Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Aap Dawat-O-Tableegh Ke Bare Main Kia Rae Rakhte Hain?

Religion and Culture   >>  Religious Conflict
 
 
* Noor Clinic *
kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:25th Aug 2007, 2:55pm
 

Aap Dawat-O-Tableegh Ke Bare Main Kia Rae Rakhte Hain?

Dear All,

AOA...My ik nya thread start krny ja rha ho aur umeed krta ho k is thread my ham deen-e-islam k aham pehluaooo pr roshni dalangy...........

My apni thread ka aghaz kuch yun krta hon ka...kafi arsay sy ik KHAMOOSH TEHREEK chal rahi hai ....yee threek koi firqa nahi..koi pesooo k liyee nahi..koi dekhaway k liyee nahi sirf aur sirf Allah ki raza k liyee kaam krti hai....

Jis ki jeeti jagti misaal SAEED ANWAR,JUNAI JAMSHEED & MOHD. YOUSAF hai...

Mai khud is tehreek (yee naam my ny diya hi i dont know is ko tehreek kaho naik kam kahoo k kiya kahoo?) sy itna ashna nahi hoo.....But ap logo sy yee swal hai k ap is k baray my kiya raiyee rakhty hai...........

My sirf yee jana chahta hoo k kiya DAWAT-O-TABLEEGH ka yee kam jesy ho rha hi aisa hee hona chayee YA yee sahi nahi hai???

Note: Safeena + Kali Zaban + Faisee + Bewaqoof sy req. hai ko wo special comments dy aur baki sab bhi......

Rgds

KIM

khangi61 Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 6  Post: 103  Age:  53  
Posted on:25th Aug 2007, 11:18pm
 

tabligh

kim saa tablegh bazat-e-khud buri cheez nahi hay, agr is ka tareqqa aur tablegh karnay walay ka aqeed sahi ho.

tablighi jamaat ki bunyad maulvi muhammad ilyas kandhalwi nay 1927 main rukhi thi. begining say hi is main extreme deobandi nazriat ki philosphy namayan rahi.ilyas k followers other muslim khas taur par shi'itesk ko bardasht nahi kartay thay. zia ul haq k daur main is ko bahut taruqi milli.

tablighi jamaat ka nisab Qur'an sharif k ilawa sirf tablighi nisab hay , jo keh seven essays per mushtamil hay aur yeh ilyas k companions nay 1920 k ushray main likha tha.

tablighi jamaat ko british govt ki b ashirbaad hasil thi, kiyoon keh yeh peaceful jamaat tasawwar hoti thi. yeh jamaat jihad ko kalima spread karnay aur Almighty Allah k ahkamaat nafiz karnay wala samajhtay thay. yeh jamaat kabhi b controversial matters ko discuss nahi kartay thay. in k kuch false belief jo aam hain wo b zara malahiza kar lain.

false belief no 1: Allah can speak lie.(barahine Qaatia by khali ambetvi,"YAKROZI" by ismaeel dehlvi, "Fatwa Rashedia" by rashid ahmad gangohi.

jab keh Allah azzo jal ki zaat kissi b khami say paak hay, Allah azzo jal k liyey jahoot bolna muhaal hay.

false belief 2: The Prophet sallallahu alaihi wasallam had died and is mixe in sand.  "Taqweeyat-ul imaan" by imaeel dehlvi.

hadith main aata hay key Allah azzojal nay zameen par ambiya ki bodies ko khana haram kar dia hay.aur yeh keh ambiya zinda hain aur apnay Allah say rizq paatay hain.

false belief 3:tamam creation big or small Allah azzo jal k samnay aik cobbler k baraber hay. taqweeyat-ul imaan.
Allah k nabi sallallahu alaihi wasallm Allah k mehboob nabi hain. Allah azzo jal nay nabi sallallhu alahi wasallam k shehr ki qasm khahi hay, phir uk mehboob nabi k braber kaub hay.

false belief no4: namaz main ox ya donkey ka think karna permissible hay laiki nabi paak sallallhu alahi wasallam ka khayal shirk hay. "Seeraat-e- mustaqeem" by ismaeel.dehlvi.
tasa'hud namaz ka compulsary hissa hay. is k baghair namaz hi nahi hoti, aur tasha'hud main nabi ki gawahi hi to hoti hay.

false belief no 5: nabi sallallahu alahi wasallam ko hazir naazir jananay wala kafir ho jaata hay. "Jawaahirul Qura'an" by Ghulaamullah kahan.
The holy prophet sallallhu alahi wasallam ki risalat ka concept incomplete reh jaata hay agr aap sallallahu alahi wasallam koshaahi, mubashir aur nazeer nah samjha jahay.

false belief no 6:milad ka manana hindu function diety mananay k baraber hay. "Baharine Qaatia" by ismaeel dehlvi
nabi paak sallallhu alahiwasallum her monday ko fasting say apna milad celeberate kartay thay.

