Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Recipe of Haleeem (Dalyam)

Food & Recipes   >>  General
 
 
* Noor Clinic *
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:10th Jun 2009, 8:56pm
 

Recipe of Haleeem (Dalyam)

I need the Recipe of Haleem...

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:11th Jun 2009, 5:54am
 

Haleem Allah ka naam hai

Haleem Allah k 99 naamouN maiN say aik naam hai...  lehazaa khaanay ki dish ko Allah k naam say mausoom karnaa sakht bay adbi hai...  Iss gustaakhee par Allah hum sab ki maghferat karay aur ayandah aisee gustaakhi saty bachaa.ay.

aur haaN iss dish ka asal naam (Ghaleban) dal.yam hai jo shayad lufz dalyaa say niklaa hai... issay mazeed check karaiN aur ayandah Allah k naamouN ko dishes etc k liyeh use nah karaiN.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:11th Jun 2009, 6:02am
 

myrizvi

maine is dish ka naam hamesha se yehi suna hai.!!!

jab is dish ko naam hi yehi hai to aur kya kahain.aur agar ye itni hi gustakhi hoti to koi bhi ek muslim country me Haleem na bech raha hota,aur na hi sar-e-aam likhta ..ke kahan kahan Haleem dastiyaab hai.

aur ye dish jisne bhi ejaad ki hai usne kuch na kuch soch ke iska naam Haleem rakha hoga.Aur agar ye itna bada Gunaah / gustakhi hoti,to kya Pakistan me maulvi so rahe hain? unhe to kab se is dish ka naam badal dena chahye tha.

lehaza mujhe nahi lagta is me koi gustakhi ki bat,Allah ne hi sab language banayi hain,agar Allah ni Nigah me gustakhi hoti to is dish ka naam koi ye na rakh sakta.secondly Allah dillon ke haal janta hai,ke koi ye naam le kar Dish ka keh raha hai  ya Allah ke sath gustakhi kar raha hai.!!

plzz ap pk me hi rehte hain ,sab se pehle ap un un jaga pe jayen aur unke stand /restaurant/Hotel band karwayen jahan jahan ye dish is Naam se bik rahi hai.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:11th Jun 2009, 6:20am
 

pak maiN bahoot kuch hota hai

aur sab kuch jaiz nahi hotaa ....

sorry main nay aap ka naam dekhay beghair mahaaz subject dekh kar reply kia...aap issay zaati taur par nah laiN... khud maiN bhi abhi tak iss dish ko issi naam say jaantaa thaa... last days mujhay aik e.mail milli to haqeeqat ka pataa chaalaa ... dauray jahaalat maiN hum bahoot kuch kahtay /kartay rahay haiN... lekin jab maloom hojaye to ehteyaat karna Theek hai....

farz karaiN koi aap k naam kissi aisee cheez ko day day jo aap k shaan aur darjay (as ashraful makhlooq) say giraa howaa ho to aap ko bhi acha nahi lagegaa... kia Allah talaa ko yeh pasand hogaa k oska naam aik dish ko dia jaye???

ab aap ki marzi iss dish ko jiss naam say pokaaraiN... it is between u n Allah...

maano nah maano sunehri g aap ko ikhteyaar hai

hum naik o bad hazoor ko samjhaa.ay jatay haiN :)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:11th Jun 2009, 6:44am
 

sunehri /sharara

mind nahi kia ... ghussa thook dia ... dat's like a gud girl:) achi bachiyaaN aisaa hi karti haiN lol

yeh dish mujhay bhi bahoot pasand hai ... aap ko recipe mil jaa.ay to pakaa kar zaroor khilaaiyyega :)

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:11th Jun 2009, 6:46am
 

myrizvi

Pk me bohat kuch ghalat hota hai...but Allah ka Hukam na man.na aur Allah ke sath gustakhi karne me bohat farak hai.

agar aisa hai to is dish ka Naam badal dena chahye.kyoonke pk ki 99% awaam is dish ko isi Naam se bulati hai.

maine mind nahi kiya...par ghussa zaroor charha tha :) ,lekin jab ye socha ke apka is me kaunsa faida hai & apka replay dekh kar ghusa khatam ho gaya..

