Urdu Poetry : Selected By Members
Kaha tha na'n Is tarah sote mein matt chor kay jana Mujhe be-shak jaga dena, bata dena Muhabbat kay safar mein sath mere chal nahin saktiin Judaee kay safar mein sath mere chal nahin saktiin Tumhe rasta badalna hai, meri hadd se nikalna hai Tumhe kis baat ka darr tha Tumhe jane nahin deta, kahiin pe qaed karleta? Arey pagli, muhabbat ki tabiyat mein zabardasti nahin hoti Jise rasta badalna ho usey rasta badalne se Jise hadd se nikalna ho usey hadd se nikalne se Na koi rok paya hai, na koi rok paey ga Tumhe kis baat ka darr tha Mujhe be-shak jaga detiin, mein tum ko dekh hi leta Tumhe koi duaa deta Kam az kam yun to na hota Meri sathi haqeeqat hai Tumhare baad khone kay liye kuch bhi nahin baqi Magar khone se darta hoon Mein ab sone se darta hoon
|