False belief no 7: agr Allah wish karay to million Muhammad (sallallhu alahiwasallum create kar sakta hay."taqweeyat ul imaan
A prophet can come after muhammad sallallhu alahi wasallum. "Tahzeerun naas"
nabuwwat k darwazy to Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasullam per bund kar diyey gai, to aur nabi kahan say aa sakta hay.yeh aqeeda mirzai k kitna qareeb hay, bulkay unhoon nay in say hi yeh liya hay keh agr nabi aa sakta hay to main aa jaata hoon.

False belief no 8:rahmatul lil aalmeen nabi paak sallahu alaihi wasallum ka khas title nahi hay.
Qura'an main yeh aap sallahu alaihi wasallum ki unique quality bayan ki gai hay.

kim saab ab aap khud faisla kar lain.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:25th Aug 2007, 11:41pm
 

maslak ke ikhtelafat

Kim84 & Khanji61: yar ap dono bahut achchi aur maloomati talks karte ho. mojooda topic par dono ka nazaria apni apni jagah theek hai. lekin yeh maslak ke ikhtelafat ko zahir karta hai. mera khial hai keh maslak ke ikhtelafat ko discuss na kia jai tu behtar hai.
faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:26th Aug 2007, 3:21am
 

Re: Bewaqoof

janab non-medical start kia hai tu pabandi kion.
kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 5:53am
 

My Answer:

1)Khangi: Thanks for sharing such a good comments.......

2) Bewaqoof: Ham yaha MASLAK K IKHTILAF my nahi bulky ik dosray ki rayee jan kr kuch sekhna chahtay k kya sahi hai aur kya ghalat

3) Faisee: Aap bhi kuch comments dy......

Rgds





josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:26th Aug 2007, 8:10am
 

Khangi: Kia tum Preachers k khilaf bat kar k sawab hasil kar rahay ho?

khangi tum bohat HAASAD kisam k insan lagtay ho. tumharay akeeday intehai galt hai,, tum jaisay log hai jo dunia mai fasaad paida kaRnay ka sabab bantay hain, even kim ko us jamat ka naam bi nai pata tha jis ki achi tableegh k through Allah pak nay Saeed anwar,Mushtak Ahmad, Saqlain Mushtaq  Muhammad Yousaf, Junaid or beshumar insano ko deen ki taraf lagaya,, lekin phir bi tumhe itna gussa or itna hasad hua k tumnay itna lamba or shar-angez batain kisi muslim jamat k against likh di,,,,

tum deen ki kia bat kartay ho or tumhe deen ki kia samajh, jo Qawalian ganay walo ko samajhta hai k wo deen ki bari khidmat kar rahay hain.
tum to khud un logo mai shamil ho jo music say bharpoor or indian gano ki nakal par banaee gaee naatein sun kar jhoomtey hain.. daff k ilava sab music mamnuh hain. 

or hamara deen aik mohazzad mazhab hai, ye nai k aik acha bhala tandrust insan Quran parhnay ki bajaey qawalian sun kar nachta phiray. or ....... ki tara qawali par taliyan marta rahay.

tum khud us firkay say taluk rakhtey ho jiskay molvi aksar naatia mehfilo mai RESHMI pagria pehan kar music wali naatain parh rahy hotey hain.. jabky reshmi kapra MARD k liye jaez nai.
tumhari party k molvi to naat k zariye paisa bana rahy hain Rs. 500,000 or is say bi ziada paisay lay kar logo ko naat sunany jatay hain..

ajkal ki bohat si musical nato mai Allah ka nam aisay galat andaz say laitay hain k samajh hi nai aati Allah keh rahy hai ya Atta atta ke rahy hain. ye hi samajh aati hai jaisy "att ta ta atta" keh rahy hain... Allah ka naam bigarna gunah ka kaam hai.

or tum suporter ho unky jo Hazrat Ali ko Mola Ali kehtay hain.

tum jaisy log bas chahtey ho k tum logo ki qawalian or musical naat bas suntay rahain sab, or deen or tableegh ko bbhool jaein,, kia tum koi Qawwal ho?

agar koi sachay preachers ki tareef kar day to tum logo ko aag lag jati hai or JAL BHUN kar reh jatay ho..

tum to us firkay k ho jo Allah k ghar khana kaba ja kar bi Firka parasti ko nai chhortay or tum logo k aik molvi nay waha ja kar bi apni alag say jamat karanay ki koshish ki or phir sari dunia mai zalil o ruswa hua... (barelvi firka)

tum kehtay ho "tablegh bazat-e-khud buri cheez nahi hay, agr is ka tareqqa aur tablegh karnay walay ka aqeed sahi ho."
to khangi kisi ko apsay tareka sekhnay ki zaroorat nai, kyoky apka apna akeeda sahi nahi hai. is liye apsay iltamas hai k apnay shar-angez baton say yahan fasad phelanay ki or firka bazi ki koshish na karian.

tumnay jitni batin likhi hai kisi ka koi refernce nai hai or tumhari personal tashreh ki hamain zarorat nai..tumharay bataey hui baton say mai ikhtalaf karta hon.
Mashwara for khangi61: Allah par pakka yakeen rakho k Allah chahye to kuchh bi kar sakta hai, bcoz Allah sab say bara hai or sari kainaat ka khaliq or malik hai.
behtar ye hai k muslims say larnay ki bajaey, koi naiki ka kaam karo, kisi ghair muslim ko Allah or uskay rasool ki bat batao, bajay party bazi or sex forum par aa kar anti muslim/anti preachers tehreek chalanay k koi acha kam karo jis say tumhe koi sawab ho. or tumharay gunaho ka bojh kam ho.. ye preachers k khilaf baat kar k konsa sawab ka kaam kar rahay hotum.

