H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6346 Age:
35
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 10:27am |
|
|
How To Keep Balance Among Wife And Parents?
aslamoalikum ap sub sy ye Question hy k wife or parants jin meh khas kur mother jisy orfy aam meh Sass kaha jathy hy kessy balance rukha jay k wife b khosh or parants b khosh ,
|
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 11:51pm |
|
|
dr_qasim alykumussalaam bhut asan jab walidein k pas jaiyn to srf or srf unki sune.
or jab begum jaan k pas jaiyn to srf or srf unki sonay.
phr bas waledein b khush or samjhe bhai jaan.
oof ooh aaj kal to hr trf siyaasat krni prti hy kia kare majboori hy. :( |
misha_ch |
Group: Members Joined: 06th May, 2009 Topic: 1 Post: 482 Age:
25
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 2:08pm |
|
|
maan baap....hamari jannat Allah Ta'aalaa nay Quran main apnay baad saath he parents ka zikar kiya ha................unka bohat bara darja ha.............jinko sirf muskra k dekhna he haj e mabroor ha...........to unki khidmat main kiya ajar hoga..........kahtay hain k insaan jesa parents k saath sulook karta ha wesi he uski qismat hoti ha aagay. aaj afsos k saath kahna parh raha ha k aik b v ghar main aa k maan...bahan sab ghar walon say apnay hubby ko door kar deti ha sirf choti choti baat pay sabr na karnay ki waja say.............husband pay sirf aur sirf apna haq samajti ha.................halaan k Nabi S.W.S nay 3 dafa maan ka haq bata k 4th tym b b v ka nahi bal k baap ka bataya tha..........yani sab say ziyda husn e sulook k mustahiq jo hastee ha ....aj afsos k wohi sab say ziyda zaleel o khuaat ho rahi ha..aaj ham apnay frndz ko wife bachon ko baray shoq say tym detay hain...........lakin parents k liay aik ghanta b daily nahi nikaal saktay sab ko apna muqaam do..........b v k saath b ziydtee na ho...........lakin parents k saath to bohat careful rahna chahiay.........isi liay shyed Quram main specially un ki old age ka zikar ha ...k is age main insaan chirchira ho jata ha.............agar phir b wo gussa karin to ufff tak na kaho...........bal k wo wahid hasteee ha jis k saamnay Allah nay b farmaya ha k kandhay jhukaa k baat karo yani pooorray adab k saath
aur jo aurat thora sabr karnay ki bajay apnay husband ko us k parents say uski jannat say dooor karay geee ........us ka ghar aur olaad saari zindagi khair say khaali honagay.......koee khair nahi milti phir usay |
misha_ch |
Group: Members Joined: 06th May, 2009 Topic: 1 Post: 482 Age:
25
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 2:13pm |
|
|
How To Keep Balance Among Wife And Parents? maan k saamnay b v ko itni ahmiyat mat do k maan ko rashak aay...aur jealously feel ho.........har kaam main maan baap ko aagay rakho........buzurgon ko ahmiyat dee jay.....un say pooch k har kaam kiya jay..........due respect de jay.........phir he balance hota ha .............yehi mard ka asal test hota ha....lakin kuch samjhdaar mard he is test ko passs kartay hain..........phir un ki lf qabil e rashk hoti ha....jo jazbaat main aa k sab say alag ho jatay hain aur aik tarf he jhuk jain wo saari zindagi pachtaatay rahtay hain |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4216 Age:
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 2:58pm |
|
|
mishi wow thats a great job.....
hamare muashire ko aisi auraton ki sakhta zaroorat hai, jo aise sundar vichaar rakhti hoon... |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 3:28pm |
|
|
misha behen Jazakallah app ne baree ache post lekhe kar diloon ko ubhara hai..
|
mubash |
Group: Members Joined: 06th Jun, 2009 Topic: 12 Post: 79 Age:
32
|
|
Posted on:20th Jun 2009, 7:09pm |
|
|
re dekhaen .. Sas and Bahoo ye darasal International masla hay aur har ghar maen yah hota he ya ho sakta ... bas is maen husband ka main bridge ka kirdar hona chahye aur bohat hi importatant role husband ka hota hay , bas yahi bat kahta hoon is maen bivi ko kuch ziada compromise karna chahye kyun k paretns to ab old age maen haen aur agar koi ghality ho bhi jati hay to bahu ko chahye us ko nazar andaz kare .. aur agar koi bahu se ghality hojai to parents ko bhi chahye apni beti samajh ker mauf kardaen . bas duaa karten jis ka bhi ye dispute masla shidat ikhtiyar kargya hay Allah talah un masle ko hall farmaen . . Aameeen .o k thanks. |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6346 Age:
35
|
|
Posted on:25th Jun 2009, 3:02am |
|
|
thanks misha .... very nice ap ny bot achy tureeky sy satisfied keya sub ko. maa k kudmoo tuly junaat or ma baap dono agur bory ho jayn tu offf tuk kehny sy muna keya gya hy or apny peyari kitaab meh sub sy phyly maa baap muskeen yuteeem ka bola gya hy.
parants life meh ek dufa he milty hen or maaa jo 9 month apny babay ko tukleefyn jeheel k pyda kurti hy oska mukaam b Allah ny or osky rusool ny btayaa or father ka b.
