Tv par sharaii programm jaiz hai jis zamane mai tasweer par pabandi thi os zamani mai tv nahi tha. albatta os zamani mai jo bhi scientific cheezai thi woh sab istemal hoti thi. Ship bhi aik scientific cheez hai jis ke zaria islamic afwaj aik jagah se doosri jagah jati thi.
lehaza tv ke zaria Islam ke paighamat ko poori dunia mai phailana, aur tv par logo ka ana mana nahi hai. albatta tv par bhi dressing ke lia wahi qawaneen hai jao aam zindagi mai hai. yani aurtai sharaee pardah mai ho.
baqi rah gia tv ke baqi fazooliat, maslan aurto ka be-parda aur ghair shraaii dress mai ana tu os ke lia wahi qanoon hai ja aam zindagi mai hai. yani aurat beghair sharaii dress ke sab samne nahi asakti. lekin sharaii dress aur munsib pardah mai rah kar Tv par aka dunia bhar ki khawateen ko aik sath deen ka paigham de sakti hai. |