Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Religion: Who Decide Which Religion We Belong?

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
* Noor Clinic *
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  29  
Posted on:15th Dec 2007, 10:21pm
 

Religion: Who Decide Which Religion We Belong?

100% Muslims ka khial hai keh Islam aik achcha mazhab hai iss liye woh musalman hai. on ka yeh bhi khial hai keh on ke mazhab dunia ke tamam mazahib se achcha hai.

lekin yeh haqeeqat hai keh 99.9% musalman by birth hote hai. paida hone ke saath hi on ke parents birth certificate mai religion: Islam likhte hai. phir jab yeh bachcha hosh sanbhalta hai tu os ki tarbiat as a Muslim karte hai. sirf aur sirf Islam ki taleem dete hai, aur doosre mazahib se door rakhte hai. phir yeh baat bhi achchi tarah samjha dete hai keh agar koi musalman doosra mazhab ikhtiar kare ga tu woh murtid kahlai ga. aur murtid ki saza maut hai. lehaza koi Muslim doosre mazhab ko na tu study karta hai aur na hi karne ka koi faida hai.

bilkul isi tarah sunni shia aur deegar firqa wali baat hai. koi sunni sirf aur sirf iss liye sunni hai keh os ke parents sunni hai, isi tarah koi shia iss liye shia hai ke os ke parents shia hai. aisa mumkin hai keh sunni deobandi change ho kar barelwi ban jahi ya barelwi change ho kar deobandi ban jai. lekin aisa nahi hota ke koi sunni mazhab change kar ke shia ho jai ya koi shia mazahab change kar ke sunni ho jai.

bilkul yahi baat doosre religion ka bhi hai. 99.9% hindu iss liye hindu hai keh woh Hindu ghar mai paida huye, yahoodi aur christian ke liye bhi yahi baat hai. sirf 0.1% log dunia mai aise hai jo keh apna religion kisi wajah se change karte hai. kuch log kisi mazhab ko pasand kar ke change hote hai, tu koi kisi se muhabbat ki shaadi kar ke apna mazhab change karta hai, tu koi ghurbat ki wajah se change hota hai. lekin 99.9% log change nahi hote aur sirf aur sirf parents ke mazhab ko ikhtiar kiye huye hote hai.

tamam mazaib parents ke kahne par ikhtiar kia jaata hai. aur parents ke mutabiq os ka mazhab (Muslim, hindu, christian .....) doosre tamam mazahib (Muslim, hindu, christian ........) se achcha hai. lehaza tamam mazahib ke manne wale log apne mazhab ko doosre mazhab se achcha samajhte hai.

Conclusion: yeh kahna bilkul ghalat hai keh logo ne mazhab by choice ikhtiar kia hai. balkeh haqeeqat yeh hai ke mazhab by chance ikhtiar kia gia hai. matlab yeh hua keh agar mai kisi hindu ke ghar paida hoti tu mai bhi aaj hindu hoti, aur agar koi hindu mere waldain ke ghar paida hota tu woh bhi musalman hota. lehaza apne mazhab ko achcha kahna aur doosro ke mazhab ki burai karne ka koi sense nahi banta hai.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:15th Dec 2007, 10:46pm
 

i agreed

Good Post kaali zuban

i agreed with u....waqaee kisi dusre mazhab ki burayi nahi karni chahye kyunke har ek ko apna mazhab pyara hai

Aag Group: Moderators  Joined: 21st Nov, 2007  Topic: 22  Post: 1130  Age:  35  
Posted on:16th Dec 2007, 9:45am
 

Agreed

bilkul sahi kaha hai. Ham sab ko yah bat sochni chahiya. Balka jo log yah kahtai hain ka hamai non-muslims ko ISLAM ki taraf raghib  karna chahiya to ham sab ko chahiya kaham kuch aisa karain to unka mazhab mai nahi hai. Agar ham bhi ulti sedhi batain karaingai to hamaai aur unmai kiya farkh rah jaiga.

Yaha log agar kisi dusra mazhab ki bat kartai hain  to aik dam sai dusra log  aggressive hojatain hai bharak jatain hain. Khair mera khayal sai yah post har kisi ko pharni chahiya woh log jo non muslims sai dosti bhi kartai hai aur unpa tanqeed nahi kartai aur woh log bhi jo non muslims pa tanqeed hi tanqeed kartai hain.

aijfaisha Group: Members  Joined: 16th Dec, 2007  Topic: 0  Post: 1  Age:  39  
Posted on:16th Dec 2007, 11:15pm
 

NOT AGREED

i not agreed app logo key openion see, 14 soun saal pahalay islam aya tha
is see pahalay tamam log ghar muslam thi phir islam sahai, kardar, iqlaq 
see doo sro tak pahala, muhammed bin qasim, yahan sindh may apna
kardar, iqlaq sachai say pahala, aaj kall bhi america, europe and 
doosre non-muslam contries may islam pahal raha hai, 
peace-tv dakay is may tamam  mazahab kai koog hotai hai, ya hi 
islam ki sahahi hai, baqi doosri firqa kay loog bhi apna firqa badal
tai hai
 
haar muslman koo apna muqzhab kaa mutala kar nay chahai 
aur pahar apna muzhab kee shahi maloom kar nay chai 
hamary pass to quran majeed hai jo sab sai bara mujeeza hai.
keesee muzhab mai is see bara mujeeza naa hai hai.