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 8:52am
 

re josh:

Bhai mjh to kuch smjh nhi aya khangi ki batoo k magr last my kuch itna smjh aya k Hazoor Salla laho alihay wasalam last nabi hai aur un k baad nabuwat ka darwaza band hi to wo to ham sb ko iman hai.....................

Kher ap loog point pr a jayee my tableegh waloo k baray my kuch janta hoo wo kuch batein me ap k samnay rakhta hoo aap apni rayee dy k aya yee theek hi ya ghalat bcoz i m confused........

1) Tableegh waly sb sy phly kalima ki dawat dety hi i.e. La ilaha illalah Mohamad ur rasool ullah................Wo kehtay hai k Allah ik hai aur nabi(SAW) akhri nabi hai...................Mery mutabiq is my koi shaq nhi........

2) Nimaz: 5 times nimaz parhoo.......jo farz hai........yee bhi theek hai..

3) Ilam: yee khetay hai k itna ilam sekhoo islam ka k tum api 24 hours k zindagi us ilam k mutabiq guzar sakooo..........Yee point clear hona chayee .... k kesy ...........

4) Yee loog sirf ham sy kuch din ya kuch time mangtay hai...ta k hum Allah ki rah my niklay........to ham ko kisi masjid bheja jata hai.....jha phly sy musalman hoty hai............to phir yee Allah ki rah kesi howi....wo to tub jb ham kisi gher muslim k paas jayee gy to aisa hona chayee.............Yee bhi clear nhi point..

I agree with khangi k yee loog kisi controversial maslay my nhi padtay.........Magar my yee jana chahta hoo TABLEEGH honi chayee ya nhi.....

Agr honi chayee to kiya yee jo ho rahi hai...sahi ho rahi hai ya nhi.....agr nahi to to fir kesi honi chaye....................

Rgds

KIMY

AK-47 Group: Members  Joined: 10th Aug, 2007  Topic: 1  Post: 128  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 10:49am
 

hmm

 

well mai kuch nai kahonga about it. Mai khud koi alam nai hon is liyea aisay points mai khain ghalti say koi aisi baat ho jaye jo kissi shakhs ko ghalat fahmi mai daal sakti hai aur iss baat ka bht sakht gunnah hai

I hope u people will be careful too in this regard

TC all

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 12:07pm
 

RE AK-47:

Yar khuda k liyee yee  her post k title "hmmmmmmm" mat diya kro.........

Kahi koi sad baat ho gi tb bi "hmmmmmmm" kbi khushi ki baat tab bi "hmmmm"

In last yahi to hamari kamzori hai k ham ilam k hasool k liyee aisi batiein krty hi k in k kehnay sy gunnah ho ga...dis jst a discussion..hm kuch sekhna chahtay hai........

AK-47 ap sy bhi guzarish hai k kuch comments dy.......is sy ap k ilam my izafa ho ga...................

Rgds

noorbaba Group: Members  Joined: 25th Jul, 2007  Topic: 4  Post: 33  Age:  31  
Posted on:26th Aug 2007, 1:00pm
 

RE: to Khangi, Kim & Josh.

 

khangi mein kuch ziada to nahi kahon ga aap ki baton pe kyon k josh already josh mar chuka hai :) dil to mera bhi kuch aisa hi kar raha tha lakin khair yahan mamla kuch sangeen hai.
baat paley dalney wali zaat to Allah ki hai lakin khangi mera sirf itna kehna hai k apney oper zulm na karo Khuda k liye. yeh jin false beliefs ka aap datt kar izhaar kar rahey hain Khudam ki kasam sach batana, kabhi aap ne khud in k bary mein Jamat walon se tehkeek karney ki koshish ki ? agar ki hoti to nobat yahan tak na ati. Suma Alhumdulillah aisa ik bhi belief nahi paya jata. agar aap k kaan mein kisi ne yeh baten dali hain to yeh sab jhoot or gumrahi hai or agar aap khud hi aisa soch kar bethay hain to in ki islaah farma leen. In beliefs k tehat Junaid Jamsed, Saeed Anwar, M yousuf, inzimam, mushtaq, saqlain, etc Jamat mein vasool ho saktey thay ? jo yeh sochta hai us se bara bewakuuf koi nai. i will recommend k aap junaid or Saeed anwar ki baat khud suno ya un ka biaan suno. it will be a better guidance for u Inshallah. agar asy baat hoti na to duniya pagal nai hai jo tot rahi hai jamat pe, kab ka kaam khatam ho chuka hota, Alhumdulillah is kaam se to bahut sary Govt k bandey nai bach sakey :) aap kin Beliefs ki duniya mein ho mere jaan ?

