ke ghar mai bhi yahi sab hota hoga, m i right???

aap log sirf tasweer ka ek hi rukh dekh rahe hain, kiya valentine's day sirf ek larki aur larke ke piyar ka naam hai, nahi, mai nahi manti ke piyar sirf  naa-mehram ke darmiyan hi ho sakta hai. kiya ham apni maa se, baap se, family se, biwi se, shohar se, bacchon se piyar nahi karte to kiya bura hai k agar ham ek din en sab logon ke sath khush reh kar guzaren.

mai manti hoon ke aj kal valentine's day ke naam par jo behoodgi aur be-hayaii hoti hai, woh sab nahi honi chahiye, sab gunah hai but kiya apni family, apne rishtoon, apni mohabbatoon ke saath valentine's day manana gunah hai????

k_shumail Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 2  Post: 85  Age:  29  
Posted on:4th Aug 2007, 1:04pm
 

Re khoobsurat sister

khoobsurat behen thanx aap ke reply kerne ka

aap ne jo baat likhi hai ke zarori nahi valentine's day hum na mehram ke liye hee manain main ne aur faisee ne ye hee likha hay aap ne note nahi kia ke jin ka haq hay un ko tu pehle dio muhaabbat maan baap , bhai , behan  mian bivi aur bacchay hum dono hee likhna bhool gaye abhi shadi nahi hoi na is liye khayaal nahi raha

 insaan rozna se hat ke zara frash ho jaye aur  pakeeza piyar mohabbat ke liye aesa din ho koi tu us ke liye Valetine day ka naam kion ho

aap ko pata hay Valentine day kee History???  ek CHATHOLIC CHRISTIAN  jis ka naam thaa saint VALENTINE ye us kee yaad hay us ko na mehram se muhabbat kerne pe saza mili thee is din  (kuch aur bhi hogi history ) lekin humare liye itna hee kafi hay ke ye kisi CHRISTAIN kee yaad ko taza kerne ke liye CHRITIAN manate hain

tu hum ne bhi kia zarori hay usi din wo kaam karain ager itna accha lagta hay tu koi aur din kisi aur naam se makhsos kia jaye

aur aap ne likha ke mayra ghar main cable hoga mujhay zarorat tu nahi aur hsayad kisi ko yaqeen na bhi aaye lekin main bataon Allah kee qasam kha ke k cable nahi hay mayray ghar main  na hee shadi biyah main fazool rasoomaat hoti hain  seprate hota hay sab  larkion ko daaf kee ijazat tu Islam main bhi larkiyaan alag bayth ke wo sab ker leti hain haan

haan ager kuch ghalat hota hay dunyawi lehaz se wo main manta hoon wo bhi nahi hona chaheyye kion ISLAM main tu ye hay ke jitni saadgi se shadi ho utni hee us main barkat hoti hay

khoobsurat Group: Members  Joined: 06th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 325  Age:  29  
Posted on:4th Aug 2007, 1:28pm
 

Re: k_shumail

bhai mujhe valentine's day ki history maloom hai. but app mujhe yeh batao ke Ramzan mai American President muslims ko Iftaar dinner deta hai to kiya woh muslim ho gaya??? hindu muslims ke sath eid manaen to kiya woh muslim ho gaye???

Islam har shakhs ka personal matter hai, aur hamara emaan itna kamzor to nahi ke sirf valentines' day manane se toot jaye(astaghfirallah) Islam to dilon ka mamla hai, jis ka dil allah apni taraf pher de!

meri batein mind mat karna, mai bas yeh kehna chahti hoon ke koi festival/day/celebration/event  bura nahi hota hai, balka logon ke sochne ka andaz us ko acha ya bura bana deta hai, jo log es din ke naam par badkirdari karte hain, un ki waja se yeh din muslims mai bura samjha jata hai.

baat sirf soch ki hai, aap ki soch paak ho to es celebration mai koi burai nahi. Mai bhi yeh din, apne parents, inlaws aur husband ke sath celebrate karti hoon. ab ke valentine's day par mera beta bhi mere sath hoga (he is 2months old). kiya yeh khushiyon se bhara howa din kisi ko bura lag sakta hai?

khangi61 Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 6  Post: 103  Age:  53  
Posted on:4th Aug 2007, 2:05pm
 

valentine's day celeberations

faisee saab na valentine's day ka ta'ulaq christian say jorra hay, jab ka yeh roman's ki yaadgar hay.yeh festival 1700 years ago roman main manaya jaat tha.14,15 feb. ko.

yeh aik pagan(old country dwellers) yahni kay paranay rural logoon kay belief ki yaadgar hay. wo log roohani mahabbat k taur per idols worship kia kartay thay, jubkeh mislims k nazdeek worship ka mahwir Allah ki zaat hay.

