Moolak Nazuk Haalat Se Guzar Raha Hai? Salaam to All Friends!
Waisy to main janta hon ke meri posts ki yahan koi value nahi hai keon ki abi takk ke response ke motabiq mujy lagta hai ke meri posts ya to bakwas hoti hai ya phir shaid os meyaar ki nahi hoti ke ous ko achha response mily.
But in saari baton ko nazar andaaz karty howy main nay ye hi faisla kiya hai ke chahy koi meri post perhy ya na parhy but main Insha-Allah apni baat kehta rahon ga.
So Aaj b main jis Topic per baat karny ja raha hon meri nazar mein to wo b bohat important hai pata nahi aap kaya sochty hain is bary mein.
Dosto aap log aaj kall Hakoomat aur Opposition ke tamam bary bary Leadron aur Ministers se aik Jumlla Zaroor sounty hon gay ke " Moolak is waqt bohat NAAZUK HALAAT se guzar raha hai "
Lekin dosto kaya aap nay jumlla pehly kabi nahi souna?
Kamm se kamm main nay to jabb se hosh sambala hai ye jumlla herr Hakoomat ke dour mein souna hai chahy wo Hakoomat Peoples Party ki ho, Muslim league (N) ki ho Musharaaf ka dour ho ya phir Muslim Leauge (Q) ki hakoomat ho ye Jumlla harr Hakoomat ke dour mein souna gaya hai.
To baat darasal ye hai ke Aakhir kaya wajha hai ke jabb se Pakistan bana hai Is Moolak ke Halaat kabi b normal nahi howy? Kabi b is Moolak ki Aawaam nay ye jumlla nahi souna ke Hamary Moolak ke Halaat bohat aachhy hain, Moolak taraaqqi kar raha hai, Moolak mein aman-o-amaan ki soorte-haal bohat aachi hai.
Kaya wajha hai ke Aaj takk Is Moolak ko jis ka naam Baddqismatti se Pakistan hai aisy Hokamraan nahi mily jo Is moolak mein khushaali la sakain ye Moolak b taraqqi kar saky aur is moolak mein b aman-o-amaan ki soorte-haal aachhi ho.
Mujy to jo wajha nazar aati hai wo ye hai ke Hum Aawaam hi in Halaat ke zimmadaar hain jo 62 saalon mein ye hi decide nahi kar saki ke kon sa hokamraan is moolak ke sath mukhlis hai kon si aisi leadership hai jo is Moolak ko aman ka gehwaara bana saky. Ballke hum to yahan Zaat paat mein aisy battay howy hain ke chahy Hamari zaat wala Minister hamain Zaleel-o-khawaar hi keon na ker day hum phir b ousy hi vote dain gay. Keon ki kisi aur ko vote diya to hamari zaat ki be izzati ho gi. To jabb hum aawaam ki soch hi nahi badly gi to moolak ke halaat kaisy badlain gay? |