Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Islamic Sites: Be Carefull

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
* Noor Clinic *
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:18th Apr 2009, 11:55pm
 

Islamic Sites: Be Carefull

Brothers and sisters in Islam

aaj kal internet per jahan information kee bharmaar hai, wahan Disinformation bhi urooj per hai. Christian,yahoodi aur Hindus groups mukhtalif tareeqoun se Islam ka naam badnaam kernay kaushish ker rahay hain.is ke liye wo different tareeqay istmaal kertay hai, Aur Allah ka shukur hai mein ne oos mein se kuchh loagon ko expose bhi kiya hai.

Un Anti-Islam groups ke tareeqay ye ho saktay hain.

1:wo apnay aap ko muslims zahir kertay hain laikin islam ke naam aisee baatain phailatain hain,jo 1400 saal se na tau kisi ne sunee aur na kisee ne daikheen.

2:Wo apnay aap ko Islam ke barray mein confuse zaahir kertay hain,aur jaan bhooj ker apnay questions ko aisa rukh daitay hain jis se nabi(pbuh) Quran-e-Azeem kee shaan mein gustakhi ho sakay.wo apnay ko Musalmaan bhi zaahir ker saktay hain.

3.Aik baat humaisha yaad rakhain: Quran ka farmaan hai ke "jhoot kabhi akayla nahin aat bulkay apnay saath thora sa truth le ker aata hai" Subhannallah, kiya khoobsoorat baat hai, aur aap daikh saktay hain,ke un ka tareeqa waardaat ye hota hai ke wo apnay aap ko "bohat insaan dost" zahir karain gai,aur aisa impression dainay kee kaushihs karain gai jaisay ke Naoozobillah Islam koi zalmaana mazhab.

4.ya sub se Ahem group hai, ye loag apnay aap ko Murtad(yani Islam chore daina walla) zahir kertay hain, aur zahir kertay hain ke jaisay musalmaan thay aur inhon ne Islam ko oos ki faalan taleemat kee wajah se chora.ye sub se khatarnaak group hai.be carefull ye christian aur jews ka poorana khail hai,istarah kee baaton ko zaahir kerna.

5.AAj kel kuchh loag aisee baatain deen mein le ker aarahain ke jo kabhi nahin sunee gayeen, aur in ka treeqa ye hota hai,ke ye bohat meethay hotay hain,aur bazaahir bohat achhi baatain kertay hain,laikin islam ke saath in kee baatain mutasaadam hoti hain, zaroori nahin ke ye agent hon, ye muslims hotain hain, laikin in ke ideas islamic nahin hotay.

What to Do.

in sub se bachnay ka aik simple tareeqa hai, ke sirf ye soch lain ke hum kisee baat ko achha sirf islyee samajhtay hain kiyon ke wo khuda ka hukum hai, chahay wo kisee ko pasand ho ya na ho, islyee achha nahin samjhtay ke wo humaaray matlab ki bulkay isliye ke wo Allah ki Hikmat per based hai, Aur Allah jau chahy Hukum dai, Inshallah phir koi gumrah kun website aur literature aap ko deen-e-haq se nahin gumrah ker sakta.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:19th Apr 2009, 1:27am
 

Jazak Allah

very nice info.... especially youngs & new net users...

Allah hum sab ko yahood, hanood n nasaaraa k elawah on monaafeqeen k shar say bhi mahfooz rakhay jo "within muslim circle" hamaiN ander say tabaah o barbaad karnay k darpay haiN. aameen summa aameen

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:19th Apr 2009, 8:48am
 

Dom_man bhai

Bht achi aur informative post ki hay apnay.Meri dua hay k Allah ham sab ko Islam kay dushmanon kay shar sy mehfooz rakhay.
maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 6  Post: 1441  Age:  30  
Posted on:19th Apr 2009, 1:21pm
 

good

ye aik naiki h k achi baat sochi jaye or doosron tk pohachae jaye...........

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:19th Apr 2009, 2:23pm
 

jazakAllah

veri nice sharing. asal mein baat yehi ati hae k jo loag iqbaliyat ka zauq rakhte hain woh kahin bhi us main koi patch dekhain to foran pata chal jayega k yeh iqbal ka kalaam nahi. to Quran E pak to Allah Pak ka kalaam hae . lekin hum loagon ne is ko sirf swab hasil karne k liye parha hae samajh kar ammal k liye nahi isliye islam dushman anasir hum loagon ko jald bewaqoof bana letay hain . Allah pak hum sab ko Quran pak aur islam ki rooh ko samajhne ki taufeeq atta farmaye ameen.
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:19th Apr 2009, 2:49pm
 

very nice Maryam sis

Maryam behen, very nice post.very well said.I totally agree with u.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:19th Apr 2009, 3:29pm
 

dom_man bhai

jazakAllah once again:)

is topic pe bhi mazeed discussion jari rakhiye kyun k bohat si aisi kutab manzre aam pe bhi agai hain jo sara sar islaam k khilaf hain jin main aik siraatul mustaqeem bhi hae main writer ka name dekh kar bataongi aur kuch aisi websites bhi jin mein abrogated verses ko bhi include kiya gaya hae.

