Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Love Marriage Or Arrange Marriage

Non Medical Discussion   >>  Romance and Love
 
 
* Noor Clinic *
kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:5th Aug 2007, 3:08pm
 

Love Marriage Or Arrange Marriage

Aap logo k mutabik.....shadi love merriage honi chaee ya arrange.............Topic porana hi,,,,magar replies jandar chyeee.....MERY MUTABIK....ARRANGE hony k bad LOVE ka alihada hi maza ho ga...abhi experince nhi huwa bt inshAllah Allah per bahroosa hi ...

Rgds

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:7th Aug 2007, 1:25pm
 

BOly kya baat hi?

Yar koi to bolo...

My kon si marriage preffer kro?

Rgds

don Group: Members  Joined: 01st Aug, 2007  Topic: 12  Post: 246  Age:  26  
Posted on:12th Aug 2007, 10:36am
 

re:kim

yar meray bhai tum nay mujh say aik martaba bhi pucha hay kay may nay yeh sawal kia hay tum kesay bhai ho iss ka matlab hay tum meray sahi bhai nahi ho

 

ur brother

don

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:12th Aug 2007, 10:48am
 

MERY MUTABIQ!

Yar tum bhai baad my banay swal phly huwa.............Ab is my mera kya dosh hi...........Aur haa kisi ny reply hi nhi kiya....Ya to kisi ko love nhi ya kisi ny aj tak arrange marriage hi nhiki jo kisi ny lift hi nhi kriiiii.....

Rgds

Your Bro

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:14th Aug 2007, 7:36pm
 

faisee aur safeena se mazrat ke sath

agar safeena aur faisee kabab mai haddi na bane tu mera jawab hai keh:

1. aisi family jis mai sare cousin aur rishtadar aik doosre se parda nahi karte ho aur apas mai guftagoo waghaira bhi karte ho tu ideal tareeqa hai keh larka khood kisi ham khial larki ka intekhab kare. apni dili khahish ka larki se izhar kare. agar larki bhi larke ko accept kar le tu pahli fursat mai apne apne waldain ko inform kar de. is tarah yeh shadi love+arrange kahlai gi. aur meri nazar mai yahi aik ideal shadi hai.

2. college aur university mai bhi agar koi pasand ajai tu yahi tareeqa ikhtiar kia ja sakta hai. jald se jald parents ko inform kia jai. takeh parents in dono ko aik had se age barhne ka moqa na de.

3. agar soorat hal yeh hai keh tamam log parda tu nahi karte lekin aik doosre se bat bhi nahi karte. aisi soorat mai bhi larki ka intekhab larka hi kare aur apne parents ko inform kare. agar larki wale inkar kar de tu doosri larki ka intekhab kar lekin pahli ke lia aahai na bhare. matlab yeh keh pahle rishta tai karo phir muhabbat karo.

4. jin gharo ma sharaii parda hai os mai larki ka intekhab waldain par chor dia jai.

jo bhi tareeqa kar ikhtiar kia jai. waldain ko jald se jald shamil kia jai takeh kisi qisim ka complication na ho sake.

Note: sawal yeh paida hota hai keh kia sirf larka hi larki ka intekhab kare ga ya larki ko bhi yeh haq hasil hona chahia?

khoobsurat Group: Members  Joined: 06th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 325  Age:  29  
Posted on:14th Aug 2007, 8:25pm
 

My vote 2 love marriage!

  • love marriage mai husband wife ko pehle se ek doosre ki aadat aur tabiyat ka andaza hota hai aur bohot si likes dislikes ko dono shadi se pehle hi samajh chuke hote hain.
  • larke ki poori koshish hoti hai ke larki ko apne ghar walon ke mizaj ka shadi se pehle hi bata de taka us ko shadi ke baad adjust karne mai aasani ho aur as a bahoo, us ki achi reputation baney.
  • bohot se decisions jo shadi ke waqt aham hote hain, woh bhi larka larki aapas mai discuss kar sakte hain, maslan: mu dekhai ka intekhab, jahez ke items ka intekhab, wedding dress ki choice wagera.
  • shadi ke baad larka, apni biwi ko protect karta hai aur apni family ki har achi buri baat mai biwi ka sath deta hai (jo jaiz ho) b/c us ke dil mai shadi se pehle ki mohabbat zinda hoti hai aur apne waadon ka bhi khayal hota hai.
  • log kehte hain ke love marriage karne wale baad mai pachtate hain aur divorce tak bhi baat pohoch jati hai but mai ne bohot se couples dekhe hain jo love marriage kar ke bohot hi khush o khurram zindagi guzar rahe hain, yeh sab to qismat aur mohabbat ki baat hai.
suger Group: Members  Joined: 08th Aug, 2007  Topic: 6  Post: 44  Age:  34  
Posted on:14th Aug 2007, 9:55pm
 

ARRANGE MARRIGE

SALAM

     MERA EXPERIENCE yeh hai kay arrange marrige sahi hai

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:14th Aug 2007, 9:58pm
 

Re: My vote

my vote for both arranged and love marriage.

