Cool bnda
|
Group: Members Joined: 07th Sep, 2009 Topic: 3 Post: 26 Age:
29
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 5:48am |
|
|
Few Questions On Fiqhi Issues Salam dosto,
Mujhe b kuch matters pr apne shia brothers se questions puchne hn. Mn bhi basically Muslim family se belong krta hun jo Imam Bargah bhi jaate hain aur masjid bhi is liay shia b mre lie utne mohtram hn jitne doosre segments. Lekin shayd Secular aur hindus ke beech reh ke apne fiqhi masayel ko hi nahi samajh paya. But zeyada afsos tab hota hai jab gher mazhab ke log ya apne kuch ghalat nazriyaat walay log aa kr kehte hn ke aap kay shia bhai tou yeh karte hain ya unki yeh baat ghalt hai isliay wo Islam se hi kharaj hn aur mere pas kam ilmi ki wajah se jawab nahi hota. Mn yahan pr kch sawal sirif apni understandng k liay poochna chahta hun. Moderators se bhi meri request hai ke mere topic main ghalat replies karnay waloon ke replies forn delete kr dn.
- Wasila yani Khuda ke ilawa ksi se madad mangna jaiez nahin iss liay Ya Ali Madad kehna shirk hai??
- Shia logoon hi Qatlaan e sadaat hain aur unhi ki badd dua ke nateeje main rote peette hain ar qayamt tk hi rote rahenge?
- Hazrat Ali (r.a) ke ghr Rasool (s.a.w) ki aik sahibzadi aur Hazrat Usman (r.a) k ghar 2 hain isi liay unhn zulnoorain kha geya. Phr aap Hazrat Ali (r.a) ko fazilat keyun daite hn?
Siraf fiqhi ar Islami ilam rakhne wale hi replies dn. Please baqi replies ko dlt kar dia jae keyun ke mera maqsad sirf apne knowledge mn izafa hai kisi ki dil aazari nahi.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 6:42am |
|
|
fiqahi maslay ap log imaam baar.gaah bhi jatay ho aur masjid bhi yani shia+sunni dounouN maslak ko bayak waqt follow kartay ho... phir ap k liyeh to koi fiqahi 'masla' hi nahi hona chaahiyeh. dounouN masalak maiN bara wasee faraq hai, jissay yahaan bayaan nahi kia jasaktaa. ap k sawaaloun ka jawaab hazir hai.
1. soorat fatehaa maiN hai: iyya ka naabodo wa iyya ka nastaeen... yani hum teray hi banday hain aur tujh say hi madad maanfgtay haiN... sunni maslak maiN "ghair Allah" say har waqt aur har jagah (yani ghaaibanah) madad maangna shirk hai. k yeh sirf Allah ki zaat hai jo har jagah aur har waqt maujood hoti hai aur bayak waqt sirf wohi sab ki dua sun sakta hai.... sunni maslak k nazdeeq "yaa Ali madad" kahna shirk hai....... taham shia maslak walay aisaa kartay haiN to yaqeenan onkay "maslak" maiN iska koi nah koi jawaaz hogaa.
2. yeh aik motanaa.ze.aa baat hai... shias ka mauquf kuch aur hai aur sunni ka mauquf kuch aur.... behtar hai k ap kissi mustanad islamic history ko study karaiN. takay az khud haqeeqat jaan sakaiN... aik say zayad books ko paRhna faidah mand rahega.
3. hazrat fatimah tuz zahraa RA aur hazrat Ali RA dounouN ka juda juda aur inferaadi moqaam hai. ahaadees maiN dounouN ki fazeelat maujood hai, jissay ahlay sunnat walay bhi maantay haiN..... shia hazraat in dounoun ko "kuch zeyadah" hi "maantay" haiN..... yeh bhi maslak ka faraq hai..... ap khud ahaadees maiN in dounouN k moqaam o martabah ko paRhaiN to behtar hoga.
wazah rahay k shia sunni ikhtelaafaat sadyoun par moheet haiN. inhaiN hum jaisay aahil apnay mokaalmaat say nah to khatam kar saktay haiN nah kam.... ap ko jo maslak pasand aa.ay, samajh aa.ay ossi par kaar.band houN..... haaN yeh 2 kashti ki sawaari (masjid bhi jata houn aur imaam baar.gaah bhi) risky hoti hai. ap dounoun ko study karaiN aur kissi aik taraf yaksoo hojayaiN. |
Azfar-K
|
Group: Members Joined: 01st Mar, 2009 Topic: 3 Post: 767 Age:
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 12:18pm |
|
|
re: V. good reply myrizvi bahi. |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 12:22pm |
|
|
cool bnda ap log imaam baar.gaah bhi jatay ho aur masjid bhi yani shia+sunni dounouN maslak ko bayak waqt follow kartay ho... phir ap k liyeh to koi fiqahi 'masla' hi nahi hona chaahiyeh. dounouN masalak maiN bara wasee faraq hai, jissay yahaan bayaan nahi kia jasaktaa. ap k sawaaloun ka jawaab hazir hai.
