Kaheen Hum Nafarmanay Rahman Tu Nahi Bun Rahay? Maa ke qadmoo talay jannat hai
Aur baap jannat ka derwaza hai
Baap ki narazgi ALLAH ki narazgi hai
Apnay aap se sawaal kertay rahna acha hota hai.
Kya hum apnay maa baap ke farmaberdaar han?
Wo jinhon ne humari zaat ko zaat bunaya, hum se khafa tu nahi?
Humaray ravayiay,humaray ilfaz, humaray mashaghil un ko dard dainay ka bahis tu nahi bun rahay?
Maa baap ki baat ko jhotlatay huay,doston aur doseroon ki baat ko afzal sumajhna qyamat ki alamaat ma se aik hai.
Kya hum qayamat ki alamaat ma hissay dar tu nahi bun rahay?
In se aisay ilfaz ya lahjay ma baat kerna jo in ko takleef day,
khuli Quran pak ki nafarmani hai.
Kaheen hum nafarmanay Rahman tu nahi bun rahay?
Shumar tu humara Muhammad-e-Mustafa
(Sallalahu Ale Hi Waale Hi Wasalam) ki ummat ma hai,
Tu kaheen humara shaiwa sir kash tu nahi?
Ayiay hum ye sawaal khud apnay aap se kertay han.
Es ka jawaab bhi humain apnay ander se hi milay ga.
Aur ander se milnay wala jawaab humesha saach hota hai.
Maan baap ki qader in ki zindagi ma kijiay,
Aur jin ke haath se ye waqt nikal chukka hai
Wo apnay amaal se,apnay maa baap ki agli zindagi ko asaan kerain,
Ke naik aulaad bhi sadqa-e-jaria hai.
Jahaan jahaan hum ghalut han ALLAH humain apnay pyaray habib (Sallalahu Ale Hi Waale Hi Wasalam) ke sadqay sudhernay ki taufeeq ata fermaye.
Amin |