Urdu Poetry: Kya Aise Kam Sukhan Se Koi Guftgoo Kare
Kya aise kam sukhan se koi guftgoo kare Jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare Ab to humein bhi tark-e-ta'alluq ka dukh nahin Per dil yeh chahta hai kay aaghaz tu kare Tere baghaer bhi to ghaneemat hai zindagi Khud ko gan'wa kay kon teri aarzoo kare Ab to yeh aarzoo hai kay woh zakhm khaiyie Ta zindagi yeh dil na koi aarzoo kare Tujh ko bhula kay dil hai woh sharminda-e-nazr Ab koi hadsa hi tere ru-ba-ru kare Chup chap apni aag mein jalte raho faraz Duniya to arz-e-haal se be aabroo kare Ahmad Faraz
|