Moolak ke Mojooda Halat Ke Zimmydar Kon?
Salaam! Dosto main aaj jis topic ko zery-behas la raha houn wo shaid kuchh logon ko samjh na aay lekin jo meri baat ko samjh sakain wo is per apni raye zaroor dain. Dosto kaya kabi hum nay ye socha hai aaj kall hamary peyary WATAN jis ka naam PAKISTAN hai is ke andar jo masail moosibatain pershaniyan baddamni bomblast mehangai bhook-o-aflaas wagera wagera ky peda hony ka asli zimmydar kon hai? Is ke baad is waqt hamary moolak ke jo hukmarann hain kaya wo such mein is moolak ke sath mukhlis hain? Kaya in hukmaraon ka maazi(past) hum se dakkha chhupa hai? Aaj ki hakoomatt ka aisa kon sa aisa minister ya member hai jis ka past bedagh ho? Phir ye batao ke in hukmaranoun ko ye hakoomat kis nay di hai? Kis nay in ko ye power di hai ke ye is moolak ko jaisy chahain loout loout kar khha jain aur dakaar b na marain? Ghareeb bechara apny bachy baich raha hai aur in ke bachy Europe America mein aala taleem hasil kar rahy hon. In ke aik bachy ka jitna aik maheny ka jaib kharach hota hai outny main aik ghreeb ke ghar ka 6 maheny ka rashan aa jata hai. Aub janab jo baatain ooper ki gai hain oun ka jawab de diya jaye jo ke yaqeenan kuchh aisy hi ho ga. 1- is moolak mein jo kuchh b ho raha hai is ke zimmydar koi aur nahi hum khud AWAAM hain. Aap poochho gay ke janab hum kaisy ho gay? To aub zara meri baton per ghor kariye ga. Is moolak ki moojda hakoomat kisi aur nay nahi hum awaam ke votes nay hi banaai hai. Kaya hum in aik aik MNA ya MPA ka past nahi jannty? Kaya in logon nay pehly b is moolak ko nai loota? Phir b hum nay in logon ko dobara votes keon diye? Halan ke aap dekhhain in MNAs. Aur MPAs. Mein se aksar aisy aisy log hain jo ziyada nahi to kamm se kamm 3 ya 4 baar pehly b MNA ya MPA bann chukky hain aur ounhon nay apny halqy ki awaam ke liy siwaye jhooty wadon ke aur kuchh nahi kiya phir b wo aaj Asembliyoun mein bethy hain. Akhir kon hai jo in ko baar baar azmaany ke baad phir votes de kar in ko iqtqdaar ke aewanon mein pohancha deta hai? Filhaal in baton ka jawab sochiye phir aagy mazeed baat ho gi.
|