Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Gift Of Good Deed (Naiki) And Islam

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
* Noor Clinic *
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:4th Oct 2008, 2:27pm
 

Gift Of Good Deed (Naiki) And Islam

is forum k aik member Dr. adeel, ka kehna hai k apni NAIKIAN kisi dosrey insan ko di ja sakti hain.... aur unkay khayal say isi ka naam INSANIYAT hai. is havalay say unho nay jo kuchh likha wo mai neechay copy paste kar donga.

jabkay mai is tara sochta hon k  dunia aik guzar gah hai aur dunia mai insan till death, achhay kaam kar k naikian hasil karnay ki koshish karta rehta hai... Qayamat k din un tamam naikion aur gunaho ka hisaab hoga, Allah tala faisla karaingay aur jannat ya jahannum milaygi... so hamai kisi bi tara apni naikion ka stock barhana hai...

mainay aj tak kisi NABI/PAIGHAMBER ka koi aisa wakiya nahi suna k unho nay apni kisi makhsoos naiki k badlay kisi ajnabi insan ki zindagi ki dua ki ho... k ya ALLAH meri wo wali naiki lay lo aur uskay badlay flaan insan ki zindagi bacha lo

ham naiki kartay hain, par hamai nahi pata k wo naik ALLAH tala nay accept ki ya nahi ki,, to jis cheez ka hamai pata hi nahi, ham kaisay uskay havalay say kisi ko keh saktay hain k ye lay lo aur wo day do... aik tara ki soday bazi...

aur farz kia k agar koi zaroor hi apni khasoosi naiki kisi ko dena chahta hai, to iskay liye best option maa baap hain (chahay wo kitnay hi naik hon)
Hajj kar laina aur namaz parh laina is baat ki zamanat nahi hai k 100% jannat milay gi... Qayamat walay din to puri ki puri dunia ALLAH k reham ki talabgaar hogi...

mai chahta hon k sab is mai apnay views share karain, jinkay pas is topic k havalay say koi Quranic ya Hadith ka reference ho wo reference k sath bat karain aur jinko nahi pata , wo is baray mai kuchh dair sochain aur phir idhar btain k unka dimagh is baray mai kia kehta hai...

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:4th Oct 2008, 2:29pm
 

Dr. Adeel's Post

Rahi baaat kisi ko neeki deney ki tu zara socho, Mera akhir Seemi behan sey kia Rishta hey, sirf munh zabani Behan hee tu bola hey, aur behan banaey hoe bhi srif two months he tu hoe hein.

Phir bhi mein usko neeki gift kerrha hoon, is ko kehtey hein 'INSANYAT'.

Josh, Jab mein koi haqeqi rishta na hotey hoe bhi us ki takleef mehsoos ker rha hoon, aur us ki help kerna chahta hoon, un ko aur un keh Husband ko Hansta khelta dekhna chahta hoonphir sey, tu

Allah Talah jis ney mujhey peeda kia, jo mera rab hey , Allah talah farmata hey mein apney bandey sey 'aik Mother keh pyar keh muqabley mein 70 Times ziada pyar kerta hoon, tu aap ko kia lagta hey Josh, Allah Talah meri neeki kam honey per mujhey Jahanum mein Daal deen gey, yeah jantey hoe bhi keh mein ney ksi ko apni neeki gift kerdi thi.

Na Josh bhai na ! Allah Talah itney Zalim nhi hein woh bohat meherban hein.
aap apna Concept theek karen, Allah Talah her ksi key Dil ka haal behter janta hey.

AUr rahi Parents ki baat,  pehli baat merey Parnets 'Hajji' hein Alhamdulilah !, woh 5 times ki namaz bhi ada kertey hein, Ramzan keh roozey bhi rakhtey hein, week logon ki help bhi kertey hein & hamari parwarish bhi bohat achi ki hey.

Mera nhi khyal un ko jannat mein janey keh leye meri aik adhi neeki ki zarorat parey ge, Allah keh fazal sey unho ney bohat sa stock jama kia hoa hey.

