Re: My Reply 1) "ham log tu apne ma, bap, bhai, bahan aur friend se bhi bahut sari islami batai poochte hai ... " Doctor sahab mera nahi khial k apni student life mein aap ne kabhi koi medical se related cheez apney dost, yaar , cousin ya colleague se puch kar guzara kar lia ho without learning it from the Professor! or agar bachpan se ab tak aap ne aisa kia bhi hota to aaj shaid aap achey hakeem bhi na ban patey! AM I RIGHT ? - Dr. sahab kia aap ko is baat ka ilm hai k 80% hum jasy ma baap, behan, bhai doston yaaron se islam seekhnay walon ko "Ghusal e janabat" ka tareeka nahi ata ? jo k ik bahut basic cheez hai ? is ka yeh matlab nikalta hai k un 80% logon ki zindigi napaki ki halat mein guzar rahi hai jin ka un ko pata bhi nai ? - 40% se 50% asy hi logon k KALMAY ka talafuz theek nahi hai ? - 80% se 85% log baynamazi hain or jo 10 se 15% log namazi hain un mein se 5 % ko namaz ka sahi talafuz nahi pata ? Yeh mein apney jaison ki hi baat kar raha hon Dr. sahab jo ma, bap, behn bivi, tak mehdood hain. Dr. sahab afsos to isi baat ka hai k hum ne duniya ko seekhnay mein to kabhi koi compromise nahi kia lakin deen sirf "MAA, Baap Behan BHai" tak hi mehdood rakha... yahi ma, bap, behn, bhai, se deen seekhnay waley aaj "KALI BILLI k rasta kaat janey se dupak jatey hain" or na janey kia kia.... Laikin hum phir bhi fakhar se kehtey hain k "hum ne to jo bhi deen sekha inhin se seekha" !!! Chalen agar aap ki yeh baat maan bhi leen to phir bhi ik "Unknown Sexologist approachable trough website" or "maan,baap behan, bhai" mein bara farak hy.
2) Mein hargiz yeh nahi chahta k bacha peeda ho tu us ko alim e deen k pass bheej dia jaye, balkey mein to yeh chahta hon k bacha peeda ho or pal barh kar jab aap ki website browse karney k kabil ho jaye tab kam az kam alim e deen k pass fatwa zaroor lenay jaye ..... kyon k "tab us ki akbat ka mamla hai" :)
3) Mere theory per amal kartey hoe agar ma, baap "khud" or apney bachon ko scholars k pass reffer kartey to shaid is se acha hi haal hota jo mein ne oper biaan kia hai. Chalen agar aisa na bhi ho to kam az kam darjy mein ik scholar ki importance ka zaroor pata ho ta k hum is tarah intermingle na karen cheezon ko.
4) Dr. sahab yeh aap ki ik bahut achi approach hy k hum ik dosray ko islamically zaroor guide or share karen kyon k hum musalmaan hain laikin phir wohi baat a jati hai k , this is world of web, we are not infront of eachother physically thats why such sources require authenticity. You are not the one who is claiming religious guidance but there are many other fake and conspiracionary services who are exploiting Islam. koi proof to hona chahye na doctor sahab, ye koi ghar nahi hai balkey ik bahut waseeh informational tool hy. bahut sary Jews or christians Islam ko kharab kar rahey hain, humain kia pata aap kon hain ? .. kia samjhey ?
5) Is baat ka jawab a chuka hai anyway i repeat k yahan right ya left hand se khaney k matters discuss nahi ho rahey, its a proper guidance service on a mature and deep issue (which at least ive understood) ik or baat batata chalon jo k mein samajh raha tha k shaid aap ko pata ho gi lakin apki is baat se mughay shak honey laga hai wo yeh k Alim e deen usay kehtey hain jis k pass deen ka sahi, jamye, or mustanad(Authentic) ilm ho or yeh sahi deen ka ilam seekh kar wo loggon ka naak kaan or gala check nahi karta balkey wohi ilam agay mere jaisy naily deen k davaydaroon ko sikhata hy, jasy mashallah aap yeh soch kar kahen ghar nahi beth gye k chalo medical ki books to khareed leen hain ab doston yaaron se mazeed kuch puch lon ga in k bary mein. agar aisa kuch hoa hota to yahan aaj humain jo aap ki shafqat naseeb ho rahi hai wo na honey pati.
Ik baar phir " Dr. sahab yeh deen Maa baap ka laya hoa nahin hay. Yeh Allah k ehkamaat hain jinhain Hazoor (SAW) k tareekon par pora karney mein kamyaabi hy, or un ko un logon se sikhna pary ga jo sari sari zindigian un ko samajney mein bita detey hain jis ka Allah ne bhi hukam dia hai k "pucho un se jo janney waley hain". LET US NOT TAKE IT FOR GRANTED!!!
|