baki rahi wife tu ye b zindgi ka bot keemti surmaya hy agur wife achi ho tu . wife or parants ko razi rukhna thoraa murd k leye moshkil kam hota hy pur wife agur cooprative ho or wo onka mukaam janti ho tu keya he kehny .
ye indian rishty daryaan ni bnayn ye saasssss sossaaaar ni kahyn apny parants ke tura sumjyn chaye wife k parants ho ya wife k leye husbnad k parants ho tu meh ni sumjata koi problem ho
asaal meh hum shadi k bahd rishty jo bunty hen on k hisaab sy sochty hen ye saasss hy sossaaar hy jytahaaani hy nund hy ye wo ye sub indian culture hy
muslim sub bai bai hen or wife ko sumajna chaiye ye mery husband ke sis hy na k nund etc or esi turaaa saaasssssssss ni ye sumajna chaiyee ye mery husband k parants hen , ya meri wife k parants hen , ye baki jo rishty jany jaty hen bot budnaaam sy rishty hen wo es leye he k hum sumajty he gult hen.
so wife or parants k durmiyaan releationi ko maintain kurny k leye subar or gossy py kabooo rukin or thundy dil sy soch k koi fysila leyn.
wife ke shikayat or parants ki shikayat py unda dohnd koi action ni lyn
aram sy sochin or mohamily ko soljayn .
parants ka bot bura mukaam hy so on ko wo mukaam zroor dyn sary musayl hul ho jayngy
wife ko wife sumjyn or wife ki by ezti kubi kisi k samny na kurin .
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:16th Dec 2010, 10:45pm |
|
|
how to keep balance shadi k baad mard ko 2 maoN k darmiyan insaaf (tawazun) karna hota hae aik to us ki apni maaN aur doosri us k bachoN ki maaN . ab agar woh yeh soch kar apni maaN ki ata,at aur farmanbardari karta hae k na sirf woh khud apni jannat tayar kar raha hae balkay apnay bachoN k liye bhi role model hae aur us k bachay mustaqbil meiN usko follow karaiN.ge to is se na sirf is k apni maaN khush rahegi balkay anay walay waqt meiN woh aur us ki bivi bhi apni aulaad se faiz hasil karaiN.ge . warna duniya meiN waqt k dairay se koi nahi bacha . yeh itni jaldi ghoomta hae k jab aap apnay maaN baap ki stage par atay haiN aur aap k bachay aap ki stage pe to us waqt na sirf bhugatna mushkil hojata hae balkay us waqt aap k parents bhi nahi rehtay k kaffaray ka koi moqa hi mil sakay. bivi aur us k parents ko izzat daiN aur apni aur apnay parents ki izzat karwayeN . jab insaan rishtoN ki tazeem pehchan leta hae to phir balance karna asaan hojata hae. |
000amna |
Group: Members Joined: 09th Sep, 2009 Topic: 42 Post: 252 Age:
24
|
Blocked |
Posted on:17th Dec 2010, 5:17am |
|
|
Qasim bhai Qasim bhai kia bat hai ajj apko hmri advice ki zarurat kase par gai agaye pichay to hm apke jawab ka wait karte hain.aur jaha thak rahi advice ki bat wo to hmara farz hai dena.simple hai wife ko wife ka darja do aur waldin ko waldin ka.wo dono b kush aur app b kush.waldin k samne kaho k apki bahu ko to mere se b zada apki fikar hoti hai, aur bvi se kaho k ami abu har waqt tamri hi tarife karte rahte hai k kitni achi hai kitna khail rakhi hai gar ka hm lucky hai jo asi baho mili pir dhakna gar larai karwane wala shtan gus hi ni sakta.
|
Roshni89 |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2010 Topic: 1 Post: 12 Age:
26
|
|
Posted on:17th Dec 2010, 8:07am |
|
|
Maryam sis Bohat khoob ap ne kaha.Jb hmein makafat e amal yad hoga to hm balance rkh pai ge. |
Mr.Confuse |
Group: Members Joined: 31st Jan, 2011 Topic: 1 Post: 158 Age:
32
|
|
Posted on:19th Sep 2011, 4:05am |
|
|
How To Keep Balance Among Wife And Parents? Assalam O Alaikum,
Nice Reply by MISHA & MARYAM. Thanks to them.
Dear Ali,
Paisay haij ker support kerna achi baat hai laikin asal credit to un logon ko jata hai jokeh parents ko pakistan mai sath rakh ker care kertay hain. Or yeh shadi kay baad bohot mushkil ho jata hai. Kabhi ko aulad na ferman ho jati hai to kabhi bahoo khidmat karnay say katrati hai. Ager bahoo inkaar na bhee keray to kai bahanoo say taal matool kertee hain.
Bohat hee kam bahooain hain to saas sussar ki khidmat kerti hain or ager woh bemaar ho jain to bahoon ki ratio to bohat hee kam ho jati hai.
However jo batay or bahooain parents ka khayaal nahee rakhtay to woh aksar dunyaa mai zaleel hee hotay hain or akhrat mai to hoon gay heeeeee.
Sab ko MARYAM ki baat ko samajhna chahiay keh ager khidmat kero gay to tmhari aulaad bhee keray gi warna aulaad say koi sukh nahi milay ga. |
Mr.Confuse |
Group: Members Joined: 31st Jan, 2011 Topic: 1 Post: 158 Age:
32
|
|
Posted on:21st Sep 2011, 4:15am |
|
|
Appreciated Mr. Ali Assalam O Alaikum, |
|