khair

is dish ka jo bhi naam hai ..jisse iski tarkeeb malum ho yahan post karde

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:11th Jun 2009, 7:48am
 

dalyam (haleem) ki tareekh

dalyam Recipe 4 sunehri76

Ingredients:

  • 150 gm. dried Yellow split Peas
  • 115 gm. lentils
  • 80 gm. oat meal
  • 750 gm chop lamb
  • 2 tablespoons Maiezana
  • 4 teaspoons Jeera
  • 1 big onion
  • 4 teaspoons Massala
  • 3 teaspoons Ajinomoto
  • Shallot
  • Lemon
  • Salt and Pepper according to taste
  • Green Coriander
Method:
  • Boil the split peas, lentils with salt for 30 minutes.
  • Than soak the lamb cut into cubes with salt, pepper, maiezena and ajinomoto.
  • Fry the onion in a chinese wok and add the lamb to it.
  • Cook the meat for a few minutes until all its water is evaporated, than add the masala and jeera.
  • When the dhall is ready, add the lamb and 2 lit of water and cook for 30 minutes in a pressure cooker.
  • Then, add the oats diluted in a glass of water.
  • Boil it until it thickens to a nice soup. Your haleem is ready to serve.

Dalyam (Persian: حلیم) is a thick Persian, Pakistani and North Indian high calorie dish. In Anatolia, Iran, the Caucasus region and northern Iraq, types of dalyam (haleem) are Keshkek and Harisa. Although the dish varies from region to region, it always includes wheat, lentils and meat. Dalyam, and a variation called Khichra is very popular in India.

dalyam is made of wheat, meat (usually beef or mutton, but sometimes chicken or minced meat), lentils and spices. This dish is slow cooked for seven to eight hours which results in a pastelike consistency, with the taste of spices and meat blending with wheat.

Dalyam is sold as snack food in Bazaars all year around. It is also a special dish prepared during Moharram, particularly amongst Pakistani and Indian Muslims. In India, dalyam prepared in Hyderabad, during the Ramadan month, is very famous and is distributed all over the country.

In Bangladesh, dalyam has attained a significant level of popularity in the urban centres. It is now a very popular food item in capital Dhaka during Ramadan. The preparation of dalyam is complicated.

PS:mera yeh business nahi hai ... just copy paste kia hai, haaaaa haaaa

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:12th Jun 2009, 7:15am
 

hummmmm

my rizvi bahi kiya recipe batai hey app ney

agar sunheri ney yeah wali haleem kisi ko khila di na tu bus............(LOL)

lagta hey mujhey hi kuch karna parey ga

sunheri

may tumhey andazey say har cheez dalti hon iss liya tum bhi har cheez appney andazey key mutabiq hi dalna

chaney ki dal

masoor ki dal

mong ki dal

arhar ki da

gandum

jao(barly)

or aik muthi rice

in sab ko dho kar 5,6 ghantey key liya bhigo daien

phir in sab ko boil kar laien,or halki anch par pakney daien

phir aik pot may teal garam karien,or aik choti si piyaz ko fry karien or uss may boneless beef dalien or aik tomato kat kar dalien or green chilli or hara dhnaya ka paste bana kar daien,or thora sa garlic or ginger or baqi haldi,pisa garam masala,lal pisi mirch or thora sa dhnya powder dalien or sab ko bhon kar ghosth gala laien

jab ghosth gal jai tu uss key rashey kar laien  or us ko dalon key sath mix kar daien or pkney daien

phir thori thori si dear may uss may chamcha chaltey rahein,or agar chahey tu chopper may bhi peas saktey haien jab sab kuc pis jai tu uss may sabut 3,5 long or kali mirch or teez pattey 1,2 dalien or phir khoob pakien(haleem bhout dear tak pakti hey jab hi uss ka taste sahi ata hey)jab sab kuch achi trha gal jai tu akhir may agar chien tu ghee use kar sakti haien lakin agar ghee nahi use karna tu teel may hi piyaz ko brown karien or jab piya honey lagey tu uss teel may hi pisa garam masla dla kar haleem par bhagar laga diaen

or garnish kar key kha laien

bana kar batana zaror  key kasi bani :)

DoN2009 Group: Members  Joined: 17th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 331  Age:   
Posted on:13th Jun 2009, 6:31am
 

