What Are The Feelings Of Some Body When He Falls In Love?
Hi mera aap logo say ya sawal hai kay kya aap nay kabhi pyar kya hai.or doosra sawal ya hai kay ya pyar ho kaisay jata hai.Pyar honay kay baad kya feeling hoti hai. larkon ki kya feeling hoti hai or larkiyo ki kya feeling.
thanks
My question is that have you even be in love with some body? What are the feelings after falling in love ( feelings of girls and boys both).
Hi mera aap logo say ya sawal hai kay kya aap nay kabhi pyar kya hai
ans.han mene b pyar kia hy.
.or doosra sawal ya hai kay ya pyar ho kaisay jata hai.
ans.basss ho jata hy srf ek nazar me hota hy ye pyaar. Pyar honay kay baad kya feeling hoti hai.
ans.bhook ny lagti hr pl mehboob ka khayaal aata hy raton ki neend or din ka chen phur ho jata hy hay kia batoa k kia hota hy bara darde dil hy pyaar.
. larkon ki kya feeling hoti or larkiyo ki kya feeling. ans.agr dono trf ek jesa hoto phr ek jesi hoti hy feeling wrna ek trfa me to wohi trapta hy or hr aan marta hy.
I read an article , uss mein ye likha tha k mard aur aurat mein pyar nami koi cheez nahi , mard aur aurat mein shahwat hai pyar nahi....pyar sirf Allah se kia jata hai ,,, ab mein nahi janta k ye kis hadd tak durust hai kyoon k mein ne b kabi pyar wyar nahi kia .... ;-)
"Pyar" well explained by waseem bro , wese waseem bhai , Islam mein shadi karne ka hukam hai na k na mehram k barey mein ghalat sochne ka , most of lovers & loves lead to "Be Rah RAvi" so agar kisi k barey mein ye feelings hein aisi tou koshish karein k aap ki shadi ho jaye uss se , agar nahi then try to forget him/her....
Hi Irfan, I dont know aap ne sawal kis angle se poucha, lekin main aap ko personal experience plus my very close observation k basis pe answer karoon gee.
1st My Experience from other people:
Aaj kal k log pyar ka meaning 10% bhi understand nahi kartay, mostly movies jis type ka pyar dekhati hain like sub kuch perfect wala, real life waysi nahi. But people have common misconceptions about love, sub se bari galaat fehmi; "PYAR PEHLI NAZAR MAIN HOTA HAI", dusri galaat fehmi "PYAR MAIN DONO LOG CHAHEY KUCH BHI HO JAYE AIK DUSRAY K SIWA KUCH NAHI DEKHTAY", Third galaat fehmi, "PYAR MAIN EXPECT KARNA NATURAL HAI", issi type ki kafi misconceptions hain, i'll explain why i call them mis-conceptions.
Pehli baat ka jawab: Pyar agar pehli nazar ki base pe ho, toh waja hoti hai larki ya larkay ki personality, am i right? What about nature? aap ne suba toh hoga na k, Muhabaat ki buniyaad hai TRUST, so pehli nazar main toh kiya buddy, aap jab tak pyar main mushkil halaat ka samna na kar lo, ye andaza laga he nahi saktay k agla TRUST k qabil hai ya nahi, ya agla aap pe TRUST karta hai ya nahi. So falling in love at first sight aaj kal k fast aur materialistic daur main bohat immature sound karta hai, pehli nazar main insan sirf kisi ki shakal, personality, uss ki gari, dress wagera se he impress hota hai. Woh cheeze pyar ho he naih sakti. Because love does not happen like a FIRE WORK...
Dusri baat ka jawab: As i said some people believe k pyar main aik dusray k siwa kuch aur priority pe nahi hota, ya nahi hona chaheye... well ye galaat thinking hai, pyar main beshak aap k liye aap ka sathi bohat special hai, magar keeping balance in all basic relations, like ur mom, dad, and ur partner is very important. Lekin aaj kal k trend ke mutabik girls try to pull a man totally towards them, and make him neglect his mom and dad, aur kuch cases main even boys push girls so much that they neglect their parents. Aysa galaat hai, love give u wisdom and strength to keep balance in all relations and tackle the difference of opinion on either sides. Muhabaat aap ko dusray relations se dur nahi karti balkay aap k ander itna pyar bhar deti hai, k u start loving everything more. Zindagi se pyar ho jata hai aap ko, aur sub se bhar k muhabaat aap ko aap k Khuda k aur kareeb kar deti hai. When u are in true love, trust me u feel like GOD is blessing u with every breath u take.
