Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:26th Jan 2008, 9:38pm |
|
|
Identity Of Baby: Before Birth
Assalamualaikum Jaisa ka ap sab members ko pata chal gaya hoga ka mai inshallah bohot jald father bannai wala hon. Mai aur meri wife yah janna chatain hai ka kiya hamara hona wala baby larka hai yah larki. Islamic point of view sai agar birth sai pahla yah janna jai to eska liya kiya kaha gaya hai... Waisa mai aik bat clear kardon ka ham kiyu janna chatai hain. pinky aur woh member jo parents ban gai hain shayad woh ziyada achi tarhann samajtai hongai yah phir woh members jaisa zeb aur dusrai jo father bannai walai hai meri tarhan woh samajhtai hongai. Hamara janna ki wajha apna baby ki kharedarian hain. Ham dono bohot sari kharidari karna chatain hain apni aulad ka liya like dresses aur dusri use ki chezain. Ab masla yah hai ka shuru ka months ka dress to larki ho yah larka aik hi hojatain hain laikin jab bacha zara bara hota hai to phir dress jins ka hisab sai hona chahiya. All members apna apna comments dain plzz. specially married members aur mai un members sai jo abhi father bannai walai ha unsai bhi puchna chata hon ka unka jazbat kiya hai apni first aulad ka liya?
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 12:09pm |
|
|
re: gender of baby - jab khareedari baby ke paidaish ke baad kerni hai tu pareshaan hone ki kia zaroorat hai?
- mera khial hai keh ultrasound se qabal az wiladat pata chal jaata hai.
- lekin asal glamour yeh hai keh qabal az waqt maloom na kia jaye.
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 2:32pm |
|
|
Hungama Hungama Bahi baby k liyah abhi se kyun hangama macha rahey hoo yaar , paidaish k baad aram se shopping karlena yaar , ab itne bhi kiya jaldee hai ... lagta hai kuch zayadah hi Khushi horahi hai :D ... Kahein khushi ma pagal mat hoo jana merey bahi (lol)
|
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 5:09pm |
|
|
congrates hangama bhai aap ko bohot bohot mubarik ho k aap baap banne wale hain. altra sound k madad se aap maloom kar sakte hain k aulad male ha ya female. lekin islamic point of view se main expalain nahi kar sakta k ye jayez hai ya nahi.
muje maloom hai k meri ye post aap ko idea nahi de sakta, mera maqsad sirf aap ko mubarakbad dena tha. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:27th Jan 2008, 11:52pm |
|
|
Hungama Ajkal to ultrasound se pata chal jata hai,ke baby ka gander kya hai,
aur agar apki wife ye khwaish rakhti hain ke wo malum karain than just ask ur ladydr...is me koi burayi nahi hai...
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 10:21am |
|
|
hmmmm Dear hungama,
mein to yahi kahun ga nai puchna chahiye....islamic point of view se mujhey nai pata....lekin phir bi suspense hona chahiye....is liye main ne to ab tak nai pucha...aur mera aur meri wife ka bi yahi khyal hai k hum nai puchen gey....
pata hai, main kia ker rha hun....shuru k month 1-2 months ki shopping ker lun ga, wo to takreeban ek jese bi ml jatey hain (boy or girl k )....bad mein phir baki shopping ker lun ga....
lekin agar ap ko jaldi hai, to ap beshak ultrasound kerwa kr Gyenocologist se puch leyn....7th month mein confirm pata lag jata hai k beta hai ya beti.....wese agar Dr experienced ho to unhen 4th-5th month mein bi pata chal jata hai... |
zaain
|
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2007 Topic: 1 Post: 3 Age:
49
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 11:07pm |
|
|
HUNGAMA ASLAM-O-ALIAKUM
allah rabbul ne larka our larki k leya surat nazil ki hai is liya aap maaloom kar
sakthy hain kah aap k larka hoo ga ya larki allah k karm se main ya bata sakta hoo.is k leye aap ko muje e-mail karna hoo ga ........Edit............. Exchange Of Email Ids Not Allowed..................
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 11:46pm |
|
|
Identity Of Baby kai baar mera jee chaha ke jab wife ka ultra sound hota hae to Dr se poochon ke baby male hae ya female laikin nahi poocha ke surprise rehne dete hian :) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 7:56am |
|
|
:-) han yar Babar, main ne kai bar aisa socha, i think surprise hi ziada acha rehta hai :-) |
nadeem AOL
|
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
31
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 8:10am |
|
|
Hmmm.... I have heard that even if we use the latest technology of Ultra sound, the gender can't be 100% accurately judged or even the doctor is so experienced .......what do you think ???
