Marriage: What Are The Rules According To Islam?
SALLAM TO ALL FRIENDS Yai sawal main aik dafa phir pooch raha hoon.Umeed hai is dafa jawab milai ga.Maira sawal yai ta kai ajj kal shadiyaan to khoob mogmasti sai hoti hai.To kya aisi shadiyoon ko daik kar to aisa lagta hai kai shahid ghareeb loog shadiyaan karna hi choor dain. Q1.Hamain aik konsa rule apply karna chahiyai jis sai aik ISLAMIC rule sai shadi hoo? Q2.Aur pehlai loog shadiyaan kaisai kartai tain? Q3.ISLAM main to hai kai larki jinta mahar mangai utna hi daina chahiyai.Lakin ajj kal to maa baap jo kehtain hain wahi hota hai.Kya yai teeq hai? Q4.Mahar ki limit kitni honi chahiyai? Q5.Kin kin moqoon pai mahar larki ko wapas karna chahiyai.Aur agar khuda na karain larki faut ho jayee.To us mahar ka kya kiya jayeega? Umeed hai mujai ISLAMIC point of view kai mutabiq jawab milaingai.Aur kosish karain kai sab apni apni rayee dain...SHUKRIYA. NOTE:-sorry if my words hurt anyone. TAKE CARE ALLAH HAFIZ
|