doosra romans k nazdeek is festival ka connection aik aisi power aur quwaat thi jis ko aik sound mind qabool nahi kar sakta, jab k muslim k nazdeek taaaqat ka serchashma Allah ki zaat hay.romans ka khayal hay keh roman cit k founder ki she wolf nay nursing ki thi, is liyey wo bahot taaqatwar ho gia tha.think.

is din romans dog aur goat ko sacrifice kar k is k blood say do youth ko nehlanay k bahd un ko milk say wash kartay, wo think kartay k is say un k under sudden change of feelings ho jaati hay. a sound mind doesnot accept it.

saint valentine and is festival k baray main kahi baar questions arrise huway hai. is christian ko issay reject karna chahiyyey, let alone muslim.

italy k christian clergy nay is festival ko reject kia hay. us ka khayal hay k is say young people k attitude per bura asr parr raha hay. lahaza muslim k liyey kahin behtr hay k wo is ko denounce karain.

another point of view to celeberate valentine's day is that people think during mid feb. its birds mating season so they try to coincide it with the nature. but they orget humans are far better than birds and all around the year they can mate. so think

is festival ko manana, roman ki wo yaad taaza hoti hay yahni k idols worship. aur shirk ka mutlab sub hi samujtay hain.

valentine day celeberations ka mulab yeh b hayk illicit relationship between unmarried pairs,and in islam you know the punishment of adultry.

so its better to avoid celeberating these kinds of restival, rather we should celeberate our religious festivals.

 

k_shumail Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 2  Post: 85  Age:  29  
Posted on:4th Aug 2007, 2:26pm
 

Re khangi uncle

thanx kahngi uncle buhat acchi tarah aap ne Valentine's day kee history batai mujhay  itna kuch nahi pata thaa

wayse main ne aur faisee ne christain likha hay tu theek hee tu hay roman catholics christain hee kee tu branch hain ?? kia main sahi keh raha hoo??

aap kee maloomaat ziyada hain aap sahi bata sakte hain shayad

main ne 1st time post kia tu kuch prblem ho gai thee us post main is liye aap kee post wahan nahi gai is liye ye new post start kerni pari

thanx and Allah bless u

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:4th Aug 2007, 5:32pm
 

Re: khoobsoorat

agar aap apnay parents aur family kai saath enjoy kartee hain tu I think is main koi burai nahin as far as culture is concerned. Islamically still main koi baat nahin keh sakta kai Allah nai fazool kharchi sai bhi mana farmaya hai.

Laikin aap kisi bhi gair islamic relation main shareek nahin hoteen balkay apnay inlaws, parents aur siblings ko shareek kartee hain tu phir aap ki marzi hai, is ka woh gunah nahin.

aur history ki tu buhut si riwayat hain jis main aik dafa aik king nai shadi per pabandi laga di thee tu valentine khufia taur per larkon aur larkion ko milnay ki arrangement karta tha (I m not confirmed, buhut si batain hain).

anyways, aap apni family main khushian bantna chahtay hain tu jaisay aap ki khushi, laikin is ko valentine tak makhsoos rakhna samajh nahin ata. thanks
khangi61 Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 6  Post: 103  Age:  53  
Posted on:4th Aug 2007, 10:13pm
 

k_shumail

k_shumail if you read it again you will see that those people used to show their love to worship the idols but christian don't worship idols.

another reason for valentine's day's name is that a christian namely valentine was imprisoned and he fell in love with jailors daughter. he used to write her and at the end of letter he used to write from "your valentine"

i also refered to an italian christian clergy who denounced celeberation of valentine's day.

however its mostly owned by christian.

taht's what i know

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 240  Age:  34  
Posted on:4th Aug 2007, 10:45pm
 

RE KUFFAR kee mushabihat se mana

Assalam o Alikum

Members aap ko maloom hay humare PIAYRE NABI HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA(S A W ) ne kuffar kee mushabihat se bachne kee talqeen farmai hay  famaya hay "  jo shakhs jis Qoum kee mushabihat ikhtiyaar kerta hay wo inhi main se hay  "Bukhari hadees (5320)

Sura e BAqra main Allah tala farmate hain "aur yahoodi aur Eesaai (chritain) tum se her giz razi nahi hoon jab tak k tum in k tareeqoon ko na apna loo " SURA E BAQRA (120/2)

RASOOL (S A W ) jab madina tashreef lai tu in k haan 2 din muqarrar thay jin main wo khelte thay ya jashn manate AAP( S A W) ne poocha ye 2 din kesay hain ?bataya gaya k ye humareay JAHLIYAT k din hain jin main hum khela kerte thay  is pe AAP ( S A W) ne farmaya

