salam dr sahib and all mumbers, islam main music haram he likin aj kal jo natoon main music hota he or door say sune wale ko lagta he jese koi gana chal raha he or muhammad owais raza qadri ki har naat main music hota he or in ki naatain bhi bohut achi hoti hain tu kia pher is tarhan ki naatian suna mana he.plz rep
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
Posted on:21st Jan 2008, 2:27pm
RE::::::Music and Naat
Naat ko music kay saath parhna bilkul jaeez nahi hai ............ haan daafli zaror istamaal ki jasakti hai ...kyunkay jab HOZOOR PAK HAZRAT MOHAMMED(SAW) madina tashreef laye thay tou bachiyoun nay naat parhi thi dufli kay saath (agar kisi ko ye wakiya tafseel say pata ho tou plz share kijiyai)
....ab jo famous naat khuaan music kay saath naat parhtay hain mujhe nahi pata wo kyun aesa kartay hai jabkay music haram hain according to the following hadith from the famous or most authentic book of hadith shareef named"Bukhari Shareef".....
"There will be people of my
Ummah who will seek to make lawful; fornication, wine-drinking and the
use of ma`aazif ( musical instruments )"
yani kay ma'aazif jo kay ek arabic ka word hai us ka matlab hai musical instruments ........tou is say saaf zahir hota hai musical instruments islam main forbidden hain ya haram hain , tou phir music naat main kesay halaal hosakti hai (meray khayal main ye tou double gunah hogaya)...............aur phir abviously usko sunna bhi ghalat hai......just like music
BAKI ALLAH TALAH BEHTAR JANTAY HAIN
Wesay personally mujhe music kay saath naat parhnay walay bilkul bhi achay nahi lagtay aur main unki naatain bilkul nahi sunta
(main baat jahan say bhi ghalat maloom ho tou usko sahi kardijiyai)
ajkal kuch log naat k sath music to bajatay hain or sath RESHMI pagrian bi pehni hoti hain, jabkay reshmi kaprey mard ko allow nahi, especially molvio ko is baat ka khayal rakhna chahiye,, or kuchh naatain aisi suni jin mai peechhay 2 molvi larkay baithay huey they or wo kuch boltay they music ki tarz mai,, atta ta atta , atta ta atta, kuch is tara ki samajh aati hai,,, boltay kuch or hi hongay lekin jis andaz say musical style mai wo boltay hain yehi mehsoos hota hai k ye bol rahay hain. atta ata...,, or kuch musical naaton mai shirkiya ilfaz bi hotay hain.. ye ovais qadri or is kisam k log ye barelvi firkay say taluk rakhtay hain
mere khayal say is tara say nahi parhna chahiye... Allah ka naam lena hai to ehtaraam say lena chahiye..
sahi naat junaid jamshaid parhta hai, without music or words selection bi bohat achi hoti hai.. ya phir aik or hai usnay bi without music bohat achi naat parhi thi "na tera Khuda koi aur hai , na mera Khuda koi aur hai,,,, ye jo rastay hain juda juda, ye mamlaa koi aur hai..........
dear sister, ho sakta hai, adda ho , par muje nai pata iska kia matlab hai adda ha Allah. par mere khayal say aisay parhna chahiye k sun-nay walay ko confusion na ho aur sahi samajh lag jaey,, ab iski muje kuch samajh lagi , apko kuch samajh lagi, kisi aur ko kuch aur samajh lagi hogi, , jabkay Allah ka naam achay tareekay say lena chahiye,, azaan kitnay aachay andaz mai hoti hai, har musalmaan ko sahi samajh lagti hai....
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
Posted on:24th Jan 2008, 5:07pm
nelish and josh
likin main nay tou kuch aur suna hai wo na atta ta atta hai aur na adda ha Allah ..................wo hai haq Allah ...............ab wo isi ko hakka ka Allah ya is hi tarha parhtay hain music ki tarha bana kar ..............................mujhe ye samajh nahi ata kay is tarha parhnay ka kya matlab hai kyunkay ye ek tarha ka music bana kar istamaal kiya jaraha hai ............aur aksar natoon ki tunes kisi indian song say bhi mil rahi hoti .........yani kay songs ki tunes main naat parhna.....................Well Allah behtar jantay esay logon kay baray main?????????
For Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.