Hamary Awami Numainday Aur Eid
Salam To All Friend! Sabb se pehly to sabb doston ko meri tarf se Bohat Bohat Eid Mubarak. Dosto kaha jaata hai ke Awaami Nomaainda wo hota hai jo herr dukhh sukhh mein apni Awaam ke sath khara hota hai. Jabbke ke aisa Insaan jo khud ko Awaami Nomaainda to kahy lekin jab ous ki Awaam ko ous ki Zaroorat ho to wo oun ke sath khara hona to dour ki baat ounhain kahin nazar hi na aaye to ousy Awaami Nomaainda nahi Ballke sirf aur sirf Mofaad Parasst aur Monaafiq hi kaha jaye ga. Dosto is lambi chorri tamheed ka maqsadd sirf ye tha ke kall jab ke is Moolak jis ka naam Pakistan hai mein Eid-Ul-Fitar thi aur is Babarkat din ke moqa per Hamari Awaami Hakoomat ke President Moolak mein Mojood hi nahi thy. Wo is waqt Gher moolki dory per hain. Lekin mujy jo baat aachi nahi lagi wo ye hai ke aakhir in bemaqsadd doron ka is Moolak ki Awaam ko kaya faida ho raha hai? Kaya hi behter hota ke Hamary Awaami Nomaaindy aik hi city mein aik hi jagha ya Masijd mein apni Awaam ke sath Eid ki namaz party. Oun ke dukhh dard sounty aur oun ko dour karny ki koshish kar ke apni Eid ki Khushi ko haqeeqat mein chaar chandd laga lety. Aisy mein main barhy Fakhar se Chief Justice Iftikhar Chauhadry sahib ka zikar karon ga ke jinhon nay haqeeqi tor per apni Eid ki khushi hasil ki. Chauhadry Sahab nay Eid ki Namaz Faisal Masjid mein aada ki ous ke baad wo addyala jail gay jahan ounhon nay Qaediyoun ke masaail sonuy aur chhoti moti sazaaon waly Qaediyoun ko Moqy per hi raiha karnay ka hokamm diya taa ke wo b apny Peyaaron ke sath jaa kar Eid ki Khushiyaan mana sakain. Jab ke agar hum apny aawami nomaanidon ki baat karain to sabb nay aik tarha se apny apny gharhon mein hi Eid ki Namaz ka Ehtaamam kiya. Albatta jo log Eid gaahon ya Maasaajid mein gay b wo b Namaz Aada kar ke wahan se forun hi nikalnay ki koshish mein zanar aaye. Kaya ye hi hain hamary Montakhib Awaami Nomaanidy?
|