Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Noor Clinic Forum Silent Visitors Statistics

Suggestions   >>  For Forum Appearance
 
 
* Noor Clinic *
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:25th Oct 2009, 4:01am
 

Noor Clinic Forum Silent Visitors Statistics

Jis tura online or register members ka status oper nuzar ata hy esssi turaa silent member or visitor's ka status b oper nuzar ana chiaye k kinty log es time noorclinic py hen,

This is just a suggestion for admin so please must show us how many silent people visiting, as we can see online member's status ,same like this must mention the status of silent members or visitors at the top of the web as 450 online 27 Registered, 4 Hidden and 419 Guests status of the forum visiting members

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:25th Oct 2009, 9:46am
 

tajweez to achi hai

bahoot say forums par aisaa hotaa bhi hai lekin iss say faidah kia hoga???

bahoot say forum admins, iss tarah apni "jali viewership" bhi zaahir kartay haiN. yaani onkay registered online members to 50/60 haiN lekin non-registered viewers 300/400... aisaa show karna admin k liyeh naa.mumkin nahi hotaa

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:25th Oct 2009, 12:19pm
 

myrizvi bai

esy ye puta chulta hy k es time humari web py es time kitny log visit kur ry hen ye kum hy keya
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:25th Oct 2009, 12:37pm
 

koi mozaaiqah nahi

agar admin yeh option bhi enable karday... waisay iss waqt bhi each threads par jo total viewership show hoti hai, mera khayaal hai k in maiN silent viewers bhi shamil haiN.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:25th Oct 2009, 1:22pm
 

yes

ji myrizvi bia
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  29  
Posted on:25th Oct 2009, 6:30pm
 

Noor Clinic Forum Silent Visitors

jaha tak viewership ki baat hai yaha per baaz thread ki viewership aik laakh se bhi ziadah hai maslan mere thread about sohag raat ki viewership kuch iss tarah hai.

  • Sex Education for Dulha - I: view: 107454
  • Sex Education for Dulha - II: view: 58364
  • Sex Education for Dulha - III: view: 72588
  • Sex Education for Dulha - IV: view: 94965
  • Sex Education for Dulha - V: view: 65295

isi tarah baaz doosre members ke thread bhi bahut ziadah taadad mai view kiye gaye hai. iss se andaza ker le keh silent members ki taadad ketni ziadah hai.

yaha per 98% members silent visitors hai, jo sirf khamoshi se forum ko read ker rahe hote hai. sir wahi member register hote hai jinko koi sawal kerna hota hai, ya kisi ke sawal per koi jawab dene ki khahish ho. lekin member ki aksariat iss liye register nahi hoti keh onhai apne sawal ka jawab already previous post mai mil jaata hai. aur woh sirf khamoshi se iss forum ko read ker rahi hoti hai.

sawal kerne wale registered member bhi dobara baqaida login nahi hote balke site ko sirf view kerte rehte hai. generally sirf wahi log login hote hai jinhai koi sawal kerna hota hai kisi sawal ka reply kerna hota hai.

lehaza ham logo ko har waqt yeh samajhna chahiye keh yaha per sirf 10-15 members nahi jo reply kerte hai balkeh lakho members hai jo ham sab ko read ker rahe hote hai. lekin ham 15-20 members ki haisiat wahi hai jo kisi newspaper ke colum nigar ka ya Tv characters ka jise sab log read aur watch ker rahe hote hai.

iss se inkar nahi kia jaa sakta keh visitor ke stay kerne mai 15-20 afrad ka bhi haath hai, jin ke reply read kerne ke liye yaha silent visitor aate hai. mera zati khayal hai keh yaha per silent members ki aksariat Unmarried boys problem aur Religion and Sex category se dilchaspi rakhti hai. lehaza in do category ke hawale se myrizvi aur waseem08 ko sab se ziadah ahmiat hai. ham keh sakte hai keh yaha per sab se ziadah myrizvi aur waseem08 ko read kia jaata hai. jab se Waterr iss forum per aayee hai khawateen (silent visitor) ki aik bari taadad onhai read ker rahi hai (women health).

iss ke ilawah agar mai regular mojood rahoo tu silent visitors ki aksariat mere replies ko bhi read kerna pasand kerti hai. chukeh mai regular nahi hoo iss liye filhal mere reader ki taadad ziadah nahi hai.

Waterr aur Dr. KK ke beghair yeh forum nahi chal sakta, lekin chukeh woh log medical section se taluq rakhte hai iss liye on ke readers kam hai, lekin agar yeh dono na ho tu in ki replacement iss forum per koi nahi, lehaza medical related sawalo ke jawabat ke liye Waterr aur Dr. KK iss forum ke liye nagazeer hai. Dr. KK ke muqable mai Waterr ke reader ki taadad ziadah hai, balkeh women problem ke hawale se tamam khawateen hi on ki readers hai.

new writer mai H/Dr. Qasim hai jin ke readers ki taadad aahista aahista barh rahi hai. H/Dr. Qasim ki khoobi yeh hai keh in ke article kahi se nahi lagte keh yeh koi homoeo doctors ka article hai, kafi informtive aur alopathic theory ke mutabiq hoti hai, isi liye yeh forum per wahid Homoeo doctor hai jin ko na sirf accept kia gaya balke moderator bhi bana dia gaya. jab ke maazi mai beshtar homoeo doctor ko sirf iss liye block kia jaata raha keh woh zabardasti yaha homoeo theory ke mutabiq jawabat dene ki koshish kerte the.

paroot ki bhi achchi knowledge hai, agar woh bat bat per logo ko kafir qarar na de tu os ki knowledge se bhi istafada kia jaa sakta hai. forum ko chalane mai love bird, dom_man ka bhi hissa banta hai.