Sunni aur shia dono Madad mangte hai ghariullah se leken dono mein farq hai.
shia ka tareeqa qaar ye hai k Ya Ali se Murad hai k bageer Allah ke ataa se wo madad kareenge aur yeh aqeeda shirk hai.
sunne maslak main Ya Rasool Allah , Al Madad Ya Rasool Allah , Ya Ghoos-e-Azam , Al Madad Ya Ghoose Azam , Ya Waliul Allah yeh san na sirf jaiz balkee deene islam per amal karne ke juz mein hai aur enn sab k peche aqeeda janna zaroore hai Badmazhab jo kehte hai Gairullah se madad mangna shirk hai wo quran ko na samaj pai ess waja se kehte hai Maslak-e-Ahlesunnat ka aqeeda yeh hai k agar anbiya ya auleyaa se madad mangnee ka matlab yeh hai k wo ALLAH ke ataa se dete hai na k bageer ALLah ke ijazat k
ALLAH ke ijazat k bageer madad tu kya koi teenka bhi nahi de sakta...
app se guzarish hai k Darul ifta Ahlesunat se contact karee ulama app ko sab se behter andaz mein samajhaingee.
aur yeh saree madad waseele ke had tak hote hai aur quran se waseela sabit hai.... |
Cool bnda
|
Group: Members Joined: 07th Sep, 2009 Topic: 3 Post: 26 Age:
29
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 1:27pm |
|
|
Dear Members Mra question pochne ka wo maqsad nahi tha jo bnta ja rha hai. Mr. Rizvi, yahan India mn hm aqliyat hn ar agr hm ittfaq se na rhain tou bilkul tabah ho jayen. Gujrat fasadat pr kia hinduun ne shia sunni main differentiate kr logoon ko mara tha??? Mujhe jis fiqhay ki jo cheez acceptable lagti hain main adopt kr leta hun kiun k agr farq dekhne lg jaun tou sb firqoon mn bht farq hai iss lie aap ka mashwara b tasub pr mabni lagta hai kyun ke aap sathi level k aise ahl-e-sunnat lagte ho jise doosrun ki sirf kharabi hi nazar aati hai.
Azfar: Aap ki wah wah se mere knowledge main koi izafa nahi ho rha iss liay aap wah wah karne ke liay koi ar topic dhund lo.
Paroot: Mashalah aap ki ilmi wazaahat tou qablay daud hai. Kis khoobsurti se aap ne aik hi maslay pr aik groh ko mushrik keh dia aur doosre ko momin bna dia. kia baat hai. Ghoos azam se madad mangnna jayez aur Ali (r.a) se shirk.
Dear momineen, mera ilm itna b km nahi jo aise replies mere liay qablay qbool bn jaieen. Still waiting for knowledgeable replies frm respected members.
|
waseem08
|
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
32
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 3:56pm |
|
|
cool bnda bhai salaam Wasila yani Khuda ke ilawa ksi se madad mangna jaiez nahin iss liay Ya Ali Madad kehna shirk hai??
Ans. Pehli bat k wasila ka mutlub ye hy k ALLAH AZZAWAJAL se kisi ka wasita pesh kr k dua manghna na k khud ALLAH k elawa madad manghna or jb ALLAH k dabaar me apne wasita pesh kr dia to phr kisi se b madad manghe sb jaiz hy hzrt ali(radiyallahoanho) se b.
Shia logoon hi Qatlaan e sadaat hain aur unhi ki badd dua ke nateeje main rote peette hain ar qayamt tk hi rote rahenge?
Ans.qatalane saadaat karaam yaziidi the.
Hazrat Ali (r.a) ke ghr Rasool (s.a.w) ki aik sahibzadi aur Hazrat Usman (r.a) k ghar 2 hain isi liay unhn zulnoorain kha geya.
