adaabay naat 1. wid music naat paRhana dohraa gonaah hai... music waisay hi haraam hai. agar yeh naat k saath shamil ki jaye to aur bhi ghalat kaam hai.
2. gaanouN ki tarz par naat paRhnaa (khaah without music hi kiyouN nah ho) bhi adaabay naat k khelaaf hai
3.naat maiN hazoor saw ko tou, tera waghairah say mokhatib karna jaiz hai... poetry maiN kissi ko tou kahna khilaafay adab nahi... poetry maiN to Allah ko bhi tou aur teraa kahaa jasakta hai... kahaa jataa hai
4. naat waghairah maiN har martabah aap saw k naam k baad yaa aap saw ko mokhatib kartay howay har martabah darood paRhna zaroori nahi.... poetry maiN aisaa mumkin bhi nahi hotaa. albattah naat k ikhtimaam par yaa aghaaz par darood paRh lia janaa hi kafi hai... issi tarah sunnay walouN ko bhi aik naat k end maiN aik martabah darood paRhna kaafi hai... baar baar paRhay to afzal hai |