Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

My friend father iz drinker

Social Problem   >>  Me and My Family
 
 
 
Esha Group: Members  Joined: 28th May, 2008  Topic: 6  Post: 16  Age:  30  
Posted on:6th Jun 2008, 7:49am
 

My friend father iz drinker

Salam to all.mjhy ap logo ke suggestion chaye apni frnd k lie.us k father drinker han n sub ghar waly bht try ker chuky han ye sub churvany ki bt koi fida nei hua.pehly tu unhan famly walo ke bato ka kuch asar hota tha ab tu bilkul bhe nei hta.1month man 1 week pety rahty han.plz guid k wo ye churany k lie kya karay.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:6th Jun 2008, 5:27pm
 

Ilaaj

ان صاحب کو پکڑ کر شرعی عدالت میں لے جائیں اور جو شراب پینے کی سزا ہے وہ دلوائی جائے۔ جب وہاں جوتے لگیں گے تو خود ہی ٹھیک ہو جائیں گے۔

ہو سکتا ہے کہ میری بات آپ کو بری لگے لیکن شرابی کی جو سزا اسلام میں مقرر ہے اگر وہ دی جائے تو کوئی شراب نہ پیے۔ بیشک وہ کوئی بھی ہو، کسی کا کچھ بھی لگتا ہو۔ جس نے گناہ کیا ہے اس کو سزا ملنی چاہیئے

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:6th Jun 2008, 9:55pm
 

Esha

agreed with seemi thode word sakht hai lekin she saying right.baki Allah maff karne wala hai.

sharab esi cheez hai jo aaj kal pakistan mein bhi aam ho gayi hai aur es se bhut logo ki jaan ja rehi hai.lekin phir bhi bhut se loog drink karte hain.lehaza mera mashwara yeh hai ke aap ke friend k father ko le kar ese hospital mein le kar jaya jaye jab drinker ka ilaj hota ho...jab woh on ko bimaar ya phir marte huye dekhe ge to shayed woh dar jaye aur sharab choor de.

aur es ke ilawa jab se woh sharab lete hain ya jo on ko deta hai os ke oper action le.aur Allah se dua kare ke woh choor de.medicaly es ka ilaj karwaye ge to aap k dost ke father kabhi bhi nehin maane ge.es ka ilaj asan yehi hai ke kisi tarha on ko samujaya jaye.

Esha Group: Members  Joined: 28th May, 2008  Topic: 6  Post: 16  Age:  30  
Posted on:7th Jun 2008, 3:36pm
 

Still need help

Thank u veer n seemi,bt i m unable to find exact solution.meri frnd ka rishta us k father ke waja se nei ho raha.us ke dadi ne even un k paon pakr k kha k ye chor do.bt un pe koi asar nei hua.joht n jhoti kasmain bhe khana shuru ho gae han wo.such man ye 'ummul khabaies' ha.asal me un ke company kharab ha.pehly wo aisy na thy.plz koi dam darood he bta day koi.v thank ful 2 all
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:8th Jun 2008, 12:45am
 

Esha

Ilaj to wahi hae jo Seemi ne bataya hae, waise aap ki friend ki family se dili hamdardi hae , Allah Ta'ala un ko hidayet de aor woh ye buri aadit chorr dain jis ki waja se un ki family ka sakoon barbad hae.
My Reply Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 2  Post: 2047  Age:  45  
Posted on:8th Jun 2008, 8:58am
 

re: treatment of drunk

sharab churane ka ilaj psychiatric hospital mai hota hai. aap ko mashwarah hai keh apne friend ke father ko kisi psychiatric hospital mai admit ker de. sharab choo.t jaye gi.
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:8th Jun 2008, 11:37pm
 

agreed with my reply

lekin mere khayal se aap ke friend ke father kabhi nehin jaye ge..kyun koi bhi choorna nehi chahta.lekin ilaj karna to pare ga

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:9th Jun 2008, 4:24am
 

Nasha

hmmmmm same problem mere ek friend k sath bi hai

us k father bi bohat nasha kertey hain....takreeban 28 years se wo ye kam ker rahey hain....he said k wo kabhi koi cheez peetey hain aur kabhi koi...means kabhi sharab peeney lag jatey hain, wo chortey hain to kuch din bad chers, phr kabhi heroin, kabhi bear etc etc.....

