Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

PPP And Muslim League (N) Kia Saath Chal Sakte Hai?

Politics   >>  Political Party
 
 
* Noor Clinic *
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:26th Feb 2008, 3:49pm
 

PPP And Muslim League (N) Kia Saath Chal Sakte Hai?

PPP aur Muslim Leage (N) dono Pakistan ki big parties hai aur aik doosre ke hareef bhi. mojooda election mai PPP ne kamiabi hasil ki tu Muslim League (N) ko osoolan opposition mai baithna chahiye. waise bhi strong opposition Pakistan ki zaroorat hai. lekin Muslim League (N) strong opposition banane ki bajaye PPP ke saath hakumat mai shaamil hona chahti hai, balkeh ho rahi hai. iss ki kia wajah hai?

kia yeh dono saath chal sake ge? agar nahi tu bewafai kon kare ga? aur ketne din dono saath chal sake ge?

Strong opposition ke beghair Pakistan ka Mustaqbil kia hai?
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:26th Feb 2008, 4:44pm
 

YES

ye acha faisla hai k bajaey ruling party ki fazool mukhalifat karnay k , usay sakoon say pura time guzarnay dia jaey...

pehlay ye dono parties lar lar k dekh chuki hain,, ab sath chal kar dekhna chahiye,, aur achi baat ka sath dena chahiye aur galat baat kko oppose karna chahiye,, isi mai pak ki aur in parties ki behtari hai,,, sahi opposition imran khan aur Qazi sahab they lekin afsos k unho nay participate hi nai kia...

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:26th Feb 2008, 4:53pm
 

Kamzor opposition

opposition ka matlab hota hai keh hakoomat ko manmani na kerne dia jaaye aur os ke wrong bill ki bharpoor mukhalifat ki jaaye. yeh matlab nahi hota keh dono milker manmani kare. lehaza kisi bhi country ke liye zaroori hai keh strong opposition ho. Pakistan ka pehle hi bera gharaq hai, ab kamzor opposition mai mazeed bera gharaq ho ga.
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:26th Feb 2008, 4:55pm
 

PPP and Muslim League (N)

 dono parties itne arse baad wapis aayn hain. kuch arse taak dono aik dusre ka dukh sukh bantyen gi. phir wohi ho ga jo pehle hota tha.

kia yeh dono saath chal sake ge?
ye dono kabhi bhi aik saath nahi chal sake ge.
agar nahi tu bewafai kon kare ga?
PPP pehle Bewafai kare gi.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:19th Mar 2008, 8:18pm
 

PPP and ML

mera khial hai keh dono saath mil ker chal sakte hai, kio keh dono ko larane wale log (Imran Khan aur Qazi Hussain Ahmed) assembly mai nahi hai. albatta Prime minister ke mamla mai PPPP mai jo thora bahut ikhtelaf ho gia hai, os ke liye dua kare keh yeh ikhtelaf khatam ho jaaye aur PPPP two piece mai divide na ho jaaye.

waise meri khahish tu yahi hai keh Makhdoom Amin Fahim hi prime minister bane, lekin agar Party leader onhai prime minister nominate na kare tu Makhdoom Amin sahib ko yeh faisla bhi tasleem ker lena chahiye. abhi Pakistan bare nazuk dor se guzar raha hai. sab ko Pakistan ke baare mai sochna chahiye na ke apne baare mai.
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:22nd Mar 2008, 3:06pm
 

Friendship of PPP & PML (N).....

Makhdoom saab dogli batain kar rahay hain,, last 2 months say interviews mai ye bi keh rahay hain k muj par PM bannay ki zimadari na dali jaey aur pehlay bi Allah bachata rha hai aur umeed hai ab bi Allah PM ban-nay say bacha lay ga,, jabkay hakeekat mai wo PM ban-nay ki khuahish mai apni party say jhagar bi rahay hain aur dhamkiyan bi day rahay hain aur bar bar kehtay hain k PPP meri waja say jeeti hai.... kabi kehtay hain PM sindh say na hua to ye sindh say ziadti hogi, ,, itna senior leader or aisay statement day kar provinces ko larana chahta hai,,,, baray afsos ki baat hai.... unko ye kehna chahiye tha k PM kisi bi province ka ho sakta hai , is say koi fark nai parta,, ye party aik province ki nai hai ya puray pakistan ki partay hai....

is wakt nawaz shareef aur asif zardari bohat achay tareekay say mil kar chal rahay hain aur muje umeed hai k ahista ahista Pakistan aik martaba phir say tarakki ki raah par chal paray ga... lekin aisa tab hi hoga agar in dono ko sakoon say chalnay dia jaey...

