saffa
|
Group: Members Joined: 25th May, 2007 Topic: 9 Post: 22 Age:
32
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:03pm |
|
|
Talaq: I Dont Want To Give Divorce To My Wife
dr sahab plz help me mary zahan ma har wakat talak k khayalat aty rehty ha jasy ma apne wife ko talak da raha ho jabky asa nahi ha ma usy koie talak nahi dana chata kyain khyalat sy nikha to nahi tot jata
|
doctorpk
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 25 Post: 591 Age:
42
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:23pm |
|
|
Obsessive Compulsive Neurosis You are suffering from a psychiatric illness called Obsessive Compulsive Neurosis. For treatment you are advise to consult any psychiatrist.
For Detail read: Obsessive Compulsive Neurosis |
anotherOne
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 10 Post: 205 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:25pm |
|
|
re-saffa dear I suggest u to do some wazeeefa for this, plz ask some one special. GOD bless u.
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:57pm |
|
|
hmm yaaar jee fiker mut keroo..aisa hota baaz loogoon main..due to too much fazoll thinking or due to some stress..be strong & try to recite GODs names & some sorat shreef...
u will be okay ,as I do the same thing when I am too much mentally tired..
be happy |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7602 Age:
33
|
|
Posted on:13th Jan 2008, 1:25am |
|
|
Recite many time these You pls read this oftenly and mostly:
ALLAH HUMA SALLAH ALA SYEDNA WA MOLANA MUHAMMAD E W WALA ALEHE SHBE WA BARIK WASALAM.
ANS SURRAH EKHLAS,NAS AND FALAQ.
Thanks |
Bili_miau
|
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
27
|
|
Posted on:13th Jan 2008, 1:54am |
|
|
hmm in iradon ka begum ko pata chal gaya na to kayamat se pehle eik kayamat aajegi :P |
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jan 2008, 8:31am |
|
|
saffa Assalamualaikum
bilawajah aisi batain sochna bhi gunnah hi hai. Mera khayal sai to ap doctor ka pas jain kiyu ka yah koi achi bat nahi hai. Agar apki wife ko apki yah bat pata chal jai to ap yah sochain ka unka upper kiya guzra gi shayad kahtain haina ka chonti ka upper pahar girjana
aisi kaifiyat hogi unki. Ab foran psychiatrist ko dekhain aur es bat ko halka nahi lain bilkul bhi. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 6:41am |
|
|
to saffa agreed to nikama and goodman
main bi yahi ayat aur surtein bataney wala tha jo goodman ne bataiye hain...
anyways ap ye bi perhetey rahey, namaz zarur perha kereyn aur Allah se dua kiya keryen k ap aur ap ki wife k darmiyan mohabbat barhaye aur ye waswasey ap k dil se nikaley...
is k ilawa ap kisi psycatrist ko bi zarur dikhiye.... |
cheeko
|
Group: Members Joined: 07th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 43 Age:
38
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 9:45am |
|
|
Hota hai aisa mere saath hota tha bhut har waqt buss zehn main ye ata tha ke meri ami ko kuch na ho jai Allah na kare wo mar na jain buss ye he khayalat ata rehte the bus jab se namaz main dill lagya hai sab khatam ho gai. do constrate on namaz ba wazo raho or wird rakho. |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 9:14pm |
|
|
Obsessive Compulsive Neurosis yeh aik nafsiati bimari hai. is ka ilaj zaroori hai. is bimari ka name Obsessive Compulsive Neurosis hai. is ke ilaj ke liye kisi psychiatrist ya clinical psychologist se consult kare. |
Bili_miau
|
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
27
|
|
Posted on:15th Jan 2008, 10:36pm |
|
|
kali zuban kai aap mbbs hain? plz dusare topic me detail se bataen |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 12:26am |
|
|
yes kali.. pls explain a little bit more about this disease..
