josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 8:43am |
|
|
Shadion Par Nachna!
shadion par log nachtay hain , bhangray daltay hain... aap logo ka kia khayal hai k bhai ya dost ki shadi par nachna aur bhangray dalna kaisa hai ?? ham sab jantay hain k khushi k moka par daf bajana aur thora bohat gaa lenay ki ijazat hai,, to kia islam mai thora bohat nachnay ki ijazat bi hai ??
|
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 7:44pm |
|
|
shor sharaba nachna kodnaa Mera khayal sai khushi ka ezhar karna bohot zarori hai. Insan mukhtalif khushi kai moqai per mukhtalif ezhar karta hai khushi ka. Ab agar aik general rai li jai to har koi yahi kahaiga ka jo jaisa chahai apni khushi ka ezhar karai chahai woh halkai sai muskurai yah phir nachai dhool bajai.
ISLAM ki yahi khasiyat hai ka woh dooor kai results kai mutabiq bat kahta hai. Bazahir khushi manana achi bat hai dhool bajai nachai ganai bajai laikin agar dekha jai to ajkal shadion mai jo hal hota hai ussai sirf shadi wala ghar khush nazar ata hai baqi aas paroos walai galiyan dai rahai hotai hain.
Uski wajha yah hai kai log etnai zoor zoor sai ganai bajatai hai ka baichara bemari so nahi sakta, student study nahi kar sakta etc.
Mera hisab sai ap jo chahai karai, khub ganai bajai, dhoool bajai shoor sharaba karai laikin in harkatoon sai apka parosi pareshan na ho bas, usko eski awazain na sunai dain bas. Agar aisa hojai to shayad ISLAM mai yah sab jaiez hojai. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 9:14pm |
|
|
shaadi mai mardo ka bhangra khushi ke moqa per mard bhangra dal sakte hai. mera khial hai keh khawateen ki mahfil mai khawateen bhi jhoom aur ga sakti hai. mixed mahfil nahi honi chahiye.
|
Bili_miau
|
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Feb 2008, 11:06pm |
|
|
well i belive that shaadi per nachne wale hire nai karne chaien..yeh bht hi ghalat kam he...aapki khushi he to use kudh manao...yeh nanchne walon ko bulane ka kai faida he...
agar unknown guests bhi bualne hain to phir yeh shoor sharaba sperate hona chaie....lekin agar just family he with close relatives to beshak mix hojae..use koi farak nai pardta |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 4:45am |
|
|
Shadion Par Nachna! Waide to Pakistan main aisi famlies hain jahan shadi mukammal Islami tareeqa pe hoti hae laikin mostly hamare haan shadi pe sirf eik kaam sunnat wala hota hae "Nikkah" is ke ilawa baqi sab kharafaat hoti hain, firing, aatish bazi, Dhol bajay, Band, nachna, gana,khawateen ki be pardgi (kai haji, nimazi bhi us din Roshan khyal bane hoe hote hain ke is be pardgi se aankhain band kiye hote hian) , Fazool kharchi, phir kuch rasmain (Punjab main, baqi ka muje pata nahi)aisi ki jati hain jo ke khalish hindu culture hae, aaj kal to kisi ghar main shadi ho to sari raat gali muhallay wale so nahi sakte, itna shor kis jata hae.Fring se kai baar logon ki jaan chali jati hae yani ye log apni khushi ke liye kisi ka ghar ujaar dete hain.
Billi_miau.. close relatives hoon ya unknown guests, be pardgi kahin bhi jaiz nahi hae. |
nelish
|
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 25 Post: 1147 Age:
25
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 4:47am |
|
|
agreed to ch baber nice,,,,,, |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 7:03am |
|
|
dance ki movie! shadi par har tara k guests atay hain, bohat doooor k aur bohat kareeb k relatives bi aatay hain... to agar koi khavateeen ya mard hazraat dance kartay hain to wo jidhar bi karain par unki movie ban jati hai, aur phir wohi movie ki cassette ya CD bohat say gharon mai chal rahi hoti hai.. kuch log us cassette mai say apni pasand k clips apnay pas save kar laitay hain aur us say bi pehlay bohat say movie bananay walay bi apnay pas apni pasand k clips save kar laitay hain, aisa wo shokia bi kartay hain aur kuch is liye bi k wo apnay kaam ka backup bi rakhtay hain..
hangama , bili aur bewakoof k khayal say kuchh baton ka khayal rakh kar, shadi par dance kia ja sakta hai...
where are the other members ??? |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 9:12am |
|
|
Shadion Par Nachna! haan bilkul naacha jasakta hai , magar khawateen aur mardon ka arrangement alag alag hona chahiyai ...........ya phir dosray lafzonn main khawateen ki be pardgi ka khaas khayaal rakha jaye............
warna jis ki marzi wo jis tarha bhi karay............
