Kya Aaj Hum Sachay Musalman Hain?
Waisay hum bari samajhdar qaum sabit huway hain discussions baton aur larai jhagray main aur har kisam k jhoot bai mani main waisay to is lafz ko theek say parhain to ye bay emani hai To hum aaj bohat he bay eman ho gaye hain. Humari shikayat kuch jaiz bhi hain aur najayaz bhi Pakistan nay hum ko kya diya?? jawab: Hum nay Pakistan ko kya diya humaray siyasdaan buray hain to kya un k saath kaam karnay walay party karkunan kya achay hain kya partay worker awam main say nahee hotay Party worker kya kar rahay hain?? Party worker jo parties america ki andhi himayat kar rahee hain un ko khud nahee pata k chand crore dollars america say lay kar apnay accounts main dalnay say acha hai k mulki mafad main soch kar mulk bachayain kun k yeh crores dollar ki value taka nahee rahay gee!!! aur mulk k saath in gadaron ko bhi america istamal kar k tissue ki tarah naak ponch k phaink day ga!!! Kya yeh party worker awam main say hain?? Jee haan yeh awam k allete class log hain jinhain mulk ko lootna ata hai aur jo Pakistan ke mohabat ka dum bharta hai woh bhee hakoomat main a kar yehi karta hain, aur apni party say wafadari k chakar main mulk ko andheray kuwain main daal deta hai aur apnay future ko bhe, I must salute aitazaz hassan jinhon nay apni party k khilaf ja kar mulk say sachi mohabbat nibhai. Aur jo karkun mulk ko lootnay niklay hain loot lain jitna loot lain jub mulk k log un say ahtasab karain gain aur unhain ibratnak saza mila gi kudrat ki taraf say to unhain is duniya main he Qaymat ka manzar daiknay ko mil jaye ka. Kya ADLIA AZAD HAI??!! Nahi bilqul nahi aaj hakoomat adlia ki naak k neechay saaray woh kaam jo perv mush k daur mai huway hain us say bees kadam agay ja kar america say chand crore dollar lay kar apnay priv accounts main daal chuki hain privately aur terbaila dam k paas american fauj behthi hai chanab ka paani band hai stock market ko crash kiya ja raha hai gas jo yahan paida hoti hai ki najayaz price wassool ki ja rahee hai puranay bohrano ko khatum karnay ki bajaye IMF k hukam par k woh humain karza dain yeh politicians agar sachay hain to kun nahin la rahay apnay arbo dollors jo inho nay yaheen say lootay hain hum ye dollars bahar say kun mang rahay hain takay aur dollars kha khoo k bhag jaye ata mehnga hai abhi tak to hai phir milay ga bhi nahi bijli mehngi hai phir milay gi bhi nahi haan insan ki jaan sasti hai america ko day do sari mulk ki baitian aur baitay aur zardari kashmiri to ....................edit............... Aur Altaf bhai wah wah kya kehnay yahan k kadyani mar jaye to aap to halla macha daitay hain magar india ka koi musalman jalay maray izat looti jaye koi faraq nahi parta aap to islam ko moderate perv mush version banana chahatay hain KYA HUM MOMIN HAIN KYA GAIRAT MAR GAI HUM SAB MAIN KYA YEHI HUKAMRAN REH GAYE HUMARAY LIYE KYA ISI LIYE PAKISTAN BANAYA THA K hum aik doosray k khooon k pyasay ho jaye to phir dushman ka to kaam asan kar diya hum nay to k hum to khud apas main lar mar kar khatam ho jaye gay aur america k diya huwa home work kar rahain hamaray hukamran Quran main hai k " Aur ata at karo apnay ALLAH ki Rassool (SAW)ki aur apnay hukamran ki magar jub woh koi galti par ho to batao un ko k kya kaha hai ALLAH nay aur Rassool (SAW) nay" " Yahud aur nisara kabhi tumharay dost nahi ho saktay aur jo koiu in ko dost rakhay ga woh khud he nuksan uthaye ga aur woh khud he zalim ho ga" They are not exact words but mafoom yehi hai kisi din exact likhoon ga to ab hum khudi zalim hain aur azad mulk main rehtay