Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 
Pair Choona (Khadam Bosi)

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
* Noor Clinic *
Iqraar Group: Members  Joined: 05th Jun, 2008  Topic: 2  Post: 11  Age:  27  
Posted on:4th Nov 2008, 2:02pm
 
Pair Choona (Khadam Bosi)

Aslmkm All members. 

Mera Yeh Sawaal Hai Ke Jaisa Ke Aaplog Dekhte honge  Ztv par Sa re ga ma ya aur bhi kai saare shoes par  usme  MUSLIM Contestens Music Director aur wahan  ke Guest ke  Jhuk Kar  PAIR (leg)  choote hain, 

KYA YEH EK MUSALMAN KE LIYE JAYEZ HAI , zara iska Khulasa kijiye Ga

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:4th Nov 2008, 5:55pm
 
Re:-Iqraar

SALLAM TO ALL FRIENDS

Kisi bi musalman kai liyai yai har kiz jaiz nahin kai wo ALLAH ki banayee hoyee cheezon kai samnai sajda karain ya is tarah kai kaam jo hindo kartain hain. Hindo religion yai baat mamool ki hai kai unai us cheez ko sajda karna acha lagta hai jo unai faida pohanchantain hain. Jaisa kai gayee , soraj ,samandar,etc.

Is sai yai baat saaf zahir hai kai ALLAH ki banayee hoyee kisi cheez ko ALLAH ka haq daina shirq hai. Jo kai sab sai bara gunnah hai. Chahai un main insaan hoo ya koyee bi aur cheez. Sajda karnai ka wahid haqdaar sirf ALLAH hai jo kai sari dunya ka malik hai. Aur sab kai dilon kai haal sai waqip hai jo maut aur zindagi dainai wala hai.

ALLAH kai ilawa koyee bi aisa nahin jis kai samnai sar jukaya jayee ya usai aik tariqai sa sajda kiya jayee.Umeed hai mairi baat app ko samaj agayee hogi.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:4th Nov 2008, 6:03pm
 
Pair Choona (Khadam Bosi)

nahi hum muslim ko ye kam kerna jaiz nahi hai...Sirf Allah k aagey hi jhukna chahiye...

wese RaazDaar ne buhot acha reply kia..I agreed.
M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:4th Nov 2008, 7:33pm
 
REPLY

MAIN YAQEEN KE SAATH TO NAHIN KEH SAKTA PER KAFI JAGA SE MUJHE YEH MALOOM HUA KE MAA ( MOTHER ) KAY SAMNAY JHUK KER USAY MILA JAA SAKTA HAI . MAIN SAJDAY KERNAY KA NAHIN KEH RAHA PER SIRF JHUK KER MILA JA SAKTA HAI.

NOT 100% SURE ABOUT THIS...

M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:4th Nov 2008, 7:43pm
 
REPLY 2

JIN BAHION KO AGER IS BAAT KA PAKA PATA HO TO WOH ZARA APNAY SUGGESTION ZAROR DAIN .

WAISAY TO IS PURI QAINAAT MAIN SIRF ALLAH KI ZAAT AISI HAI JIN KI KISI SE BRABARI NAHIN KI JA SAKTI , SAJDA TO SIRF ALLAH KO KIA JA SAKTA HAI .

PER YEH BHI SUNA HAI KE MAA KE SAMNAY SIR JHUKA KER MILNA CHAI HAI .

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:4th Nov 2008, 7:54pm
 
Asif bhai

ji bilkul hume apne buzurgu ko jhuk ker hi milna chahiye..means k onhe adab se milna chahye per yahan Iqraar ka question kuch aur hai...
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:5th Nov 2008, 4:49am
 
RE:Asif90

SALLAM TO ALL FRIENDS

App nai jaisa kaha wo teeq hai lakin hindo jaisai juktain hain waisai nahin. Aur baat dar asal yai hai kai maa yai koyee bi buzurg kai samnai jukna nahin balkai nazrain jukanai ki baat hai. Un sai adab sai paish anai ki baat hai. Aur is darjai main khafi loog atain hain jo kai ham sai barain hotain hain. Un kai samnai adab sai paish ana aur nazron ko jukana hai.

Lakin hindo pairon ko chotain hain juktai waqt jo kai har kiz teeq nahin. Yai mahaz aik tariqa hai sajda karnai ka. Agar kisi ki izat karni hai to zaroori nahin kai uskai pair choyee jayee. Un sai adab sai baat karain un ki har baat manai aur unai barai honai aur app ko un sai chotai honai ka ehsas hoo. Aisai kaam kiyai ja saktain hain.

Lakin jaisa kai app nai suna hai kai maa kai samnai jukna yai bilkul ghalat hai.Agar chai aisa hai bi musalmano main to yai hindowon kai riwaj hain jo kai musalman apnanai lagain hain.ALLAH hamain shaitaan kai rah sai door rakai.Aur hamain naiki karnai ki tofeeq ata farmayee.AMEEEEEEEEEEEEEN

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:5th Nov 2008, 4:55am
 
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:5th Nov 2008, 8:57am
 
yes

main bhi yahi kahun ga

k Allah insan ki niya ko pehchanta hai

aur agar hum apni maan ya bazurgon ko jhut ker miltey hain ya salam kertey hain to ye un ko adam ehtram kerna hai...hmara maqsad soirf unhen ehtaram dena hota hai

it does not mean k hum shirk ker rahey hain

i think agar dil mein ye bat ho to phr to sahi hai na

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:5th Nov 2008, 12:26pm
 
Asif_90

parents ya buzurgon ke age mamuli sa jhukne ka matlab ya murad yehi hai ke wo sarr pe pyar dain.warna is ke ilawah aur ziyada jhukne ki ijazat nahi hai-
Tehseen Group: Members  Joined: 20th Feb, 2007  Topic: 53  Post: 386  Age:  31  
Posted on:5th Nov 2008, 2:02pm
 
Reply

Muslims aasaa nhi karteyyyy
bnte_adam Group: Members  Joined: 17th Oct, 2008  Topic: 0  Post: 1  Age:  26  
Posted on:5th Nov 2008, 2:46pm
 
nahin

aik muslim honay kay natay i think yeh bilkul ghalat hai aur napasandeeda bhi
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:5th Nov 2008, 4:02pm
 
iqraar

dear brother

jesa k aap ne ZEE TV ka culture deka hai, wesa ek muslim ko bilkul nahi karna chahie,

lekin jaisa k doosre members ne bataya k parents aur buzargon se Ahtiraman zara sa jhuk kar ya eyes neeche kar k milna chahie.

ek musalman ko parents se aankhien mila kar milna nahi chahie

M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:5th Nov 2008, 5:22pm
 
THANX

SEB MEMBERS KI BOHAT MAHERBANI KE UNHO NAI ITNAY ACHAY COMMENTS DIA HAIN.

WAISA TO MUJHE BHI PATA HAI KE HINDU JIS TARHAN SE JHUK KER MILTAY HAIN WOH SEB TO GHALAT HAI PER MAIN JO POCHNA CHAH RAHA THA WOH BHI MUJHE CLEAR HO GIA HAI..

THANX TO ALL.

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:6th Nov 2008, 8:25am
 
asif

u r most welcome
Iqraar Group: Members  Joined: 05th Jun, 2008  Topic: 2  Post: 11  Age:  27  
Posted on:6th Nov 2008, 5:50pm
 
THANKS TO ALL MEMBERS

Aslmkm To all membrs

for reply

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:7th Nov 2008, 7:09am
 
iqrar

u r always welcome buddy
For Detail Click On Page No: 1
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Get Visa For China  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014