Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

What Is The Real Meaning Of SHAHEED And Who Is Real SHAHEED?

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
* Noor Clinic *
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:15th Jan 2008, 10:36am
 

What Is The Real Meaning Of SHAHEED And Who Is Real SHAHEED?

Shaheed Ka Martabah Beshak Buhut Buland Hota Hai , Aur kehtay Hain Kay Shaheed Hamesha Zinda Rehta Hain Marnay Kay Baad Bhi.................

Likin Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Asal Shaheed Hai Kon ? ........ Kyun Kay Shaheed Tou Zalim Banda Bhi Hota Hai Aur Masoom Banda Bhi , Ghareeb Bhi Hota Hai Ameer Bhi , Bachcha Bhi Hota Hai Aur Bara Bhi WAGHERA ...............Kya Har Koi Shaheed Kehlaye Ga ?


Dosra Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Kya Shahadat Allah Ki Taraf Say Milti Hai Ya Koi Bhi Shaheed Hosakta Hai.....................like kabhi kabhi aesay loag shaheed hojatay hain jin ki past life gunahoon say bhari hoye hai (recent accident).....aur agar Allah ki taraf say shahadat milti hai tou kya iska matlab yai hai kay wo shaheed honay wala insaan jo dunya main acha nahi samjha jata tha ek acha insaan tha ?


Teesra Sawaal Ye Peda Hota Hai Kay Kya Shaheed Admi Kay Saray Gunah Maaf Kar Diyai Jatay Hain aur Kya Wo Baghair Hisaab Kitab Kay Jannat Main Chala Jata Hai.........................

Aur agar aesa kuch nahi hota (3rd question main) then shaheed ko shaheed kyun kaha jata hai aur shaheed ka matlab kya hai  ?

----------------------------------------------------------------------------------------------------

Question kafi tough hain .........................Mian buhut shukar guzaar honga un tamam members ka jo upper diyai gaye sawalon ko apni knowledge say solve karain gay ............       may be aur buhut say members kay zehen main bhi is tarah kay questions hongay (both registered and hidden members)










sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:15th Jan 2008, 12:52pm
 

who is shaheed

hitman ji aap ne ek acha topic chuna hai. lekin ye bohot nazuk b hai ho sakta hai k bohot sare members in sawalon ka jawab de sakta hon lekin aap k question k nizakat ko dek kar chup b reh sakte hain. mere ilm main shaheed k bare main jitni maloomat hain main aap se share karna chahoonga. agar muj se khata ho jata hai ALLAH muje os ki maafi ata farmaye.

shaheedon k 100 martabe bayan kie jate hain aur har ek martabe wale shaheed ko jannat main alag maqam dia jata hai. aur ye baghair kisi hisab kitab k direct jannat main jate hain. in martaboon main se chand daraja zeel hain. lekin main tarteeb nahi bata sakta k kis qisim ka shaheed kon se martabe main aata hai. ye mere ilm main nahi hai.

  • bachpan main (baligh hone se pehle) agar koi mar jata hai, khwa wo accedent ho ya koi aur waja wo shaheed kehlata hai.
  • wo shakhs jis ki kamaie halal ki ho aur koi us se cheenna chahe. aur wo us halal ki dawlat k difa main mar jaie wo b shaheed kehlata hai.
  • agar koi shakhs kisi mujahid (jo k jihad k lie nikal chuka ho) k family ki khidmat karne k dauran mar jata hai wo b shaheed kehlata hai.
  • jo shakhs kisi hadse ka shikar ho kar mar jata hai wo shaheed kehlata hai.
  • sab se bare martabe wala shaheed wo hota hai jo jihad farz hone ki soorat main wo ALLAH k rah main kafiron k khilaf lar kar kafiroon k hathon qatal ho jata hai.

aur is tarha chalte chalte 100 martabee ulamaie kiram zikr karte hain.

note: shahadat k lie ye lazmi juz hai k marne wale ne kabi bi kisi doosre muslim ya non muslim k haq par dhaka dala ho. q k ALLAH kabi bi haqooqulibad maaf nahi karta jab tak k wo banda khud os ko maaf na karde. aur qayamat k din on se os gaq k bare main poocha jayega.

aur haqooqullah agar ALLAH ne chaha to maaf kar dega.

bhai mere ilm main jitna tha main ne bata dia lekin acha hoga agar aap kisi aalim se in batoon ki tasdeeq kar de.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:17th Jan 2008, 5:29pm
 

Sunny

Buhut Hi zabardast information bataye tum nay , buhut shukriya ..................................but where are all other members .........................................
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:21st Jan 2008, 7:11am
 

gud yar

very nice sunny

bht acha reply hai

 

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:25th Jan 2008, 8:43pm
 

thanks

thanks for both of u zeb and hitman. lekin shaheed k martaboon k mutaliq main kuch aur b janna chahta hoon agar koi bata sakta hai to plz post kar de.

waiting for reply

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:26th Jan 2008, 1:58pm
 

thanks Lekin!

bhai saab apnay kaha k "jo shakhs kisi hadse ka shikar ho kar mar jata hai wo shaheed kehlata hai. ",,, suppose koi insan chori ya dakaiti karnay ki garz say ja raha tha, YA chori dakaiti kar k aa raha tha, rastay mai koi haadsa ho gaya aur wo mar gaya , to kia ap usay shaheed kaho gay ?? NOOOOOOO

isi tara koi insan, let say koi female hai, be-parda ho kar ya kisi ghair mard k sath ja rahi hai, rastay mai koi haadsa ho gaya,, to kia ap usay shaheed kaho gay , NOOOOO  wo shaheed nahi hai.

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:26th Jan 2008, 2:39pm
 

re josh

main ne apne post main ye mention kia hai k marne wale k lie ye shart lazmi hai k us ne kisi ka haq pamal nahi kia hai. baqi ALLAH ka kam hai wo maaf farmaie ya na farmaie ye kisi ki ikhtiar main nahi hai. any way aap ne ek acha question kia hai.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:29th Jan 2008, 9:29am
 

::::::::::::::::::::::

where r others ............... seriously , pinky , hungama , etccccccc........
sedra Ali Group: Members  Joined: 24th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 89  Age:  27  
Posted on:29th Jan 2008, 10:19am
 

good topic

HITMAN ap nay acha topic chuna hai laikin mujy koi elim nahi hai dekhty hai ki senior memebers kia kehty ha
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:29th Jan 2008, 2:49pm
 

sedra

haan sedra tou acha hai magar is main replies ki kuch kami hai
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:29th Jan 2008, 2:50pm
 

sedra

haan sedra topic tou acha hai magar is main replies ki kuch kami hai
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Fill Out A Job Application  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014