Urdu Poetry: Suno Aisa Nahin Karte
Safar Tanha Nahin Karte, Suno! Aisa Nahin Karte.. Jise Shaffaf Rakhna Ho, Usey Mela Nahin Karte.. Teri Aankhein Ijaazat Dein, To Hum Kya Kya Nahin Karte.. Buhat Uj'ray Huey Ghar Pe, Buhat Socha Nahin Karte.. Safar Jiska Muqaddar Ho, Usey Roka Nahin Karte.. Jo Mil Kar Khud Se Kho Jaey, Usey Ruswa Nahin Karte.. Chalo Tum Raaz Ho Apna, Tumhe Ifshaa Nahin Karte.. Yeh Oonche Paer Kaise Hain? Kahin Saaya Nahin Karte.. Jo Dhun Ho kar Guzarne Ki, To Phir Socha Nahin Karte.. Kabhi Hansne Se Darte Hain, Kabhi Roya Nahin Karte.. Teri Aankhoun Ko Parhte Hain, Tujhe Dekha Nahin Karte.. Sehar Se Pooch Lo Mohsin, Kay Hum Soya Nahin Karte...
|