2 shaadi wali baat hazam nahi horahi hai aap zara in 2 aurto ki tafseel batai, keh kia waqai dono khawateen ki amma is apni beti ki shaadi aap se karne par tayyar ho gai hai. aur yeh bhi batai keh aap ke abba ne aap ki 2 shaadi aik saath manzoor kar li hai ya nahi.
Islamic point se tu aap do shaadi aik saath kar sakte hai, lekin dono ko aik sath aik hi bed par nahi leta sakte; ya tu aap do bedroom aur do double bed ka intezam kare, ya phir aik hi bedroom mai dono ko bari bari bulai.
sawal yeh hai keh aap pahle kis ko bulai ge. yaha tu soorathal yeh hai keh 90% log first night mai aik bivi mai hi kamiab nahi hote, aap 2 ki baat kar rahe hai. waise zabardast soorat haal hogi, aap aik bivi ke saath pahli raat ki mubasrat ki bharpoor koshish kar rahe hoge aur doosri bivi bahar doosre room mai chair par baithi apni baari ka intezar kar rahi hogi.
balkeh mera tu khial hai keh pahli baari ke liye shaadi se pahle hi aik zabardast larai ho chuki hogi keh pahle aap kis ke sath mubasrat kare ge. ho sakta hai keh pahli bari ke liye kuch rishwat bhi dena pare.
waise karachi mai shaadi der se khatam hoti hai aur dulha dulhan ko suhag raat manane ka moqa taqreeban 4 baje milta hai. aik mubasrat ki tayyari, guftagoo aur mubasrat mai 2-3 ghanta lag jaata hai, iss tara tu bechari dulhan no 2 ki bari morning 7-8 baje aaye gi, aur os se aap taqreeban 11 baje farigh hoge.
abhi aap ki thakawat khatam bhi nahi ho paye gi keh dono taraf ki salian (sister-in-laws) nashta lekar aajai gi. dono taraf ki salio mai muqabla hoga keh kis ka nashta pahle khaya jaaye, soorat haal yeh hai keh bed par dulhan no 2 hai, jab keh dulhan no 1 ki bahano ka kahna hai keh jis se pahle mubasrat ki hai osi ke ghar ka nashta pahle khana ho ga.
jab keh aap ka kahna yeh hai keh bhai mujhe nashta se qabal need poori karni hai, kio keh 2 ke chakkar mai mai aik dafa bhi nahi so saka. iss doran dono dulhan ke taraf ki khawateen dulhan se aahista se kan mai pooche gi keh dulha mia raat ko kuch kar bhi sake ya nahi. agar pata chala ke nahi tu waha par phir larai shuru ho jai gi.
doosri wali ka shikwah ho ga keh sari muhabbat pahli ne le li, jab keh pahli wali rote huye bole gi keh os ne tumhare liye sab bacha kar rakha, aur mere sath kuch bhi nahi kia. haqeeqat yeh hai keh dono ke saath kuch nahi kia hoga
bhai mujhe tu yeh 2 shaadi wali baat hazam nahi ho rahi hai. |