Regards. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 9:18am |
|
|
yes yes it is absolutely right
aj kal itne ache ultrasound machines available hain....un ki quality bht achi hoti hai aur results bi bht clear hotey hain.....sub kuch saaf nazar aa jata hai
aur wee bi Drs to sub jantey hotey hain to wo 1 min mein dekh k bata detey hain |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 9:21am |
|
|
bilkul ultra sound karwayo aur mast hojaoo.....................
|
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:1st Feb 2008, 6:19pm |
|
|
thanks Thanks for all members kai sab nai mujhai apnai apnai comments diyai. Waisa meri aik adat hai kai mujh sai saber nahi hota hai. aur aulad kai mamlai mai to bohot mushkil hai. ultrasound karwatai waqt bhi to aik suspence hi hoga naa.
zaain: bhai apkai pas aisa kaisa elim agaya hai jo ap batadaingai ka larka hai yah larkii. haad hogaii.. log kaisi batain kartain hain. ALLAH sai daroo. Aj taq koi aisa elim nahi hai jo ALLAH ki koi bhi bat ko pahlai sai hi predict karlai woh bat aur hain ka aksar ham jo kahtain hain woh hojata hai tamam chezain karnai wala ALLAH hai aur koi nahi.
Laikin phir bhi ham sab yah janna chahaingai ka ap aisa kiya karaingai ka ap pahla sai hi batadaingai ka larka hai yah larki... |
Alveena20
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
29
|
|
Posted on:1st Feb 2008, 7:06pm |
|
|
hangama bhai ultrasound kay zaraye 4, 5 months mein pata chal jata hai . aap dr se puch leiyn lekin meri tarah na karna . jab main apni sis kay saath ultrasound kay liye hospital gayi thi na. to dr ne bataya tha kay baby male hai . us waqt main ne dr se kaha tha aap theek tarah daikh kay batayen kay is ki shakal mujh se milti hai yaa nahi, is ki aankhein kis ki tarah hai, is ka chehraa gol hai, is kay hair kaise hain etc etc . mujhe dr ne kaha tha baby tumara nahi hai jis ka hai us se he is ki shakal milay gi. main aisa kuch nahi bata sakti. aisay sawal aap na he karay to behtar hai. aur dr ne kaha tha kay tum kaisay kaisay sawal puch rehi ho. aap bhi meri tarah na karna.
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 7:25am |
|
|
hehe hehehhehe
very funny alveena ;-p
hehe shakal ka kese pata chal skta hai ultrasound mein, hehehhe |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 8:31am |
|
|
hungama paji sabar karna sekho ................warna is hi tarha ultay seedhay topic post kartay raho gay
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 8:58am |
|
|
aj kal yahan to ajkal new ultra sounds ki mashines ayi hui hain,jis se Dr.Tasveer itni close nikalte hain,ke bache ke Naksh nazar a sakte hain,ye black&white me nahi hain.balke colours pic hain,...... |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 9:05am |
|
|
sunehri wowwwwwwwww
pata hai sunehri, main kuch din pehle apni wife se yahi discuss ker rha tha....k kash coloured ultrasound hotey.....jis mein he cheez ka alag alag colour nazar ata, means arms ka alag colour hota, legs ka alag, isi tarhan, for other body pasts and for face....aur shakal bhi sazar aa jati, kitna maza ata........
aur wohi bat aj ap ne ker di....kash yahan pakistan mein bi ye technology hoti....
anyways, wahan aa gaye hain, to InshaAllah yahan bi kuch arsay mein aa jayen gey wo ultrasound machines...
kia khyal hai apka? |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 9:25am |
|
|
yes zeb yahan ye kuch 2 years se hain,par abhi har doctors ke pas availeble nahi hain...aur maine aisi ek pic khud dekhi hai...aur us me bache ka face tha jis me Nakhs nazar a rahe the...aur tab maine bhi dr se pucha,par abhi ye kafi costly hai..... |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 12:21pm |
|
|
Sabar rakhoo Hungama Paajee Itne jaldee bhi kiya hai yaar sabar rakhoo warna Baby ALLAH miyaan se shikayat kardey ga kah mere Daddy mujhey chup chup kar dekhtey hain ;) |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|