Third Baat ka Jawab: Muhabaat ka matlab hota hai, apni zaat ki nafi... mera matlab losing self respect bilkul nahi hai. Magar aik hota hai na her cheeze main aap apni zaat ko priority detay ho, jaysay kiya khana hai, kiya pehnana hai, lekin real pyar main aksar khud ki khushi se ziada dusray ki khusi ka khayal rakhna parta hai. Aur iss baat ka start hota hai jab aap expect karna chor detay ho, which is very very very hard to do. Like aap k partner ne call nahi kiya, message ka reply nahi kiya, mil nahi saka, log inn bataoon pe kutoo ki tarah lartay hain, shak kartay hain, even jasoosiyaan bhi kartay hain some cases main. Lekin true love main zaat ki nafi aysay hoti hai k, aap iss baat ki parwa nahi kartay k agla aap k siwa kisi aur se baat karta hai, ya uss ne call nahi kia etc etc, cause apnay pyar pe bharosa hona chaheye, agar aap kisi ki khushi k liye apni khushi ki qurbani do, toh Allah kabhi waste nahi janay deta, magar humara problem ye hai k pyar ko pyar tab maantay hain jab woh samnay nazar aa raha ho, jab ke real love lafzoon tak ka muhtaaj nahi hota.
I know bohat se logo ko meri batain kitabi etc etc lagain ge, lekin mera experience kehta hai k inhi kitabi batoon ne, mujhay pyar karna seekhaya, aur issi pyar ki bases pe kisi ki zindagi badal de....
My Personal Experience: Cutting the long story short, in my case love happened to a close friend, aur hum dono ko bhi kafi time tak pata nahi chala k we are in love, infact mujhay 5 months pehlay he pata lag gaya tha, but my guy took some time to realize.
We were happy go lucky type friends JIGGERZ type. Meri har mushkil main he was always here, specially jab baki sub museebat main chor detay hain, waysay normal halaat main impress kartay hain. Magar banda k pata mushkil main he chalta hai and my guy was there.
Feelings ussay bhi theen, but being a girl, i wanted him to realize and say, but he thought usay pyar aur woh bhi meray se ho he nahi sakta. So we both acted so stupid, like pyar hotay huway bhi we didnt wana express. I use to feel possessive for him, he use to feel jealous of other male friends. Then aik time aya, k bol he diya. But the moment it happened, humari family life bohat disturb ho gayi, uss ki bhi meri bhi, some domestic problems appeared.
My guy thought that agar woh mujhay pyar k relation main occupied rakhay ga toh meray sath galaat karay ga kyun, k uss k ghar ka halaat kharab huway, job lost, other family issues, and he thought he can give me nothin but darkness. Uss n mujhay chornay ki koshish ki 2 bar, lekin nahi chor saka, halaat up and down rehtay thay, lekin fir pyar bhar nikal he ata tha, iss saray time main we both were in a long distance relationship. Like I LOVE U BOLA he tab jab dusray cities main jana para. Duri main pyar ka ehsas huwa tha ziada, now what happened k uss ne paka mind bana liya to leave me in such a way k mujhay bhi ziada takleef na ho. Well again cutting long story short usay puray 5 months lagay ye bolnay main k, he never loved me, he's a flirt etc etc etc
Well agar main uss ki dost na hoti toh shayed maan bhi leti in batoon ko, kyun k previous 5 months main he never kept proper contact and jo contact hota bhi tha woh bohat ajeeb sa, limitted sa tha, uss ka attitude disturbed, upset depress sa tha. Well situation aysi thi k i had to let him go, waysay bhi people say when u love someone set ur love free, if it comes back it was always yours, and if it doesnt toh woh kabhi aap ka tha ne nahi.
When he and i were outa of contact, logon main bohat demagh kharab kiya, ussay flirt bola, mujhay uksaya uss k khilaaf, mujhay impress karnay ki koshish ki, lekin trust me, agar woh flirt hota toh mujhay baray araam se use kar sakta tha, jitna pyar main usay karti thi, i would have listened to him. Lekin uss ne duniya ka sath sath hamesha apnay aap se bhi protected rakhna mujhay. Well mujhay bas Khuda k yakeen tha, k agar main pyar sacha hai, woh wapis aaye ga. I left stupid people and just focused on the Word of God, and just did what i was supposed to do. Wait for him, with patience and trust on GOD.