wo aur us k ghar waley becharey bohat oareshan rehtay hain....bcoz wo nashay mein apne ghar walon ko martay bi hain....apne biwi bachon ko....ek aur hairat ki bat bataun...wo ye k meray us dost ka bara bhai married hai aur us ki shadi ko abi 1 sal hua hai aur us ki biwi k samnay us k father ye sub tamasha banatay hain....wo sub us new dulhan ko ye nai batatay k un k father nasha kertey hain...bus aise hi koi aur bat ker dtey hain

wo kehta hai k pehle ki bat aur thi...lekin ab ghar mein jawan bhabi aur behen bi hai...un k smanay merey father baray bhai aur apni wife ko  martay hain....wo sub baray pareshan hain....

he said k unhon ne bohat bar apne father ka ilaaj bi kerwaya hai....bohat se psychatrist se bi aur nashay ki Dr se bi....3-3 maheeney ilaaj kerwya hai...but her bar koi asar nai hua....kuch din wo sahi rehtey hain....apne ghar walon se muaffi bi mangatay hain aur kasamen aur waday bi kertey hain ainda koi nasha nai keryen gey...but kuch din hi guzertey hain k wo dobara shuru ho jatey hain....

such mein...mujehy to apne dost aur us ki family per bara tars ata hai....wo mujh se apni ye baten share kerta hai to meri bi ankhon mein aansoo aa jatey hain....mujhey to kuch samajh nai ati main us ki help kese kerun....ap log koi mashwara deyn plz................?

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:10th Jun 2008, 2:27am
 

nasha

kisi ne jawab hi nai diya mujhey

:-(

i think kisi ne meri ye post perhi bhi nahi hai :-(

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:10th Jun 2008, 4:32am
 

nasha

its very important discussion

plz is thread per participate kijiye aur btayie k mere dost ko agay kia kerna chahiye

ajkal us k ghar mein phr se barey larai jhagray hain

wo bechara bohat pareshan hai

wo mere pas kal aya tha aur sara waqt rota raha tha

he is very worries and very very depressed

:-( mujh se us ki halat dekhi nai jati

main usey kia kahun, mujhey kuch samajh nai ati :-(

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:10th Jun 2008, 4:42am
 

zeb

nasha waqaee aisi cheez hai jis se picha chudana bht mushkil hai...

aur mai sochti hun,jis tarah kuch logon ko chaye nashe ki had tak pasand hai,aur unhe chahye chodna kitni mushkil lagta hai..to un logon ka kya hal hoga jo sahi nasha use karte hain..

iska hall sirf yehi hai,ke aise person ko 3-6 month (jitna time bhi lage) hospital me rakhna chahye jab tak uske andar mukamal tor par Nashe ki adat nahi chut.ti.

iske ilwah koi hal nahi hai,kyunke na aise log pyar se sunte hain,na ghusse se..aur aise log aksar hi ghar a kar mar peet gali galoch karte hain.aur wo itne behiss ho jate hain ke wo apne biwi bachon ke khane peena intezam karne ki bajaye sirf apne nashe ka sochte hain aur apne hi ghar me choriyan/saman bechna shuru kar dete hain..sirf islye ke unki sharab/nasha pura ho...

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:10th Jun 2008, 4:49am
 

nashay ki adat...

In my opinion
aisay log jo kisi bi kisam ka nasha kartay hain,, unko kisi aur cheez ki adat dalnay ki koshish karni chahiye... maslan , chaey (TEA) peenay ki adat dalnay ki koshish karain... jab wo insan ko nashay ki talab ho to us banday ka dheyan kisi aur kaam mai laga dia jaey, kisi sochnay walay kaam mai...

aur sath sath thora bohat deen ki taraf unko lagaya jaey,, directly unsay deeni mamlat mai jhagra na kia jaey aur na hi force kia jaey k aisay karo,, balkay baray tareekay say pehlay rozana 1 namaz parhnay ki adat dali jaey.. phir haftay baad 2 time namaz parhai jaey aur khud bi sath parhi jaey,, then ahista ahista sari namazain parhnay ki adat dalti jaey...

waisay is tara ki adat aik dam say nahi chhoot sakti,, iskay liye hospital ja kar ilaaj karana hi ziada behtar hai...

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:10th Jun 2008, 4:51am
 

sunehri

u are absolutely right

us k father bi aise hi hain

wo bi nashay mein sub kuch bhool jatey hain

aur apne nashay ki khatir kuch bi ker sktay hain

lekin ap ne hospital wali jo suggestion di hai....wo bekar hai....bcoz wo bohat bar un ko admit kerwa chukey hain

3-3 balke 4-4months wo hospital mein rehtey they aur un se koi milney bi nai jata tha....takey unhen saza bi miley...but wo wahan se lautney k bad 1 maheena mushkil se sahi rehtey hain aur dobara shuru ho jatey hain....wahan se wapis k aur bi ziada jhagra kertey hain k tum logon ne mujhey itna arsa hospital mein kion rakha.....