aur meri dua hai k pakistan k halaat behtar ho jain, aman-o-amaan ho jaey, mehngaee thori kam ho jaey aur loogo ki pareshaniyan kuch kam ho jain.. Allah hamaray Pakistan ki madad karay Aameen.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:24th Mar 2008, 1:02pm
 

Nawaz Shareef Sahib opposition mai jaane wale hai

nawaz shareef aur asif zardari saath nahi chal sakte. bahut jald nawaz shareef sahib government se alaihedgi ikhtiar ker le ge. aur opposition mai chale jaye ge.

jab nawaz shareef sahib opposition mai jaye ge tu os waqt Pakistan Muslim Leage (Q) aur MQM government mai shaamil ho jaaye ge.

iss tarah Pervez musharraf ki full government ban jaaye gi jis ki only opposition Pakistan Muslim League (N) ho gi. aur yeh government 5 years tak chale gi.
BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3586  Age:  27  
Posted on:24th Mar 2008, 1:22pm
 

Agreed to Bewaqoof

Let's see...!
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:17th May 2008, 1:45pm
 

re: PPP and PML (N) kia saath chal sakte hai

waqt yeh sabit ker raha hai keh yeh dono kabhi bhi saath nahi chal sakte. PML (N) ne wazarat ke lalach mai PPP ka saath dia, lekin awam se kiye huye wada poora na ker sakne ki wajah se sharmindagi se bachne ke liye wazarat se istefa de dia.

lekin jawab mai ppp ne salman taseer ko punjab ka governer bana dia, jis ki wajah se PML (N) ki neend hi ur gayee.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:17th May 2008, 7:47pm
 

Waqt

Waqt yeh sabit kar raha hia k Pakistan ka ALLAh hi hafiz hai.. Na yahan k siyasatdaan apni qoum se sincere hein or na yahan ki fouj... Pakistan bas ALLAH ke asray per chal raha hia.
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:18th May 2008, 12:28am
 

ye to

 main ne pehle he keh diya tha ke ye dono parties aik saath nahi chal sakti...mera andaza theek tha...lol
Aaasha Group: Members  Joined: 12th Mar, 2008  Topic: 9  Post: 69  Age:  26  
Posted on:18th May 2008, 1:03am
 

Ufffffff..

Pakistan ki politics mai usole naam ki koi cheez nhi hoti..

sab political parties apne apne mafaad ki khatir milti hen,or apne apne mafaad ki khatir hi alag ho jati hen..aawam k masail or un k mafaad ki khatir koi nhi sochta..

jo Leader aawam k masail k bare mai sochna start krta hai to usay direct OOPER poahncha dia jata hai.. 

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:19th May 2008, 7:18pm
 

re

N leage sirf mushrafe ko hatana cahti hai,,,,,,,,,unhy koi farq nahi parta ki pakistan may kuch b hojaye,,,,NAWAZ or SHEHBAZ tu haat doh k MUSHRAFE k pechy pary hai,,,,,,,,lain aisa herzig nahi hoga or ho b nahi sakta ,kiyon ki ab PPP b Mushrafe k saat hai
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:16th Jun 2008, 7:24am
 

yeh dono saath chal hi nahi sakte

PPP aur PML (N) kabhi bhi saath nahi chal sakte, bahut jald PML (N) opposition bench per nazar aane wali hai.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:24th Aug 2008, 3:27pm
 

re: PPP and PML (N)

waqt ne saabit ker dia keh yeh dono saath nahi chal sakte, mera khial hai keh bahut jald yeh dono alag ho jaaye ge. aap ka kia khial hai?
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:24th Aug 2008, 4:40pm
 

Bewaqoof

mere khyal main to ye ittehad khatm ho chuka hae abb to rasmi eilan baqi hae jo ke shayed kal monday ko ho jaye. jab Zardari kahe ke mere waaday koi Quran ya hadees to nahi to phir aise shakhas ke sath sirf wahi chal sakta hae jis ka koi deen emaan na ho. Zardari ne kabhi socha bhi nahi ho ga ke Benzair ke mar hane ke baad us ki qismat yun chamak uthay gi, Zardari ko .... edit... mubarak ho.


~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:24th Aug 2008, 5:02pm
 

rE: PPP And Muslim League (N) Kia Saath Chal Sakte Hai?

Jab 2 sagay bhayon ki niyat main khout ho wo bhi alag hojana pasand kartay hain, ye tou phir bhi siyasatdaan hain.......niyatain pehle say hi kharab hain, saath main kya khaak chalain gay......
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to give interview on skype  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014