2 shadian love marriage, aur 2 shadian arranged (agar parents main himmat rahay tu).
!!!!!!!! Group: Members  Joined: 07th Aug, 2007  Topic: 0  Post: 35  Age:  29  
Posted on:14th Aug 2007, 10:17pm
 

re faisee

lagta hay tum ko  sex web site pe aa kay sex kay baray main parh parh kay ab HOUKA ho gaya hay shadi ka  1 se dil nahi bharne ka tumhara

ek dafa love marriage ker kay sari hasretain nikal lo  arrenge ker kay kuch khuahishain reh jati hain

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:15th Aug 2007, 2:35am
 

faisee shadi se darta hai

!!!!!: dekho bhai faisee ko is tarah jawab nahi do. mujhe achcha nahi lagta kio keh faisee meri party mai hai.

waise agar khoobsoorat ko pata chal gia keh faisee meri party mai hai tu bechare faisee ka bahut nuqsan ho ga. kio keh khoobsoorat mere opposition party mai chali gai hai. meri wajah se faisee se cher char band kar de gi. hai bechare faisee ka kia bane ga? jab larkia ose nahi chere gi.

waise ap sab ko tu pata hai keh faisee meri party mai hai. is lia mujhe us ki sari masbat aur manfi batai pata hai. woh 4 kia aik shadi se bhi darta hai. kio? yeh faisee achchi tarah janta hai. mai ne agar bataya tu moderator mere post ko warning ke sath edit kar de ga.
!!!!!!!! Group: Members  Joined: 07th Aug, 2007  Topic: 0  Post: 35  Age:  29  
Posted on:15th Aug 2007, 3:23am
 

re bewaqoof

aap ko batane kee zarorat nahi mujhay bhi pata hay kay faisee shadi se derta hay aap  se is kee kafi lambi chouri  behass hoi hay kali zuban kee id se  hymen repiring kay topic per  ab in haalat main banda daray ga na future se 1 k liye hee 4 , 4 keraya ga tu wo hee tension 4 bar hogi

 

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:15th Aug 2007, 5:30am
 

Re: Bewaqoof

bhai sahib, yeh grouping kab sai start ho gayee, aap jantay hain mujhay siasat sai interest nahin.

baqi rahee baat khoobsoorat ki tu aap un ki fikar na kare. waisay bhi yahan ki ziada tar sisters main mujhay apni achi sis Kali Zuban ki jhalak nazar atee hai, so I dont mind any cher char from any one.

waisay I appreciate kai aap meri masbat aur manfi baton ko jaan gaye hain, shayed sister sana sai bhi ziada. kion kai un kai jannay per tu aap nai shukook ka izhar farmaya tha.

aur main shadi sai darta hoon?? waqai yeh bhi aap behter jantay hon gai. waisay nice guess by !!!!!! sahee pehchana aap nai.

waisay aap bata dia karain tu ziada behter ho ga. I request moderators kai if something is against me even then dont edit it. I am a common member here.

waisay thora buhut tu main bhi yahan kai members kai baray main janta hoon laikin I always take it positive and enjoy it, because main nai khan_80 sai promise kia tha kai I wont raise that issue again.

is type kai discussions ko khan_80 useless kaha kartee thee, and I alway agree with her, so from now own, I wont participate in any disputive post.
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:15th Aug 2007, 6:51am
 

Arrange Marriage!

Mr. exclamation faisee ko jan-nay say kuch faida nai hoga,both of u are male.
come to the topic and make clear your opinion, !! share your views on love or arrange marriage,tell us which marriage you support and why?
being a muslim mai is bat par believe karta hon k har kam ki tara, shadi ka bi aik time fix hai(Allah ki taraf say) or us time say pehlay insan jitni chahe koshish kar lay kuchh nai hota, or jab kisi bi kam ka right time aa jata hai to pata bi nahi chalta or, apko wo sab kuchh mil jata hai jiski talash mai ap bohat koshish kar chukay hotay hain.
i think k arrange marriage ziada behtar hai, thori himat kar k parents ko bata dena chahiye k mai apni dulhan mai ye qualities chahta hon, phir parents apni samajh k mutabik or tamam dosray family members ki raza mandi k sath larki select kar lain, ap larkay ya larki ko chahiye k un ki pasand ko apni pasand samajh kar sachay dil say kabool kar lay.
shahje2008 Group: Members  Joined: 15th Aug, 2007  Topic: 8  Post: 37  Age:  30  
Posted on:15th Aug 2007, 9:49am
 

LoVe or Arrange

 

 

 

      suno dost kim may tumay islia bata raha hoon k mera experience hy Love honi chaya.ok

 

Regrds

s.Shah

Ugly-Sana Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 7  Post: 539  Age:  31  
Posted on:15th Aug 2007, 2:30pm
 

To (!!!!!!!)

