the correct method chaachu is ka aasaan tareeqa yeh hai k jaisa k aap ne misaal di k aap ne "mobile ringtone" likh k search kiya, aur agar aap kabhi dobara MO bhi likhen ge to neechay mobile ringtone aa jaye ga. jab bhi neechay hint word aaye to us par mouse ka arrow le kar jaao(sirf arrow le kar jana hai us k ooper, click nahi karna), aur keyboard se DELETE ka button daba do! woh hint word delete ho jaaye ga!
Alternate method
ooper walay tareeqay se aap one by one, jo hint word aap delete karna chaho woh hi delete hoga! agar aap ne sab hint words delete karnay hain to us k liye aap internet explorer par right click kar k us ki properties ya "internet options" kholo, phir us mein "content" ko click karo, phir us mein "autocomplete" ko click karo, phir us mein "clear forms" ko click karo. saray hint words delete ho jaaen ge! |