foz |
Group: Members Joined: 27th Oct, 2007 Topic: 8 Post: 55 Age:
38
|
|
Posted on:15th Aug 2009, 7:51am |
|
|
My Husband Drinks So Much: What Should I Do? salam everybody.umed kerty hoon k app seb theak hoon gay.mara sawal yeh hai k maray hus bohet drink kertay hain maa bohet koshesh ker rahi hoon k wo choore deain or wo khud bi chhtay hain laiken ker nahi patay ab mujay is cheez ko dekhnay ki or compromise kernay ki koch khud tek adit ho gi hai.kabi maa un ko mana kerty hoon or kabi khamoosh ho jati hoon kia is ka gunah mujay bi milay ga q k maa seb kooch jantay hooay or pata bi hai k yeh kabi nahi chooray gay phir bi in k sath reh rahi hoon or wo hamari financily zaroreat ko poora ker rahay hain.is soortay khal may mujay kia kerna chahi pls help me islam k nazreay k mutabik .
My husband uses to drink so much. I try to forbid her but he
doesn’t understand. Now I have compromised with his habit. Some times I forbid
him while at other time kept silent. Whether I would also be regarded as
offender since I am living in the relation with a drunker. Although he is full
filling our financial needs. What should I do in this regard? |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:15th Aug 2009, 7:58am |
|
|
miss foz miss foz ap ka too is may kooi qasoor nahi ha ........agar woo is buri adat may lagay howay ha...........agar ap samjti ha kay ap akeeli unkay beghar ra sakti ha too ap unsay seprate ho jain...........wasay ap apnay husband koo bohat piyar say samjain kay woo is buri adat koo choor day........... |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4216 Age:
|
|
Posted on:15th Aug 2009, 4:12pm |
|
|
foz aap ne kaha k aap k husband bhi es aadat ko chorna chahte hian.... to phir to shaied itna mushkil nahi hai...
es aadat ko yakdam nahi chora ja sakta..... bas aap itna kia kare k daily drink ka miqdaar kam kia kare, agar woh 24 hours main 5 pag peete hain, to aap aisa kare k 24 hours ko unhe 4 pag dilaie, kuch din aise guzar jaane k baad tadaad kam kar k 3 kar de.... phir 2, phir 1 aur aakhir main insha Allah woh bilkul es aadat se chutkara payega...........
baqi aap ki zarooriat woh poori kar sakta hai to aise main alahidagi ka mat sochie, bas zara himmat se kaam le aur es aadat se unhe chutkara dilane ki koshish kare.... Allah ham sab ko hidayat de. Ameen |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:15th Aug 2009, 5:56pm |
|
|
hummmm sunny bhai kiya bat ki app ney bara tajurba hey(LOL)
foz
yeah adat bhout mushkil say hi chotti hey,sab say phley tu app ko appney app ko storng karna hoga.ku key bhout si bar asea bhi hota hey key kuch log chor kar phir dobara iss adat par a jatey haien tu app phley appna mind bana laien or appney app ko ready karien key yeah sab bhi hoga
or bhout si bar iss cheez ko chorney key kuch time tak log bhout aggressive bhi ho jatey haien
or mera tu mashwara yeah hey key khud say chorney key bajai,kisi rehab center ki help li jai wo hi sab say best hey |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:15th Aug 2009, 7:17pm |
|
|
salam foz agree all above reply specilely saim.
g han aaj kal bhut aise edare hy jo iss sisile me bhut kaar aamad sabit hote hen.
rahi bat islam k mutabiq to ap un k sat hi rahiye iss me ap pr koi ghuna ny hy q k ye fele bd un ka apna zati hy or ap iss se razi nahi hy ghuna tb hota jb ap ko iss se aaitraz na hota.
so unke sat rahye or samjhati rahiye r namaaz k bad dua ki jiye ALLAH NE CHAHA TO YE CHUT JAYGII INSHAALLAH AZZAWAJAL.
or agr wo namaaz prte hen to lazim unki namaaz chek karen k kahin koi khami to ny q k sai namaaz hi beshak be hayaii or buri batoon se rokti hy or agr khudanakhwasta ny prte to sab se phele unko namaz ki trf twajo dilwaye.
salaam. |
foz |
Group: Members Joined: 27th Oct, 2007 Topic: 8 Post: 55 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 2:24pm |
|
|
thanx salam.thanku very much 4 all ur reply.thanx again asal may wo chorna to chehtay hain laiken wo himet walay nahi hain kabi kabi wo weakend may peetay hain or weakdays may nahi wo kehtay hain ager maa nay choorna hai too maa khud chore sekta hoon mujay kisi ki help nahi chahi maa ager zehni toar per tear hoon to maa khud bi choore sekta hoon ager nahi to koi bi mary help nahi ker sekta.maa is waja say pershean hoon k wo bachoon k samnay bi peetay hain jeb start ker latay hain to koi tameez nahi rehty.without drink he is the best man and father.wat should i do my concern is my kids im so worried.wo asa khud bi nahi chehtay laiken khud per control nahi. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:16th Aug 2009, 3:18pm |
|
|
ok miss foz ap kee batay bee theek ha.........laykan agar un may himat ha aur woo chorna be chatay too woo pher kyoo choor nahi rahay ha.......ap unkoo bachoo kay future ka wasta day.......... |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:16th Aug 2009, 4:37pm |
|
|
foz app bus samjhati rahein
or waseem bhai ki bat bilkul sahi hey key unhey namaz ki taraf ley kar aien or khud bhi namaz parhien,ku key namaz say bhout si burai door hoti haien,or un key dil may bhi yeah bat hey key wo chorna chatey haien tu namaz shoro ki tu wo burai say or door ho jaien gey or Allah un ki madad karey ga
ku key jo insan burai say door honey ki thori si bhi koshish karta hey tu Allah tala uss bandey ki madad zaror karta hey
|
|