shakir316
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2007 Topic: 35 Post: 104 Age:
27
|
|
Posted on:3rd Aug 2007, 1:54pm |
|
|
Islam: Namaz And Nikah Assalam o Alaikum. Main tamam members se aik baat share karna chahta hoon k kuch ulama kehtay hain k jo namaz nahi parta wo kufar karta hai. aur kufar ki waja se uss ka apni biwi se nikah b toot jata hai. aur uss ki aulad b na jaiz hoti hai. Agr kisi ko iss baray main information hai to plz share karen kyun k hamaray muashray main aksar log namaz nahi partay. Thanks |
noorbaba
|
Group: Members Joined: 25th Jul, 2007 Topic: 4 Post: 33 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Aug 2007, 8:31pm |
|
|
RE: Shakir
Shakir bhai mere baat suno aap deen ka ik masla daryafaat karna chah rahey ho, aap ka kia khiaal hai k is kisam k forum pe yeh sawal paste karney se aap ko sahi information mill jaye gi ? yahan to har banda "apna khiaal" zahir kary ga or deen is ka naam nahi hai k apnay khialaat ya jitna logon ko ilam hai wo. aap ne yeh masla daryaafat karna hai to kisi mufti se pucho ta k sahi baat pata chal sakey, kabhi aap ne math k question apney english k teaher se daryaafat kiye hain ? ya kabhi english urdu k teacher se puchi ho ? jab wahan par ehtiaat kartey ho or concern bandey se baat puchtey ho jis ki wo field hai or jis ne wo sikha hoa hai to Deen k mamley mein is kisam ki bongian hum log kyon martey hain ? come on yaar! yeh koi mazak nahi hai, duniya ki baten to concerned experts sikhain lakin deen hum logon ki Raiye se kaim kartey jayen ? how come ?
mein bhi yahan aap ko apna khial zahir kar sakta tha k nahi aisy koi baat nahi hai namaz chornay se insaan kufaar k nazdeek pahucnh jata hai, or kufar or deen mein farak karney wali cheez namaz hai, lakin is k chorney se nikkah fasid nai hota, haan chorney waley ko us ka gunnah zaroor hota hai, .. laikin mere bhai aap khud bhi is baat ki tasdeek kisi mufti se karo. Deen mazak nahi hai yaar k asy hi har bandy se mun utha k us ki raye sun li jaye or jis ki raye convenient lage us ko apna lia jaye. Mere khial mein itna kafi hai shaid samajh a jaye Allah mughay bhi is baat ko samjhny ki tofeek de. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:3rd Aug 2007, 8:52pm |
|
|
re: noorbaba kia is website par kisi aalim-e-din ya mufti sahib ko jawab dene se mana kia gia hai? agar mana nahi kia gia hai tu yaha par bhi jawab dia jaskta hai. kia aalim-e-din aur mufti sahib ke ilawah kis aur ko Quran and Hadith parhne, samajhne aur os ke reference se bat karne ki pabandi hai?
Kia agar koi shakhs kisi alim-e-din ki book read kar ke aur os book ke name aur page ke reference se yaha bat nahi kar sakta? kia agar kisi ne kisi mufti sahib se is topic par fatwa lia hai tu wo os mufti sahib ka name bata kar aisi maloomat is forum par nahi bata sakta hai?
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Aug 2007, 9:10pm |
|
|
Re: bewaqoof I totally agree. agar proper reference sai baat ki jaye tu koi haraj nahin hai. mufti sahiban bhi books read kar kai hi mufti bantay hain. agar aap sahih bukhari ki kisi hadees ka reference dain gai tu sab hi usay accept karain gai, koi yeh nahin keh sakta kai yeh kisi mufti nain nahin bataya is liye galat hai.
haan jab apna khyal batain tab bhi us ka reference dain tu baat accceptable ho gi. bewaqoof is right. thanks |
khangi61
|
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 103 Age:
53
|
|
Posted on:3rd Aug 2007, 9:27pm |
|
|
shakir saab
shakir saab i tell you kah kuch kum ilm aalim(lack in knowledge) kufr k futway haath main uthae phirthay hain.
iman ka ta'ulaq belief say hay. kufr us waqt laazam aata hay jub basic belief say inkar ho. jaisa k kulma sharif(belief on Allah and His prophet peace be upon him)
belief on Allah,belief on angels, belief on previous books revealed to other prohets(ala nabi-e-na), belief on other prophets ala nabi e na, belief on day of judgement,and good and bad luck,getting alive after death.
namaz is not part of belief but its part of practice, if we don't do it we will be sinfull not kaafir.