"bila shuba Allah tala ne in k badle main tumhain in se behtar 2 din de diye hain yani EID aur EID UL AZHA  k din -"Abu DAwood(1134)

is k alaw bhi Allah k rasool ne humain kuffar se mushabihat se buhat see baaton per mana farmaya hai yahan itna ziyada type nahi kia ja sakta warna sab likhti main

lekin aap is se andaza lagin k PIYARE NABI (S A W) ne apni tazeem k liye kharay honay walo tak ko kia farmaya sirf is liye k kuffar se mushabihat na

sahi muslim (413)

" abhi abhi  tum ne ehl e AJAM jesa kaam kerna chaha k woh apne badshahoo k liye kharay hote hain aur in k malook o badshah bethay hote hain "

ab idher behass dar behass kerna k janab sirf is k liye hee kion kaha ja raha hay ya mrs safeena aap kia kia ker leti hain tu ye aap loogon kee marzi hay kion k ye sab mayray apny word nahi hain mujhay jo ahadees nazar  main aain main ne post ke subject k lehaz se aap sab ko bata dein  hum  sab jante hain k hum kin kin baatoon main kuffar kee perwi ker rahay hain?? aur ye bhi jante hain hum sab k hum ko nahi kerni chaheyye ager nahi jante thay tu ab parh lejiye  main ye nahi keh rahi aur ye sab baatin main sirf aap k liye nahi balke hum sab muslims k liye hee keh rahi hoon jin main main bhi shamil hoon

Allah humain Sirat e Mustaqeem pe chalye Aameen

 

 

farhanshah Group: Members  Joined: 04th Jul, 2007  Topic: 2  Post: 46  Age:  44  
Posted on:24th Aug 2007, 2:24pm
 

Re: valentine's day & KUFFAR SAY MUSHABIHAT KI MUMANIYAT

oper de gai HADITHS parhnay kay baad tu aur ziyada ehsas hota hay kay hum muslims ko bilkul bhi is tarah kee celebrations ko celebrate nahi kerna chayye.

Hadith aur Ehraam e Elahee ki roshni main dekha jaye tu kitna bara gunha hai ye lekin hum aam tur per ye keh ker bari uz zimma ho jaty hein kay is tarah ki chouti mouti khushiyoon ko celebrate kerne se kisi k ISLAM main kiya farq paray ga

wesay ye sab read kerne kay bad ab ap logon ki kiya rai hai?k

AK-47 Group: Members  Joined: 10th Aug, 2007  Topic: 1  Post: 128  Age:  30  
Posted on:24th Aug 2007, 2:31pm
 

hmmm

Well

valentines day, mothers day, fathers day , this day thats day sab bakwaas hai ..Hamaray culture mai aisa koi concept nai . Allah ka hshuker hai hum log apnay parents kay saath rahaty hain apni family kay saath rahtay haiun apnay doston kay saath miltay hain

Westers logon kay paas time nai hota kay woh kisis ko millain un ko to yeh nai patta hota kay father mpther kon hai un ka

ab app khud sochain Saal kay 365 days mai say sirf aik day he mothers ya fathers etc day hum un say pyar kartay hain ? yeh bewaqoofi hai . hum log western logon kay daikha daikhi har cheez adopt kartay ja rahay hain patta hai nai kay asal mai yeh hai kiss liyea

same is the case in Valentine day... yaar un logon nay to har second day apni gf ya wife change karni hoti hai... hum tahray eastern log aik kay satah he sari liufe guzarni hia,... Ab aik rose daunay say ya aik day rakh laina say koi special nai ho jata... weekends pay apnay life partner ko saath lay kay niklain ghoomain phirain har week valentines manain.

Mai yajhi kahonga baqi ap sab ka apna apna pinion ho ga

thanx all tc every one

Hangama Group: Members  Joined: 02nd Dec, 2007  Topic: 39  Post: 1284  Age:  38  
Posted on:30th Jan 2008, 5:56am
 

go a head

Valentines days celebration karna m eri nazar m ai koi bur bat nahi. Mai yah nahi kahta ha es din larkai larkiyan dates marna shuru kardain. Aur waisa bhi valentines day walai din hi nahi agar ap zara dekhain apna erd gird to apko roz bohot sarai larki larkiyan date martai howai nazar aingai.

Any way mai to valentine day zaror celebrate karta hon apni wife ka sath. she is my valentine. Koi bhi khushi apna family ka sath celebrate karna ghalat nahi hai...

seriously Group: Members  Joined: 12th Dec, 2007  Topic: 24  Post: 313  Age:  57  
Posted on:30th Jan 2008, 2:13pm
 

Zarror manain aur valentine card bhi bhejain.

