Urdu Poetry: Jaanaan,Jaanaan
Ab kay tajdeed-e-wafa ka nahin imkaa'n Jaanaa'n Yaad kya tujh ko dilayein tera paemaa'n Jaanaa'n Yun hi mousam ki ada dekh kay yaad aya hai Kis qadar jald badal jate hain insaa'n Jaanaa'n Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaa'n Jaanaa'n Dil yeh kehta hai kay shayad ho fasurda tu bhi Dil ki kya baat karein dil to hai naadaa'n Jaanaa'n Awwal awwal ki mohabbat kay nashay yaad to kar Be piay bhi tera chehra tha gulista'n Jaanaa'n Aakhir aakhir to yeh alam hai kay kuch hosh nahin Rag-e-meena sulag uthi kay rag-e-jaa'n Jaanaa'n Muddato'n se yehi alam na tawaqqa na ummeed Dil pukare hi chala jata hai Jaanaa'n, Jaanaa'n Hum bhi kya saada thay humne bhi samajh rakha tha Gham-e-dora'n se juda hai gham-e-Jaanaa'n, Jaanaa'n Har koi apni hi aawaz se kaanp uth'ta hai Har koi apne hi saaey se haraasa'n Jaanaa'n Jis ko dekho wahi zanjeer ba'pa lagta hai Shaher ka shaher hua dakhil-e-zindaa'n Jaanaa'n Ab tera zikr bhi shayed hi ghazal mein aaey Aur se aur huey dard kay unwaa'n Jaanaa'n Hum kay ruthi hui rutt ko bhi mana lete thay Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraa'n Jaanaa'n Hosh aya to sabhi khwaab thay reza reza Jaise urte huey auraq paresha'n Jaanaa'n Ahmad Faraz
|