Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Meo Hospital and Sir Ganga Ram Hospital Threatened:Why Are Government Hospitals Being Threatened?

Politics   >>  War and Terrorism
 
 
* Noor Clinic *
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3783  Age:  27  
Posted on:23rd Oct 2009, 2:17pm
 

Meo Hospital and Sir Ganga Ram Hospital Threatened:Why Are Government Hospitals Being Threatened?

Koi comment karey ga k Meo and GangaRam hospital ko itna severe threat kyun dai rahey hain?

patients harasan hain aur doctorz pareeschan..

hostle vocate kar k exams postpone kar deya so depressing

doctorz ko threat kyun? Patients ne kya begara jo hospital ko blast ke dhamki?

pehla threat inn dono hospital ke emergency ko tab mila jb sirilankan team pe hamley ke baad wounded rangerz admit theiy.. Shahbaz shareef ne visit keya tha..

aakhir doctor aur patients nishana kyun ab? Aur student ke future ko kyun tabah kar rahey.? Everything is so depressing

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:23rd Oct 2009, 2:39pm
 

Its all CIA sponsored game

1. 9/11 k baad pak maiN so called war against terrorism k naam par pakistan ko tabaah o barbaad karnay ka plan CIA sponsored hai jissay indian RAW, afghan & russians ki hamayat haasil hai..... so called alqaaidah /taalebaan k CIA say direct rawaabit haiN... inhouN nay pahlay insay ussr k tukray Tukray karnay ka kaam lia... ab yehi CIA aik taraf alqaaidah /talibaan ko pakistan ki "secular hakoomat" k khelaaf  laRnay k liyeh aslehaa, planning aur wasaail day rahay haiN to doosr taraf usa govt, pakistani hakoomat ko in alqaaidah /talebaan ko "khatam" karnay par pajboor kar rahi hai... youN pakistani hakoomat, army aur deger security agencies apnay hi mulk k shaharyouN say JANG kart rahi hai.... CIA nay nehayat kaamyaabi say pakistan k ander pakistaniyouN k 2 groups banaakar inkay darmayaan ghamsaan ki jang ka aghaaz karkay hamari mokammal tabaahi ka intezaar kar rahi hai.

2. pakistan main american fauji, safarat.kaar aur deger NGOs sab mil kar yeh kaam kar rahay haiN... yehi log khud.kash hamlouN k "ASAL MASTER MIND" haiN... jo seedhay saadhay FATA k islam pasand shaharyouN ko apnay maqaasad k liyeh use kar rahay haiN... aur amalan FATA shaharyouN say apni poraani shikashtouN ka badlah lay rahay haiN... wazah rahay k jab united india angrezouN ka ghulaam thaa tab bhi yeh FATA walay azaad thay aur inhouN nay angrezouN ko naakouN chanay chubw.aaay thay.

3. bad.qismati say musharraf govt k baad zardari govt bhi usa plan par amal dar aamad maiN onka saath day rahi hai. usa /allies ka pahla target pak k nuclear power par qabzah karna hai takay area maiN bharat ki balaa dasti amalan qaaim hojaa.ay...... issi maqsad k liyeh pooray pak maiN jagah jagah yeh jang chiRy howi hai........ jab tak hakoomati /army satah par maslay k root cause ki taraf tawajjah nahi dee jayegi... yeh silsilah daraaz hotaa chalaa jayegaa...hum kissi bhi local dahshat gardi ko rok nahi saktay jab tak k inkay asal mastermind par haath nah daalaiN yaa inhaiN free hand dena band nah karaiN....

Allah hamaray mulk ki hifzat karay aur hum pakistaniyouN ko aqlay saleem day takay sab asal dushman ko samajh sakaiN... qaatil sirf goli chalanay wala nahi hota.. issay bandooq, goli day kar target k saamnay laa kar khud pasay pardah rahnay wala asal qaatil howa karta hai... goli chalanay walay badaltay rahtay haiN... hidden hands apni jagah maujood rahtay haiN

YSRSLM888 Group: Members  Joined: 24th Oct, 2009  Topic: 8  Post: 96  Age:  29  
Posted on:24th Oct 2009, 3:51am
 

suggestion

mera khayal hy k kuch time k lie hospital band ker dia jai q k ye hazaro logo ki zindagi ka swal hy, or kisi ki zndagi per compromis nhe kia ja skta.

DARD USI KO HOTA HY JIS KO CHOT LAGTI HY

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:24th Oct 2009, 4:14am
 

laal bujhakkaR

hamari kahaniyouN ka aik aisaa kirdaar hai jo mukhtalif issues k aisay solution pesh kia karta thaa jaisay k ajkal hamari hakoomat kar rahi hai.

- aik uni maiN blast hogayaa to mulk bhar k taleemi adaray band kardiyeh

- motor bike par double sawaar kissi nay dahshat gardi ki to double sawaari par pabandi

- agar khoda nah khaastah kissi hospital maiN blast hojaa.ay to mulk bhar k hospitals closed kardiye jayaiN..

- agar koi train /plane terrorists ka shikaar ho jaa.ay to tamaam trains /flight mansookh kar diyeh jayaiN...

issi tarah aahistah aahistah poori society ko maflooj karkay terrorists k maqasad ko pooraa karnay ka moqaa denaa... yaqeenan yeh ajkal k laal bujhakkar hi ka kaarnamah hosakta hai.