ppl woud like to read
thanks
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:16th Jan 2008, 6:11pm |
|
|
Some Detail About Obsessive Compulsive Neurosis Nafsiat mai waham do qisim ka hota hai:
Delusion: is ka matlab false firm believe hai, is qisim ki waham mai mareez apne waham ko tasleem nahi kerta.
kisi ko waham hota hai keh woh President of Pakistan hai, kisi ko shak
hota hai keh dunia bhar ki inteligence os ke peeche lagi huyee hai.
kisi ko apne ghar walo per shak hota hai keh woh os ke food mai poision
mila rahe hai. is qisim ka delusion psychotic disorder mai hota hai, maslan:
- Schizophrenia
- Bipolar affective disorder
Obsession: yeh aik takleef deh
waham hai, kio keh iss mai mareez ko ihsaas hota hai ke os ke khialat
normal nahi hai, balke waham hai. woh andar hi andar apne khialat ko
khatam kerne ki nakam koshish kerta hai. is qisim ka waham neurotic disorder mai hota hai jis ki misal Obsessive Compulsive Neurosis hai.
Obsessive Compulsive Neurosis: yah aik waham ki bimari hai. jis mai mareez ko unctrolled thought
aarahe hote hai. Generally yeh thought kafi takleef deh hote hai,
maslan Allah aur Rasool ko galia dene ka thought (Nauzubillah), Quran
Pak ki be-hurmati kerne ka though (Nauzubillah). ksi ko qatal kerne ka
though, bivi ko talaq dene ka thought.
mareez ko chukeh khood bhi ehsaas hota hai keh os ke thought normal
nahi hai. is liye woh iss thought se bachne ki bharpoor koshish kerta
hai, woh logo se milna chor deta hai, Quraan Pak ki behurmati ke
thought ki soorat mai nimaz quran chor deta hai, bivi ko talaq ke
thought ki soorat mai bivi ke saamne jaane se darta hai.
kuch mareez aise bhi hote hai jo keh apne kaam se mutmain nahi hote,
ose bar bar thought aarahe hote hai keh os ne sahi kam nahi kia. maslan
door ko lock kerne ke baad bar bar check kerna (poori raat check kerte
rahte hai), kisi cheez ko touch kerne ke baad bar bar haath dhona (is
qisim ke mareez aik din mai kai soap aur pani ka poora tank khali ker
dete hai).
wajoohat: exact wajoohat abhi tak maloom nahi, lekin aik theory ke mutabiq is bimari mai aik chemical Serotonin level ki kami hai.
Treatment: ilaj ke kai tareeqe hai, aik mareez per aik se ziadah tareeqa ilaj aazmaya jaata hai.
- Psychotherapy
- Drug Therapy
- Electroconvulsive Therapy
- Neuro surgery
Note: yeh aik takleef deh
bimari hai, jo keh khood bakhood sahi nahi hoti. is ka ilaj zaroori
hai. ilaj ke liye kisi psychiatrist ya clinical psychologist se consult
kerna chahiye.
|
saffa
|
Group: Members Joined: 25th May, 2007 Topic: 9 Post: 22 Age:
32
|
|
Posted on:17th Jan 2008, 11:56pm |
|
|
Hepatitis dr sahab plz help me my ny Aids k bary ma suna ha k wo sex karny sy wife ko lag sakte ha kya Hepatitis bhi sex sy transwar hota ha mary bhi ko Hepatitis C ho gya ha us ki shadi karni the magar dr ny kaha k wo one year tak shadi nahi kar sakta us ka tretment ho raha ha. Dr sahab ky wife k sath kiss karny or intercorce karny sy Hepatitis ho sakta ha ma ny pahly bar suna ha ap kya kahty ha |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jan 2008, 7:47am |
|
|
to saffa Dear saffa,
ek bat to ye k ur question is not related to the topic of this thread...
dusri bat ye hai k ap jo Aids k barey mein sawal puch rhi hain, ye is forum per already discuss ho chuka hai....ap search bos mein is topic ko search ker leyn...ap ko ap ka answer mil jaye ga |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|