Ans.bilkul sai hy.
Phr aap Hazrat Ali (r.a) ko fazilat keyun daite hn? Ans. Hazrat usmaan(radiyallahoanho)ko fadilat un ki apni khasoosiyaat se hy or hzrat ali(radiyallahoanho) ki khasoosiyaat apni jagah hy koi b inn dono ko ek dosre pr fadilat ny deta hzrat ali(radiyallahoanho)ki apni fadilat hy or hzrt usmaan(radiyallahoanho)ki apni koi kisi ki jagah ny le sakta or jo khalifaa me no#wise taqseem hy wo ejjmaa ki base pr thi na k or kisi wajah se.
|
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:8th Sep 2009, 6:50pm |
|
|
cool bnda asal mein app k dil mein shia logo ke leye muhabbat peda ho gaye hai ab app ko sab galat lageenge so app ko samjhana beekar hai app ulama se rabtaa karee. aur ALLAH ALLAH karee Inshallah ALLAH ne chaha tu zaroor hidayata meelegeee. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 1:43am |
|
|
cool bnda bro hum nay apni aqal o faham k motaabiq jawaab dia hai. ap apni aqal o faham k motaabiq amal kijyeh.
maiN yahaaN zimnan ap say yeh sawaal karna chahouNga k india aik "secular mulk" hai. lehaza yehaaN bahoot say mulkims nay hindu laRkouN /laRkiyouN say shadi ki howi hai aur woh mazhab ko personal maamlah samajhtay haiN.... ap say request hai k yahaaN aisay chand maroom o mash'hoor "muslim logouN" k naam likh saktay haiN jinhouN nay hindu say shadiyaaN ki haiN... just for our info
jaisay shah rukh khan (muslim) ki biwi hindu hai... aik muslim film director /corriographer ka shauher suresh hindu hai etc etc |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 4:31am |
|
|
Paroot Punjabi ka muhawara hae "khula bartan dekh k kutay ko sharam a jani chahye" is forum pe kabhi bhi kisi ne aap k maslik ko gali nahi di, aap k maslik ko bura nahi kaha , aap k maslik pe koi fatwa nahi lagaya .. magar ap ko kabhi sharm nahi aaie, koi nimaz ka tareeqa bhi poochay to ap ko "badmazhab" yad aa jatay hain. kabhi aap ko sharm nahi k asia kehtay howe ap kitnay Olya karam (R.A) ki toheen kartay hain, kitnay Ulema ki toheen kartay hain aor kitnay Muslims ki toheen kartay hain. jis "ahl e sunnat" ki defination aap farmatay hain us main sirf Pakistan main he kitnay log poora utertay hain ??? lehaza kuch sharm karain aor apni ye bakwas jo aap har topic main kartay hain is ko band karain. nahi to ap ka maslik koi aasman se utra howa mazhab nahi hae , ye hindustan main he bana howa eik khud sakhta maslik hae agar ap chahtay hain k aap k maslik ko nanga na kiya jaye to apni zuban ko lagam dain. |
Cool bnda
|
Group: Members Joined: 07th Sep, 2009 Topic: 3 Post: 26 Age:
29
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 4:44am |
|
|
tafarqi masayel Waseem: Wa.alkum Salam, Thanks brother lekin ap ne phle question k jwab mn koi reference nhi dia i.e. na Quran Pak se na Hadees se ar na hi tareekh Islam se. Iss issue ki mazeed wazahat frma dn koi rfrnce de kr.
Paroot: Baat krni bht asan hoti hai ksi dusre firqe ko lkn usse smjhne k lie jis fehm ki zrurt hti hai wo aap ke pas hai b nhi. agr aap ki bat aap pr hi apply krun ar khun k ap ko doosre firqun se chirr ho gai hai iss lie ap se smjhna bekar hai kyun k aap ki batun mn twazn hi nhi. ap bs apni talimat pr hi aml krn ar doosrun ki jan bakhshi krn kyun k ap naqablay hidayt hn. Ispar aap ko ksa lagega. mre khyal se acha tou nahin lagega.
Rizvi: Mzhb kisi ka prsnl msla nahin hota hamaray level pr. ap jin logun ki bt krte hn unka deen se kia lna dna. mre khyal se apko mre se zyada misaln pata hongi kyun k indian channels pak main b bht dekhe jaate hn. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 6:46am |
|
|
Fiqhi prblms Salam to all members.