Balkah rozana valentine day manain is sey merey aik website ka bohat faida hoga. Yes na mahram ko valentine card na bhejain sirf apnay mahram relatives ko valentine card bheejain aur apnay friends , neighbours , non-muslim ko Islam key dawat denay kay ley-a valentine card bhejain. Is say aap ko sawab bhee milay ga.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:12th Feb 2010, 4:05pm
 

hamai bhi valentine day manana chahiye

mai yeh kehta hoo ke hamai khoosh hone ka bahana dhoondna chahiye, lehaza mai valentine day manane ke haq mai hoo, lekin yeh zaroor kahoo ga keh valentine day manate waqt is baat ka bhi khial rakhe keh ham log bilkul hi angrez na ho jaaye.

valentine day ki tarah aur bhi kai occasions aate hai jis mai kisi na kisi andaz se khooshi manayee jaati hai, maslan hindu ke kai tehwar hai. ham sab ko chahiye keh os din hindu baradri ko os ko os tehwar ki mubarak bad de, isi tarah christian ko ester aur christmus ki mubarakbad deni chahiye. yeh log hamai bhi tu eid per eid mubarak kehte hai.

Pakistan mai tu eid ke moqa per non muslim bhi new dress banate hai, achcha khana pakate hai, aur wo log bhi os din ko tehwar ke tor se manate hai. woh log bhi eid ke din ko khooshi
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:12th Feb 2010, 6:40pm
 

Valentines Day In Islam: Should We Celebrate It?

mujy koi yeh butaa day k muslimano ka kon sa tehwaar hy jis ko yahoodi ya esaai ya hindo munaaty hen?

Islam es bat ki Kut hun ejazzut ni daytaa ky koi essaa tehwaar munaya jay jissy ba-huyaaai or fitnaa aaam hota ho..... or ye valentines day ya koi bhe gahyr islami tehwaar munaana shur hun jayiz ni hy or jis turaa ye thewaar munayaa jata hy islam or islami taleemaat k bilkol khilaaf hy,

Nubi pak ( ap py lakho salam) ny dosri aqwam ki nuqali say munah furmaya hy or ek hudess meah hy k khuch sahaaba apki khidmut meah hazir howy or ap say kaha k yahoodi yom ashooraa ka roza rukhty hen hum ko bhe rukhna chaiye tu nubi pak ny kaha k insha Allah next year hum bhe yom ashoora ka roza rukhin ghy lakin sath 9th moharam ka roza b rukhin gy.

Valentines meah kon sa acha kam keya jata hy jisy mohashry meh isslaah yaa achaai ka subbab ho , ghyr mehram lurky lurkiyoo ka apuss meh red clr phyn k or estura ek dosry say sur-a-aaam eshk o mohaabat ki peengyin bunana or mohashry meh fitna or fussaad burpaa kurna kon sa acha kam hy

bury afsoos ki bat hy k aj hum shataaani kamo ko shataani kam he ni sumajty.

father day , mother day, valentine day, birth day ye day wo day ye on logo ka khasaa hy jin ka koi khandaani nizaam ni jin meah Qom Qubeela ni, wo mobabat wo humdurdi wo musaawaat wo akhowaat jo islam dayta hy wo onky mohashry meh hy he ni jiski waja sy ho essy rusm o ruwaaj creat kur ry hen jin sy arzi sukoon hasil kurty hen,

jub islam ny hur ek k hukook o furaayiz mothyaan kur deye hen tu hum ku wo pory ni kurty ? aghur hum wo hukook o furaayz he pory kur dayin tu hum ko ye joooty sahary or na mokumul khoshi k muwaaky hasil kurny ki zuroorat he ni ry

ba hussiyaat muslimaan mera dil guwaara ni kurta k kisi dosri Qom ka tehwaar munaao ya hisa buno ,

keya kubi kisi ny humara koi tehwaar munayaa

kisi ny eid munaai ho,

kisi ny rozaa rukhaa

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:13th Feb 2010, 4:59pm
 

agreed with qasim

main Dr.sahib sy tammam batoon per agree krta hoon

taham Dr.sahib Roza koi tehwaar nhi hey yeh aik Mazahbi fareeza hey
aur issy Yahoodi aur Esaie b rakhtey hain 

q k Quran Majeed main arshad-e-Khuda wandi hey "Hum Ny Tum Per Rozy Farz Kiya Jaisey Tum Sy Pehli Ummatoon Per Farz Kiye Gaye " aur hum sy pehley ki Umatoon main Esaiee Aur Yahoodi hi hain..

beharhaal jahan tak velentine day mana'ny ka taluq hey to iss behooda day ko nahi mana'na chahiye...hamari isalmic aur mua'shrti aqdaar per zarb lagti hey
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How to get Canadian Work Permit  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014