  
BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3586  Age:  27  
Posted on:16th Dec 2007, 1:33pm
 

Good Topic

Good Topic Kali Zuban ......... once again !

Well , I have read alot about these topics or in kind. So its a good step taken by Kali Zuban . One should also read these topics (Sorry I forgot the writer name).
  • Muslims by Default .
  • Are We True Muslim ???
  • Daa'wah ! (Dr. Zakir Naik)
One should not abuse any other religion but also not indulge yourself in that religion .
ALLAH says in QURAN :

"And insult not those whom they (disbelievers) worship besides God, lest they insult God wrongfully without knowledge. Thus We have made fair-seeming to each people its own doings; then to their Lord is their return and He shall then inform them of all that they used to do"
(Quran, 6:108).

So our duty is to give them true knowledge of ISLAM . Well , I would recommend all of you to watch Peace TV its a very good channel which gives comparatively knowledge about ISLAM and Other Religions , Thanks.

Aag Group: Moderators  Joined: 21st Nov, 2007  Topic: 22  Post: 1130  Age:  35  
Posted on:16th Dec 2007, 5:22pm
 

aijfaisha

I think apna sab ki post phari nahi hai. apna likha hai ka

"haar muslman koo apna muqzhab kaa mutala kar nay chahai 
aur pahar apna muzhab kee shahi maloom kar nay chai "
Mera hisab sai mai muslim hon to mera mazhab ISLAM hai.. Ab agar koi aur bhi muslim hai tu uska mazhab bhi ISLAM hi hona chahiya warna woh muslim kais hoga. han yah zaror hosakta hai ka uska firqa alag ho. yah to ap likhna mai koi ghalti kargai hain.
 
Yah kahna durust hai ka har insan ko apna mazhab ka mutalla karna chahiya phir decide karna chahiya. laikin kisi ka pas etna time hai. jo log Muslims hain unka pas bhi etna time nahi hai ka woh apna mazhab ka sahi sai mutala karai (sorry if any  body hurt) kiyu ka yah aik fact hai. agar aisa hota to aj har m uslim country America sai har lehaz sai balka har country sai sab sai agai aur taraqiyafta hoti
hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  27  
Posted on:16th Dec 2007, 6:22pm
 

i think

i think ap ki bath sahi hai,laikin jab insaan dosry majahib ko read karta hai tu apna mazhab change b karta hai,boht sarry excamples hai ki boht say hindu or christains QURAN ko parny k bad musulman huwye ,wo tu paida huye thy hindu or christsn k ghar laikin bad may musulman huwe.or jaha tak dosroun ko force karny ki bath hai tu islam may izajat hai ki merty dam tak islam ki tabliq ki jaye,islam ko failaya jaye or gumrahi say rokha jaye ,force say nahi balki ekhlaq say,hazarat muhammad(s.a.w)nay apni ikhlaq k zarye islam ko felaya us dor may tu wo log(kafer)b apny mazhab say muhabat karty thy,laikin hazarat muhammad(s.a,w)nay unhy islam ki roshni say aga kia.
Hangama Group: Members  Joined: 02nd Dec, 2007  Topic: 39  Post: 1284  Age:  38  
Posted on:16th Dec 2007, 6:29pm
 

Aag and Hussain

Agreed with u both. Laikin maina yaha pa kuch pechli  post mai yah mahsos kara hai ka log es andaz sai nahi sochta hain jab ka ham sab ka samnai hamara  piyara nabi HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H)  ki misalain hain aur ungenat misalain hain. khair.

i think yah post sab ko pharni chahiya aur sab ko hi es post ka reply karna chahiya. jab sab log espost ko pharainga aur reply karaiga aur khas toor pa woh log jinhonai kisi post mai meri essi tarhan ki baton pa mujhai bura bhala kaha tha mai unsai kuch puchonga.

hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  27  
Posted on:17th Dec 2007, 9:16am
 

2 hangama

phely tu ye ki kisi ko ye haq nahi ki wo ap ko bura bhala kahen,is forum may inhi issues pay dicussion hoty hai,or  is topic ko sub  ko read karna cheye taki sub ko pata chaly ki hum kia hai or hamary liye mazhab hum nay khod chuna hai ya parents nay.bye