Cool: Aap ke questions aur replies se lagta nahin ke aap kam ilam hn. Questions se tou aap ne aik makhsoos firqay ko defensive position main la kharra kia hai aur saray teeroon ka rukh hi uss taraf kar dia hai. Iss ka tou yeh matlab hai baqi sab se aap razi hain sirf masla aik hi firqay ka hai. Aap ke pehle question ka main kafi arsa pehle detailed jawab de chuka hoon. Main search karunga agar mila tou inshallah yahan par link ya poori post hi paste kar doonga. Baqi questions k answers b spare time main aap ko post kar doonga. Lkn main abhi zara Kuch ilmi shakhsiyaat se istafaada kar loon kyun ke inn ki ghalat aur be saro pa baatun ke bagher har religious thread hi na mukammal hota hai. Jis ka dil hi kisi doosre ke liay saaf na ho woh mashwara kia de ga??
Baqol Shayer-e-Mashriq; Dil ki emartoon main kahin bandagi nahin, Pathar ki masjid main Khuda dhhondte hain loag.. |
waseem08
|
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
32
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 12:11pm |
|
|
cool bnda bhai salaam Waseem: Wa.alkum Salam, Thanks brother lekin ap ne phle question k jwab mn koi reference nhi dia i.e. na Quran Pak se na Hadees se ar na hi tareekh Islam se. Iss issue ki mazeed wazahat frma dn koi rfrnce de kr.
ans: apka phela swal ka jwab yaa ali(radiyallahoanho) khena shirk hy ye ghalat hy q k refernce to bhut hy pr ye jan len k ALLAH TALAA ne quraan me shaheed ko murda khene se mana frmaya hy balake murda taswwur krna b mana kia hy to hzrt ali(radiyallahoanho)ko kese koi murda tsawwur kare k wo bila shubaa shaheede akber hy.
rahi bat wasile ki to quraan wa aahadees iss se malamaal hy k waseela 100% jaiz hy app ko mushwara hy k iss coman masle k liye kisi b sai aalimedeen se rajo karen jo apko yaqeenan kamil maloomat fraham karen gee innshaALLAH. |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 12:11pm |
|
|
cool bnda Main ne tu phele he keh deya hai k ab app ke samajhne ke bas ke baat nahi hai mere choore app apne hidyat ke fikar kareen app mein shia ka rang char raha hai aur agar khuda na khawasta char chuka hai tu ab mushkil hai sirf dua he ke ja sakte hai k sahi hidayaat naseeb hooo.
esse loogo ke samaj mein ana bahut mushkil hai phir bhi ap khoshees kejeaa sab k naseeb 1 jese nahi hotee |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 12:15pm |
|
|
ch baber main app se har topic per behes nahi karna chahta app q mere peche paare hai maslak uss ka nanga hota hai jes ko apne he maslak per daar hota hai jes ka maslak asmaan ke tarha saaf hota hai usse koi daar nahi hota
app se guzarish hai k apne kaam se kaam rakhe aur mere bech mein maat bolee apna opinion jetna chahe jo chahe dee leken mujhe mukhatib kar kee apne badmazhabiyaat maat phelai
Badmazhaboo ka kaam he yehe hai k logoo ke ander phoot peeda karna aur nazarye se bhatkaana....
Jalne walee jaltee raheenge jo haq aur sach hai wo tu bataya he jai gaaa. |
ozone
|
Group: Members Joined: 19th Jun, 2008 Topic: 26 Post: 1412 Age:
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 2:09pm |
|
|
Cool Banda Aap k inn sawalat se zahir hota hai k aap ka inn sawalat ko poochne ka maqsad apne ilm mein izafa karna nahi balkey tafarruqa ko farogh dena hai , sab log jantey hein k inn sawalat k kia jawabat hein .... Sab se behtar mashwara hai k aap kitabon par ghor karein , wahan se aap ko har sawal ka jawab miley ga...