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:19th Apr 2009, 6:34pm
 

maryam sis plz dont mention it here

Aap ki baat bilkul theek hai,laikin plz aap is tarah kee crap aur islam dooshmani per mabni kitaabon aur websites ka yahan per zikar na karain,oon sites per Nabi(pbuh) ke (naoozubillah) cartoons maujood hain.

humain oon ki shohrat nahin kerni chahiye.kiyon ke yahee wo chahtain hain ke koi kum ilam aur immature muslims oon ke haath lagay aur wo oosay gumrah karain.

A detailes post, thori dair baad.

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:19th Apr 2009, 11:10pm
 

aisay loagon ka aik aur trick

aisay laog aik aur tareeqa khailtay hain ke jab bhee islam per tanqeed kerni ho tau kabhi bhee apnay religion ke baray mein nahin bataty ke is issue per un ka apna mazhab kiya kehta hai, wo loag aisy baaton aam taur per dhauka dainay waalay jazbaati aur emotional baaton ko istmaal kertay hain aur islam per tanqeed kertay hain.

aam aadmi jo deen ka knowledge nahin rakhta aur na hee islam ke ahkamaat ke pichay asal hikmat ko samajhta hai wo aisy jazbaat barka dainay waali baaton se kuchh dair ke liye mutasir ho sakta hai.ye aisay loagon ka aam tact hai ke ye kabhi oos particular issue per apnay religion ke baray mein nahin baatain gai bulkay baazahir bohat meethee aur dil moh lainay waali baatin ker ke dhauka dain gai.

agar aap hazrat Ibrahim ki qurbaani ka waaqia yaad karain tau aap ko is baat ki samajh aa jaye gee, Allah ne oonay hukum diya ke apna beta qurban karo.tau shaitaan ne oon ko betay ki bohat aur is amal ke zalmaana honay ko zahir ke unhai behkaanay kee kaushish kee laikin Hazrat Ibrahim aik prophet honay ke taur per jaantay thay ke Allah kee hikmat la mehmood hai aur insaani aqal oos ka mukamal ihaata nahin ker sakti.ye aik azmaaish thi aur wo is mein kaamyaab huay aur shaitan nakaam.

tau baat zaahir kerti hai ke shaitan kabhi kabhar bazaahir achhi aur meethee baatain ker ke deen e haq se gumrah kernay kee kaushish kerta hai,agar hum Allah kee Hikmat ko apni aqal per tarjeeh dain tau shaitan kabhee nahin bharka sakta.

 

A request to members.

dear members, ye topic islam se related hai, mein chahta hoon ke aap is mein participate kerain ta ke ye top per ho aur ziyada se ziyada loag isay daikh sakain.

Allah humain shaitaan ke dhaukon se mehfooz rakhay.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:20th Apr 2009, 3:13am
 

" a junior Zakir"

dom_man bhai u looks like a jr zakir nike lol

lagta hai aap nay onhaiN khoob sonaa aur paRha hai... maiN bhi Dr sahab ka baRa maddah houN... irf dot net k elawah peace tv nay to kamaal hi kardia hai ab to urdu peace tv bhi aaraha hai...

aap cont. rakhiyeh ham sab hamah tan gosh haiN :)

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:20th Apr 2009, 9:54am
 

zakir and me

LOL..yes i have seen many of his videos and i must say he is a great scholar on comparative religions and science and Islam but the things(issues) i have been discussing here are not his speciality and i have never heard him of talking these things.

anyways...i am a student of social sciences and try to understand the wisdom the Quran and Hadith in that context. The commandments in Islam are mentioned in a simple and understandable manner so that even a common man have no problem to comprehend those priciples but as your knowledge increases you discover a great logic and wisdom behind those commandments because Allah's knowledge is infinite and we humans can understand only a tiny bit of that wisdom.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:20th Apr 2009, 10:16am
 

well said

agreed n jazak Allah
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:22nd Apr 2009, 4:47pm
 

more discussion on it plz

I want u guys to discuss this issue in more detail.It is very important in this age of internet.christian,yahoodi,aur hindus mil ke islam ke saazishay kertay hain humain un se khabardaar bhee rehna chahyee aur doosra ko kerna chahyee.
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:6th Oct 2009, 9:29am
 

Just to bring it Up

For members consideration. Kiya aap ne note kiya hai ke is article mein mention kiya jaanay waalay non-muslims ke tricks yahan noor forum per bhee koi khailnay kee kaushish ker raha hai?Jald oos ko shaitniat ko aap ke saamnay expose kernay kee kaushish karoon ga.wo pehlay apna zor laga lay.
Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 767  Age:   
Posted on:6th Oct 2009, 5:09pm
 

re:

Ary dom bahi kon hai wo??
madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:1st Dec 2009, 6:26am
 

nice work

dom_man ap ney aur sab members ney bohat acha kam kiya is topic per discuss ker keh. lekin is topic per itnay last main nahee hona chaheyee aur is per mazeed discussion ki zaroorat hai aur jaisa app ne kaha non-muslims ke tricks yahan noor forum per bhee koi khailnay kee kaushish ker raha hai to behtar hai keh aisay logo ko jal az jald expose ker keh Block ker dia jaiyeee...
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 76  Post: 1346  Age:  35  
Posted on:11th Jan 2010, 9:30pm
 

members

plz discuss this post in more detail .
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014