Maine aysa he kiya aur uss wapis paya, ye aik lambi story hai k kaysay wapis paya lekin ussay mujh se dur janay main 5 months lagay thay aur wapis anay main 2 months, aur wapis aa ke bhi i never forced my love or committments on him, i let him settle down with comfort in love.
Pyar main kabhi keh keh k kuch nahi karwaya jata, jaysi some girls push guys for shadi, etc etc, pyar wohi hai jis main agla apni marzi aur khushi se aap k paas ata hai aur aap ka he hona chata hai. Dil pe kaboo karna asaan hai lekin dil jeetna mushkil. But dil pe kaboo karnay walay ziada der tak apnay partner ko apnay paas nahi rakh saktay, jab ke dil jeetnay walay ko koi dar nahi hota, partner chahey saat samander paar bhi jaye woh aap ka he rahay ga, cause aap jaysa pyar kon karay ga usay? Pyar main kabhi pyar kar ke jatana nahi chaheye, because pyar toh hota he woh hai jis main u value the next person more than you. Aur pyar aur dusray relations main balance rakhna chaheye insan ko, like mom dad and lover main balance, sub ko unn ka haq do, iaur agar kisi aik ko bhi dusray se problem hai toh solve it, rather than leaving anyone of them.
Well its all about ur attitude, love very much depends on how u behave and react. U can not control the next person, but u can control urself, be good and do what is right in front of Allah, thats the key. Pyar wohi hai jo aap ko sabar karna seekhata hai, humble hona, kind hona seekhata hai, apni zaat se ziada dusray ki consideration karna seekhata hai. U have to be genuine, cause showing off care, and actually doing it is very diff. Trust me show karna bohat asaan hai, per real main aysa karna is very hard. Lekin aik bar kisi se real pyar ho jaye toh aap ko har cheeze main uss ka khayal pehlay he ata hai.
Waysay toh i can write a book on this topic, because my love has been through alot in recent past for the sake of LOVE, lekin mujhay apnay uper anay wali prob ki koi tension aur dukh nahi, ulta main toh Khuda ka jitna shukar karoon kaam hai. Jaysay sona aag main jal k kundan banta hai, love ya friendship bhi museebaton k baad he paki hoti hai. Aur aglay k real p-yar ka bhi inhi halaat main pata lagta hai.
Well thanks for reading such long messages, and do share ur remarks!
Ji sofia ji aap nay tu bhoot hi acha jawab diya aap nay to apni poori love story suna di, aap ki kismat achi hai kay aap ko aap ka pyar mil gya. Main jab 17,18 saal kaa tha tu main un larko or larkiyoun ka mzaaq aurata tha jo kay is love kay chker main per jatay they mujhay kya pata tha kay aik din mujhay bhi ya rog lug jaya ga. Sofia ji aap nay tu is halat main sabr kiya or aap ko aap ka pyar bhi mil gya per mujh say tu sabr nahi hota nahi mujhay umeed hai kay mujhay mera pyar milay ga. Mujhay batai main kya karo.
wese waseem bhai , Islam mein shadi karne ka hukam hai na k na mehram k barey mein ghalat sochne ka ,
ans.bilkul sai bhai jan pr iss me pyar ki nafii ny hy apne shayad kuch or socha dekhen islam me b shadi se phele dekhne ka hukum hy ab jb pasand hogy ya hogaa to shadi ki jayegii na or phr nikah b to raza mndi pr hy na bhai jannnnnn.
most of lovers & loves lead to "Be Rah RAvi" so agar kisi k barey mein ye feelings hein aisi tou koshish karein k aap ki shadi ho jaye uss se , agar nahi then try to forget him/her....
ans.agr kisi ko kisi k bare me aisi feeling hy to uss ko waqeyee chahiye k wo nikah kr le pr uss ka wo aml najaiz ny hy na hi uss ka usse pyar najaiz hy na hi uss ka uss k bare me sochna k nikah karonga ya karongii najaiz hy jab k 100%sacha pyar ho or nikah ka erada b ho to wrna phr haraam hy.