huway kuch nahee kar rahay to sochain k agar woh log jihon nay itni qurbaniya day kar Pakistan hasil kiya kya woh drawing room main baith kar discussion kartay rehtay thay aur Pakistan ban gaya jee nahi bilkul nahi PAKISTAN bananay k liye bohat qurbiniya jan mal izat abroo ma baition bhayo aur behno boorho aur naujawano ka khoon rang laya humaray in nakli oil paint say kuch nahi ho ga asli rang lao meray bhayo koi tehreek chalao Har Party say kat kar ALLAH ki party Bano naam rakho ALLAH HO AKBAR aur sahi simt k log apas main jitnay bhi hon mil jao aur apnay mulk k liye chotay chotay kaam karo aur sawab ki neeat say karo aur NGO'S ki tarah nahee jo bacho ki kitab main sooar banatay hai hats off to Shehzad Roy zindagi Trust aur har koi apni isalh karay astagfar parhain shehzd bhai aap ko ALLAH hidayat day ameen aur humaray naujawano ko bhi namaz roza a jaye aur woh ganay bajanay main mast rehnay ki bajaye hosh main akar is tehreek main shamil ho kar mulk bachaye na k internet pay porn daikh daikh kar aur ganay bajatay bajatay mulk ki tabahi daikhay Har banda yahudion aur hindu on ki chal samjhay jo pakistan ko sehra aur iraq banana chahatay hain aur hamari naslon ko musalman honay ki saza daina chahatay hain unko pata hee nahin k ab hum musalman bhe nahee ya shayad pata hai unko k ab hum jahad say dartay hain ab hum un k gano pay dance kartay hain aur chatting kartay hain aur zana k liye baytab hain aur HAZOOR MOHAMMAD (SAW)ki tarah ya SAHABA ki tarha bahadur nahi gairatmand nahi tabhi to woh hum say dartay nahi Aaj wada kar lo aye naujawano laut ao is say pehlay k bohat dair ho jaye aur tareekh hamain kabhi maaf na karay aur hum guzray huway waqt ki koi kahani ban jaye aur tareekh humain buzdil aur bay gairat keh kar yaad na karay balkay utho aur Pakistan k liye utho jan hazir karo mal hazir karo koi hamara dushman nahi na taliban na al quaida yeh sab to 11 sept say pehlay bhi thay magar America k dushman hain yeh to humaray dost hain yeh aur kabailion nay to Pakistan k kashmir ka kitna hisa azad karay tha woh kya hamaray dushman hain jo hum unhain misilon say bhoon rahain hain baironi anasir ki nishandahi kar k un k khilaf jang karni chahiye thi magar hamari fauj to masoom logo ko mar rahi hai kya hum nay yeh fauj isi liye banai thi To tehreek chalao bhayo ALLAH KI TEHREEK ALLAH HO AKBAR aur naara mar kar Naara -e- Takbeer ALLAH HO AKBAR in hukumrano k khilaf bagair kisi siyasi party ki tayeed k ilzam lagay ham par bhagair kisi mafadati tolay k Aur koi masila paish a jay to Quran aur sirf Quran ko apni rasi apna itayhad banatay huway masail hal karain Kya hamaray ulma sahi kirdar ada kar rahay hain??!! Naheen mukamal kirdar ada nahee kar rahay unhain chahiye k hamaray hukamran jo america hindustan yahud wa hanud ki sazishon say mulk ko khatam karna chahatay hain un k khilaf fatwa dain dain k yeh log kafir hain ya munafiq hain aur aam awam ko seedhi rah pay lay aye aur unhain halal kamanay ka kahain aur un k waldain say kahain k naujawano ki shadi sadgi say kar dain takay woh bhatak na jaye Shayad aap meri baat maan jaye aur ALLAH ki bhi hamari in koshishon ko kamyab kar day Aur Pakistan say bahar mukeem arab pati log Pakistan main dollars invest karain magar phir mai kehta hoon na karain k yeh to woh bhi kha jaye gain Magar ab aap sab naujawno ko ALLAH KI PARTY ban na ho ga aur koi nahi aur jo party haqeeqi maino main ALLAH k batay huway tareekay par chalay unhain saath milany main koi haraj nahee aur un ka pata laganay k liye mundarja bala Qurnai Ayat kaafi hain
|