App ko tameez nahi hai ke app Faisee se kiss tarah baat karen, ap ko har posting par hi masla hai kissi na kiss se ecpecially Faisee Bhai se. Why don't you just keep your thoughts to yoruself about others. Kissi ki aisey remarks kyon paas kartey rehtey hein un ki personal ay sexual life ke barey mein. I think you are sick, aur sex ke ilawa app ke mind mein aur kuchh nahi hota, iss liey har baat ko palat kar ussi taraf le jatey hein. I have been noticing that.

Bewaqoof, app ki information ke liye, shaid Faisee ne khud hi eik post mein likha tha ke woh abhi shadi nahi karna chahtey, kyon ke buhat jhanjhat hotey hein shadi ke baad.

sana1 Group: Members  Joined: 15th Feb, 2007  Topic: 0  Post: 1  Age:  28  
Posted on:15th Aug 2007, 2:33pm
 

sana

hi salam dost me app se ye kahana chati hon ju kam b karoo wo man bap ki marzi se karoo shadii sarii zindagi ka feclaa hy mery khayal se on ki marzii se hi hona chaye
Ugly-Sana Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 7  Post: 539  Age:  31  
Posted on:15th Aug 2007, 2:42pm
 

Love or Arranged

Shadi karney ke liye sirf pyar hi zaroori nahi hai, aur sirf ussi insaan se hi app ki rishta nahi jurney ja raha jiss se app pyar kartey hain.

Shadi ke baad aur bhi buhat se anam miltey hein susraal mein aur bhi buhat se rishtey bantey hein, jin mein izzat aur payr hona buhat zaroori hai.

Arranged marriage agar ho to respect to milti hi hai susraal mein bhi ayr maykay mein bhi lekin, shohar se izzat aur pyar milney ke bhi chances htoey hein, lekin understanding to shaid kismat se hi hoti hai couples ke darmiyaan.

Love marriage mein, app ke shohar ka pyar, izzat understanding to sab miley gi, lekin susraal ki taraf se payr aur izzat bhi shaid kismat se hi milti hai.

Wish everyone good luck. with either love or arranged marraige.

Maksad donoo ka eik hi hai, ke do insaan pyar mohabbat se sari zindagi eik dusey ke sath guzar saken aur khush rahen.

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:15th Aug 2007, 7:02pm
 

Re: U-Sana

sister, thanks for your nice gesture. rahee baat "shadi kai baad jhanjhat" ki, tu that was just a joke and tanz, I am not serious in saying that. actually har cheez ka aik munasib waqt hota hai, and I am waiting for that appropriate time.

Regarding arrange or love marriage, I believe 100% what you have said. these things very much depend on the culture and mutual understanding of the people in the society.

in our society and family system, arrange marriages used to be more successful. love marriages can be alot successful too if they are arranged by the consent of parents. actually no one can live cutting by himself out of his/her relatives or society. and if the consent of parents is not involved, then situation become tense for the couple.

So this is all need good planning and management. one who can handle these situation, he can make everything in his/her favor and can lead a happy life.
shahje2008 Group: Members  Joined: 15th Aug, 2007  Topic: 8  Post: 37  Age:  30  
Posted on:16th Aug 2007, 10:28am
 

LoVe or Arrange

    

       all Members.

                    dostu love may hum log ghar waloon k merzi k khlaaf hotay hain likin jab hum apni merzi ker laytain hain tu waqat k saat ghar walay teekh tu ho jatya hain mager shertay b mana perti hain in k sasral walay hum say na melay ya na ho wo na ho.har ghar k abnay rool hotay hain agrer tu jo alag rahtay hain un k lia tu tekh hy meger jo with family k sath yani apnay ma bap

k saat rahtay hain un k lia mushkil hy kyon k na ma kush hoti hu na bap just

formality ap k saat tu tekh hy mager larki k saath nahe hotay .

 

apni apni ray send kerin mujay jo likh na tha likh diya.

wating 4 ur responc

For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job in Dubai  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014