Kim bhai mein yeh samajhta hon k koi bhi cheez apni concern jagah se mila karti hai, asy forums pe lakh tumhain koi convence karney ki koshish kar le k kia jhoot hai kia sach, lakin tab tak tumhain haqeqat ka andaza nahi ho sakta jab tak khud samundar mein utar k na dekho. logon se puchtey phiro gay k aam (mango) ka ziaka kaisa hota hai, sab yahi kahen gay k meetha, par kaisa meetha? cheeni jaisa, gur jaisa, seeb jaisa ? kaisa meetha tab pata chal sakey ga jab khud taste karo gay is liye khud experience karo bcz "actions speak louder than words"

or aap ne jo points puchay hain mein chahon to yahan un sab k jawab bhi de sakta hon lakin mughay herat hai k yeh sawal aap ne kis forum pe uthaye hain, mere khial mein na to yeh koi ulama ka forum hai na hi muftiaan hazraat ka, yahan pe to mere jasy log aty hain jo in sawalon ka concern kahin se bhi nahin hain. phir aap ne Safeena + Kali Zaban + Faisee ya Bewaqoof se in ki khas raye puchi hai, yeh kon log hain?  ajeeb bandey ho yaar yeh agar tumhain gumrah kar deen to phir ? in ka sahi kehna sahi or ghalat kehna ghalat ho jaye ga ? or bas inhi hum jasy logon se puch k ap khangi ki tarah apni ik raye kaim kar lo gay. hum jasy log aap ko wo baat batin gay jo humary zahen mein samati hai  or
Hidayat kisi k zahen ki ya personal comments ki pervi ka naam nahi hai.
it is from the Quran n Hadith n should be seeked from such persons who understand it completly and have the authority to guide.Which are The ulmae karam.
agar to aap sirf mazy lena chahty ho is topic pe or fitna create karna chahte ho phir to sahi hai, carry on, agay nai to phir mere bhai is ka yeh rasta nahi hay.

or JOSH bhai, bara sahi pehchane ho khangi ko ;)

JazakAllah Khair.

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 1:44pm
 

re noorbaba:

Mjy mera jawab mil gya...........ab aur behas na kary to behtar ho ga.........

Jesy noorbaba ny kha aam(mango) metha hai ya nahi chak kr hi pata lagy ga...matlab Allah ki rah mu nikal kr hee pata lagy ga in logo k sath....k yee rasta acha hi ya nahi..............................

Yes mango ka to pata nahi k meetha ho ga ya nahi...............Maga Allah ki rah to kadwi ho hee nahi sakti meethi hai aur meethi rahay gi..........

Wasalam

khangi61 Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 6  Post: 103  Age:  53  
Posted on:26th Aug 2007, 2:51pm
 

RE: Joshh

joshh saab, aag main jul bhoon gae ho. such kadwa hota hay.baat yeh hay keh agr tum ko itni hi humdardi hay jamaat say to jin books ka main nay hawala dia hayun ko read karo phir baat karna. woh books tumharay hi buzurgoo nay likhee hain. un say un ka aqeeda to saaf zahir hay.

kia aap is baat ka iqrar kartay hain keh aap ka un false belief say taullaq nahi hay. agr aap ka b wohi aqeeda hay to phir behs ki zaroorat nahi hay. aap nay jazbaat main aa kar bahot kuch keh dia hay, laikin pehlayaap wo books lain aur read karain, agr jo baatain main nay likhi hain woh wrong hain to phir main mujram hoon, aur agr sahi hain to phir tum kia kaho gay. taqreer karnay ki zaroorat nahi hay. haqeeqat ko pehchano. gussa khana koi achi baat nahi hay.

jahan tuk qawwali ka taaullaq hay to tum ko is baat ka puta hona chaheye keh subcontinent main yeh kiyon begin hoi thi. khawaja ghreeb nawaz rahmatulla nay hindus ko deen-e- islam ki taraf raghab karnay k liyey begin ki thi. aur tum ko maloom hona chaheyey. khawaja rahmatulla nay million ko kalima read kawaya tha. aur aaj tum b un ka shukr ada karo k tumharayabaa nay kalima read kia aur aaj tum b muslim ho, warna kahin bhajan baja rahay hotay.

jahan tuk naat ka taaullaq hay, khud nabi paak sallahu alaihi wasallum nay hassn bin saabit koenemies ka jawab denay k lieyey kaha keh un ki muzammat main likho. dushman ki muzammat b nabi sallallahu alahi wasallum ki tareef aur mission ki khidmat hay. jahan tul rupee lainay ka taaullaq hay to khud nabi pak sallallhu alahiwassalum nay hassn radhi allah taa'ala ko naa't read karnay per apna chugha atta ki that to yeh aap sallallhu alahi wassalum ki sunnah hoi na.

aap nay kaha hay keh reffernce nahi dia hay to dekhain her belief k samnay book aur author ka name likha hay.

aaj hi market jahain aur yeh books read karain, pata chul jahay go. aur saeed anwar ya saqlain mushtaq etc kia hain aik aam insaan hi hain aur ab bearde ho gaye hain. without love and respect of the Holy prophet peace be upon him, sum ibadat fazool hai.ishqae nabi sallallhu alaihi wasallaum deen-e- haq ki shart-e- awwal hay. aap b apnay under ishq-e- mustafa sallallhau alahi wasallum paida karian. baghair tahqeeq k  badkain marnay ki zaroorat nahi hay. jub tukish main teer khatam ho jahain to aisay hi aahain baahain shahain ki jaati hay.