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Feb 2008, 7:45pm |
|
|
bunty ki reply : samajh na aye bunty app baat ko pata nahi konsay africa kay jungaloon main lejati hai ..................apne ghar main kisi ki shaadi ki khushi main tou dada dadi bhi naachana shuru hojatay hai (agar sehatmand hoon tou)..............
wesay shaadi main khawateen ka agar dance ka plan ho tou wo group main zyada tar hota hai .......... warna akeelay main sirf mehendi waghera par hi hota hai jis main ghar kay afraad shamil hotay hain............kya samjhi
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:4th Feb 2008, 10:27am |
|
|
i think merey khyal ye bi ek lehaz se khushi ka izhar kerna hi hai but im agreed to all members k nachtay waqt kafi baton ka khyal rkhna chahiye
- namehrum larkay larkian ikathay dance na kereyn
- agar shadi ghairon mein aur sub ghair log aye huye hain to girls ko nachna hai to larkay wahan mojood na hon
- agar with in family shadi hai to mix gathering allow ker sktey hain
- dances ki movie bilkul na banwai jaye
- larkay bhangra daal sktey hain but sirf larkay larkay honey chahiye
- larkian alag se apne dances keryen
- behen bhai ya husband wife wagera, jin k beach ek mehrum relation hai wo ikathey dance ker sktey hain
|
raazdaar
|
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
25
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 8:03am |
|
|
Agreed With ZEB SALLAM TO ALL FRIENDS
Bhayee app nai jo batain kahi wo teeq hai.Lakin ajj kal mahool aisa agiya hai kai kisi par bi aitbaar nahin rehta.Kuch loog aitbaar kai naam sai wo kar jatain hain jis sai tawakoo nahin ki ja sakti.Waisai shadi ISLAMIC point of view sai hoo to us main nachna ghana.Mujai nahin lagta kai yai sab kuch ayee ga.
Q kai ajj kal nach ganai sai ham auroon ko yani parosiyoon ko taqleef main raktain hain.Koyee un main bimaar hoo to us kai iyai suna cheen sai rehna.Ham haram kar daitain hain.To shadi aisai tariqai sai honi chahiyai.Jin main kisi aur musalman ko taqleef na hoo.
ALLAH hamain naiki ki hidayat karain aur hamain apnai naik bandoo kai rastai pai layee.AMEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEN.
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 1:58pm |
|
|
shadi / kaarnama! ameen sumameen on raazdar's dua.
waisay kuch log shadio par nachnay ko pasand nai kartay, aur na hi unkay baray buzurg (elders) dance kartay hain, mai bi isi kisam k logo mai say hon.... lekin bohat say aisay bi hain jo khushi mai jhoomtay nachtay aur gatay hain..
waisay bi shadi kar li to konsa karnama anjaam day dia k banda nachna hi shuru kar day..aur na hi dance karna koi sunnat tareeka hai.... |
Hangama
|
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 39 Post: 1284 Age:
38
|
|
Posted on:5th Feb 2008, 7:34pm |
|
|
Shadi aur nachna Bili jo bhi bat karaingi woh apnai mashrai aur mahol kai mutabiq karaingi. Shadi mai nach gana hona chahiya laikin khawateen ka nahi. maina dekha hai kai combine ladies and gents hotai hai aur khawateen aur gents dono dance kartai hai. yah theek nahi. Gents agar baihoda dance na karai to bhi chalta hai magar agar koi larki mardon kai samnai kitna bhi dhanka dance karlai woh theek nahi. |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:9th Mar 2008, 3:35pm |
|
|
beat drums on shadi.... manay aik islamic website par ye parha hai
The Prophet (peace and blessings be upon him) said, “Publicize marriages and beat drums over them!” |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|