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:17th Dec 2007, 9:45am
 

Religion!

kali zuban apnay jitna likha hai bohat hi acha or comprehensive likha hai.

thanks to write & start such an informative and thoughtful topic.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:20th Jul 2008, 8:55am
 

Ham sab apne mazhab aur maslak se brain washed hai

mai jab paida hua tu mere maa baap ne mujh se pooche beghair mera Islamic name rakha, aur birth certificate mai religion: Islam likhwaya. jab mai bolne ke qabil hua tu mujhe Qurani ayat aur dua yaad karai gayee, aur bar bar mere kaan mai yeh baat dali gayee keh ham musalman hai, aur Islam hi sahi mazhab hai.

jab mai aur bara hua tu samjhaya keh doosre mazhab (hindu, sikh, christian etc) se ziadah achcha mazhab Islam hai. jab kuch aur bara hua tu mujhe samjhaya keh shia, wahabi, qadiani sab ghalat hai aur sahi maslak Sunni hai.

mere waldain ne mujh per nazar rakhi keh kahi meri gehri dosti doosre mazhab aur maslak walo se tu nahi. mujhe achchi tarah samjha dia gia keh mai musalman hoo, aur mai ne agar koi doosra mazhab ikhtiar kia tu mai Murtid kehlaoo ga. aur murtid ki saza mout hai.

mujhe bachpan se abhi tak sirf aur sirf Islam (Sunni) ki baatai batai gayee, aur doosre mazhab aur maslak se na sirf door rakha gia balke on ke khilaf baatai bhi batai gayee. matlab yeh keh mera achchi tarah Islam (Sunni) se Brain Wash kia gia.

iss waqt mai Islam (Sunni) se brain washed hoo, mai ne koi aur mazhab aur maslak ki study nahi ki, aur na hi kerna chahta hoo. kio keh mujhe pehle hi bata dia gia hai keh agar mai ne kisi aur mazhab se mutasir ho ker Islam chora tu mai Murtid kehlahoo ga aur mujhe qatal ker dia jaaye ga. lehaza mere kisi aur mazhab ko join kerne ka sawal hi paida nahi hota.

mera zati khial hai keh dunia ke 99% logo ka mazhab isi tarah by birth Brain washed hota hai. yeh samajhna keh log pehle mazhab samajhte hai phir mazhab qabool kerte hai ghalat hai, balkeh paida hote hi onhai kisi na kisi mazhab mai fit ker dia jaata hai, aur kaha jaata hai keh agar mazhab tabdeel ki tu anjaam bahut hi bhianak ho ga.

jaha musalmano ko kaha gia hai keh mazhab badalne se Murtid aur wajib-ul-qatal hoge, wahi agar koi Hindu bhi musalman ho jaaye tu os ke baradri wale ose qatal ker dete hai. lehaza qatal ke dar se dunia ke 99% log mazhab tabdeel kerne ka soch bhi nahi sakte.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2008, 8:57am
 

Thank GOD

ALLAH ka lakh lakh shukar hia k us ne hamein musalmanon ke ghar paida kiya....  
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:20th Jul 2008, 9:02am
 

har mazhab wale yahi kehte hai

har mazhab aur maslak wale bhi isi tarah thanks ada kerte hai keh:

Thanks God I am a christian
Thanks God I am a hindu
Thanks God I am a jews
Thanks God I am not a christian
Thanks God I am not a muslim
Thanks God I am not a hindu

hindu bhi jab musalman se haath milata hai tu samajhta hai keh os ka haath napaak ho gia hai, aor woh ose baqaida dhota hai. hindu bhi apne mazhab se brain washed hai aur ose yahi sikhaya gia hai keh musalman napak hote hai.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2008, 9:14am
 

bewaqoof bhai

Aap ki baat theek hai k har insaan apnay mazhab ko haq per samajhta hai, lekin aap ko mein sirf aik chouti si baat kahoon gi k insaan ka apnay deen per aitaqaad ka us waqt pata chalta hai jab woh mushkil mein hota hai..... Agar kisi musalman pe koi bari mushkil aan paray tu woh hamesha Apnay Rub ko pukarta hai or akhri waqt tak pukarta rehta hai... lekin Kisi esayi ya hindu per koi mushkil aati hai tu woh pehlay apnay buton ya Jesus ko pkukartay hien lekin akhir mein sab ko ALLAH yaad aata hai........   