Thanks for taking out time, and reading my big message. Yes i understand how it feels when one is in love. Aap ne bataya k pehlay aap pyar p believe he naih kartay thay and aab aap khud tuff time se guzar rahay ho pyar main. Khair aap ne ziada details toh nahi batayi, lekin main jitna understand kar saki aap ki baat se utna explain karnay ki koshish karti hun. Yar first of all ye dekho k jisay pyar kar rahay ho, woh real main aap k sath kaysa hai? I mean sometimes people show that they love u a lot, magar unn k ander deep feelings nahi hoti. Issi tarah kuch cases main they dont show much, lekin ander se bohat deep pyar kartay hain. In simple words some people disguise their feelings and some just cant express. Aap ye analyze karo k the one u love, woh kis type ki hai? Agar toh aap ko uss k ander ki deep feelings pe trust hai na, like dekho logo ki bataon ko ignore karo, kyun uss k sath time aap ne spend kiya hai logon ne nahi, so aap k dil ko uss se jo deepest feeling milli hai, usay samhnay ki koshish karo. Aap toh pyar kartay ho, clear hai, lekin kiya uss ne bhi pyar he kiya tha. Jab ye baat samjh aa jaye na, toh intezaar karnay ki sahi waja mil jati hai.
I know intezaar karna, sabar karna asaan nahi. Lekin woh pyar he kiya jo baray araam se mil jaye. Love ka toh matlab he sacrifice hai. Aur patience, intezaar bhi toh aik tarah se sacrifice he hota hai. Lekin agar chatay ho k tumhain woh pyar milay jo deserve kartay ho, toh bohat zaroori hai k, u humble urself before GOD, insan k sub galaat ko uss ki zaat sahi kar sakti hai. Agar kisi k dil main pyar nahi bhi hai, toh kiya woh Khuda jis ne dil banaya, woh dil k khayaloon ko badal nahi sakta? Itnay emaan k sath mango k Khuda bhi inkaar na kar sakay.
Khuda se sabar karnay k liye himat mangoo, maine bhi yeahi kiya. Relationship main jab problem start huwa mujhay pehlay toh samjh he nahi aya k ye huwa kiya hai, main panic kar gayi, puray 5 months, i was praying (but not in a proper way) i was doing stupid things. Lekin dua aur sabar ka best tareeka hai k, agar irada kiya hai sabar karnay ka toh kuch bhi ho jaye, bas be patient. And try not to listen to people in ur life. And dont even do anything un-ethical or unreasonable. Bas Khuda pe chor do apni life, apna future, aur dua kiya karo. Jab mujh pe hard time tha, i studied word of God, and i submitted myself to God, in prayer. Mujhay kisi cheeze, kisi insan pe yakeen nahi tha, sirf Khuda k insaaf pe yakeen tha.
Agar mera pyar waqay he main khalis aur sacha hai, toh Khuda mujhay uss ka haq de ga. Bas!!!!!!!!!!!! Aab aap gaur se sochna k kahin aap se toh koi galti nahi hui. Iss baat ki parwa maat karo k agar tum se thori bohat galti ho gayi toh agla banda bhi toh itna galaat tha, NO thats wrong attitude. You just judge ur ownself not other person. Tum apnay aap ko thek kar lo, halaat khudi thek ho jayin gay. God judges in favor of those who realize their faults and just pray to Him.
Pyar panay k liye insan ho bohat imtehaan denay partay hain. Jaysay sona aag se nikal k kundan banta hai, love ka case bhi kuch aysa he hai. Main ye bhi bata doon aap ko k maine apnay true love se pehlay bhi aik bar pyar kiya tha, lekin aab samjh ata hai k woh pyar kabhi tha he nahi. Guy was in usa, and uss ka attitude bohat fazool tha. Aur main ye soch k rishta nibhati rahi k main unn logon main se nahi jo committment kar k chor detay hain. Lekin aaj samjh main ata hai, k woh larka meray jaysi girl deserve nahi karta tha, kyun k he had affairs with other girls back in USA... har kisi main love ki committment pe pura utarnay ki himat nahi hoti.
So bas aap se itna he kahoon ge k, TRUST GOD more than anythin else. And sabar will power se he hoga. Agar aik mareez bhi will power chor de toh duniya ki medicine usay bacha nahi sakti, lekin sometimes will power he insan ko maut k mooh se bahar le aati hai. Yeahi toh time hai pyar real main sabit karnay ka. Best of luck, and i will pray for you!
I can understand the pain as i have gone through it myself, so dont worry, leave everythin to God. God bless you.