mai ne oopar jetne bhi members ke naam liye hai yeh woh log hai jin ko iss forum ke silent members read kerte hai. non medical section ke silent visitors nahi hone ke barabar hai. isi liye jo log sirf aur sirf non medical section mai reply kerte hai woh samajh le keh on ke reader ki taadad bahut kam hai. albatta non-medical section mai social problem aur religeon and culture ko kafi read kia jaata hai. lehaza jo log iss section mai jawab dete hai woh samajh le keh onhai bhi read kia jaata hai.

jab keh chatting section ko koi bhi silent visitor read nahi kerta. haqeeqat yeh hai keh chatting section iss forum per bojh hai, ose sirf aur sirf iss liye banaya gaya hai keh agar reply kerne wale members aapas mai discussion kerna chahe tu waha ker le. lekin iss liye nahi banaya gaya keh waha per sirf aur sirf chatting kerne wale mojood ho.

iss ke ilawah aur bhi kai members the jinhai kafi read kia jaata tha lekin on ka name iss liye nahi likha keh woh filhal mojood nahi hai, maslan doctorji, khan_80, Mnadeem waghira.

aakhir mai aik baar phir bata doo keh iss forum per sab se ziadah myrizvi aur waseem08 ko log read kerna chahte hai. iss ki wajah yeh hai keh yeh dono jo bhi reply kerte hai woh sab ki nazar mai mustanad hote hai. mera zati khayal hai log in dono members ke liye sahi opinion rakhte hai.

Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  29  
Posted on:25th Oct 2009, 8:03pm
 

Noor Clinic Forum Silent visitors and previous posts

silent visitor se related aik interesting baat aur bataoo keh mere articles about sohagraat ke aaj ke viewers ki taadad ko note kare jo keh oopar wale post per darj hai, aur daily iss mai hone wli tabdeeli ko note kare tu maloom ho ga keh iss mai 1000-2000 view/day ka izafa hota hai. iss se andaza lagaye keh sirf sohagraat articles ke viewers ki taadaad 1000-2000/day hai tu mukammal forum ke viewers ki taadad kia hogi.

jis thread per koi recent reply hota hai woh index page (home) per hota hai, jis per reply nahi hota woh ahista ahista index page se peeche hota jaata hai. mere articles bhi index page per nahi hai, kio keh os per jetne replies ya comments hone the woh ho chuke, lehaza koi reply nahi kerta aur woh tamam articles ahista aahista index se kafi andar ho chuka hai.

lekin index se kafi andar hone ke bawajood os ki viewership 1000-2000/day hai, iss ka matlab yahi hua keh silent visitors na sirf recent post read kerte hai balke Site Map per jaa ker previous post read kerte rehte hai.

lehaza hamai previous post ko nazar andaz nahi kerna chahiye. kio keh silent visitors ki aksariat previous post read ker rahi hai. waise bhi jab koi Start New Topic ko click kerta hai tu ose bataya jaata hai keh woh new sawal kerne se qabal previous post read kare.

mera zati khayal hai keh ham logo ko bhi previous post ko bahut ziadah ahmiat deni chahiye. yaha per abtak 17000 thread mojood hai, jis mai beshumar topic discuss hua hai. yeh sab previous post mai mojood hai jo keh silent visitor read ker rahe hai. agar previous post mai ghalat information hai tu onhai ghalat information bhi mil rahi hogi.

lehaza ham sab ka farz hai keh ham log previous post ko open kare, aur jaha per ghalat jawab hai ose edit/delete kare, aur os ki jagah relevant aur sahi jawab likhe. aksar thread mai koi munasib ya relevant jawab nahi hai ham log os per bhi relevant jawab likh de. reply kerne ka faida yeh hai keh woh thread phir se index page per aa jaye ga, index page per mojood thread ko sab se pehle read kia jaata hai.

aik baar phir se sab ko samajh lena chahiye keh ham log jo kuch bhi likhte hai, haqeeqat mai silent visitor ke liye likhte hai. aur jaisa ke mai ne bataya keh sirf mere articles about sohagraat ke silent visitors ki taadad 1000-2000/day hai. shaadi ke zamane (eid, baqraeed aur rabiulawal) mai iss articles ke visitor ki taadad 2000/day se bhi ziadah hoti hai.

mai admin se request kerti hoo ke forum ke kuch members ko mazeed permission di jaaye takeh woh previous post ko aasani se edit/delete ker sake. maslan aisi permission jis mai aik saath multiple replies ko edit/delete kia jaa sake. aik aik reply ko edit/delete kerne mai kafi waqt lagta hai.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:26th Oct 2009, 5:02am
 

kali zuban

very good job by kali zuban and thanks for your Appreciation

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:26th Oct 2009, 11:09pm
 

hairat angaiz!!!

Dr. Qasim ka shukarya k onki iss post ki wajah say Kali Zuban nay kuch ander ki baat batlaayee... It's true k Dr KK & (almost:) Dr. waterr ki posts /replies medically perfect aur members k liyeh bahoot ahmiat rakhti hai... issi taarh Waseem bro k jawaabaat say bhi hamari maloomat maiN khasa izafah hota hai... jahaaN tak myrizvi ki baat hai to ... mann aanum k mann daanumm :) yaa mann nah daanum faaelaatan, faa'elaat  haaa haaa

thanx Kali Zuban k apnay viewership say motalliq etni aham baatoun ko highlight kia.. iss say yaqeenan likhna waloun ki khasil 'hauslah afzayee" howi hogi lol

For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014