iamsterdam |
Group: Members Joined: 10th Mar, 2009 Topic: 2 Post: 2 Age:
32
|
|
Posted on:13th Mar 2009, 2:22pm |
|
|
My Wife Is Pregnant: How Can I Divorce Her?
thank for suggession, main apko details batata hoon k meri prob kiya hai, main abroad main last 4 years se reh raha hoon aur yahan pe mujhe aik paki larki mili jisse mere relations ban gai ,woalready divorce thi aur have 2kids. hmaaray realtion bohut close ho gai aur hum aik saath rehnay lagay ,(ilegall sex) but hmay acha nai lagta tha isliye humne shadi ka faisla kar liya.bcoz hum gunah se dartay thay.aur maine apni wife ko batya k main shaid permanent na hoon uske saath bcoz mere parents ko jub pata chalay ga tu unke decision pe ho ga usne kaha k theek hai its oki,ju meri qismat main likha ho ga mujhe mil jai ga.aur maine kaha abhi tu hum ne iss haram ko hatam karnay ke liye sub kiya hai.mere parents meri angagement meri cousin se kar chukay thay aur meri shadi b waha he karna chahtai thay jub unko pata chala tu unho ne muhe kaha k sub hatam karo aur pak aoo hum tumhari shadi karna chahtay hai aur ye sub ju tum ne kiya hum accept nai kartay. issk baad suddenlly meri wife ne kaha k main shaid pregnent hoon kiunke uske periond late thay ,main aur parshan ho gaya kiunke hum ne koi koshish nai ki thi for pregnency.achanak he ho gaya,aur ab jub ho gaya hai tu main uska hal chaht a hoon kiunke maere parents tu nai manay gai aur meri life mushkil ho jai gi after baby birth.aur agar baby ho jai aur main iss ko chore doon tu b main acha feel nai karoon ga.mujhe khuch samajh nai aa rahi hai meri wife nai appointment banai hai doctor se iss mondai ki for abortion.but wo ye chahti nai hai karwana bt situation ki waja se wo agree hai.bt ab mujhe aapp he batai ke mujhe kiya karna chahiye ye meri zindagi ka mushkil faisla hai pls help me thanx reply me as sooon as possible
|
sanju |
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 0 Post: 25 Age:
41
|
|
Posted on:14th Mar 2009, 1:59am |
|
|
toba karen dear friend hamare andar islaam ki maloomat ki kami hoti hai isliye hum log bhatak jate hain agar islaam ki maloomat ho our hum panch waqt ki namaaz barabar paden to allah paak humko har burai se bacha lega allah se apne gunah ki maafi mange pur toba karen allah se wo aapko is pareshani se nijaat dilwayega haram kam akhir haram kam hota hai ...........sanju |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:14th Mar 2009, 1:36pm |
|
|
re: wife pregnancy and divorce jab aap ne shaadi ker li tu shaadi ho gayee, abortion karana aur wife ko chor dena dono gunah hai. parents ke accept nahi kerne se koi farq nahi perta. Allah aur qanoon ki nazar mai yeh shaadi jaiz hai. aur kisi ki khati shaadi break kerna aur abortion karana gunah hai.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:14th Mar 2009, 2:50pm |
|
|
iamsterdam mujhe apki bat thik se samajh nahi ayi..jo samajh aya wo ye hai ke apko ek girl pasand thi,us se apne shadi bhi karli,jisse apke parents kabool nahi kar rahe aur na hi karenge ..i am right??
agar bat yehi hai,aur apki wife pregnet hain ,to mai bhi kali zuban se agreed hun,ke ab ap apne parents ki razamandi ke beghair shadi karli hai ,to unke man.ne se ya na qabool karne se kuch nahi hoga
Shadi koi khel nahi hai ke ap asani se chod den ,aur na hi abortion itni easy bat hai,ek to ye gunah hai,dusra is se apki wife ki sehat pe bur assar pad sakta hai.
ab jab apki wife na chahte hue bhi pregnet ho gayi hain to apko khush hona chahye,aur ane wale ko khushi se kabool karna chahye,
ap father ban.ne ja rahe hain,aur jab shadi ka itna bada faissla apne parents ki marzi ke beghair kiya to is shadi ko nibhane ke lye apki parents ki marzi lazmi nahi hai.
plzz ek ladki jiske sath ap aisa realtion kaim kar chuke hon,aur shadi bhi karli hai to plzz use devorce mat dain,ye ziyadti hogi unke sath,and one point is also important,ke ek pregnet aurat ko talaq nahi di ja sakti,aur talaq dene ke lye abortion karana bohat Gunaah hai.
ab apka mission yehi hona chahye ke kis tarah apne parents ko manaya jaye.
