Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Right Of Women In Islam: What Does Islam Says?

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
* Noor Clinic *
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:23rd Jan 2008, 9:00am
 

Right Of Women In Islam: What Does Islam Says?

SALLAM TO ALL FRIENDS

Main nai yai TOPIC is liyai chose kiya hai takai har member apni apni rayee paish karain.Agar chai ISLAM main mard aur aurat ko aik jaisa HAQ diya hai.To kya jo ajj kal ho raha hai teeq hai? Misaal kai toor par.......

1.kya Aurat nai mard banai ki kosish shoroo kardi hai?

2.Q Aurat mard sai zyada taleem hasil harnai pai toli hoyee hai?

3.Q Aurat bajayee ghar kai bahir sarkoon pai agayee hai(NOT ALL)?

4.Q Aurat ki is zamanai main mard sai zyada mani jati hai?

5.Q jab Aorat ghalti karai ya na karai mard badnaam hota hai?

6.Konsi aisi cheezain hai jo aurat ko ISLAM nai nahin di?

7.Kya yai wahi imaandaar or ba parda auratain hain jo HOZOOR MUHAMMAD(P.B.U.H) ki biviyoon jaisi ti?

8.Kya aoratoon ko ISLAM mardoon jaisa HAQ daiti hai?

Q aur kya yahan kya mani raktain hain.Need comments of each and single member.Hope i chose the right TOPIC.THANKS.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:25th Jan 2008, 8:10pm
 

re raazdar

raazdar brother aap ne bohot acha article samne laya hai, lekin aap ne jo question likhe hain wo yes or no main explain nahi kia ja sakta balke ye kafi detail k sath explain kie ja sakte hain jo k ek mushkil kam hai. aur mere khyal se esi waja se kisi b member ne reply nahi kia hai. wasi ziada tar swalat ka jawab (yes) hai. ab ye (yes) q hai? ye explain karna aur type karna mere bas ki bat nahi.
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:26th Jan 2008, 5:25pm
 

SAB SAI ZYADA IHMIYAT HAI.....

SALLAM TO ALL FRIENDS

Waisai app ki baat teeq hai sunny kai in sawalon kai jawab daina yes or no main pora nahin.Lakin sab sai bara issue bana hua hai yai.Kai har insaan yahi chahta hai kai us ki izat bachi rahai.Q kai aik insaan agar kisi parayee aurat ko daikta hai.To app ko kya lagta hai us ki behnoon ko koyee daiknai sai kat rayee ga.

Q kai jaisa karoo gai waisa baroo gai.Shahid mairai in sawaloon ka maqsad aik hi hai.Kai agar koyee bi aurat ISLAM kai aosoolon pai utrai to wahi sab kuch hai.Har kisi kai liyai chahai wo bhayee,shohar,baap,etc ki sorat main hoo.Lakin izat jab chali jaye to phir nahin ati.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:26th Jan 2008, 6:15pm
 

raazdar: Your thought is not normal

1. aurat mard nahi bani hai balke haalat ne ose mard bana dia hai. is waqt jetni bhi khawateen aaya aur maasi ka kam kerti hai os mai se 90% aurto ke shohar mazoor, nashe ke aadi, bimar aur had haram hai. agar woh mard na bane tu bechari kia kare. aur tamam kaam perde mai rah ker nahi kia jaa sakta aur na hi tamam burqa posh khawateen ko her qisim ka job milta hai.

Islam mai aurto ki taleem per pabandi nahi hai. lehaza taleem yafta aurat bhi jo job kerti hai woh ghalat nahi hai especially teaching aur medical se taluq rakhne wali khawateen. Aurat business bhi ker sakti hai, Islam mai mana nahi hai.

2. aurat mard se ziadah taleem hasil kerne per nahi tuli huyee hai, balke mardo ne taleem hasil kerni chor di. kuch tu ghurbat aur berozgari ki wajah se taleem ko chor ker rozgar ke chakkar mai per gaye, aur kuch ne awara gerdi ki chakker mai per ker chor di. mardo ko taleem se mana nahi kia gia hai.

lekin mard nahi parhte, jis ki wajah se yeh munasib rozgar haasil nahi ker sakte aur na hi jald establish hote hai. lehaza yeh shaadi nahi kerte. jab mard shaadi nahi kare ge tu bechari larkia ghar baithe kia kare gi, woh taleem hasil kerti chali jaati hai. aur aajkal mardo ke muqable mai taleem yafta larkio ki taadad ziadah hai.