phr wo log thorey din k liye hospital mein rakhtey they....Dr kehta tha k 10-15 days hi kafi hain...phr wo aise hi kertey they...lekin us se bi koi ferk nai perta tha....bus paisa zaya ho jata tha un k ilaaj mein

ab wo log bilkul thak chukey hain....wo kehtey hain ab hum keryen to kia keryen....ab to ye haal hai k nashay mein na bhi hon tub bhi ghar walon se sahi tarhan se bat nai kertey....mera dost ro raha tha aur keh raha tha k wo hum se kabhi khushi se bat nai kertey....hamesha ghussay mein rehtey hain...aur apni wife se to bilkul bi sahi tarhan bat nai kertey....un k sath to aisa behave kertey hain jese koi naukrani ho.....

wo bus apne doston k sath khush rehtey hain, un k sath hanstey bhi hain....aur kisi ko kuch na samajhtey....yahan tak k apne behen bhai aur relatives k sath bhi nai rakhtay....kahin kisi behen bhai ya relative k ghar sekisi dawat ka invitation aa jaye to wo bahanay bananay lag jatay hain takey na jana parey....aur kehtey hain k baki sub jao main nai jata.....aur agar unhen mushkil se mana bujha k ley bi jatey hain to wo wahan se khana kha k foren bhag atey hain......kitna bura lagta hai ye sub

sirf doston k sath khush rehtey hain....na ghar waley achey lagtey hain aur na hi baki relatives....

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:10th Jun 2008, 4:56am
 

zeb

ghalat sohbat bhi insan ko ghalat kamon ki taraf lati hai..

aisa bhi ho sakta hai ke wo jab hospital se wapis ate hon to phir se usi company me ja kar baithte honge jahan sab peete hain..is tarah se ye adat khatam nahi hoti

shahid unhe unke hospital se wapis ane se pehle ghar shift kar lena chahye..maby wo wapis ayen aur unhe wo company na mile to ahista ahista wo chod dain??

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:10th Jun 2008, 5:03am
 

sunehri

han ye bat to sahi hai

but wo kia keryen

wo wapis to ghar hi atey hain'lekin kuch dino k bad phr se wohi kam,,,,,un logon k pas khud jatey hain....ya phr phone ker k un se mangwa letey hain....ghar per nai mangwatey but kisi na kisi tareekey se arrange ker letey hain

wo bohata chalak aur hoshyar admi hain....her tarhan se handle ker letey hain aise kamon ko....bus unhen apne biwi bachon ki zara bi perwa nahi hai...

kon jee raha hai, kon mar raha hai koi fiker nahi hai unhen...

chahay wo kuch na bi pee rahey hon...koi nasha na ker rahey hhon tub bhi aise hi kertey hain.....khud suger patient bi hain aur khud ko zara sa kuch ho to becharay sub ghar waley un ka itna khyal rakhtay hain....agar wo khyal na rakhyen to un ki maut bilkul un k kareeb hi hoti hai...Dr kehtey hain k ye sirf ap logon ki care ki waja se bach jatey hain....but unhen apne ghar walon ki zara fiker nai hai...zara bi ehsas nai kertey

aur soori taraf ghar mein se koi bemar ho jaye to un ka zra bi khyal nai rakhtay...poochtey bi nahi k Dr ko bi dikhaya hai k nai....aur biwi agar bemar ho jaye to tauba tauba,,,unhen kehtey hain k tum to bahanay banati ho......

ye sub nasha na bi ker rahey hon tub bi hota rehta hai...sirf nashay ki waja se nahi hai

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Jun 2008, 2:52am
 

:-( nasha

kisi ne koi jawab hi nai diya...........

mera dost bohat pareshan hai........ :-(

aur main bhi us ko dekh ker bara pareshan ho jata hun

plz koi help kerye hamari......... :-(

shyad kisi ka koi acha mashwara kaam aa jaye......

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:12th Jun 2008, 4:41am
 

nashaa

kisi ne koi jawab hi nai diya...........

mera dost bohat pareshan hai........ :-(

aur main bhi us ko dekh ker bara pareshan ho jata hun

plz koi help kerye hamari......... :-(

shyad kisi ka koi acha mashwara kaam aa jaye......

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:13th Jun 2008, 7:09am
 

nashaa

:-( ...................
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:14th Jun 2008, 2:56am
 

nashaa

baray afsos ki bat hai

kisi insan ki madad ho jaye gi to sawab apko miley ga

:-(

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:16th Jun 2008, 2:52am
 

nashaa

:-(

........ very sad

1 2 3  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012