Aur Jannat ki Taabeer ksi ko khawab mein nhi hoti, per Ager aap QURAN & HADITH ko parhen tu aap ko samjh ajeay ge, keh kin kin Ammal kerney sey Jannat wajib hojati hey, Insan per.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:4th Oct 2008, 3:12pm
 

naiki gift karna

maulana Tariq jameel sahib bayan karte hain k Qayamat k roz har insaan nafsa nafsi k alam main hoga aur sab ko apni jaan bachane ki fikar hogi jab nikiyon ko tola jayega to aik shakhs aisa hoga jis k wazan main aik naiki kam hogi woh sab se pehlay maan baap k pas jayega lekin jawab nahi main milega phir Bv bachon aur doosre relatives k pas jayega lekin koi bhi apni aik bhi naiki nahi dega istarah sab se naikiyon ka swal karte huwe woh aik aise shaks k pas pohnche ga jis k pas sirf aik hi naiki hae aur woh kahega k aik naiki meray kisi kaam ki nahi agar tumhara bhala hota hae to le lo. jab woh shakhs woh naiki lekar Allah pak k pas ayega aur wazan poora hojayega to Allah pak poochega k yeh kis ne di to woh us shaks ka batayega to Allah pak kahega us bande se k tu Mujh se ziada Raheem hae k apni aiki is ko dekar jaanat ka mustahiq bana raha hae "nahi Allah pak se ziada Raheem aur Kareem koi nahi hae'' is aik naiki k badle Allah pak dono ki maghfirat kar daingay.

naikiyon ki quality ko dekha jata hae quntity ko nahi maslan aik kalima 'SUBHANALLAHE WABEHAMDEHI SUBHANALLAHILAZEEM" 7 zameenon aur 7 aasmanon pe bhari hae . jis baat ka wada Allah pak ne khud farmaya hae k in baaton k badle jannat milegi  to mera khayal hae k insaan ko aur kisi pe nahi to Allah pak ki zaat pe bharosa hona chahiye

agar hum is baat main rahen k pata nahi koi naiki qabool hoti bhi hae ya nahi to phir to insaan koi naiki hi na kare.

aik Hadees main ata hae "Allah pak us dua ko kabhi radd nahi karta jo aik musalman bhai apnay doosre musalman bhai k liye peeth peechay karay"

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:4th Oct 2008, 4:02pm
 

nopsss..rong ..

umm wrong information u guys are getting..

neeki kiya hai ,kiya hoti hai , kisss kay paasss kitni neekiyaan hain, ?  umm

no one can measures Nekkies ,cant give and take to any one..cant give and take to even parents.nothing like that..all rong translations pls..

 only sirf GOD janta hai ,kiss ko kiya daina hai, junat ya hell..wu bhee on the day of judgent.loook :  ho sakta hai kay meri taamaa umeer kee namazain, rozay, zakaat,huj ,  khaliq e khidmut all that ,aik minute main KHUDA Tallah meray moun pur day maray and send me to hell,,,,,,umm aur ya bhee ho sakta hai, KHUDA Tallah ,kiseee  bazahur inteheee buray ,jahul , very very bad person ko junut day daayyyy...samjay..so pls there is no way to judge ppl ..never..ya sirf KHUDA TALLAH janata hai kay kiss ko kiya milay ga ur wu bhee only one day ,Day of JUdgement..so pls wait for the day ..because there is no way out to measure any one , who is juntee and who is dozgee...understand ...umm so wait for that day , and I will see you down there in heaven , horooon kay saath ,ho ha haaaaaaa

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:4th Oct 2008, 4:57pm
 

josh

mera Damagh ziyada soche samjhe beghair mujhe ye kehta hai,ke Naiki koi earring,ya koi khane peene ki cheez nahi hai,jo ke hum kissi zarooratmand ko de dain.Naiki aur burayi har ek insan ke zati amaal se paida hoti hain.lekin yahan bhi maslik /mazhab bich me a jata hai.jo ke har maslik me differens hai,

jaise ke kuch log Quran-e-khwani karte hain kissi ki Death par,aur Quran-e-pak parhte hai aur ye soch kar parhte hain ke ye us marne wale ke hisse ke sawab me jaye.jo is pe yaqeen rakhte hain wo Naiki dene pe bhi yaqeen rakhte honge.

Albatta agar koi mother apne bete ke Gunahon se wakif hai,to wo Yaqeenan Khuda ke age sajde kar ke agar ye Dua mange ke uske hisse ki naikiyan uske bete ko dedi jayen to wo qabool hogi...lekin shahid is surat me ke Allah us mother ke bete ko Naiki ki taraf jhukne ka hossla dega.Aur use Naik bana de.

jaisa ke maryam ne kaha

aik Hadees main ata hae "Allah pak us dua ko kabhi radd nahi karta jo aik musalman bhai apnay doosre musalman bhai k liye peeth peechay karay"

mai is se mukammal tor pe agree hun .

Dr. Adeel Group: Members  Joined: 27th Jul, 2008  Topic: 0  Post: 346  Age:  32  
Posted on:4th Oct 2008, 7:58pm
 

salam all members

kia baat hey josh bhai aap ki, meri aik baat per pora Topic he start ker dya, jaisey keh mein ney koi NEW 'FATWA' dey dya ho.

Thanks Maryam baji comments deney ka, lagta hey hum dono behan bhai ki soch kafi milti hey, her jaga per