noorbaba123 aap b baghair tahqeeq kay side nah lain. chalo main nay jin books ka zikar kiahay aap hi lay kar parhain aur phir kohi faisla karain . kabhiyeh books aap ki nazr say guzri hain . yeh josh saab k peeron ki books hain. please read those books. main nay kuch ghalat nahi kaha wohi kaha jo aap logoon k buzurgoon nay likha hay. gussa karna hay to un say karain mujh say nahi. na woh likhtay nah main yeh refferences deta.

mazeed tafseel ki zaroorat hoii to woh bi next post main dey doon ga, keh maujooda daur mainmedia tablighis k baray kia keh rahay hain.

once again read those books then deny the realities.

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:26th Aug 2007, 4:07pm
 

Khangi Barelvi Akiday ki bajaey Islami Akeeday par Amal Karo!

khangi muje nai samajh lag rahi k agar koi jamat tableegh ka kaam achay tareekay say kar rahi hai to kisi musalmaan ko kia problem ho sakti hai us say.. or kyo ap is bat par tulay ho k ham log kisi tableeghi jamat say nafrat karain.. islam brotherhood ka sabak deta hai or ap naFrat ka sabak day rahy ho. or firka bazi ka sabak day rahay ho... why?? 

Qawali walo ki favour mai apnay muje kaha  "aur aaj tum b un ka shukr ada karo k tumharayabaa nay kalima read kia aur aaj tum b muslim ho, warna kahin bhajan baja rahay hotay",, khangi apsay aisi hi bat ki tavakka ki thi muje,, khangi mai ALLAH ka shukar guzar hon jisnay muje muslamaan or muslim gharany mai paida kia......
or jahan tak bat hai Qawalli ki, to merey pyary nabi Muhammad (s.a.w) nay jo kuch bataya mai us ko manta hon,, or Muhammad (s.a.w) nay na kabi Qawali parhi or na sahaba nay or na hi aisa koi kaam kia, k aik banda qawali gaey or baki log taliyan bajain or nachain... mai isko biddat tasavar karta hon,,
han agar kisi ka dimaghi taVazan theek nai hai , or wo apnay junoon mai apnay tarekay say Allah ko yaad karta hai to ismai koi harj nahi,, lekin aik samajhdar banda aisi karkat karay to wo galat hai....
fajar namaz k 2 sunat or 2 farz hain,, agar koi 2 sunat or 4 farz parh lay, to usko sawab nai hoga balkay gunah hoga.....

har cheez k kuch manners hotey hain,, naat k bi manners hain,, agar naat adab k sath or nat mai koi shiRkia ilfaz na hon to sawab ka kaam hai,,, agar un adaab ko ignore kar dia jaey to wo galat hai,, islam mai Reshmi pagri reshmi kurtay or musical naat ka koi concept nahi hai..

jo apnay misal di k naat ki waja say Muhammad (s.a.w) nay chugha dia,,, to khangi ye bi apkay samajhnay mai galti hai,, hakeekat ye hai k Muhammad (s.a.w) nay apni marzi say TOHFA dia,, ye koi naat ki keemat nai thi,, or tohfa dena sunnat hai,,  naat k ivaz paiso ka MUTALBA kaRna sunnat nai hai... jabkay ajkal musical naat parhnay walay pehlay paiso ka mutalba kartay hain,,  agar unkay mutabik paisay na milain to naat bi nai hoti,,, or kindly apni marzi say sunato mai izafa na kartay jao,,

books lenay say pehlay muje apki zahanat ka andaza ho chuka hai,, kyoky apko ye samajh nai hai k TOHFA or kisi kaam k ivaz paiso k mutalbay mai kia fark hai... so mera mashwara hai k islami books khareedo or unko positive mind say samajhnay ki koshish karo..

as u said "yeh josh saab k peeron ki books hain",, khangi ham log barelvio ki tara peeri fakiri k chakar nai chalatay... jo insan deen k baray mai achi bat karta hai uski izzat kartay hain..

mojooda dor ka media kia keh raha hai, iski koi importance nahi hai,, tableegh karna aik naiki ka kaam hai,, jo har kisi ki kismat mai nahi hota,, balkay kuch log to itnay gumrah hain, k tableegh karnay walo ko bura kehtay hain..

noorbaba apnay bohat achay tareekay say khangi ko samjhanay ki koshish ki,, Allah sab ko deen ko seekhnay aur samajhnay ki tofeek ata farmaye Ameen..

tableeghi jamaat k log bohat acha or naiki ka kaam kar rahay hain or inshAllah kartay rahy gay or in logo k through Allah pak nay bohat logo ko naiki ki rah par lagya hai or ainda bi lagata rahay ga...inshAllah

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:26th Aug 2007, 4:20pm
 

Re Khangi:

Ham yha aur behas me nahi pary gy.............bt jha tak qawalii ki baat hi mera zameer mera iman is ko nahi manta .....ha agr subcontinent my khwaja ghareeb nawaz aur aur bhut sy sofi's etc ny hinduaoo ko musalman kiya hai aisy tareky sy to wo un hinu ki kam zarfi thi k Allah ki mohabat aur rasool (SAW) ki mohabat ki jga sur aur taal ki suroo ki badoulat musalmna huwy.....