3. aurat khood sarko per nahi gayee hai, yeh mard hazraat hai jo ose sarko per lekar aaye hai. aaj bhi agar mard strong ho, ghar ke ikhrajat uthane ke qabil ho tu aurto ko sarko per jaane ki zaroorat nahi.

4. agar aurat ki salahiat mard se ziadah ho, aur wahi nokri ker ke ghar chalati ho, tu phir aurat ki hi manni chahiye. lekin phir bhi in bechari aurto ke saath os ka shohar zulm kerta hai aur os ki sari kamai cheen ker ayashi mai ura deta hai.

5. aisa nahi hai. mard tu kabhi bhi badnam nahi hota. badnami tu sirf bechari aurat ka hi muqaddar hai.

6. Aurat ne iss se inkar kab kia hai. albatta her aurat ki shadeed khahish hoti hai keh os ka father, brother, husband aur son aala taleem yafta aur achcha kamane wala ho. wo kabhi bhi nahi chahti keh os ka father, brother, husband aur son os se kam salahiat aur kam kamane wala ho.

7. Huzoor (PBUH) aur on ki bivio se koi bhi muqabla nahi ker sakta. koi aur misal de. ham mard hazrat bhi Huzoor (PBUH) jaise na hai aur na hi ho sakte.

8. iss sawal ko explain kare. aap kia kehna chahte hai.

My Comments: aap ne jetni bhi baatai ki os ka jawab mil gia. haqeeqat yeh hai keh aap khawateen ke maamle mai kafi obsessive ho rahe hai. hamari nazar mai yeh aik personality disorder hai. normal insaan aurto ke baare mai is tarah nahi sochta. aap musalsal aurto se badguman (Paranoid) rahte hai. aur har waqt os ke khilaf sochte (obsessive) rehte hai.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:27th Jan 2008, 12:27pm
 

re: women in islam

lagta hai keh raazdar sahib ko mera jawab pasand nahi aaya.
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:27th Jan 2008, 5:54pm
 

re bewaqoof

dear brother aap ne wo sab kuch nihayat omdagi se explain kia jo k main nahi kar saka. lekin Q3 main ek point nikalta hai. aap ne kaha k women es lie sarkoon par nikle hain q k on k mard otna nahi kama sakte jitna kamane ki zaroorat hai. ye baat to haqeeqat k qareeb hai. lekin wo jis andaz se nikalte hain os se ye nahi lagta k wo majboori main nikle hain balke wo new generation k ek passion samaj kar nikalte hain. (not all but most of women)

aisa q karte hain? aap agar es ko b explain kare to bohot acha hoga. aur mere khyal se raazdar brother ka b yahi complain hai.

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  25  
Posted on:27th Jan 2008, 6:33pm
 

re:bewakoof

SALLAM TO ALL FRIENDS

Jab kai sab kuch mard kai hatoon main ta to aisa kuch nahin hota ta.Majboori alag cheez hai usai app yahan use kar saktai.Jab kai har cheez hai lakin aik dikawa ban raha hai abb yai kai aurat khud sab kuch karai.Isi ka to HAQ mand rahi hai ajj kal ki auratain.Ham mardoon nai hi itni ijazat di hai unai is had tak anai ki.Is zamanai main bass itna baki kai kai apnai app ko sambalai rakoo.Aur kuch bi nahin hai roknai wala.

Shaitaan ko insaan kabi karnai main khafi asaani ho gayee hai.Apnai nafs ko rookna muskil hai.Abb hamara pakistan U.S sai kam nahin hai.Sab kuch milta hai yahan.ALLAH hamain ghunahon sai bachnai ki tofeeq ata farmayee.Aur hamain aur bi salahiyat dai kai ham aur insaanon ko bi ghalat sai rook sakain.Aur hamain apnai naik bandoo kai list main shamil karain.AMEEEEN....

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Get Visa For China  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014