YSRSLM888 Group: Members  Joined: 24th Oct, 2009  Topic: 8  Post: 96  Age:  29  
Posted on:24th Oct 2009, 4:44am
 

Mr Rizwi

Ager islamic university walo ne baqi k tamam idaro ki trah apni university 1 hafty k lie shut down ker di hoti to wo 3 talbaat na mrti.

Isi trah baqi k tamam intitutions beshak wo hospital hoo ya koi or idara in sab ko govt k saat h sawun krna chye , q k ye qimti jano ka swal hy, or is ki qadr o qeemet ka andaza sirf wo shakhs laga skta hy jis ko is ki ahmiat ka andaza ho.
YSRSLM888 Group: Members  Joined: 24th Oct, 2009  Topic: 8  Post: 96  Age:  29  
Posted on:24th Oct 2009, 4:55am
 

Mr Rizwi

Ager islamic university walo ne baqi k tamam idaro ki trah apni university 1 hafty k lie shut down ker di hoti to wo 3 talbaat na mrti.

Isi trah baqi k tamam intitutions beshak wo hospital hoo ya koi or idara in sab ko govt k saat h sawun krna chye , q k ye qimti jano ka swal hy, or is ki qadr o qeemet ka andaza sirf wo shakhs laga skta hy jis ko is ki ahmiat ka andaza ho.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:24th Oct 2009, 4:56am
 

all friends

i think k pakistan halut-a-jung meh hy or esy kisi ko inkaar ni ho pakistan k doshmun jo hen pakistan ko pori tura mufloooj kurna chaty hen abi ap khod undaza kur lain k pakistan meh education kis Qudur motaasir ho rahi hy universityes school tumam esy edaary bund hen, hospitals ki jahaa tuk baat hy enko bund ni keya jaaa sukta ku k war k doraan hospitals ka important kirdaar hota hy, pori doniyaa meh ek international law hy , hospitals ko koi noksaan ni ponchata pur yaa tu ghudaaar jo hen na wo apny na wo pakistan k na wo apny deen k wo tu gomraah hen jo doshmun k haat meh khulona buny howy hen, mujy dokh or afsoos tu es bat py hy k pakistan hukomat ki khaarjaa policy inthaaaai kumzoor ho k reh ghi hy aj hum india ka naaam tuk ni laty k wo es saary khayl meh posht punaahi kur ra hy,

schools colleges universities close hen es leye k jani noksaan ko kum keya ja suky es meh koi shuk ni k students jo din raat ki mehnut k bahd exams k leye tiyaar bathy ty or khuch uni meh exams chul ry ty on k leye ye sb ketna pain ful hy, es wakat khod kush bumbaar ko rokna bot moshkil kaam hy any how hospitals ko bund ni kurna chaiye or es meh jo b staf hy apny ap ko jessy mahaaz py jany k leye insaan tiyaar kurtaa hy tiyaar rehna chaiye zindgi or mot Allah k hat meh hy or jo raat Qubar meh hy wo kubi bahr ni ho sukti so pakistan k jo halaat hen hum sub ko sur py kufaan bandh k madaan meh ana ho ga or en chund mothi bhur logo sy durna ni chaiye

schools universties os wakat tuk close rahin jub tuk ye pakistan meh operation jari hy ya halaat dayk k exams wala kam compleate kur deya jay or agur halaat achy ho tu again open kur deya jay.

hukoomat ki zimaadari hy jan o maal k tahaafaz ko yukeeni banana so hukoomat ko es bary meh sukht or fool profe ikdamaat kurny chaiye

 

YSRSLM888 Group: Members  Joined: 24th Oct, 2009  Topic: 8  Post: 96  Age:  29  
Posted on:24th Oct 2009, 5:36am
 

read this

pakistani govt or intelegence itne b bewqoof nhe hain k wo sare pakistan ko close ker k betha jain gy, ye temporarily close sirf islie kia jata hy takeh is doran security ko behter banaya ja ske, or ju hi mutaliqa isare security clearnce de dete hain to os k baad zindagi mamol pr a jati hy, school or universities b 2 ya 4 dino baad re open ho rha hain, or her ak ko chye k wo pak army k sath  contributuin kre or on ka saath se. or is trah k masle uhta ker ap on ko in maslo me uljain, wo already ak bht bare depression k sath fith ker rhey hain , or ham ko on ki himat barhani hy, ager wo kisi institution ko 1 hftey k lie shut down krty hain to os ka mutbadel k b intazam krtey hain.

un ko unka kaam krne me madad krain, na k rikawet bane , q k ham b pakistani hain.

i did my job ab agey me kuch b nhe kho ga samjne wale samj gy hoo ge.

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:24th Oct 2009, 6:37am
 

rizvi

a very gud reply but sir this only now represnt the one side of this bloody picture whatever the reasons and circumstances in which this war was statrtd but now it becomes the war of our own survival bcsz daily we r losing our brothers n sisters who were shot dead by our own people for no good reasonz so we must6 as nation decide the fate of country and this war which is only now dismentaling the networks of these terrorists by any meanz and we hav tu fight till the last drop of blood and braeth

@topic
But some times war is a necessary evil !!!

Let it be a lesson to those who glamorize war

War is not always about heroes and the rite doers !!!

Most of the time it is about individual suffering , personal looses and destruction

For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to get college scholarship in usa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014