nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2008, 5:20pm |
|
|
Can Pray Increase Our Age?
If day of death is fixed & cabt bot be altered then what could be the reason behind to pray for 'lumby umer'' ...Can pray increase our age ???Comment pls.
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 9:19am |
|
|
dakho yar her kisi ki paida honey aur marnay ka time Allah ne fizx kiya hua hai aur chahey jo bi ho jaye usi fix time per insan ki maut zarur honi hoti hai....
lekin ye fix time hamein to malum nai hota na, ye to sirf Allah hi janta hai na...to hum log is liye apni lambi umer ki dua kertey hain k humen to her waqt maut k liye tayar hona hota hai...roz hum hotey hain aur ye sochtey hain k pata nai kal hum subha uthen gey ya nahi is duniya mein...to isi liye humen daily her namaz mein apni lambi zindagi aur ek achi aur naik maut ki dua kerni chahiye |
Aag
|
Group: Moderators Joined: 21st Nov, 2007 Topic: 22 Post: 1130 Age:
35
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 7:23pm |
|
|
Agreed I agree to Zeb but one thing i want to share with u. ALLAH knows every thing, what ever ALLAH will do we dont know. NO doubt mother ki dua mai bohot taqat hoti hai.
Hamai kabhi bhi apni lambhi age ki dua nahi karni chahiya khali kiyu ka jab insan ki age lambi hojai aur woh bemar hojai aur uski age 100 sai bhi upper hojai to woh takleef mai hi ajata hai. Hamai hamesha ALLAH sai dua yah karni chahiya ka hamari age jitni bhi lambhi ho magar ham chaltai hath paoo marain. ameen. |
anotherOne
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 10 Post: 205 Age:
|
|
Posted on:4th Jan 2008, 9:57pm |
|
|
yes Yes I eleive in it. but do pray for health also. ALLAH jo chahay kar sakta hai. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 9:21am |
|
|
dua yes i agreed to aag
is liye to barey bazurg abi bi yahi dua kertey hain k YA ALLAH hamen lambi umer to dey lekin hamen kabhi kisi ka mohtaaj na kerna is zindagi mein, hum bus terey mohtaj hain........it is very nice dua, hamen bi apne liye yahi dua kerni chahiye |
shakir316
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2007 Topic: 35 Post: 104 Age:
27
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 2:29pm |
|
|
Taqdeer ko badal deti hai Dua Aap ne aksar parra ho ga k dua taqdeer ko badal deti hai. zindagi mout b hamari Taqdeer mein he to likhi hai.Mout ka waqt fix hai but I think it can b changed by prays of some Neik person or Wali Allah If God wishes wishes. |
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 9:14pm |
|
|
Shakir Mera bhai sab kuch ALLAH ka hands m ai hai. ALLAH jo chahai kar saktain hain. Yah bat zaror hai ka mother ki dua sai insan ki taqdeer badal sakti hai laik badalna wala kon hai? ALLAH.
Sab kuch hosakta hai sirf aur sirf ALLAH ki raza honi chahiya. |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 9:45pm |
|
|
Well.. Thanks to all..Thats all absolutely true..but still on the same spot..
Can pray increase our age ? Yes / No ??pls tell |
anotherOne
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 10 Post: 205 Age:
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 11:02pm |
|
|
yes pa je yes!! |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:5th Jan 2008, 11:34pm |
|
|
Thanks Thanks anotherone...
More recommendations required ...chill |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 12:32am |
|
|
zeb&aag; ap donon ne bohat acha replay diya,aur bohat clear..
i want to say also,that khuda hi behtar janta hai ke wo kis ki duaon se kis ki maut ka time (jo ke fix ho chuka hai)change karde.Ho sakta hai ke kisi ki maut ka time fix ho aur uski bohat duaon ki wajah se use khuda ne thoda s amzeed time de diya ho. ye bas khuda ke kam hain jo hum nahi jan sakte.kyunke khuda hi janta hai na ke usne apne kisi pyare bande ki dua kabool karke uski maut ka time barhaya ya phir wo time fixed tha.
ye discussion humare ghar me bohat der chali thi,actually mere father ne khwab me dekha tha ke ek farishta unko a kar kehta hai ke ab tumhari zindagi zyada lambi nahi tumhare pas ek hi saal hai,aur mere papa ne uske bad duaen kin ke mai kam se kam apne bete ki shadi dekhna chahta hun mujhe itni zindagi de.ab ye allah hi behtar janta hai ke usne dua kabool ki ya abhi unka waqt nahi aya.
anyways waqaee me humain yehi dua karni chahye ke humain sehat wali zindagi de,aur kisi ka mohtaaj na hona pade,jitni zindagi hai wo achi sehat se guzre aur kisi ka mohtaj na banaye.(ameen) |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7602 Age:
33
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 5:13pm |
|
|
Possitive task and care can be increase your life Yes Of course death time can be increase but it specluated with your good work and obident of Allah.If you will say your prayers regularly and you will good work and care of other people.Then Allah will be agree and happy with you then he will accpt your all prays.
So we must do possitive approach to increase our life.
Thanks |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:6th Jan 2008, 6:21pm |
|
|
re: dua and age dua se age mai na izafa hota hai aur na hi baddua se age mai kami. Allah taala apni marzi se iss kainat ke nizam ko chala raha hai, kisi ko dukh, gham, museebat, pareshaani aur bimari waghair bhi wahi deta hai aur os se nijaat bhi wahi deta hai.
agar allah taala ne kisi ki lambi age ka faisla kar lia hai tu os ki age lamibi hogi, chahe aap dua mange ya na mange. isi tarah agar allah tala ne kisi ke death ka faisla kar lia hai tu os ki death ho kar rahe gi chahe aap kuch bhi kar le.
dua se age ka lamba hona religious aur cultural belief hai, yeh belief dunia ke tamam mazahib aur tamam culture mai hai. isi liye har pareshaani aur museebat mai log allah taala se dua kar rahe hote hai, aur pareshani o museebat se nijat ki soorat mai sara credit dua ko dete hai. jab keh haqeeqat ye hai keh agar dua na bhi maangi jaati tu bhi pareshaani aur museebat se nijaat mil jaati,
mera mashwara hai keh insan ko apne mazhab aur culture ko follow karna chahiye. kio keh mazhab aur culture ko follow kerne se insaan ko roohani sakoon milta hai, lehaza har museebat o pareshaani mai dua mangni chahiye.
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:7th Jan 2008, 9:50am |
|
|
clear point yar jin ko ab is topic ka answer samajh abi tak nahi aya to main un k liye bus ek hi bat kerun ga...
to the point bat ye hai k
death ka time bi to Allah ne hi fix kiya hai na...to wo agar chahay to usey badal bi to sakta hai na...ye sub to usi k hath mein hai...wo jub chahhaey kabhi bhi kuch bi ker skta hai.... |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:7th Jan 2008, 11:32pm |
|
|
es ka jawaab bhi aap ko collection of dua's k topic me milay ga jis ko es baat ka jawaab abhi tak nahi mila that dua se zindagi lumbi hoti hy they read collection of dua's maney es me es sawaal ka jawaab briefly likha hy.thnx |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|