Rahi baat naats ki to natein achi bat hai...........magr withour music ya zyada sy zyada DUFF k sath................rhi baat naat khwa k money leny ki to...akhir woo bhi insan hai...Allah ny us ki rozi aisi likh dii hai...us ko apni mehnat k mutabiq mawza milna chyee....agr wo Allah ki raza k liyee free krna chayee to theek hai....aur agr mawza lena chayee to bhi mehnat k mutabiq mawza mang sakt hai.............

false belief no 1: Allah can speak lie.(barahine Qaatia by khali ambetvi,"YAKROZI" by ismaeel dehlvi, "Fatwa Rashedia" by rashid ahmad gangohi.
jab keh Allah azzo jal ki zaat kissi b khami say paak hay, Allah azzo jal k liyey jahoot bolna muhaal hay.

This is totally wrong...............but kabi kabi aisa bhi hota hai k kahi likha hota hai " Aisa nahi k Allah can speak lie" aur loog sirf is under line waly words ko quote krty hai....aap ny bi mery khiyal me aisa hi kiya ho ga werna yee to shirq me ata hai..

false belief 2: The Prophet sallallahu alaihi wasallam had died and is mixe in sand.  "Taqweeyat-ul imaan" by imaeel dehlvi.

hadith main aata hay key Allah azzojal nay zameen par ambiya ki bodies ko khana haram kar dia hay.aur yeh keh ambiya zinda hain aur apnay Allah say rizq paatay hain....................Haidith ka refernce dijyee aur complete hadith byan kry?

false belief 3:tamam creation big or small Allah azzo jal k samnay aik cobbler k baraber hay. taqweeyat-ul imaan.
Allah k nabi sallallahu alaihi wasallm Allah k mehboob nabi hain. Allah azzo jal nay nabi sallallhu alahi wasallam k shehr ki qasm khahi hay, phir uk mehboob nabi k braber kaub hay.............Point clear nahi detail dijyee?

false belief no4: namaz main ox ya donkey ka think karna permissible hay laiki nabi paak sallallhu alahi wasallam ka khayal shirk hay. "Seeraat-e- mustaqeem" by ismaeel.dehlvi.
tasa'hud namaz ka compulsary hissa hay. is k baghair namaz hi nahi hoti, aur tasha'hud main nabi ki gawahi hi to hoti hay......................author ko aisy alfaz nhi istimal krny chayee thay...Nimaz sirf Allah k liyee ki jati hai aur us my sirf Allah ka tasvoor hi lana shart hai.........YES nimaz ka tareeka nabi(SAW) k tareekay k mutabiq hona chayee aur sunat k mutabiq hona chayee baki khyal,dil,demagh my sirf ALLAH hona chayee...

false belief no 5: nabi sallallahu alahi wasallam ko hazir naazir jananay wala kafir ho jaata hay. "Jawaahirul Qura'an" by Ghulaamullah kahan.
The holy prophet sallallhu alahi wasallam ki risalat ka concept incomplete reh jaata hay agr aap sallallahu alahi wasallam koshaahi, mubashir aur nazeer nah samjha jahay...........Yee bada nazuk masala hai lihaza no comments

false belief no 6:milad ka manana hindu function diety mananay k baraber hay. "Baharine Qaatia" by ismaeel dehlvi
nabi paak sallallhu alahiwasallum her monday ko fasting say apna milad celeberate kartay thay...........Refernce dijyee full hadith ksath ta k ham bhi fasting kry aisy din pr...

False belief no 7: agr Allah wish karay to million Muhammad (sallallhu alahiwasallum create kar sakta hay."taqweeyat ul imaan
A prophet can come after muhammad sallallhu alahi wasallum. "Tahzeerun naas"
nabuwwat k darwazy to Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasullam per bund kar diyey gai, to aur nabi kahan say aa sakta hay.yeh aqeeda mirzai k kitna qareeb hay, bulkay unhoon nay in say hi yeh liya hay keh agr nabi aa sakta hay to main aa jaata hoon....................Ye bhi lagta hai ky adha quote hai yee pora sentence kuch aur ho ga.....Yes agr allah chahy to kuch bhi kr sakty hai....magr Allah ny khud hii farma diya k nabi(SAW) akhri nabi hai to phir jhgra kis baat ka

False belief no 8:rahmatul lil aalmeen nabi paak sallahu alaihi wasallum ka khas title nahi hay.
Qura'an main yeh aap sallahu alaihi wasallum ki unique quality bayan ki gai hay.....................Khas ho ya aam ho title to hai........aur title k honay na honay sy kya hoga......nabi(SAW) to dono jhanaoo k sardar hai....un ki hasiyat py kuch farq nhi parnay wala asal mohabat dil me hai.....

Duniya kha ponch gaii aur ham loog choti choti si bataoo my uljhay hai....Mera to zati yee khiyal hai k Allah ny jo farz ham pr impose kiye hai jesy nimaz,roza,,etc hamy phly wo to mukamal kry....