Hindu loug apni filmon ki kamyaabi ke liye dargahoon per hazariyan detay hien....
West mein hazaroon Christiyan demaghi sakoon or itmenaan ke liye islaam mein dakhil ho rahay hien......

mein aap ko aik chouti si example deti hoon k Hamaray saath walay apartment mein aik australian apni chineese girl friend k saath rehta tha... un ki life bhata chi guzar rahi thi but kisi baat per donon mein larayi ho gayi or chineese us ko chour kar chali gayi.. woh us ki waja se pareshan tha k us ke galay mein koi takleef ho gayi.. us ne aik Doctor ko check karwaya tu us ne kuch test ka kaha or yeh bhi bataya k ho sakta hai k yeh throat cancer ho.. .  Jab tak us ke test ki reports nahin aa gayin woh bilkul sooli per latakta raha.... woh aik dafa bhi church nahin gaya, but jab bhi woh meray husband se milta tu yehi kehta k meray liye pray karo or mujhay Quraan ki translation la do kahini se.. mein woh parh ke khod pray karoon ga, ho sakta hai GOD mujhay theek kar de......

Bottom Line: 
Duniya mein har insaan ko yeh pata hota hai k kya sach hai kya jhoot.... Agar nahin pata hota tu zindagi k kisi na kisi maqaam per pata chal jata hai..... lekin insaan apnay andar itni himat paida nahin kar pata k woh apni riwayaat or pehlay ki sab zindagi se moun mour kar aik naye life mein enter ho jaye.... yeh asal masla hai

Abu Jahal jis ko hum sab se bara kafir or Nabi Pak SAW ka sab se bara dushman samajhtay hien... Us ke baray mein riwayat hai ke woh aksar Pyaray NABI Hazrat MOhamad SAW ko kehta tha ke MOHAMAD SAW, mein janta hoon ke tum Sachay ho, jo kuch kehtay ho woh bilkul sach hai lekin mein apnay aabaa o ajdaaad ki riwaayaat ko kaisay chour doon... 
Or jis ne Apni abaa o ajdaad ki riwayat ko chour ke haq ko galay lagaya woh Siddiq e Akbar or Umer e farooq kehlaye or jo yeh himat na kar saka woh Tareekh mein Abu jahal qaraar paya.

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:20th Jul 2008, 9:28am
 

Bawaqoof sahab

ap ka brain washed howa shaed kese dosra musalman ka nahe ap ko pata hai brain washed ka meaning agar pata hai to ap Islam ko lakar ayse baat nahe karta
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:20th Jul 2008, 6:23pm
 

paidaishi mazhab = brain wash

ji haa mujhe achchi tarah pata hai keh brain wash kia hota hai. mai apne bachcho ka brain wash ker raha hoo.

jo kaam mere parents ne hamare saath kia tha, wahi kaam ham ab apne bachcho ke saath ker rahe hai. paida hote hi keh dia keh yeh musalman aur sunni hai, birth certificate mai bhi mazhab Islam likhwaya. na ham ne os se poocha keh tum ko konsa mazhab pasand hai, aur na hi aik din ka baby yeh bata sakta hai keh kon sa mazhab achcha hai?

ab hamari poori koshish hai keh hamare bachche pakke musalman aur sunni maslak ke follower rahe, ham dono mia bivi os ka brain wash kerte rahte hai keh asal mazhab aur maslak Islam aur Sunni hai, hamari koshish hoti hai keh iss waqt hamara bachcha kisi aur mazhab aur maslak ke logo se religion per discuss na kare.

ghar par bhi Qari sahib ka intezam karaya takeh Islam ki baat maloom ho, Qari bhi sunni rakha takeh doosre maslak ki koi aur baat mere bachche mai feed na ho jaaye.

mere bachche ko abhi kisi aur mazhab ke baare mai kuch bhi nahi maloom, ham logo ki bhi koshish hai keh abhi ose doosre mazhab ke baare mai kuch bhi maloom na ho. ham log bar bar apne bachche ke zehan mai yeh baat feed ker rahe hai keh Islam hi sachcha aur sab se achcha mazhab hai. jab thora bara ho jaaye ga tu ose yeh bhi samjha de ge keh mazhab tabdeel kerne ki soorat mai woh mutid aur wajibul qatal ho jaaye ga, lehaza kabhi ghalti se bhi doosre mazhab ke baare mai na soche.

mai aur hamare bachche isi tarah paidaishi musalman hai, aur doosre mazhab ke baare mai sochne ka tasawar bhi nahi kerte. ab agar aap log paidaishi musalman nahi hai balkeh pehle tamam mazahib ki study ki, aur Islam ko sab se achcha mazhab samajh ker Islam qabool kia hai tu aur baat hai. mere saath aisa nahi hai. mai tu paida hi musalman hua hoo. pehle musalman bana phir Islam ki study ki, aur doosre kisi aur mazhab ki na tu study ki aur na hi kerne ka koi irada hai.



For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Get Visa For China  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014