God knows better. |
| |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 3:54am |
|
|
musalman kaise kafir ho sakta hai 1. Quran mai jagah jagah nimaz qaim karne ki hidayat ki gai hai. is ka matlab hai keh log 100% nimaz ki pabandi nahi kare ge. agar 100% nimaz ki pabandi karni hoti tu yeh hidayat jagah jagah nahi ati. agar nikah tootne wali bat hoti tu is ka bhi bar bar zikir hota keh Nimaz Qaim Karo Wrarna Nikah Toot Jai Ga. lekin aisa nahi hai. lehaza nimaz nahi parhne se nikah nahi toot-ta.
2. isi tarah nimaz parhne ka mashwara aur hukm musalmano ko dia jaraha hai kafiro ko nahi. is ka matlab yeh hua keh musalman agar nimaz nahi parhe tu nimaz ki hidayat karo. agar nimaz na parhne se kafir hone wali bat hoti tu likha hota keh Nimaz Parho Warna Kafir Ho Jao Ge. lekin aisi koi bat nahi hai.
3. matlab yeh hua keh Nimaz qaim karne ka hukum allah ka hai. nimaz qaim nahi karne se insan allah ka gunahgar hoga lekin na nikah toote ga aur na hi woh shakhs kafir kahlai ga. aik musalman kaise kafir ho sakta hai.
|
shakir316
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2007 Topic: 35 Post: 104 Age:
27
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 4:04pm |
|
|
Khangi61 and others Assalam o alaikum . Thank u 4 ur comments. meray khyal main Khangi61 ka jwab authentic hai lakin main phir b kisi Alim e Din se pooch kar aap k saath share karoon ga. Kali Zuban ka jwab aqal par mubni hai na k ilm par. Kali Zuban mujay ye to batao k kia kisi hadees main ya Quran main hai k blue films na dekha karo.to iss ka matlab ye to nahi k blue films se mana nahi kia gia aur ham dekh saktay hain???Jawab do. |
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 4:39pm |
|
|
re: shakir316 Kali Zuban nai theek kaha hai.
Shakir bhai: jee haan , blue films "fahashi" aur "lagwiaat" main atee hain aur fahashi aur lagwiaat sai Quran aur hadees main sakhtee sai mana kia gaya hai. is liye aisay hi kisi bhi baat ko compare nahin karnay lag jana chahiye, aqal sai sochain kai doosra kia kehnay ki koshish kar raha hai
Kali Zuban theek kehtee hain, meri nazar sai bhi abhi tak koi aisa fatwa nahin guzra. Muslim tu usi waqt ho jata hai jab woh dil sai Allah ki wahdaniat ka iqrar kartay hue kalima parh lai aur deen kai tamam aqaid per yaqeen rakhay.
Nimaz per yaqeen na rakhnay wala tu kafir ho sakta hai (I dont mean kai woh hota hai, Allah behter janta hai) , laikin nimaz qaza karnay wala ya susti ki wajah sai na parhnay wala kafir nahin ho sakta. |
safeena
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
34
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 5:15pm |
|
|
haya (sherm ) Eemaan ka rukn hay Assalam o Alikum Members
BUKHARI SHAREEF kee kuch Ahadees e mubareka yahan likh rahi hoon
kitab ul eeman
Emaaniyat Baab# 9
Sahi bukhari
syedna Abu Hurera (razi Allahutala anhu se riwayat hay Huzoor sallalaho Alehee wale hee wassallam ne farmaya
"eman 60 se kuch oper shakhain (branches) (rakhta) hay aur HAYA (sharm)(bhi) emaan kee shaakon (main se) ek saakh hay ".
aagay kafi lambi tafseel hay buhat see baatoon ka zikar hay abhi haya kee mutalliq main ne HADITH likhi hay jis ka zikar oper kia gaya hay ke kahan likha hay ke blufilmain dekhna mana hay fahashi aur ye sab films ka talluq direct haya se hee hay samajhne wale samjh gaye hoon gay |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 5:17pm |
|
|
shakir sahib: ap ka maslak kia hai? 1. shakir sahib ap zara un ulama ka name tu batai jinho ne aisi bat kahi hai. ap un ulma ka maslak bhi zaroor bataiye ga. lagta hai keh islam mai koi new firqa launch horaha hai. kio keh meri maloomat ke mutabiq islam ke kisi firqa mai aisi bat nahi batai gai hai.
2. ap zara apna bhi maslak batai. mujhe tu ap ka maslak bhi mashkook lag raha hai. kahi ap bhi kisi new firqa se tu taluq nahi rakhte.
3. Quran aur Hadeth sirf ulma ke read karne ke lia nahi hai. ham sab ke lia os ka read karna farz hai. kabhi Quran aur Hadeth khood bhi read kar lia kare.