What is "LOVE", according to my FAITH, and Personal Experience
The world's best explanation of love; quoted from BIBLE Please iss ko negative maat lejiye ga koi, main sirf iss niyaat se share kar rahi hun, kyun k kuch log pyar ko samjh nahi patay, just tellin them k pyar chahey maa, baap se ho, dost se ya lover se, uss ki purity aur uss ki paakeezgi ki kuch explanation given hai Bible main, aur woh insan ko pyar main hai iss message ko sirf aik helping note ki hasiyaat se read kar sakta hai:
"....Love is patient, and kind; it is not jealous or conceited or proud; love is not ill-mannered or selfish or irritable; love does not keep the record of wrongs; love is not happy with evil, but is happy with what pleases GOD. Love never gives up; and its faith, hope and patience never fail. Love is eternal..." (1 Cor 13:4-8)
This is just a small portion of the actual message, lekin maine ye verses sirf iss liye share ki takay pyar aur aaj kal k galaat trend ko please koi miz na karay. Main baki kisi religion k baray main itna comment nahi kar sakti, due to lack of knowledge, lekin I being a christian know that LOVE is divine, jaysa k in verses main bhi explain huwa k pyar kabhi EVIL se kush nahi hota, it means true love rejects everything that is bad in front of God. Muhabaat insan ka imtehaan maangti hai, uss ki apni zaat se, like pyar main aap dusray ko judge nahi kartay rehtay, yeahi waja hai k ap uss ki galtiyoon ka hisaab kitaab nahi kartay. Love main DOUBTS nahi hotay. Aur pyar ki biggestest identity hai k woh pyar jo aap ko gunaah ki taraf le kar jaye, actually pyar nahi hota, and woh pyar jo aap ko apnay faith, apnay Khuda k aur kareeb kar de, wohi true love hota hai.
History gawah hai k, log trendeous love ho galaat kehtay huway bhi tolerate kartay hain society main, jab k kisi k true love, chahey kitna he paak kyun na ho, uss ki rah main ziada mushkil aati hai. Lekin woh pyar ziada long lasting aur reliable hota hai, jo aap mushkil se hasil karo.
Salamz Sofia, Mashallah achi thinking hai aapki, thanks for explainaing in so much detial, mujhay bhi kafi acha laga message, u shared in detail mujhay bhi aaj kal aysa problem tha k i cant handle situation, lekin encouragement milli from both ur messages. I wish u all the best for your future. And dont worry, iss forum pe sub log parhay likhay hain, koi jahil thoray he hain k aap k quoted message ko negative lein gay, atleast maine toh positive he liya. Good luck, and hope to c u on other posts too. Take care.
Salamz Sofia, Mashallah achi thinking hai aapki, thanks for explainaing in so much detial, mujhay bhi kafi acha laga message, u shared in detail mujhay bhi aaj kal aysa problem tha k i cant handle situation, lekin encouragement milli from both ur messages. I wish u all the best for your future. And dont worry, iss forum pe sub log parhay likhay hain, koi jahil thoray he hain k aap k quoted message ko negative lein gay, atleast maine toh positive he liya. Good luck, and hope to c u on other posts too. Take care.
Ye ishq nahi asaan bas itna samjh lejay Ek aag ka dariya hai aur doob k jana hai
:)
ye toh maine aysay he likh diya, lekin i will just say that Sofia 84 ne kafi acha explain kiya, mujhay bhi help hui us ki post se, i hope aap ko bhi help ho. Aur ye bilkul sach hai k Allah aap ki har mushkil aur museebat aap ki madad karta hai, lekin sachay dil aur puray imaan k sath dua karain. Ramzan hai waysay bhi, dua ziada qabool hogi, aur roza bhi toh humhain sabar karna he seekhata hai. Sirf khanay peenay ki cheezon main sabar nahi, apni zindagi main sabar ko apply karain aap. Main bhi dua karoon ge for you.
sofia ji thanks kay aap nay mera message perha or bhoot hi
acha reply kya, aap ka message perhnay kay baat meri tension
bhoot hadd tak kum ho gai or mujhay kafi encourage mili hai aap
kay messages say, although main nay apna masla detail main nahi
likha lekin aap to meri saari situation samajh gai or uss kaa bhoot hi
acha reply kya. --
perha or understand my feeling, ya feeling tu wohi sumjh sakta hai
jo khud is karb say gozra ho. Allah say dua hai kay woh aap dono ki har
mushkil aur museebat door farmaye or dili temanaye poori farmaye.
or koi baat hu to zaroor share karay.