Rahi baat paroot sahib ki tou janab aap kese keh saktey hein aap ka maslak haqq pe hai ,aur naa hee aap ko kisi maslak k barey mein aise comments dene chahiyein...Har maslak k apne aqaied hotey hein , kisi bat ki bina par shirk qarar dey dena insaf nahi hai .... Aap pehle apne aamal par ghor karein k aap apne hee maslak par kitna amal kartey hein , aap ko apne aamal par yaqeen hai yani agar aap apne maslak par mukammal amal pera hein (jo k mumkin nahi) tou dusron ko mushrik qarar dena durust nahi....
|
insan
|
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 3:51pm |
|
|
Re:fiqhi maslay Aslam-o-Alaikum to,waseem08,paroot,myrizivi
mai 2 dino sy iss post ko bghore parrh raha hoon mandarja bala ahbab k replies b parrehey hain, ma iss tammam behas sy yeh niteja bahobi nikal sakta hoon k yahan inn ahbaab main jin ko main ny salaam arz ki hey koi b islam ki ashat ki baat nhi kar raha bulky apney apney maslk ko promote kar rehey hain.....janab-e-wala islam ka aik dastoor-ul-ain hey jis ka naam hey QURAAN-UL-MAJEED FURQA-UL-HAMEED iss dastoor-ul-amal main khuda wazeh toor per farma raha hey k "allah ki rasi ko mazbooti sy thaam lo aur apis main tufarraqa mat karo" iss aya majeeda ka asar kahan hamari zindgioun main nzr ata hey .....aur hum jub b baat kartey hain to kehtey hain kisi b baat ko quraan sy ya ahadees sy saabit karoo waghaira waghaira... hum issi aik aya majeeda pr kitney amal pera hain jis ko sabit karney k liye mazeed kisi ref.ya saboot ki zaroorat nhi.....iss liye baraye karam iss mah mubarik ka hi kuch lihaaz kartey hoowey tafarqa bazi ko hawa mat dain.aur apis main ittfaaq-o-ittehad ka dars dain agr app aisa karney ki ahlaqi jurat rakhtey hain to.... wagrna kisi b aik mauslik ko nishana mat banain..........
rahi baat "cool" k kiye geye sawalat k jawabaat ki to uss main, main sirf itna hi arz karoon ga k agar mujey ittfaq-o-ittehad k tooteney ka dar na hoo to main aik adna sa talib ilm honey k natey sy quran-o-ahadees sy aisey sabit karoon k jis ko ajj tak shaied hi kisi ny sabit kiya hoo.........laiken baat woohi hey hai main iss ko haqayq ki rooshni main saabit karoon ga aur mairey doost iss ko kisi haas maslik ki tarjmani samjein gy aur natija phir wohi nkley ga jis ko khuda mana farma raha hey.........yani apis main tafaraqa mat karoo..! |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 5:00pm |
|
|
Mufti Paroot Sahab k liyain Kuch Batain Meri dua hai k Allah Talah app per rehem farmayen aur naik hidayat ata farmaye .......app kuch bolain tou sab k saath ehteraam o izzat ka rawayya apna kar bolain warna khamoshi main behtari hai, Appne apne maslik se ye zaroor sekha hoga k NABI PAK (SALLAL LAHO ALEH WASSALAM) dushmano se bhi naram lehjay main mukhatib hotay thay aur islam ko laraye jhagray/talwaar ki nok se nahi balkay apni behtareen seerat se amm kartay thay, agar appko NABI PAK (SALLAL LAHO ALEH WASSALAM) se mohabbat hai tou kya appne unki seerat/naksh e kadam pe chalna nahi seekha ? ye kesi mohabbat k dawaydaar hain app jismain apke moun se phool jharnay k bajaye agg nikal rahi hai ....afsoos ka makaam hai apke liyain.
thek hai apka maslik sahi hoga baaki ghalat honge apki nazar main, ........magar iska matlab ye nahi hai k app dosray musalmaan bhai behno ko ghalat kahain ya kafir kahain, beshak ALLAH TALAH hi dilon ka haal aur niyat ko janta hai, app kya janay ?siwaye apni limited knowledge rakhnay k......
abhi apko ek nahi do nahi teen nahi kaafi members nay warn kia hai apki baton k khilaaf,......iske bawajood bajaye app apni islah karnay k sab ko taratar jawaab derahay hain....khair Meri dua hai k Allah Talah app per rehem farmayen aur naik hidayat ata farmaye |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:9th Sep 2009, 5:12pm |
|
|
Logical View Of Ya Ali Madad Uncool bnda: Bajaye app yahan pe pochnay k khud se kuch maloomaat ikhtatti karletay tou kitna acha hota ya phir apne kisi mufti se rojo karletay. lagta hai appne jaan k ye thread start kia hai.