4. aik taraf ap kahte ho keh ap ne kuch ulma se suna hai doosri taraf ap is forum ke member se discuss kar rahe ho jis ki aksariat apne jinsi masail ka hal maloom karne yaha aayee hai. ap khood hi on ulma par sahk kar rahe ho. tab hi tu ap yaha sawal kar rahe ho. agar apko on ulma ki bato par yaqeen hota tu yaha sawal nahi karte. theek theek batao keh on ulma ka taluk kis maslak se hai. aur yeh bhi batao keh tum ko on ulma ki bat par kio shak hua jo tum yaha is sex education ke forum par tasdeeq karne chale aye.
5. ap tu is qadar kam-ilm ho keh apko yeh bhi nahi pata ke blue film dekhna fahashi aur behayai mai shumar hota hai. jis ke bare mai Quran aur Hadeth mai wazeh hidayat aai hai. bhai mere Quran aur Hadeth ke mutabiq blue film dekhna sakht gunah hai. kahi ja kar blue film dekhne na lag jana ke Quran mai lafz blue film nahi likha hai is lia dekhna jaiz hai.
6. bhai mere aise molvio ki bat na suno jis ki bat par ap ko bhi yaqeen na ho aur is forum par os molvi ki bat ko tasdeeq karne ana pare. aisi molvi aur aalim-e-din ki bat suno jis ki bat ko tasdeeq karne ke lia yaha na ana pare.
|
safeena
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
34
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 5:28pm |
|
|
 eeman kee jo 60 shakhain bayaan hoi hain us main chand ye hain
1- namaz na parhna
2- bila uzar roza na rakhna
3- hesiyate hote hoye Hajj na kerna
4- sadqa na dena
5 - waldein kee nafarmani
6- husband kee nafermani
7-kisi muslim ko kisi dosre muslim k haath se takleef pohnchana
ye sab aur bhi isi tarah kee baatain aap sab ko maloom hoon gee zaror lekin ab jo HADEES E MUBAREKA main bayaan kerne ja rahi hoon wo read kijiye
sahi BUKHARI
BAAB #28
kufr kufr main farq hay
"gunha jahliyat k kaam hain aur in ka (kerne) wala sirf in k irtakaab se
baghir SHIRK (kerne) k , kafir qarar nahi dia jaye ga"
tafseel dekhne k liye read karain SAHI BUKHARI KITAB UL EMANIYAAT BAAB no 28
Allah hum sab ko Quran o Hadees parhne aur samjhne kee toufeeq aata farmaye Aameen |
k_shumail
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 2 Post: 85 Age:
29
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 8:52pm |
|
|
Re safeena sahiba safeena jee aap apni malomaat se aur jo ap ne parha yahan pe bata rahi hain buhat accha kaam hay ye is ko jari rakhiye ga
Allah bless u |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 8:59pm |
|
|
re: safeena ap ke post se yeh bat clear nahi hui keh nimaz nahi parhne se nikah
toot-ta hai keh nahi aur yeh bhi clear nahi hua keh kia nimaz nahi
parhne se insan kafir hojata hai. please ise clear kare.
|
k_shumail
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 2 Post: 85 Age:
29
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 4:00am |
|
|
re bewaqoof yaar aap ne is hadees pe qour nahi kia sahi bukhari baab 28 jo hay ke
" gunha jahliyate ke kaam hain aur in ka kerne wala sirf in ke irtakaab se baghir shirk (kerne)ke kafir qarar nahi diya jaye ga" aap is ahdees pe ghoue karain tu aap ko samjh aajaye ga
baqi wazahat safeena sahiba hee batin gee mujhay tu samajh aata hay is se ke ek shirk hay aesa gunaha ke shirk kerne se insaan kafir ho jaye ga
aur gunaha jahliyate ke kaam hain aur gunha ka itakaab kerne se yani gunha kerne se kafir nahi hoga ( shirk kerne ke alawa yani shirk aap ko kafir ker de ga baqi gunha jahliyte hain ) jahliyate tu samjhte ho na aap? |
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 6:43am |
|
|
Mery Mutabiq! Bhai loog kyn laar rhy hoo....
Nimaz farz hi yee to ham sab ko pata hi,Kafir kon hota hi jis ny "La ilaha ilalah, Muhammad-ur-Rasoloolah" nhi parha.
Aap sirf nimaz chorny ki waja sy kisi Musalman jo Nabi(PBUH) ka ummati hi us ko kafir nhi keh sakty jab tak us ny shirk na kiya ho,,Wo bhi shirk krny wala Murtad khelata hi aur wajibul katal hota hi..
Rhi baat nikah ki to Mery Mutabiq nikah Talak sy toti hi nimaz sy nhi agr aisa hota to aj k door my 5% loog 5 time nimaz bhi full nhi kr patay to 95% kya kafir howy astaghfirullah.
