Should My Brother Marry With Her Ex-Girlfriend?
AoA all members mujay ek problem mein aap sab ka mashwara chahiye. bat yeh hai keh mera bhai ek larki se bat karta tha phone par. aur woh larki hamre doooooor ke rishtay dar hain. bhai ko yeh bat nahi pata thi. bad mein pata chali kafi der ke bad. laiken us donon ki understading kafi develop ho chuki thi aur donon ek doosre ko payar karne lage. us ke bad us larki ke ghar wale us ki shadi karne wale the aur us ne mere bhai ko kaha keh apni ami se kaho woh mere rishta pochein. bhai ne ammi se bat ki keh mein wahan shadi karna chahta hon aap un ke ghar walon se bat karo. Aur aami ne us larki ko phone kiya keh hum us larki ka rishta chahte hain apne bete ke liye. leiken us ki ami ne kaha keh us ki mangni ho chuki hai aur abi hum din rakh ke us ki shadi karne wale hain. aisa possible nahi hai. us ke bad us larki ki shadi ho gai. liken shadi ke bad b donon ek doosre se bat karte rahe. aur woh larki apne husband ke sath acha salook nahi kar rahi jan boojh ke. aur woh us aadmi se taalak chahti hai. actually taalak ki bat mein b donon ki yani mere bhai aur us larki ki understanding hai. keh tum taalak le loo mein tum se shadi kar loon ga. laiken abi hum sab ghar wale es bat ko nahi man rahe keh abi hum log aisa nahi kar sakty. keh tum usi larki ko taalak dilwa ke shadi karo. hamar kehna yeh hai keh hum ne us ki shdi se pehle rishta manga tha tab unhon ne nahi kiya aur na hi us larki ne koi resistance dekhai. aur ab woh itna bara kadam utha ke tum se shadi karne ko tayar hai. pehle hi apne ghar walon ko mana lete agar woh tum se itna pyar kati tu. app logon ka kaya khayal hai, kaya mere bhai ko us larki ko taalak dilwa kar us ke sath shadi karni chahiye ya nahi. ????????
|