Logical Fact (Ya Ali Madad):
Ya Ali madad kehne se koi kufr nahi hota chahay iske pechey koi bhi story ho, mamla sirf niyat ka hai .....logical bunyadon per app apni akal larayen sirf tou apko jawab mil jaega iska....... ya ali bolnay wala us wakt shirk karay ga jab Hazrat Ali (R.A) ko ALLAH k saath shareek karnay ki niyat se bolay, Aesi hi ek misaal apke samnay mojood hai k jab logon ka koi azeez/chaheeta hospital main zindagi mout ki kashmakash main hota hai tou loag yeh kehtay hain k "Aey Doctor plz merey betay/bhai/maan etc ko bachalo, kuch karo doctor kisi bhi tarha bachalo mere betay ko, usay zindagi dedo etc"......ab yahan pe app is shaks ko bhi kya kafir kahain ge ??...agar nahi kahain ge tou kyun nahi kahain ge ? is kyun ka jisko jawab ata hai wohi jawab ya ali madad main use nahi hosakta kya ?
Baharhaal madad ALLAH se hi maangni chahiyai likin agar koi is tarha k kalimaat keh deta hia kisi ka bhi naam lekar tou iska matlab ye nahi hoga k wo shirk hai, kyun k amal ka daromadaar niyatoon per hai aur alhamdulillah muslaman chahay koi bhi ho kitna bhi pasti main ho, kitna hi uska emaan kamzoor ho, likin wo musalmaan hi rehta hai emaan pe wakt ata hai uske tab na k mazhab change kar k hindu/yahodi/maseeh ban jata hai.....
aur zahir si baat hai k jaantay bhojtay ALLAH TALAH k saath kisi ko shareek banaye ga tou beshak phir uski pakar hogi ALLAH k yahan, likin yahan phir wohi sawaal peda hota hai k apko kya pata k koi jaan k kar raha hai anjanay main jo hum kafir kahian kisi ko.
Dilon ka haal tou ALLAH hi janta hai na behsak, tou ALLAH TALAH hi behtar nimatnay wala bhi hai, hum kon hotay hain musalmaan kafir ka faisla karnay walay apne apne aqaid ki basis pe ?..... |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:10th Sep 2009, 3:54am |
|
|
Molana Paroot Sahib Badmazhaboo ka kaam he yehe hai k logoo ke ander phoot peeda karna aur nazarye se bhatkaana....
Yani agar koi ye kahay k barelvi, deobandi, Ahl e hadees sabhi muslman hain, aor in main se kisi ko bhi bura nahi kehna chahye to ye nazriye se bhtkanay wali baat hae ??? aor ye ummat k ittehad ki koshash karna badmazhabiyat hae ??? aor koi aap jaisa molvi ye kahay k aap k maslik k ilawa baqi sub gumrah hain aor doosray muslims ko toheen bharay alfaaz main pukray to ye haq hae ???
aap forum pe wahid member hain jis ko apni izzat ka koi ihsas nahi hae, aap pe na narm baat asar karti hae aor na sakhat. aap se pehlay bhi kaha tha k Pakistan ki eik wazeh aksriyat barelvi deobandi taqseem se na waqif hae to aisay logon pe aap apna fatwa kaisay lagoo karain gay ??? Pakistan main waazeh akseriyat nimaz parrhnay se pehlay ye nahi dekhti k imam barelvi hae ya deobandi ya ahl e hadees to kya in ki nimazain adaa nahi ho rahi hain ???? kitnay he barelvi muslims ki daughters ki shadyan deobandyon k ghar main hoi hain aor kitnay he deobandyon ki daughtres ki shadyan barelvi k ghar to kya ye haram ki zindagi guzar rahay hain ???? kuch sharm karain , Allah ka khof karain.. kyun muslims ki toheen kartay hain??? Khatam e Nubuwwat ki tehreek main sunni shia, barelvi deobandi ahl e hadees sabhi ne hissa liya aor qurbani di to kya ye badmazhabon ki tehreek thi ???? aor phir aap ka maslik india pakistan se bahar hae kahan ???? to kya baqi sari muslim dunya badmazhabon se bhari parri hae ???? Allah pak aap ko hidayet ataa farmaye aor doosray muslims ki respect karnay ki tofeeq ataa farmaaye. |
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1177 Age:
38
|
|
Posted on:10th Sep 2009, 5:55am |
|
|
Cool Mujjay Hitman ,Insan oar ozone kay point of view bohat achay laqay woo kissi maslak ki tarjamani naheen kertay.
I am agree with them ...welldone
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 >> |
|