Rgds
Your Brother |
micheal135
|
Group: Members Joined: 25th Jun, 2007 Topic: 3 Post: 30 Age:
34
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 11:45pm |
|
|
Aswkm Quran mein likha hai ke
wa laqad yassarnal qur aana lizzikri fa hal mimmuddakir
meaning hum ne Quran ko ek aasaan kitab bana kar nazil kiya to hai koi is mein ghaur wa fikr karne wala
mein ne bhi ek jamat ke logon se suna hai Quran ko tarjume se parne ka haq sirf aalimo ko hai ek aam admi ko nahi lekin ye haqeeqat ke aur Quran ke qilaf bat hai, Quran to allah ne nazil hi isi liye kiya hai ke log us per amal kare aur jab tak parhe nahi uspar amal kaise kar sakte hai
aur ek jagah hai "wa maa arsalnaka illa rahmatallillaalameen"; tarjuma; humne huzoor sallallahu alaihi wasallam ko saare jahanon ke liye rahmat bana kar bheja
Agar kisi ko quran aur hadees ka achcha ilm hai to bhi usko mutaliye(reading) karte rahna chahiye ta ke iman taza rahe aur amal ki taufeeq ho
allah hum sab ko amal e salih ke taufeeq ata kare aameen |
shakir316
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2007 Topic: 35 Post: 104 Age:
27
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 5:20pm |
|
|
To Kali Zuban and others . mujay wo website aur Alim e Din ka naam yaad nahi.Albata main koshish ya search kar k aap ko bata doon ga.main ne ye baat kafi arsa pehlay parri thi. main ne socha kyun na ye baat iss forum pe share kr li jaiy.aap meri profile dekh lain jis se aap ko andaza ho ga k meray pass Din k mutalaq kitna knowledge hai(negligible). kali zuban kia iss forum par sirf sex ko he discuss kar saktay hain?? (waisay main Imam Azam Abu Hanifa k maslik ko follow karta hoon) Thanks |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 7:23pm |
|
|
re: shakir316 1. agar ap ka taluk hanfi maslak se hai tu phir ap ke maslak ke mutabiq jawab yeh hai keh: nimaz nahi parhne se koi na kafir hota hai aur na hi os ka nikah toot-ta hai. albatta nimaz nahi parhne ka gunah hota hai.
2. ap ne agar kahi parha hai tu ose search karne ki koi zaroorat nahi kio keh woh log kisi aur maslak se taluk rakhte hoge. ap apne maslak par qaim rahe doosre ke maslak ko read kar ke confuse na ho. |
safeena
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
34
|
|
Posted on:6th Aug 2007, 1:45pm |
|
|
RE shakir 316 Assalam o Alikum
bhai 5 dafa tafseeli jawab likh k post kia hay mujhay nahi pata kia problem chal hay site pe k post send nahi ho rahi ab himmat nahi ziyada likhne kee aur pata nahi ye post bhi jaye ya nahi jaye
sirf ab ye kahon gee k is topic pe yahan behass kerne k bajaye aap khud SAHI BUKHARI aur SAHI MUSLIM ko read karain aap ka conncept clear ho jaye ga aur apne fiqah k ULMA se bhi maloom karain lekin khud bhi read karain tu accha hay
Kali zuban ne jo kaha theek hay ager namaz na parhne se nikah tot ta tu aap ko tu pata hay k is awqt kitne muslim namazi hain ? aur ye baat ager hoti tu BARHA NAMAZ QAIM KARO k hukum k saath kahin tu itni eham baat bhi hotu k namaz qaim karo nahi tu tumharee biviyaan tum pe haram ho jain gee
jitna main ne parha us k mutabbiq ye hay k kufr kee tu 60 aur kahin 70 shakhain hain namaz na parhna , maan paap kee nafermani , shuher kee nafermani aur dosre baray gunha ..... se le k kisi muslim bhai ka dosre ko face pe thappar marna , kisi ko lanat malamat kerna , behayayi aur JANAZE pe cheekhna chillana bhi kufr k ZUMRAY main aata hay aur in sab pe buhat SAKHT SAZA hay
lekin ager koi Allah k liye kufr karay ga yani SHIRK karay ga tu wo kafir ho jaye ga aur us ko kalma parhna hoga
baqi aap ko ab samajh na aaye tu bareh e meharbani aap SAHI BUKHARI ka BAAB Kitab ul Emaaniyaat read karain aap ka inshaAllah concept clear ho jaye ga
thanx |
My Reply
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2318 Age:
46
|
|
Posted on:6th Aug 2007, 2:05pm |
|
|
re: safeena forum ka session 30 minutes ka hai. 30 minutes se ziadah hone ki soorat mai phir se login hona parta hai. agar ap ka post lamba ho jai tu ap post karne se qabal ose note pad ya MS Word mai save kar le takeh session expire hone ki soorat mai zai na ho. session expire ho tu dobara login ho kar post kare.
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|