Rgds

KIM

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 78  Post: 773  Age:  31  
Posted on:26th Aug 2007, 5:27pm
 

Re: tableeg

kuch ziada tu nahin, bas itna kahoon ga kai chahay koi dawat dai raha hai ya koi tableegh kar raha hai. start donon hi Allah rasool sai kartay hain aur end aik doosray ki burai per ja kar kartay hain.  lehaza  may be i am wrong, islam kisi ki meeras nahin , you  have Quran , you have hadith, you know how to read and understand. you know how to find out different opinions. you have reach to people around you. just act upon the basics first.  pehlay buniad tu rakho building ki phir usay sanwartay bhi jana. hamari jamatain buniad rakhnay kai baad sai pelay top floor bana kar aik doosray sai larna start kar daitay hain. the problem is ham nai islam ko apni samajh ya aik insan ki samajh tak mehdood kar dia hai. kai jo us nai kaha sahee kaha. ab kuch change nahin ho sakta. its wrong. islam is for all humanity, for all geographical condtiotions, for all climatic conditions. so you dot restrict someone to just act like tableegi aur dawat people do. "Innamal amaal u bi niyaat"  thanks
noorbaba Group: Members  Joined: 25th Jul, 2007  Topic: 4  Post: 33  Age:  31  
Posted on:27th Aug 2007, 1:22pm
 

Re: Kim, Khangi n Josh

 

JazakAllah Dear kim,
aap bilkul sahi samjhey, meetha honay ya na honey ki baat nahi, methaas to us ka ik lazmi juz hai par baat yeh hai k har mithaas ik si nai hoa karti, aam ka or ziaqa hai, seeb ka or aur cheeni ka kuch or lakin hain sab kehnay ko meethay.. ab yeh taste ka farak kisi ki zubani maloom nai ho sakta kyon k us ki koi definition nahi, isi liye mein ne yeh misal di k khud k expereince se hi maloom ho pata hai or beshak Allah ka kaam to hai hi meetha. jasy humary meethay meethay Khangi bhai ;) ..

to Meethay pyary Khan bhai aisi koi baat nai hai, humara aisa koi aqeeda nai hai or jab mein ne yeh keh dia k asy koi baat nai pai jati to phir books ya un ka hawala beech mein lana befazool hai. Hawala wahan pe dia jata hai jahan pe zeer-e-behas cheez unknown ho or us ko malmoom karney ka koi practical source na ho wahan pe evidence k toor pe rivayat karney walon ki rivayat par dependent hoa jata hai kyon k us k ilawa or koi source nai. Lakin mere bhai jahan pe cheez az khud maujood ho wahan par hawala ya kisi book ki koi statement koi ehmiat nai rakhti, wo to ik likhnay waley ki tehreer hai ghalat pe ho sakti hai sahi bhi ! to jab wo cheez zamaney mein maujood hai to phir usi se consult kar k apna point clear karna lazmi ho jata hai.
samajh rahey hain na mere baat ?
Allah aap se kal ko yeh puch saktey hain k jin kitabon ya sunisunai pe aap iktifa kar k bethay thay kia aap ne khud ja k un logon se maloom kia tha k aya yeh baat sahi hai ya nai ? phir ? is ka kia jawab ho ga ?
aap bar bar hawalon ki baat karty ho to bhai mere cheez to maujood hai, wo tabka to maujood hai phir kitaben kis kaam keen ? :)  kitabi tehqeeq to kisi tarah banti hi nahi, wo rule to yahan apply hi nahi hota jis ki aap baat kar rahey ho!
yun to kafir bahut sari fabricated hadith or quran ki bahut sari baten apney pass se bana kar phela rahey hain or bakaida hawala detey hain un ka apni kitabon se to kia is ka matlab hai hum maan len un k hawaly ?
Quran o Hadith hum mein maujood hai hum kasy maan leen ?
bhai mere kabutar k ankh band karney se bili chali nai jati. aap ki baten kuch asy maloom ho rahi hain k hum apni akhen band ke leen!

or aap ne baat ki ishq ki to ishq kisi k geet ganey ka naam nai hota mere bhai us ki kamil iteba ka naam hota hai, jis kaam ko wo le kar aya or jis k zarye se sahaba jasy log wajood mein aye or deen pori duna mein phela, hum us ka to inkaar kar deen or jo wo humain hukam karta hai us se to nazren chura leen or us k geet gaaty rahen to yeh koi ishq nahi hai !!!
yeh shaitaan ka bahut bara dhoka hai

meethay pyary bhai mera aap ko phir yahi mashwara hai k aap kitabon pe na raho balkey market mein khud wo log dastyaab hain un se balkey un k baron se pucho :)
Allah aap ko jazaekhair de
umeed hai k aap ko kuch samajh a gya ho ga

or shukria josh. yeh tumhara josh tha jis ne mughay bhi josh dila dia ;)
keep it up the gr8 effort.

khangi61 Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 6  Post: 103  Age:  53  
Posted on:27th Aug 2007, 10:19pm
 

