shadi 2 afraad ki nahi balkay 2 families k mabain hoti hai, atleast hamaray samaaj maiN.... lehaza shadi k liyeh laRka laRki aur dounouN k parents ka razamand honaa zaroori hai...... agar charouN maiN say koi aik fareq bhi agree nahi to aisee shadi kabhi kaamyaab nahi hosakti.
yahaaN to nah laRki k parents raazi hain nah laRka apnay parents ko batlaanaa chaahtaa hai...... behtareen mashwarah yeh hai k woh oss larki ko bhool ja.ay....... agar ossay laRki say waqe'ee 'mohabbat' hai aur woh ossay roswaa /pareeshan nahi karna chaahta to oska khayaal dil say nikaal day... mohabbat sirf paanay ka naam nahi balkay mohabat qurbani ka naam bhi hai.
laRki k parents say zeyadah oska khair khaah aur koi nahi hosaktaa, aap bhi nahi. lehaza laRki ki khair khaahi issi maiN hai k ap ossay bhool jayaiN |