Sunehri Baji

Aap paka ker kha chuki hain yaa abhi pakani hai?
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Jun 2009, 6:34am
 

sunheri

tum ney banaya ya nahi?
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:13th Jun 2009, 8:37am
 

hmmm

achi bani ya nahi????????
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:13th Jun 2009, 9:05am
 

zeb

Araam se banaungiii ..... itni mushkil to hai banani...sara din lag jata hai...

saima & myrizvi Thankssss i will try it soon

maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 6  Post: 1441  Age:  30  
Posted on:13th Jun 2009, 9:10am
 

uffffff

ye to kafi mushkil ha............wo lahore main secretariat k pass aik bari achi or famous haleem shop ha...............muje naam yaad nai aa raha...........lakin kamal ki haleem hoti ha wo..................wahan ja kha ayain...........bajaye itni mehnat k...................
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:13th Jun 2009, 9:13am
 

re: haleem

Moharram mai Haleem ka chanda mai ne hamesha dia, lekin chanda lene wale ne mujhe kabhi bhi haleem nahi khilaya.

re: "Araam se banaungiii ..... itni mushkil to hai banani...sara din lag jata hai..."

Karachi mai samnabad ki haleem bahut mashhoor hai, dabba mai bhi milti hai, export bhi hoti hai. lehaza etni mehnat ker ke pakane ki kia zaroorat hai. agar pakana hai tu khooshi khooshi pakai, nak bho.n charha ker pakane ka kia faida? iss tarah pakane se haleem jal jaaye ga, aur saari mehnat barbad ho jaaye gi.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:13th Jun 2009, 9:13am
 

maahii

ab mai khane ke lye 700 euro ki ticket le kar pakistan jane se rahi..hhaha

islye jo kuch karna hai hud hi ghar me karna hai.

maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 6  Post: 1441  Age:  30  
Posted on:13th Jun 2009, 9:17am
 

opppps

main bhool gai...........wase its a big problem for the people living abroad like us................kabi kabi sab bht yaad ata ha.............lahori khanay......food street....anarkali ki chana chat.........gol gappay....jo baat wahan ha wo or kahin nai...............

wase yahan Riyadh main phir b pakistani areas main kafi kuch mil jata ha............ab jahan aap hain wahan ka andaza nai..............
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:13th Jun 2009, 9:19am
 

hmmmm

okiessssssss
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2274  Age:  33  
Posted on:14th Jun 2009, 1:51am
 

Agreed to Rizvi

Agreed to myrizvi..  Main ne yeah baat aik Alim e Deen se suni hai... Haleem allah pak ka nam hai aur hamen khyal karna chahe.. plus Alim e Deen ne is dish ka name bhi tajveez kia which is ...Khichra...

I like this Dish very much...Sunehri thanks for thread.. Please other members is dish ki aur Receipe bhi btain....  

Zeb contribute here yar

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:14th Jun 2009, 2:12am
 

jazak Allah system

iss dish k liyeh pahlay yehi lufz khichRa morawwaj thaa... jo aaj bhi bahoot say gharaanoun maiN bola jata hai lekin baaz halqouN nay deedah o daanistah issay HALEEM ka naam dia phir issay aik mazhabi color dia aur aaj moharramul haraam maiN haleem issi mazhabi josh o jazbay k saath tayyar ki jati hai, taqseem ki jati hai hatta k iskay liyeh ghar ghar chandah manga jata hai aur iss kaam maiN shia sunni dounoun group shamil haiN.

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  32  
Posted on:14th Jun 2009, 3:26am
 

agree to rizvi bhai,system

sunehry: g mujhe is  dish ki  tarkeeb to ny aati.

pr aap se eltamaas kr ta hon k aap iss dish ko khijra kaha karen.

jab allah taala azzawajal ne quraan me naam bigaarne se mana kia hy to phr kese khud allah ka naam hum bigaar sakten hen.

aap ne b mene b or tqreebn sab ne yehi naam suna hy to kia hwa agr hume pata hota to kia hum phr b ye naam khane k liye use krte?

kese laghta,kitni achi h....... hy,abe yaar uski h....... to bhut kacra thi,ye h...... to bekaar hy,tumhari h........ to kacre me dalne k qabil hy.

to aapa aap khud socho kesa laghta?

ab pata chal gayahy to phr ab hamara kaam he k khayaal karen.

bay take care.

salaam.

For Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to take professional photography  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014