Urdu Poetr: Teri Aankhon Main Yeh Anjaan ......
Teri Aankhon Main Yeh Anjan Mohabbat Kaisi !! Dil ka derwaza khula to ijazat kaisi !! Choo k dekha bhi nahein haath lagaya bhi nahien, Jism kaisa, meray hathon main to saya bhi nahein, Bhar gaee ragon main phir bhi yeh hararat kaisi, Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi. Ik dil or dharakta hay meray seenay main, Ik soorat or nazar aati hay aaenay main, Teray hotay huway apni zaroorat kaisi, Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi Tu na milta to kahan mujh sa faraqi rehta, Tujh ko lotaoun to kuch na main baqi rehta, To meray payar ki poonji hay amanat kaisi, Teri aankhon main yeh anjan mohabbat kaisi, Dil ka derwaza khula to ijazat kaisi.
|