Take care.
sofia ji thanks kay aap nay mera message perha or bhoot hi acha reply kya, aap ka message perhnay kay baat meri tension bhoot hadd tak kum ho gai or mujhay kafi encourage mili hai aap kay messages say, although main nay apna masla detail main nahi likha lekin aap to meri saari situation samajh gai or uss kaa bhoot hi acha reply kya.
Sammzali86 perha or understand my feeling, ya feeling tu wohi sumjh sakta hai jo khud is karb say gozra ho. Allah say dua hai kay woh aap dono ki har mushkil aur museebat door farmaye or dili temanaye poori farmaye. or koi baat hu to zaroor share karay. Take care.
sofia ji thanks kay aap nay mera message perha or bhoot hi acha reply kya, aap ka message perhnay kay baat meri tension bhoot hadd tak kum ho gai or mujhay kafi encourage mili hai aap kay messages say, although main nay apna masla detail main nahi likha lekin aap to meri saari situation samajh gai or uss kaa bhoot hi acha reply kya.
Sammzali86ji thanks kay aap nay mera message perha or understand my feeling, ya feeling tu wohi sumjh sakta hai jo khud is karb say gozra ho. Allah say dua hai kay woh aap dono ki har mushkil aur museebat door farmaye or dili temanaye poori farmaye. or koi baat hu to zaroor share karay. Take care.
Hey SammzzAli thanks for your nice words. I am happy that my message helpped u guys in some way. I will pray for your problem too, and i hope sub thek ho jaye ga jaldi in ur life as well...
hey Irfan, I am really happy that my message encouraged u some how, dont worry, bas Allah bharosa rakhain. Their is a very nice english hymn uss main likha hai:
"Though i may not understand, all the plans YOU (Almighty) have for me, My life is in Your hands, and through the eyes of faith i could clearly see, That GOD is good, all the time..."
So simple si baat hai, worldy point of view se jab agay kuch possible nazar nahi ata, aur insan beybas ho jata hai, toh tab usay ye samjh lena chahey k Khuda ki zaat k liye sub mumkin hai, aur beshal hum future ko understand nahi kar saktay, lekin agar humara emaan mazboot hai, woh humhain future se dar nahi lagta, bas itna pata hota hai k, as long as GOD is with me, sub thek ho jaye. Khuda ki taraf jo sahi waqat hoga aap ki mushkil aur aazmayish k hal honay ka tab he hogi, lekin beech ka time aap ko sabar se kaatna hai.
All the best, and May GOD help u in hard times, and give u patience, and guide u, Amen!
bilkul sai bhai jan pr iss me pyar ki nafii ny hy apne shayad kuch or socha dekhen islam me b shadi se phele dekhne ka hukum hy ab jb pasand hogy ya hogaa to shadi ki jayegii na or phr nikah b to raza mndi pr hy na bhai jannnnnn
Aap meri bat ko samjhey nahi , mera mtlb ye tha k pyar ki jo istelaah hamarey culture mein raij ho chuki hai wo totally different hai...Pyar kisi se b ho sakta hai , Maa,Baap,Behen,Bhai etc etc.Hamarey haan amooman pyar ko fahashi k tor par lia jata hai , Ye pyar jaiez nahi hai , mostly, lovers pyar ko issi maani mein letey hein , shadi tou dooor ki bat shadi se pehle jis qism ki harkatein ki jati hein wo jaiez nahi hein bhai jannnnnnnnnnnnnn.
Dates par jana , bahana pyar ka , ye b jaiez nahi hai bhai jannnnnnnnnnnnnnn
Pyar k naam par fahash guftagu karna kisi b zariye se (aksar sms se ki jati hein) ye b jaiez nahi hai bhai jannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn...
Islam mein sirf itni ijazat hai k agar koi larka / larki pasand aa gai hai tou aap ussey nikah k liye amada karne ki koshish karein ..Agar wo nahi manta/manti tou uss ko bhool jaein...
agr kisi ko kisi k bare me aisi feeling hy to uss ko waqeyee chahiye k wo nikah kr le pr uss ka wo aml najaiz ny hy na hi uss ka usse pyar najaiz hy na hi uss ka uss k bare me sochna k nikah karonga ya karongii najaiz hy jab k 100%sacha pyar ho or nikah ka erada b ho to wrna phr haraam hy.
bhai meri post ko baghor dobara read karein , aap foran comments dey detey hein halankey mein ne b same cheez hee bayan ki hai....Aap ne ye post Adam Tawajjoh ki bina par ki hai, so dobara read karein ghor se .....
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.