RE:joshh

joshh saab tabligh karna main nay nahi kaha keh ghalat kaam hay. yeh kaam to har musalman par farz hay keh wo jo kuch janta ho us ko doosroon tuk pohnchahay. aap baat ko samjhanay ki khud koshish nahi kartay aur fazool kism ki behs kiyey ja rahay hain. jo main nay baatain ki theeen un ko to aap nay chuha tuk nahi aur pata nahi kia behs ched dee hay.

main qawwali ka bazatey khud shuqeen nahi lain main nay misal dee thee keh us waqt jab keh wo log saaz baaz key saath ibadat k aadi they to yeh sirf un ko attract karnay ka tareeqa tha kiyoon keh yaad rahay keh us waqat subcontinent main muslim nah thay. warna muddaha to tabligh ka hi hota tha, iss ko understand karain aur main phir kahoon ga keh aap ka muslim k ghar paida hona Allah azzo jal ka ihsan to hay hi laikin is k peechay karfarma awamil ko b nazar andaz nah karain.

chalo shukr yeh to maan liya keh aap peace be upon him nay tohfa dia tha, to main b naa'at padhanay per tohfa ka hi qahil hoon, maawza fix karnay ka nahi , agr kohi aisa karta hay  to yeh us ka apna aml hay, laiki yeh to mantay ho keh tohfa daina theek hai.kaam say nufrat nah karo tareeka kar say difference theek hay.meri zahanat ka andaza laganay say pehlay apni zahant ko dekhain masla understand nahi karta, aur valid points par discuss karnay k bajahay,discussion ko different point ki taraf lay gay. chahyey to yeh tha keh jo point main nay likhay thay un ko apni books say ghalat sabit kartay, yeh to ho nah saka aur bahs baraae behs kiyeye ja rahay ho.

kim : kim saab aap nay explanation ka kaha hay to koshish karta hoon. point 1: mainnay out of context nahi padha bulkay jo haqeeqat hay wo bayan kia hay.

poin 2: ibn-e- maja main hay " Allah has declared this haram on earth that it shall eat bodie of anmbiya, so the prophets are alive and they given rizq" shaheed k baray main to aap nay quran main padha ho ga keh un Allh ki taraf say rizq milta hay, to phir mairay o tumharay aaqa peace be upon him to sub say afzal hain All ki zaat k bahd, aur aap nay hazrat sulemaan k baray b padha ho ga keh jub un ko death ka bataya gia to unhoo nay allh taa'ala say urz ki meri maut ko jins say mukhfi rakha jahay warna wo kaam nhi karain gay, lihaza aap ka nimaz ki haalat main intiqaal howa aur aap apnay asaa key saath aik saaal tuk standing position mai rahay aur jub asaa ko deemak lagi tub aap ki baadi faal hohoi, is say saabit huwa kay anmbiya ki bodies death k bahd b fresh rehti hain.

point 3. un ka dawa hay keh nabi humaray baday bahi jaisay hain aur hum main ur un main kuch farq nahi hay.

point 4: nimaz main Allah taa'ala ka hi khayal hota hay magr un ki quotation read karain ox aur donkey wali. kim saab jab aap gawahi daitay hain muhammad peace b upon him is God's  bundae khas aur nabi to un k baray soch to aati hay, kiyon keh jis ka naam liya jahay us ka khayal b aata hay.

point 6: qura'an main prophet yahya k barat hay,peace be upon him the day he was born and the day he will die and the day he will be raised alive(Al muryam vers 15) same wording is about jesus in verse 33 he says " the same peace on methe day i was born and the day i will die  and the day i would be raised.

ab yeh kia hay, Allh nay complete milad ka zikr kia hay, tafseel main nahi jahoon ga. ab hadith malahiza ho.

sahih muslim main imam wali nay narrate kia hay when the prophet of Allah was asked about the fast of monday he peace be upon hi said

 "I took the birth and the qura'an was revealed upon me in this day.mishkat sharif page 179

point 7 Allah jo chahay kar sakta hay magr jis k liyey do jahan banay us k bahd ya pehlay kissi ko kiyon banay ga. wallah ahlim;

point 8 title ki bahut ahmiyyat hay. tafseel nahi bayan kar sakta. kafi waqt ho gia hay log in howay kahin time khatm nah ho jahy. i hope not.

 

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:1st Sep 2007, 11:06pm
 

Re Khangi:

Milad e nabwi salla la ho ilihy wa aly hi wasalam .........Qurab aur sunat sy sabit nahi......

check --

Rgds

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:26th Sep 2007, 4:35pm
 

Deo Band

Sarbakaf sar buland ... deo band deo band
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:28th Sep 2007, 9:05am
 

KIM

Kim app ko is tarha k sensitive  topics start karnay say parheez karnay chahiyai , kyun k har kisi ka apna apna raaeeey aur beleif hota hai jis ki waja say behes shuru hojati hai , aur noor baba nay sahi kaha hai k app ko aesay mozoaaat par dosron say comments nahi lenay chahiyai kyun k har kisi ko is baray main achi knowledge nahi hoti aur agar us nay misguide kar diya to nuksaan app ka hai .......................and ALLAH KNOWS BETTER
For Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How To Fill Out A Job Application  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014