Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

How Much Importance Deserves A Mother?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
* Noor Clinic *
khanum Group: Members  Joined: 23rd May, 2007  Topic: 2  Post: 3  Age:  34  
Posted on:25th May 2007, 12:05pm
 

How Much Importance Deserves A Mother?

Salam...mera un logon se ye sawal hay jin ki information high ho is baray mail and then plz feel free to guide me...mamla kuch aisa hay k meri mother shuru se hi bohat strict rahin...kuch nachaki rehti thi parents main..kabhi bhi nahi bani apas main unki...hosh sanbhaltay hi phadday dekhte rahay...khair kisi na kisi tarha hum behan bhai aaj Allah ka shukar hay achi positions par hayn and i am married to a guy of my own choice... Problem ye hay k meri mother ka jab kisi se jhagra hota tha wo hamen bhi us se bat karne k liye mana kar deti thin chahay wo hamaray apnay hi behan bhai aur baap kion na ho...aur hum sab fullly under pressure thay un k..bohat dartay thay...infact shadi ho gayee hay aj tak dartay hayn aur respect kartay hayn...magar wo nahi manti ...sari aulaaad bohat pyar karti hay un se..sab se larti jhagarti hay but stilll she does not admitt...aur ghusssa bohat karti hayn...aur ghussay main wo aisi aisi baatein kar jati hayn k kisi bhi banday ka sunnay k baad dil chahay ga k zammmen main garha ho jaye aur wo us main usi waqt dafan ho jaye....bohat na kabile bardasht baaten...phir bhi hum ketay hayn k maa hay...iska bohat buland darja rakha hay Allah nay...isk kadmon talay jannay hay...bohat koshish kartay hayn k inhon nay tough time dekha hay is liye aisa hay...but anyway story bohat lambi ho jayegi....ab jab k main married hoon...mera apna ghar baaar hay...abhi bhi main ammi k kehnay pay chalti hoon....chalna bhi chahiye , mujhay is pay koi aitraaz nahi...magar jab baat comparison ki ajaye k maan ki baat mano ya shohar ki to kia kiya jaye? mother has got her own importance whereas husband has got his own...wo yahi kehti hayn tumhay apnay shohar ki pari hay, usk samnay meri beizaaati karwa rahi ho..halan k aisa bilkul nahi meray in questions ka plz jawab dijye ga 1. aulaaad k is mamlay main kia hakook hayn jab maan aisi baaton pay had se zada ghussa kare jis par karna nahi chahiye? 2. husband aur mother main se kis kis baat manna zada zaroori hay ladki ki shadi k baad? 3. ager mother bachon ko dantay k tum log baap se baat na karo aur phir jab apni marzi ho to kahay k karo to bachon ko is pay amal karna chahiye? Regards to all
My Reply Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 2  Post: 2318  Age:  46  
Posted on:26th May 2007, 8:45am
 

re: khanum

1. allah tala ne ma ke darja bahut buland rakha hai. aur os ke qadmo tale jannat rakhi hai. ma ka ehtaram sab se ziada karna chahi. ma ki ksisi bhi hukum ko nahi talni chahia.

2. Lekin agar ma ka hukum Quran aur Sunnat ke khilaf ho tu aisi soorat mai ma ke hukum manne se inkar kardena chahia.

3. Lehaza ap apni ma ke hukum ke peeche dekhe keh kia ap ki ma ka amal Quran aur Sunnat ke mutabiq hai. agar ap samajhti hai keh ap ki ma ka amal Quran aur Sunnat ke mutabiq nahi hai tu phir ap ap apni ma ke hukum manne se inkar karde.

4. larai, jhagra, nafrat, gheebat, munafiqat, sazish, jhoot Quran aur sunnat ke khilaf hai. lehaza ap in mamlo mai apni ma ka humum manne se inkar kar sakti hai.
buttjee Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2007  Topic: 3  Post: 25  Age:  34  
Posted on:4th Aug 2007, 1:18pm
 

a Hadith

Dear Khaum,

1.Our Prophet (PBUH) said that for a man, his mother is most important and for a woman, her husband is most important...

2.and I also agree with "My reply" that mother is ranked as one of the most respected personalities but we cannot obay her if she orders us against Quran and Sunnah...

So in either way (eith you follow point one or point two) you will find same results (Insha-ALLAH)

(WALLAH-O-ALAM)

 

Thanks and regards

 

Butt Jee

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:4th Aug 2007, 2:44pm
 

Mery Mutabiq!

Dear Sister,

Aap ki story bhi lag bhag mri mom jesi hi.....I am fully appreciate MY REPLY comments tht Agr maa Quran aur Sunah k khilaf koi bat krti hi wo mat manoo aur baki sb kaha mana chayee.But if u got married tab silsila kuch alag ho jata ab aap apny husband k tamam batein mani gi Quran aur Sunah k mutabik jo ho.

Agr ap ik bat husband ki mani hi jis sy aap ki mom ko ikhtilaf ho ga to dont worry ap Allah k ik hokam pora kr rhi hi k ap ko husband ki baa manni chaye to Allah ap ko us sabr ka ajr dy ga.

Baki Astaghfar kiya kry aur Allah sy duwa kya kry k aap ki mom aur husband ki batein same same ho to ap ko dono side sy khushi mily gi.

Darood kasrat sy padha kry.

Rgds Your Brother

 

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:4th Aug 2007, 5:15pm
 

Re: khanum

Agree to my Reply.

Agar shohar haq per hai aur woh deen kai khilaf koi baat nahin kehta tu aap ko sari batain shohar ki manni hain. maan ki khidmet karain but shohar ya deen kai khilaf koi baat na manain tu gunah nahin. Allah behter janta hai.
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How to give interview on skype  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014