|
Roshni |
Group: Members Joined: 08th Mar, 2009 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 5:07am |
|
|
agreed I am agreed to kali zuban and sunehri Apko apni wife ka khyal rkhna chaiye or is khushi ko enjoy kary abortion or divorce ka sochy he mat yeh sab khel nahe hai dosro ki zindagi juri hoe hai isk sath
|
shbasheer |
Group: Members Joined: 28th Feb, 2009 Topic: 1 Post: 7 Age:
29
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 7:39am |
|
|
Iam also agreed to sunehri76 Iam also agreed to sunehri76 |
Zahra_ |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2009 Topic: 3 Post: 22 Age:
32
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 8:23pm |
|
|
agreed to kali zuban and sunehri Ap ko kisi ki zindagi se aise nahi khailna chahye...uss larki k barey mei sochein uski life ka kia hoga? apki post se yeh lag raha hai k apne usko apni zaroorat poori karne k liye rakha aur haram se bachne k liye shadi kar li aur apko pata tha k apke parents iss ko accept nahi karein ge ... ghalti dono ki hai .. apki yeh k apne usko thori bohat umeed dala di k parents maan gaye to theek aur uss larki ki ghalti yeh k usne kuch sochey samjhey bagair apko ijazat de di aise relations ki.... ghaltion pe ghalti karne ki bajaye ap sab kuch suljhaney ki koshish karo...apka ek faisla kisi ki zindagi ko aur bigarne se bacha sakta hai aur mazeed gunahon se bach jao ge. Apki cousin se jub shadi hogi aur usko yeh sab pata chaley ga to kia woh apko dil se accept kar sake gi? kia usko koi farq nahi pare ga k uske husband ka kia character raha hai?
ap iss larki ko chor k kia ek nayee zindagi ka aghaz kar k sakoon se reh lo ge? kia apko ehsas e jurm sari umer pareshan nahi karta rahe ga? kisi ki zindagi ko barbaad karne ki bajaye abaad kar k ap haqeeqi khushi paa sakte ho. aur agher ap uss larki ko iss kabil nahi samjhte k uske saath zindagi guzari ja sake to ap khud pe b nazar dalein kia yehi khayal apki cousin k zehan mei nahi asakta? Mera mashwara apko yehi hai k mazeed gunah se bachein aur apni ghaltion ki touba karein sachey dil se aur apni bv ko talaq na dein..aur abortion ka to sochein b nahi kionke yeh ek qatal hai aur ap iss gunnah ka bojh le k zindagi pursakoon nahi guzar sakte. Please iss pe gor karein aur situation ko aur uljhaney ki bajaye suljhaney ki koshish karein. Allah apki rehnamayee farmaye aur apko seedha rasta dikhaye. Namaz parein Allah se raju karein apko sakoon mille ga inshAllah :)
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 10:27am |
|
|
Pregnancy and divorce kia pregnancy mai divorce de sakte hai? agar pregnancy mai divorce dia jaaye tu os ki iddat kab khatam hogi?
mera khayal hai keh iss sawal ka jawab waseem08, myrizvi aur paroot ziadah behtar de sakte hai. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 1:00pm |
|
|
bewqoof pregnancy me divorce ho skti hai laikin uski idat deleivery tk hoti hai...............jb tk deleivery nhi ho divirce nhi hoskti hai.....................my rizvi paroor and waseem08 plz reply here |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 1:10pm |
|
|
app loog jis member ko
answer/segues kr rehey hain ab tak to shaid uss ny apni mrs ko talaq dy b di hoo.....kion k ye thread purana hey
khair.... agr talaq nhi di to bhai daina b mat kion k islam ny iss amal ko napsandeeda qrar diya hey..
2ndly ye k app apni mrs ko talaq daina q chahitey hain..?
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 1:14pm |
|
|
diplomate mene us member ko nhi bewqoof ko jawab dia hai ...................apko shaid bewqoof ka sawal nazar nhi aya............ghor se daikhy oper.............. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:6th Dec 2009, 5:18am |
|
|
questioner ghaib? agarchay sawaal karnay wala dobarah idhar nahi aayaa aur taqreeban 6 month ka arsah guzar chuka hai... taham members ki info k liyeh jawaabaat haazir haiN.
1) mausoof ko apni biwi ko in halaat main talaq hargiz nahi deni chahiyeh. haaN agar woh chaahay to apnay parents ki khahish par dosri shadi bhi kar laiN
2) talaaq denay ka maroof /islami tareeqah yeh hai k biwi ko nah to halatay periods main talaaq dee jaa.ay nah hi prenancy ki halat maiN....... biwi ko sirf oss haalatay tohar (clean days between 2 periods) maiN dee jaani chaahiyeh jiss main husband nay wife say mobaasherat nah ki ho.
3) lekin agar kissi nay above hedayaat k khilaaf bhi talaaq day dee tab bhi talaq valid hogi
4) pregnant khatoon ki iddat delivery hai. iss iddat tak aurat k jumlah ikhrajaat (nnan nufqah) including delievry expenses husband k zimmay hongay. aur agar delivery k baad baby ko mother parwarish karti hai to oska kharcha bhi baap hi k zimmay hai |
|