aurat aur ba.jamaa't namaaz 1. as per hadees, aurtouN ki namaaz jo ghar maiN paRhee jaye woh masjid maiN paRhi janay wali namaaz say afzal hai (mardouN k olaT)... issi tarah aurtaiN agar ghar k kissi konay maiN chop kar namaaz paRhaiN to woh oss namaz say behtra hai jo ghar k sehan maiN paRhee jaye.
2. taham aurtaiN masjid maiN bhi namaaz adaa karsakti haiN. saf bandi youn hogi.... pahlay mardouN ki safaiN... mardouN k peechay bachouN ki safaiN aur bachouN k peechay khawaateen ki safaiN..... but afzal yeh hai k aurtouN ka portion hi alag ho.... jaisay doosri manzil yaa masjid k aik side par ... jahaaN aanay jaanay k raastay bhi mardouN say alag thalag houN.... jaisaa madina monawwarah maiN masjiday nabwi maiN hai.... khud khana ka'abah maiN bhi namaaz k dauraan aurtouN ki safoun ka alag aur separate ehtemaam hotaa hai
3. mardouN ko encourage kia gaya hai k woh masjid maiN aur aurtouN ko encourage kia gaya hai k woh ghar maiN namaaz adaa karaiN... aurtouN ko ghar maiN namaaz ki adaaigi ki bahoot see hikmataiN haiN.... jaisay aurtouN ko har maheenay periods k dauraan namaaz maaf haiN... aur koi bhi lady yeh nahi chaahti k doosray ko oskay inn ayyam ka pataa chalay... jabkay regular masjid ki namazan agar chand roz mosalsal masjid nah aye to sab ko pata chal jayega k falaaN k nah aanay ki wajah kia hai.... aurtouN ko ghar maiN kaam kaaj ka schedule aisaa hota hai k woh apni sahoolat k hisaab say namaaz paRhti haiN jabkay masjid ki namaaz fixed auqaat maiN hoti hai... aurtouN k saath bachay, doodh peetay bachay bhi hotay haiN... ghar maiN woh tanhaa honay k bawajood apnay bachay ko saath baTha kar namaaz paRh sakti hai... jabkay masjid maiN aisaa mumkin hoga. ghar maiN bachay shor machayaiN to namaaz toR sakti hai... masjid maiN agar sab k bachay shor machayaiN to sab ki namaaz kharaab hogi... aur sari khawateen bachouN ko ghar choR bhi nahi sakti etc etc
Islamic taleemaat hikmatouN say por haiN... khawateen shokar adaa karaiN k onhaiN bahoot see chooT mili howi hai |